Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Anjuman-e-Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Rishton ke naam per jab jab
Old
  (#1)
karan_q
Registered User
karan_q is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 18
Join Date: Dec 2005
Location: 238 jagriti enclave anand vihar delhi 92
Rep Power: 0
Rishton ke naam per jab jab - 16th February 2006, 02:47 AM

Apni nazar me gir gir ker utth-ta raha houn main



ek aks aaj bhi mere ru-ba-ru hai,jo meri shakl hu-b-hu hai,ek chota sa na-samajh bacha,khushbu ka tajurba nahi thaa use magar phoolon ki baat kerta thaa,hansi ka jyada tajurba nahi tha use magar khushi ki baat kerta thaa,wo chota sa baccha saari duniya se akser dosti ki baat kerta thaa,baadalon per ghar hote hain,jinnper panchi sote hain,log pyar ke bina adhoore hote hain,jab apne bichad jaate hain to rote hain,or na jaane kya kya sochta thaa wo chota sa karan… … … uddne ka bilchul tajurba nahi tha use,shayad issliye pankho ki baat kerta thaa,Ab chup he rehta hai,shayad her cheez ka tajurba ker liya usne……


Rishton ke naam per jab jab lut-ta raha houn mai
Apni nazar me gir gir ker utth-ta raha houn mai

Jab wo mujhe bataa gaya,main usska kuch nahi
Jaane kyun ussko der tak tak-ta raha houn mai

Barso se mujhko apna sa lagta raha hai wo
Jaane kyun ussko ajnabi lagta raha houn mai

Wo he mera imaan hai,ya hai mera khuda
Ye soch ker usske saamne jhukta raha houn mai

Wo baar baar mujhko youn likhta reh gayaa
Jaise ke baar baar he mit-ta raha houn main

Main uss shaks se milker bhi na mil sakaa
Jiss shaks ke saath me akser dikhta raha houn mai

Wo shaks aaj mujhko anmol keh gayaa
Jiss shaks ke naam per abtak biqta raha houn mai

Shauq-e-shayri se karan dil kab ka bhar gaya
Bas padhne waalon ki khaatir likhta raha houn mai

Karan.q


Main or Samander,Do Gehre khwaab khuda ke,
  Send a message via Yahoo to karan_q  
Reply With Quote
Re: Rishton ke naam per jab jab
Old
  (#2)
Diggaj_Dave
EK CHAMAKTA HUA SITARA
Diggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to beholdDiggaj_Dave is a splendid one to behold
 
Diggaj_Dave's Avatar
 
Offline
Posts: 1,884
Join Date: Jun 2005
Location: Rajasthan,India
Rep Power: 26
Re: Rishton ke naam per jab jab - 21st February 2006, 11:25 PM

Quote:
Originally posted by karan_q
Apni nazar me gir gir ker utth-ta raha houn main



ek aks aaj bhi mere ru-ba-ru hai,jo meri shakl hu-b-hu hai,ek chota sa na-samajh bacha,khushbu ka tajurba nahi thaa use magar phoolon ki baat kerta thaa,hansi ka jyada tajurba nahi tha use magar khushi ki baat kerta thaa,wo chota sa baccha saari duniya se akser dosti ki baat kerta thaa,baadalon per ghar hote hain,jinnper panchi sote hain,log pyar ke bina adhoore hote hain,jab apne bichad jaate hain to rote hain,or na jaane kya kya sochta thaa wo chota sa karan... ... ... uddne ka bilchul tajurba nahi tha use,shayad issliye pankho ki baat kerta thaa,Ab chup he rehta hai,shayad her cheez ka tajurba ker liya usne......


Rishton ke naam per jab jab lut-ta raha houn mai
Apni nazar me gir gir ker utth-ta raha houn mai

Jab wo mujhe bataa gaya,main usska kuch nahi
Jaane kyun ussko der tak tak-ta raha houn mai

Barso se mujhko apna sa lagta raha hai wo
Jaane kyun ussko ajnabi lagta raha houn mai

Wo he mera imaan hai,ya hai mera khuda
Ye soch ker usske saamne jhukta raha houn mai

Wo baar baar mujhko youn likhta reh gayaa
Jaise ke baar baar he mit-ta raha houn main

Main uss shaks se milker bhi na mil sakaa
Jiss shaks ke saath me akser dikhta raha houn mai

Wo shaks aaj mujhko anmol keh gayaa
Jiss shaks ke naam per abtak biqta raha houn mai

Shauq-e-shayri se karan dil kab ka bhar gaya
Bas padhne waalon ki khaatir likhta raha houn mai

Karan.q
Dear Karan Ek baat mujhe samjh mein nahi aayi k ab tak kaafi logo ne ishse padha par reply nahi diya Pata nahi kyo? Vaise sabhi ki neend baad mein khulti hai i mean reply milte hai par late milte hai. Jab bhi tumhe padhta hu sach kahu tumse jalan hoti hai mujhe ki tum itna badhiya kaise likh lete ho? hamesha ki tarah ish bar bhi ek behtrin rachna tumhari.Vaise mujhe pata nahi tha ki tum mujhse chote ho..Ho to sirf 1month fir aaj tum kehkar hi reply de raha hu Tumhari rachano ko padhkar main tumhe bada samjhta tha Aur mujhse to bade ho hi likhne mein..Yuhi likhte raho aur mehfil ko sajate raho..Shukriya... Diggaj

Last edited by Diggaj_Dave; 21st February 2006 at 11:27 PM..
 Send a message via ICQ to Diggaj_Dave Send a message via Yahoo to Diggaj_Dave Send a message via AIM to Diggaj_Dave  
Reply With Quote
Re: Rishton ke naam per jab jab
Old
  (#3)
passionatelover
pass love on and on...
passionatelover is a name known to allpassionatelover is a name known to allpassionatelover is a name known to allpassionatelover is a name known to allpassionatelover is a name known to allpassionatelover is a name known to all
 
passionatelover's Avatar
 
Offline
Posts: 1,183
Join Date: Nov 2004
Location: Kolkata,India
Rep Power: 26
Re: Rishton ke naam per jab jab - 22nd February 2006, 11:23 PM

aapke ehsas hamare dil chu gaya karan bhai......

wonderfulllllllll brother keep writting..........

yah dua hai hamari tumhari zindagi sawarjaye
har nazar me bas pyar nazar aaye
tumhe jiski talash hai khuda kare
wo khud tumhari talsh me tumse milne aaye.........

bye and take care
passionate........


chand ho pari ho ya koi afshara
pyar kare jo hume sone sa khara
jiski ankhon me ho pyar hi pyar bhara
me uska "veer" wo meri "zarra"

-------------------Brizesh_kol_-------------------------------------


  Send a message via Yahoo to passionatelover  
Reply With Quote
Old
  (#4)
Vipinbox
ek shoonya
Vipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to behold
 
Vipinbox's Avatar
 
Offline
Posts: 1,748
Join Date: Jul 2002
Location: दिल्ली व देहरादून
Rep Power: 30
23rd February 2006, 11:37 AM

Karan Saahab,
Aapko Namaskaar.

Aapke shabd bahut baareeki se parhe aur samjhey. Khair.... accha laga aapse milna.
Karan ji, Kya aap bata saktey hain woh kaun se Prakashak hain jinse aapko nimantran miley hain. Yeh Jaankar mujhe bahaut khushi hogi.

Aapka
Vipin
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
rishtoN ka gol maal masoodhassas Shayri-e-Dard 18 6th January 2011 05:52 PM
rishton ke hain roop anekrishton ke hain roop anek rishton ki pehchan hai apni rishto Rashmi sharma Hindi Kavitayen 10 22nd August 2010 01:43 PM
Rishton ko Radhika_2 Shayri-e-Ishq 8 11th March 2010 12:51 PM
~*~ Rishton ko piryoe kuch ese humne...~*~ mann_chand Shayri-e-Dard 10 29th April 2008 09:43 AM
rishton ko lamhon ki ..... in_search_of Shayri-e-Dard 0 13th October 2004 12:51 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com