Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Aawaarghi..............................ek ghazal
Old
  (#1)
Safiya
Registered User
Safiya will become famous soon enoughSafiya will become famous soon enough
 
Safiya's Avatar
 
Offline
Posts: 127
Join Date: Apr 2005
Location: doston ke dil me
Rep Power: 21
Aawaarghi..............................ek ghazal - 16th May 2005, 12:06 PM

Ek baar phir sabhi dostoN ko Safiya ka aadaab, umeed karti hoon ke aap is dafa bhi hume apni keemti raay se zaroor nawazenge, aapki aaraa ka intezaar rahega....


Raas aayii thi hume aawaarghi pehle kabhii
jaagna shab-bhar-O-karna dostoN se atkhali

ghar humara ab kafas maaloom hota haiy hume
chaayii haiy viraaniyaaN hoti jahaaN thi roshni

ek chehre pe kaii chehre sajaa lete haiN loG
dostoN humko magar pyaari humaari saadghi

raabtaa tootaa jo unke dil se to ye haal haiy
uR gayi ankhoN se neendeN so rahi haiy zindaghi

dil se hum behaal haiN aur jism se beemaar hain
dost deteN hain dawa pyaale me bhar ke tishnaghi

kehteN hain ke dard baRkar khud shifa ban jayega
dekhenge nazdeek aakar tere bhi ey ajnabi

apne armaano ki duniya tujh pe kyun na vaar deN
kyun na tere saath jee leN hum bhi do pal ey khushi

yuN Shama raatoN ko roti haiy sisak kar baar baar
vo sitamgar dekh na paayaa wafaa ki roshnii

meanings:
Kafas = qaid, cage
Tishnagi = pyaas, thirst
Shifa = cure


SAFIYA / SHAMA
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
kush001
Registered User
kush001 is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 59
Join Date: Jan 2005
Rep Power: 20
17th May 2005, 06:02 PM

safia ji
ajj dekhiye aapki mehfil main hum phir aa gye chaliye ab aapki tarif main kya kahe a nice ghazal.........................keeep writing............. main aapke ghazlo ka intezar kerta hu..........thanks for writing such nice ghazals
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Pyarali Rajan
Registered User
Pyarali Rajan is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 403
Join Date: Oct 2001
Location: Copenhagen, Denmark
Rep Power: 23
17th May 2005, 06:13 PM

Safya ji,

Wah!!!

Bahot hi khoobsurat Ghazal!! her ek line dadh key kaabil hai!
Umeed hai key aap isi tarah likhti rahengi!!

Rajan


cool
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Safiya
Registered User
Safiya will become famous soon enoughSafiya will become famous soon enough
 
Safiya's Avatar
 
Offline
Posts: 127
Join Date: Apr 2005
Location: doston ke dil me
Rep Power: 21
18th May 2005, 10:05 AM

Quote:
Originally posted by kush001
safia ji
ajj dekhiye aapki mehfil main hum phir aa gye chaliye ab aapki tarif main kya kahe a nice ghazal.........................keeep writing............. main aapke ghazlo ka intezar kerta hu..........thanks for writing such nice ghazals
Janaab kush Sahab,

Ye aap kya keh raheN hain shukriya aap jeyse dostoN ka , ki jo humaari na-cheez ghazaloN ka intezaar karteN hain. aapki taareef se dil to khush hota hi haiy saath hi saath himmat bhi baRti haiy. bas khuda kare ye silsila jaari rahe, aur hum sab ki dosti bani rahe.

bohot bohot shukriya

Safiya...
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
Safiya
Registered User
Safiya will become famous soon enoughSafiya will become famous soon enough
 
Safiya's Avatar
 
Offline
Posts: 127
Join Date: Apr 2005
Location: doston ke dil me
Rep Power: 21
18th May 2005, 10:11 AM

Quote:
Originally posted by Pyarali Rajan
Safya ji,

Wah!!!

Bahot hi khoobsurat Ghazal!! her ek line dadh key kaabil hai!
Umeed hai key aap isi tarah likhti rahengi!!

Rajan
Rajan sahab,

shukriya , bohot bohot shukriya, taareef ke liye aur himmat afzaaii ke liye, Allah hume itni salahiyet baqshe ki hum aapki umeed pe poore utar saken.

Safiya...
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
Adil
Registered User
Adil is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 73
Join Date: Oct 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 22
21st May 2005, 04:33 PM

Safiya sahiba,
aadaab,
bohat khoobsurat...wah wah....
aapne kya kaha hai.....aaj ki dosti ke pasmanzar main...

dil se hum behaal haiN aur jism se beemaar hain
dost deteN hain dawa pyaale me bhar ke tishnaghi

kya baat hai...

apne armaano ki duniya tujh pe kyun na vaar deN
kyun na tere saath jee leN hum bhi do pal ey khushi

bohat khoob....safiya ji...bohat khoob

Mukhlis
Adil


"'Adil' ne zabaan kholi thi such bolne ke waste,
Bardasht na kar sake log shayar bana diya"



MOHD.ADIL QURESHI
Snowy Mountains Engg. Corporation(SMEC)
A-1, Ist Floor,Chiragh Enclave
New Delhi-48
Tring Tring-09350815681
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
Safiya
Registered User
Safiya will become famous soon enoughSafiya will become famous soon enough
 
Safiya's Avatar
 
Offline
Posts: 127
Join Date: Apr 2005
Location: doston ke dil me
Rep Power: 21
23rd May 2005, 02:41 AM

Quote:
Originally posted by Adil
Safiya sahiba,
aadaab,
bohat khoobsurat...wah wah....
aapne kya kaha hai.....aaj ki dosti ke pasmanzar main...

dil se hum behaal haiN aur jism se beemaar hain
dost deteN hain dawa pyaale me bhar ke tishnaghi

kya baat hai...

apne armaano ki duniya tujh pe kyun na vaar deN
kyun na tere saath jee leN hum bhi do pal ey khushi

bohat khoob....safiya ji...bohat khoob

Mukhlis
Adil
Adil sahab

Ji haan Adil sahab kuch dost eyse hoteN hain ki jinhe dekh kar vakaii dil ki pyaas bujhne ki baajaaye aur baR jaati haiy. Ghazal ki pazeerayi ke liye hum aapke tah-e-dil se mamnoon haiN.
aapne itni himmat badhaaii, iske liye bohot bohot shukriya

Safiya
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
Taish
"Taish meN hai Taish"
Taish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Taish's Avatar
 
Offline
Posts: 5,535
Join Date: Jan 2005
Location: Lost In The Cobwebs Of Mah Mind...!!
Rep Power: 48
30th September 2005, 05:57 PM

ahcha likha hai safiya ji,khaash taur pe aapka khayal hume bahut pasand aaya,aawaargi.........,kya baat hai.kaafi ahcha laga aapko padh kar bas yunhi likhte rahiye aap.


aapka LUCKY



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
http://alfaaz-e-taish.blogspot.in/

Ishq hota tha, ishq karte haiN,
Vo zamana tha, ye zamana hai...

----Taish

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
  Send a message via Yahoo to Taish Send a message via Skype™ to Taish 
Reply With Quote
Old
  (#9)
Safiya
Registered User
Safiya will become famous soon enoughSafiya will become famous soon enough
 
Safiya's Avatar
 
Offline
Posts: 127
Join Date: Apr 2005
Location: doston ke dil me
Rep Power: 21
13th October 2005, 11:13 AM

Quote:
Originally posted by ghayal_shayar
ahcha likha hai safiya ji,khaash taur pe aapka khayal hume bahut pasand aaya,aawaargi.........,kya baat hai.kaafi ahcha laga aapko padh kar bas yunhi likhte rahiye aap.


aapka LUCKY
Janaab Ghayal sahab,

Deri se jawaab dene ke liye maazrat khwaaN hoon, aapko ghazal pasand aayee, shayra ke dil ko taskeen huvi. taareef ke liye shukriya.

aapki mamnoon
Safiya...
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
SUPER GHAZAL OF THE YEAR - Winner Ghazal Dhaval Ghazal Section 36 11th October 2010 02:59 PM
Ghazal: Tum aao to sahii (ek Rumaani Ghazal) Mayank Shayri-e-Ishq 30 29th March 2009 08:32 PM
AshruO Khaali Ne Ghazal Lakhato Gayo-- Gujju Ghazal acharya_mj Shayri-e-Dard 3 16th September 2006 10:19 AM
Ghazal: Tum ghazal MeN Jo HaseenooN... Ameen Asim Aapki Shayri 1 16th November 2005 02:46 PM
Aawaarghi...............................ek ghazal Safiya Shayri-e-Dard 6 18th May 2005 10:26 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com