Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Qisse jafaa ke unnki mash-hoor ho gaye haiN
Old
  (#1)
Sagar Aashna
Registered User
Sagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of light
 
Sagar Aashna's Avatar
 
Offline
Posts: 410
Join Date: Nov 2014
Location: Jammu, J&K.
Rep Power: 14
Arrow Qisse jafaa ke unnki mash-hoor ho gaye haiN - 17th January 2015, 10:08 PM

Muazizeen dostoN, Aadaab..!

Bohot dinoN se koshish kar raha hooN apne ehsasaat ko beh'r mein band karne ki, lekin nahi ho paaye.
Toh haar kar aapke hawale kar raha hooN, bardasht kar lijiyega.
Mods aur sho'ra hazraat se istidaah hai ke iss aib ko nazar andaaz kar ke sirf ehsasaat ki jaanib jaayeiN. Beh'r bhi seekh jaunga aapka saath raha toh.


Qisse jafaa ke unnki, mash-hoor ho gaye haiN
Sang-e-koo-e-yaar bhi maghroor ho gaye haiN

Yoom-e-azl se ishq meiN haiN zillateiN bhi saath
Dastkashii-o-berukhii ab dastoor ho gaye haiN

Yoom-e-azl= The beginning of the world/aghaaz/ibtidaah
Dastkashi= The break up of a relation/Taa'luq toRna


Insaaf kii tijaarat hogii, rawaaN saal meiN bhi
Mashware siyaasi kuch phir manzoor ho gaye haiN

Takhfeef jo huyii hai mere ghar meiN roshnii kii
Khair khwaah-o-humsafar sab door ho gaye haiN

Takhfeef= Reduction/Kami

Aaqibat ba-khair ho, ahl-e-chaman kii 'Aashna'
Hum toh tark-e-gulshan ko majboor ho gaye haiN

Aaqibat= Consequences/Aakhirat/Anjaam


Sagar Aashna
****************
Qaul thae ke 'Sagar' milengae kal magar
Taareeki musalsal hai, savera nahii hota

Last edited by Sagar Aashna; 17th January 2015 at 10:33 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Mann
Registered User
Mann is just really niceMann is just really niceMann is just really niceMann is just really nice
 
Offline
Posts: 521
Join Date: Feb 2010
Location: New Delhi
Rep Power: 18
17th January 2015, 10:43 PM

Sagar ji namaskar!

Aap itna achchha likhte hain, hum to aapke kayal ho gaye hain!

Bahut shubhkaamnaaein humari or se.


Mann
   
Reply With Quote
Shukriya
Old
  (#3)
Sagar Aashna
Registered User
Sagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of light
 
Sagar Aashna's Avatar
 
Offline
Posts: 410
Join Date: Nov 2014
Location: Jammu, J&K.
Rep Power: 14
Smile Shukriya - 17th January 2015, 11:41 PM

Quote:
Originally Posted by Mann View Post
Sagar ji namaskar!

Aap itna achchha likhte hain, hum to aapke kayal ho gaye hain!

Bahut shubhkaamnaaein humari or se.

Mann Saahab, Namaskar !

Aapko meri koshish pasand aayi uskeliye aapka bohot bohot shukriya.
AayiNda bhi saath dete rahiyega.
hausla afzaayi keliye ek baar phir se tah-e-dil se shukriya.

aapka khair andesh


Sagar Aashna
****************
Qaul thae ke 'Sagar' milengae kal magar
Taareeki musalsal hai, savera nahii hota
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
rajveeer
shayri is my life
rajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud of
 
rajveeer's Avatar
 
Offline
Posts: 1,938
Join Date: Jun 2006
Location: Punjab(Phagwara)Now:(California) USA
Rep Power: 33
18th January 2015, 01:53 AM

Quote:
Originally Posted by Sagar Aashna View Post
Muazizeen dostoN, Aadaab..!

Bohot dinoN se koshish kar raha hooN apne ehsasaat ko beh'r mein band karne ki, lekin nahi ho paaye.
Toh haar kar aapke hawale kar raha hooN, bardasht kar lijiyega.
Mods aur sho'ra hazraat se istidaah hai ke iss aib ko nazar andaaz kar ke sirf ehsasaat ki jaanib jaayeiN. Beh'r bhi seekh jaunga aapka saath raha toh.


Qisse jafaa ke unnki, mash-hoor ho gaye haiN
Sang-e-koo-e-yaar bhi maghroor ho gaye haiN

Yoom-e-azl se ishq meiN haiN zillateiN bhi saath
Dastkashii-o-berukhii ab dastoor ho gaye haiN

Yoom-e-azl= The beginning of the world/aghaaz/ibtidaah
Dastkashi= The break up of a relation/Taa'luq toRna


Insaaf kii tijaarat hogii, rawaaN saal meiN bhi
Mashware siyaasi kuch phir manzoor ho gaye haiN

Takhfeef jo huyii hai mere ghar meiN roshnii kii
Khair khwaah-o-humsafar sab door ho gaye haiN

Takhfeef= Reduction/Kami

Aaqibat ba-khair ho, ahl-e-chaman kii 'Aashna'
Hum toh tark-e-gulshan ko majboor ho gaye haiN

Aaqibat= Consequences/Aakhirat/Anjaam
Adaab sagar bhai bhai kyaa khub ashaar hai.n kasam se mazaa aa gyaa, Janaab matlaa to bass puchiye mat janaab apni to dher saari daad kabool farmaiye. .khuda kare zor e qalam or jiyada. .Raj.


un se kar liya kinara unki khushi ki khatir
ab mujhe bewafa kahiye ya bawafa kahiye...(Raj)
 Send a message via ICQ to rajveeer Send a message via Yahoo to rajveeer  
Reply With Quote
Shukriya
Old
  (#5)
Sagar Aashna
Registered User
Sagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of light
 
Sagar Aashna's Avatar
 
Offline
Posts: 410
Join Date: Nov 2014
Location: Jammu, J&K.
Rep Power: 14
Shukriya - 18th January 2015, 07:59 AM

Quote:
Originally Posted by rajveeer View Post
Adaab sagar bhai bhai kyaa khub ashaar hai.n kasam se mazaa aa gyaa, Janaab matlaa to bass puchiye mat janaab apni to dher saari daad kabool farmaiye. .khuda kare zor e qalam or jiyada. .Raj.

Rajveer Ji, Satsriakaal !


Khaaksaar aapka maskoor-o-mamnoon hai ke aapko asha'ar pasand aaye.
aapki daad sir ankhoN par. Yunhi saath baanye rakhein.

aapka khair andesh


Sagar Aashna
****************
Qaul thae ke 'Sagar' milengae kal magar
Taareeki musalsal hai, savera nahii hota
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
bhushan
Registered User
bhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Nov 2014
Rep Power: 13
18th January 2015, 10:07 AM

Quote:
Originally Posted by Sagar Aashna View Post
Muazizeen dostoN, Aadaab..!

Bohot dinoN se koshish kar raha hooN apne ehsasaat ko beh'r mein band karne ki, lekin nahi ho paaye.
Toh haar kar aapke hawale kar raha hooN, bardasht kar lijiyega.
Mods aur sho'ra hazraat se istidaah hai ke iss aib ko nazar andaaz kar ke sirf ehsasaat ki jaanib jaayeiN. Beh'r bhi seekh jaunga aapka saath raha toh.


Qisse jafaa ke unnki, mash-hoor ho gaye haiN
Sang-e-koo-e-yaar bhi maghroor ho gaye haiN

Yoom-e-azl se ishq meiN haiN zillateiN bhi saath
Dastkashii-o-berukhii ab dastoor ho gaye haiN

Yoom-e-azl= The beginning of the world/aghaaz/ibtidaah
Dastkashi= The break up of a relation/Taa'luq toRna


Insaaf kii tijaarat hogii, rawaaN saal meiN bhi
Mashware siyaasi kuch phir manzoor ho gaye haiN

Takhfeef jo huyii hai mere ghar meiN roshnii kii
Khair khwaah-o-humsafar sab door ho gaye haiN

Takhfeef= Reduction/Kami

Aaqibat ba-khair ho, ahl-e-chaman kii 'Aashna'
Hum toh tark-e-gulshan ko majboor ho gaye haiN

Aaqibat= Consequences/Aakhirat/Anjaam
Bohot bohot khoob Sagar ji

Kya baat hai.....ehsaas behad khoobsurat.......behad umda peshkash hai...aap ki sohbat rahi to shayri ke sath urdu bhi sekh jayenge.....kamaal ka likhte hai aap..
Daad kubul farmayeN

Aapka apna
Bhushan



Bhushan Joshi
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
18th January 2015, 03:21 PM

Waah waah sagar ji...
superb.....



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
Sagar Aashna
Registered User
Sagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of light
 
Sagar Aashna's Avatar
 
Offline
Posts: 410
Join Date: Nov 2014
Location: Jammu, J&K.
Rep Power: 14
18th January 2015, 07:29 PM

Quote:
Originally Posted by bhushan View Post
Bohot bohot khoob Sagar ji

Kya baat hai.....ehsaas behad khoobsurat.......behad umda peshkash hai...aap ki sohbat rahi to shayri ke sath urdu bhi sekh jayenge.....kamaal ka likhte hai aap..
Daad kubul farmayeN

Aapka apna
Bhushan

Tah-e-dil se shukriya Bhushan ji.. Aapne apna qeemti waqt meri koshish keliye nikala, maiN mamnoon huN uskeliye.


Yunhi saath dete rahiyega.

Regards


Sagar Aashna
****************
Qaul thae ke 'Sagar' milengae kal magar
Taareeki musalsal hai, savera nahii hota
   
Reply With Quote
Shukriya
Old
  (#9)
Sagar Aashna
Registered User
Sagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of light
 
Sagar Aashna's Avatar
 
Offline
Posts: 410
Join Date: Nov 2014
Location: Jammu, J&K.
Rep Power: 14
Shukriya - 18th January 2015, 07:32 PM

Quote:
Originally Posted by Madhu 14 View Post
Waah waah sagar ji...
superb.....
Tehseen keliye bohot bohot Shukriya Madhu Ji.
Aate rahiyega.

Regards


Sagar Aashna
****************
Qaul thae ke 'Sagar' milengae kal magar
Taareeki musalsal hai, savera nahii hota
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
19th January 2015, 11:38 AM

bahot khoob peshkash hai apki janaab.... har sher apne aap me ek daastaan kahta huaa....
nayaab sa nazraana hai aapke... tahe dil se daad.....

likhte rahiye.... bandish aur rawaani ka bhi thodaa khayaal rakkhen to aur bhi behtar....

ijaazat talab....

Shaad..


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
Sagar Aashna
Registered User
Sagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of light
 
Sagar Aashna's Avatar
 
Offline
Posts: 410
Join Date: Nov 2014
Location: Jammu, J&K.
Rep Power: 14
20th January 2015, 07:25 PM

Bohot bohot shukriya Shaad bhai hausla afzayi keliye.

Aur maine pehle he guzarish kii hai ke technically weak hooN, beh'r ka ilm nahi, bandish aur rawaani ka pata nhi.. Bas kuchh ehsaas thae jo nikal gaye.

islaah keliye he mods aur sho'ra hazraat se guzarish kii hai.

Bohot bohot shukriya ek baar phir se.
Regards


Sagar Aashna
****************
Qaul thae ke 'Sagar' milengae kal magar
Taareeki musalsal hai, savera nahii hota
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
aru
Main shayar to nahin.....
aru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.com
 
aru's Avatar
 
Offline
Posts: 2,796
Join Date: Oct 2002
Location: kanpur
Rep Power: 50
4th February 2015, 07:48 PM

kya baat kya baat kya baat saagar jee,,...bahut khoob laga aapka kalaam ...kep it up



एक हाथ में दिल उनके एक हाथ में खंजर था
चेहरे पे दोस्त का मुखौटा अजीब सा मंजर था

Arvind Saxena
Ph. No. 7905856220
  Send a message via AIM to aru  
Reply With Quote
Old
  (#13)
Sagar Aashna
Registered User
Sagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of light
 
Sagar Aashna's Avatar
 
Offline
Posts: 410
Join Date: Nov 2014
Location: Jammu, J&K.
Rep Power: 14
4th February 2015, 11:10 PM

Aru ji, Namaskar.
Meri koshish keliye aapne apna qeemti waqt nikaala aur usko saraaha, uskeliye maiN aapka mamnoon-o-mashkoor hooN.
Yunhi hausla baDhate rahiyega.

Khair andesh


Sagar Aashna
****************
Qaul thae ke 'Sagar' milengae kal magar
Taareeki musalsal hai, savera nahii hota
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
24th April 2015, 02:07 PM

Sagar ji..........bahut khoobsurat likhte hai aap....accha lagta hai aapko padna.



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#15)
Sagar Aashna
Registered User
Sagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of light
 
Sagar Aashna's Avatar
 
Offline
Posts: 410
Join Date: Nov 2014
Location: Jammu, J&K.
Rep Power: 14
Smile 28th April 2015, 06:17 PM

Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post
Sagar ji..........bahut khoobsurat likhte hai aap....accha lagta hai aapko padna.


Aap itni tareef kar rahe haiN to lagta hai ke kuchh theek he likha gaya hoga, warna khud pe itna bharosa nahi hai di.

Thanks for appreciating. Aate rahiye.


Sagar Aashna
****************
Qaul thae ke 'Sagar' milengae kal magar
Taareeki musalsal hai, savera nahii hota
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com