hal-e-aashiqi -
1st July 2010, 03:20 PM
hello dosto aapki hosla afzai ke liye bhot bhot shukriya muje yakeen nahi ho raha ke aap jese shayaro ko meri shayari jara bhi pasand aai hai aapki tarife sunkar ek bar fir kuch likhne ki kosish ki hai dekhiye aapko kesi lagti hai
gam-e-aashiqi ko aansuo main bhaya nahi jata,
or ye vo dolat hai jise sare bazar lutaya nahi jata,
ashq nikle to puch bethenge sabab duniya wale ,
ab har kisi ko to b-namo ka nam btaya nahi jata,
mere hath pe likh diya usne hme tumse mohabat nahi,
likhawat uski hai isliye ye hath ab jalaya nahi jata,
usse ye duri ab ta-umar rahegi,
mera apna h drmiyaa koi or mujse vo htaya nahi jata,
dag-e-mohabaat cehre pe jaa laga hai,
jo dikhaya nahi jata or ab chupaya nahi jata,
koi puchta hai to bas muskura deta hai "pawan"
hal ye hai ke hal bhi btaya nahi jata.....
aapke commenets ka intjaar rahega.........
"aaj phir sharam se aankhein jhukhi hain "pawan"
aaj phir tera aaine se samna hua hain"
|