Quote:
Originally Posted by rahnuma
tute dil ko pata nahi hota
har koi be wafa nahi hota.
tu mera pyar ho nahi sakta
pyar itna bura nahi hota
bari mushkil se manta hai wo
kyun ki jaldi khafa nahi hota
jo zami par gurur karte hain
sath unke khuda nahi hota.
sochta hun ye gam kahan jata
gar jo mera pata nahi hota.
|
Salaam rehnuma ji Aap ka kalaam bahut accha hai is liye dubara reply kar raha hoon aur haan ek baat ek sher men maine kuch change kiya hai aur ummeed hai aapko bura nahi lagega...........khush rahiye
jo zami par gurur karte hain
sath unke aasmaan nahi hota.