jab chaha kuch jaanoo
awaaz yehi aayi hai
hoon akeli raah anjaani hai
pal do pal kay chand bol
kah panchi ud jaata hai
mein takti neel gagan
dil mera bhar aata hai
kya aisa koi darakht hoga
jahan na mann gabraata hai
chaon ghani us kay talay
mera mann soch khush ho jaata hai...
A