Apne gham ko badhaye kaun -
6th August 2006, 02:52 AM
Apne dard ko badhaye kaun
Apne dard ko badhaye kaun
Samjhe kaun aur samjhaye kaun
Naya tasavvur tere liye hai
Par purane ko bhulaye kaun
Khel tha tera wafa-o-jafa
Dekho qeemat chukaye kaun
Haq-e-sang ka khayaal hai humko
Warna thokar khaye kaun
Nigahein Panahein Mohabbat Wajood
Pariwaash se nazrein milaye kaun
Jitne vaade hain tere shab-e-vasl ke
Utni ratein lekar aaye kaun
Zamana sahi ek shaqs nahin tha
Khuli palkein chod jaaye kaun
Nikla hai zaya hone ko "Safir"
Dekhun zehar pilaye kaun.
|