Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Stories/Quotes/Anecdotes > General Stories

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
khamoshii.....2
Old
  (#1)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
khamoshii.....2 - 25th January 2016, 04:12 PM

.
kaisi ho gayi hai na zindgii.....har kaam ki jaldi rahti hai..zara sa vaqt
yadon ke liye nikalato der ho jati hai..fursat hee kahaan ki koi peeche
mud ke dekhe..usne bhi nahi dekha tha kabhi.....bas chalti rahi zindagi ke sath jahaan jab jaise jahaan le gayi chalti gayii .....

Shuru se hee koi baat tab tak uske dil ko nahi bhati thi jab tak ki uske peeche ki sari vajah na
jaan le..isliye mummy se aksar bahas ho jaya karti thi..kyun ki maa ne hamesha aankh moond
ke vo mana jo dadi ne sikha diya aur ab vo usse bhi yahi ummeed karti thiin ki har baat chup-
chaap maan le...maan bhi leti thi kyun ki akhir me koi aur rasta nahi tha uske paas lekin ,ladkiyaan aisi hoti hain,ye karti hain aise rahti hain..,.ye sab gyaan sunne ke baad..us par bhaiyon ka rutba...
to kabhi chhote bhai bahno ka masoom chehra har baar koi na koi vajah....

Ek papa hee use samjhte the shayad ,uski baton par kabhi kabhi geeta aur ramayan ke shlok ke udaharan dete,samjhate...use apne jawabon se santusht kar pate...aur kabhi apni kavitayein sunate...unka arth samjhate...
Achcha lagta tha use bhi papa ke sath kisi bhi topic par baat karna....papa chahte the vo doctor bane...halan ki maths me bhi achchi thi vibha...lekin
agar papa chahte hain to sahi hee hoga soch kar biology liya tha usne....

Us saal barahviin ke exams dene ke baad papa ka transfer ho gaya aur is baar ek chhota sa shahar tha..uff ek to ek bahut pyari dost chhoot gayi thi uska malaal aur us par ye shahar yahaan medical ki coaching to door
dhang ke college bhi nahi the.....sare din purani batein aur apna school
yaad aata tha....fir akhir dakhila to lena hee tha college me..jab vahaan gayi dekha to jo mahaul tha use dekhkar pareshan thi kaise padhegi
yahaan aur tha bhi ghar se 8 km door,jane ka koi sadhan nahi..uski pareshani papa se chhipi nahi thi..aur vo khud bhi apni beti ko aise sunsaan se college me nahi bhejna chahte the.Doosre hee din paas ke hee ek bade shahar ke college me admission ki baat ki papa ne...college theek hee tha...par hostel me rahna hoga jab ye baat maa ne suni vo to vaise hee ghabra gayi...fir unhe dilasa dilaya papa ne bataya kiitne sakht rules hain hostel ke kisi baat ki koi dikkat nahi ham nischint rahenge agar vahaan rahegi to....unko kisi ne kaha ki college ke samne hee achche coaching center hain jahaan shaam ko classes attend ki ja sakti hain......bas fir kya tha..vibha to khushi se jhom uthi....is boring shahar se peecha chhotega....naye log naye dost naya college...kya baat hai....hostel life waah.....maza aayega..akele competition ki taiyari bhi achche se hogi..
in sab baton se usko ek nayi umang mili thi..




,....raat me baith kar apni sabse pyari dost ko ek lamba chauda khat likha aur usme shuru se akhir tak sab kahani bata dali...jab se aayi thi har baat likh likh kar use khat me bhej diya karti thi.....aur vahaa se bhi har khat ka jawaab aata tha utna hee lamba aur pyaar bhara...dosti rishta hee aisa hai..aur vibha jisse ek baar dosti kar le umra bhar nibhaye un logon me se thi....koi shayad hee ab tak aisa hoga jise vibha se dosti karna na
bhaya ho na hee koi aisa tha jo vibha ko na bhaya ho...sirf achhaiyaan dhoodhne nikalti thi vo..aur ye use kisi ne nahi sikhaya tha...bas aisi
hee thi bachpan se...

Ab ye dekhna tha ki hostel ki zindgi ka agla safar kaise tay karegi vo.....aur iske liye vo poori tarah taiyaar thi..
.............



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..

Last edited by Madhu 14; 25th January 2016 at 04:22 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
masti
Moderator
masti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant future
 
masti's Avatar
 
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 38
26th January 2016, 06:33 PM

Jaldi aage bataao....suspense jhela nahi jata.

Achi chal rahi hai kahaani madam...👍👌👌


-Apki Dost
Sarika
   
Reply With Quote
thanks...
Old
  (#3)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
thanks... - 29th January 2016, 04:24 PM

Quote:
Originally Posted by masti View Post
Jaldi aage bataao....suspense jhela nahi jata.

Achi chal rahi hai kahaani madam...👍👌👌
thank u so much tumne vaqt nikal kar padha sarika....

.aage ki kahani pesh hai..

sath deti rahna..



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
ab aage....
Old
  (#4)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
ab aage.... - 29th January 2016, 04:27 PM

Yun to ham aane wale kal ko lekar kai andaaze lagate hain par kya sab kuch vaisa hee hota hai..shayad nahi..agar hamare mutabiq chalti to zindgi ke mayne hee kuch aur hote...aur ye baat tab samajhi vibha, jab hostel pahunchi..
Jane kyun ek bhi ansoo nahi tha uski ankhon me na kisi se door hone ka dukh...shayad azadi ki lalak us vaqt baki sab bhawnao par bhari the..
Ek bade se hall me entry li..naye aane wale bachchon ko vahiin rakh jata tha ek sath 12 ya 15 bhi...reason ye ki unhe ghar ki yaad na aaye...par kya itna asaan hota hai kisi ke sath adjust hona...itne sare logon ke beech har cheez share karni...sabse mushkil sirf do washroom oh no...kya hai ye ..khair apna samaan apni cot ke paas rakha aur aane jane wali ladkiyon ka reaction dekh rahi thi vo chupchaap baithi.....sara din yun hee nikal gaya kisi se khaas baat nhi huyi...mess me jake khana bhi khaya..mummy ki bani rotiyaan yaad aa gayi......
raat ko warden se meeting huyi..hostel ke rules bataye gaye... kafi sakht thi warden sahiba, hoti bhi kyun na itne bade girls hostel ko sambhalna sabke bas ki baat nahi...unki har baat gaur se suni to maloom hua..hostel se bahar nikal ke koi coaching attend karna possible hee nahi tha...hafte me sirf ek din bahar ja sakte the..aur uske liye bhi bahut formalities thiin..aur time limit bhi...ye kya hua..ab kaise coaching classes attend karoongi main...ye baat papa ko pata thi..ya vo bhi nahi jante the.kahiin mujhse janboojh kar to nahi chhipayi kyun ki pata hota to shayad main yahaan aane ke liye razi bhi na hoti...jane kitne sare khayalon me ghiri huyi vo vapas apne hall ki taraf bad rahi thi..achanak se azadi ka vo josh kuch thanda ho gaya tha...aur ghar ki yaad bhi aane lagi thi....
Tabhi achanak kisi ne rasta roka...vo hairani se dekhne lagi..ji kahiye.."dheere se boli..nazar utha ke dekha to vo ek nahi, kai ladkiyaan thi..oh seniors..uske sath ki ek ladki ne kaha.. haan vo hostel ki seniors thiin jo ab apne rules samjhane aayi thin..hey bhagwaan ab kya hoga..bahut ghabraye huye chehre the un sabke aur seniors itne khush jaise khajana mil gaya ho....ek raubdaar awaaz aayi udhar se...11 baje ke baad samne wali building..tulsi hostel vahaan aana..aur suno line laga ke dheere dheere...zara bhi shor hua ya kisi ne warden ko khabar karne ki koshish bhi ki na to samajh lena...
Sari junior ladkiyon ne sar hila ke ji kah diya..aur hall me aa gayi..
Raat 8 se 11 padhne ka vaqt hota tha...8 baje khana khane ke baad kisi ko apne room se bahar nikalne ki ijazat nahi thi..isliye 11 baje ka vaqt diya gaya tha shayad...ab un 14 nayi ladkiyon ke paas baat karne ka mudda tha..sab ek doosre se yahi pooch rahi thi kyun bulaya hoga hame...kuch bahut smart thi jo ragging ke naam se parichit bhi thiii vo apni rai dekar khud ko bahut jankar sabit kar rahi thi..kuch ghabrahat me chupchaap baithi thi..aur vibha, vo to abhi tak usi sadme me thi....ki is jail me kaise rahegi vo..
Sochte sochte ankhon se ek boond kab galon par aakar thahri pata hee nahi chala...man kar raha tha maa mil jaye aur unke gale lag kar jee bhar ke ro leti..unhe rote dekhkar hans rahi thi na..kya aap bhi,aap ko to rone ka bahana chahiye maa...apni kahi is baat par ab afsos ho raha tha......



Ghadi me 11 baj gaye aur chal diye sab chuchaap line me tulsi hostel ki taraf jahaan seniors unki raah tak rahe the..pahla daur introduction ka tha...par vo bhi kahaan itna asaan sab ko koi na koi jumla laga kar apna intro dena tha.jispar seniors ko hansii aati thi khoob mazak banaya gaya,,kisi ke naam ka kisi ke shahar ka..bas koi na koi baat jis par vo he he kar sakein...kuch bhi karwate the vo hamse jaise hamare malik hon aur ham ghulaam..khair jaise taise intro hua...us din thoda dara dhamka ke chod diya gaya kyun ki sari ladkiyon ka naam pata poochne ka ye jo tareeka tha..kafi lamba tha..aur isme bahut raat nikal gayi ..vapas room me aakar ghadi dekhi to 2 baj rahe the..subah uthna bhi tha...kyun ki 8 baje k baad breakfast nhi milta aur fir college ka pahla din tha kal...isliye sab apne apne bistar par ja kar so gaye..



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
29th January 2016, 04:58 PM

wahhhh....next episode ka intejaar hai....jara jaldi lekar aana....bahut accha likh rhi ho


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#6)
palulovable
Registered User
palulovable is on a distinguished road
 
palulovable's Avatar
 
Offline
Posts: 178
Join Date: Jan 2005
Location: delhi
Rep Power: 20
30th January 2016, 04:37 PM

No doubt father har baat samajh jate hai beti baap ki jyada banti hai....kafi achi starting agge ki kahNi ka intezaar


If you have it [love],
you don't need to have anything else.
If you don't have it,
it doesn't matter much what else you do have.
  Send a message via Yahoo to palulovable  
Reply With Quote
Old
  (#7)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
3rd February 2016, 01:18 PM

Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post
wahhhh....next episode ka intejaar hai....jara jaldi lekar aana....bahut accha likh rhi ho
Thank u so much di.....ji jaldi hee lekar aane ki koahish rahegi.....



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
3rd February 2016, 01:20 PM

Quote:
Originally Posted by palulovable View Post
No doubt father har baat samajh jate hai beti baap ki jyada banti hai....kafi achi starting agge ki kahNi ka intezaar
Shukriya pallavi ji..................

Mujhe behad khushi hai ki aapne kahani ko padha....

Jald hazir hoti hun..

Take care
Madhu...



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
ab aage.......
Old
  (#9)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
ab aage....... - 6th February 2016, 03:13 PM

Ohhho 8 baj bhi gaye...nashte ki bell se ankh khuli..alarm bhi sunayi nahi diya...achanak uth ke baith gayi vibha..par chalo ye dekh ke rahat huyi ki breakfast me mila hua bread butter uske room me aa chuka tha....kyun ki pahla din tha shayad hostel ki taraf se sabko khud hee distribute kiya gaya tha....
Jaldi jaldi ready hone lage sabhi ek ek karke...aur bhaag bhaag ke college pahunche...bas hostel se 10 min ka rasta tha..campus ke andar hee to tha college ka girls hostel.....class me teacher nahi aayi thi ye dekhkar itminaan se jakar baith gayi vibha...kai sari ladkiyaan jo usi shahar se ek hee school se padh ke aayi thiin...apas me batein karne me lagi huyi thiin..aur unko kisi aur ki zaroorat nahi thi shayad...kitne achcha hai na inke freinds inke sath hain...aur main bilkul akeli hun class me...sochkar fir dukhi ho gayi.....tabhi ek ladki tapaak se aakar baith gayi...lagbagh haanf rahi thi vo...ankhon me ek chamak thi,jo uske andar ke confidence ko bayaan kar rahi thi...chehre par koi jhijhak nahi...aur hothon pe ek halki si muskaan..mathe pe ek chhoti si black bindi jo bahut janch rahi thi..aur ek lambi si choti kamar ko chhooti huyi..usko dekh kar lagta tha ki bahut bindaas hai vo...
usne aate hee kaha..."hi main nikita...nikki"..usne apna intro khud hee de diya..."koi baitha to nahi hai na yahaan, actually main hostel se hun...ready hone me thodi der ho gayi..u know..bahut sare log ek sath taiyar hote hain subah subah.......bole hee chali ja rahi thi...achanak kuch soch kar ruki aur poocha tumhara kya naam hai?.....
"vibha" ...naam batakar apni books me dekhne lagi vibha..,man me yahi soch rahi thi..."kitna bolti hai ye uff"....zyada bolna pasand nahi tha use...jitna kaam utni batein...baki vaqt vo apne khyalon ki duniya me rahna pasand karti thi.....

college ka poora din kuch khaas nahi gaya...kuch teachers aaye kuch nahi aaye....par haan vahaa bhi me hostel ke seniors zaroor mil gaye jinhe dekhkar bas sar neeche karke chupchaap nikal jate the sab...us vaqt nayi jagah pe naye logon se itna khauf lagta tha....aaj lagta hai pagal the ham itne darpok kyu the,,kya kar lete vo hamara....

Vapas jakar dopahar ka khana khaya..aur bujhe man se hall me pahunchi..fir books nikal kar kuch padhne ki koshish karne lagi ...1 ghante se ek hee topic ko padhe ja rahi thi vibha kya ho gya tha use..ek line bhi samjh nahi aayi...fir shuru kiya..fir vahi halat...khud se pareshan hokar book band ki aur let gayi.....poori shaam sokar hee nikali...shaam ko vahi dinner fir seniors ke samne haziri....fir raat. haan lekin aaj ek nayi ladki aayi thi hall me ...bilkul kone me uska bed tha....use hee dekh rahi thi, kitne shine kar rahe the uske baal..vibha ko hamesha apne balon se shikayat thi...ki vo straight aur silky kyun nhi hain...vaise shayad hamare paas jo nahi hota hame bas vahi zyada achcha lagta hai..aaj ye baat achchi tarah samajhti thi vo..par vo laddapan tha..tab ye sab kahaan samajh aata hai..vo kone wali ladki bilkul udaas nahi thi, maze se samaan lagaya aur sone ke liye let gayi.... Vahaan se uski nazar padi chupchap baithi huyi vibha par jo dekh to use rahi thi par khoyi kahiin aur thi......paas aakar usne poocha..."kya hua?..tabiyat theek nahi tumhari..aise kyun baithi ho...sona nahi hai...uski awaaz itni patli si thi na...aur aankhein Chinese jaisii...
uske chehre ki taraf dekhkar Vibha ne kaha
-nahi neend nahi aa rahi abhi...

usne kaha,- oh to mere sath baitho chalo batein karenge...main yahiin baith jaun tumhare paas?....

haan aao na...vibha ne pyaar se kaha aur thodi jagah di....
mera naam neha hai..tumhara.?...

Vibha ka man udaas tha aise me uska apna pan achcha laga usko.....kafi der baat karti rahi baton baton me pata chala vo apne parents ki eklauti beti thi..maa papa working hain..bachpan se hee akeli rahi thi...aur use jo subjects chahiye the unme is college me asani se admission mil gaya aur kya chahiye tha...vibha soch rahi thi..to ye hai iski khushi ka raz....jo chahti thi vo mil gaya aur akelapan kis baat ka..ghar pe bhi akele hee rahti thi...ek vo thi jo apna bada sa pariwar chhodkar aa gayi thi..is lalach me ki jo chahti hai vo kar payegi par vo bhi nahi mila.....
Kafi der baatein karne ke baad neend aa gayi thi use......aur sote sote ye bhi tay kar liya usne ki haar nahi manegi kuch books lekar aayegi jab bahar gayi to aur taiyari karegi competition ki khud se hee....

Dheere dheere achchi dosti ho gayi neha se..ye shayad uski majboori bhi thi..vaise to hall me sabhi pyaar se hee milte the usse aur sab dost hee the......par agar breakfast lunch dinner ya hostel me kahiin bhi jana ho to neha k sath hee aati jati thi vo. Ek sath mil gaya tha to thoda man bhi lag raha tha uska..
ragging ka silsila bhi band hone ko aaya....seniors ne ek freshers party arrange ki sab juniors k liye..aur vo jitne darawne lage the shuru me...wakai me utne the nahi..usme ek do to bahut hee achchi thi...bilkul badi bahan wala lagaaw milta tha unse...ab to sab in taiyariyon me the ki kab ghar jayenge aur vahaan se party k liye dresses yani saree le aakar aayenge kyun ki party ke liye yahi dress code rakha tha seniors ne.......



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..

Last edited by Madhu 14; 7th February 2016 at 11:17 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
29th February 2016, 01:49 PM

koi bhi reply nahi...lagta hai aap sab ko kahani pasand nahi aayi.....
chaliye aage kuch lekar hazir huyi hun...

padhiyega aur agar koi sujhav ho to zaroor likhein...



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
aage......
Old
  (#11)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
aage...... - 29th February 2016, 01:55 PM

Phone ki bell bahut der tak jati rahi..kisi ne phone hee nahi liya..kya hua hoga..sab apne apne kaam me honge shayad..ye sochkar vibha ne dubara phone lagaya ghar pe..baat to karni hee thi..ek din milta hai bahar aane ka..baat na huyi to fir...shukra hai phone uthaya mummy ne...hello..haan mummy ..bas itna bola hee tha usne ki doosri taraf se sawalon ki jhadi lag gayi....

Kaisi ho beta.
kaise bahar aayi...achcha kiya phone kar liya...
kuch khaya ki nahi....

ghar pe thi to yahi sawaal sun ke chid jaya karti thi...kya aap ek hee baat poochti rahti ho..badi hun main itni chinta mat kiya karo...par aaj maa ki awaaz unke sawaal shahad ki tarah ghul rahe the kano me....

Unhe beech me rok kar boli are haan mummy theek hun main aap batao..itni der kyun lagayi phone lene me..achcha suno..ghar aan hai mujhe ..fir vibha ne freshers party aur usme pahni jane wali dress code saree k baare me bataya maa ko...jaldi jaldi baatein kahtm ki aur bhi kaam the na market me...aur fir sare paise phone pe hee nahi kharch karne the na...

Bahut hisaab se paise de kar jate the papa...ki is hafte itne rakho fir aaunga to fir duunga...vaise use kharcha bhi kya tha...shayad papa bhi apni beti ki adat jante hee the...
Baki ladkiyaan har outing me apne liye koi dress ya shoes zaroor lati thi..nahi to movie dekh aaye...par use inme se koi shauk nahi tha....kabhi gayi hee nahi thi akele bahar kahareedna to alag baat hai....hall me movie dekhne jana bhaiyon ko hee mana tha..fir vo kya jati...khair kuch books aur stationary ka samaan lekar vapas room pe aa gayi vo...

Bahut khush thi..next weekend ghar jayegi...mummy bhi khush ho gayiin thi udhar..beti ko kya kya khane peene ka samaan dena hai in taiyariyon me lag gayii thi..hafta kaise intzaar me beeta dono taraf..aur jab ghar pahunchi papa ke sath sab kitne khush the...alag hee khushboo hoti hai ghar ke aangan me...kitni shanti..ek sukoon..us din raat der tak batein huyi sabse...chhoti bahan bhai bhi paas aakar baith gaye..apne sawaal lekar...mummy ne saree sadiyaan kholkar rakh diin..ki inme se pasand kar lo...par use koi na bhayi..ant me bhabhi ki pasand se ek pink saree jisme upar neeche light aur dark shade the vahi achchi lagi...chalo sab taiyari ho gayi aur do din bhi beet gaye ab vapas jane ka vaqt aa gaya..fir se kai saree hidayatein...sabki taraf se..aur jitna sara samaan deti thi maa uske baare e poori detail bhi deti thiin...kab kya kaise khana hai...poora byora samjha ke tab hee rawana kiya tha aaj bhi...apna dhyaan rakhna kahkar nam aankhon se fir vida kiya...is baar vibha ki ankhein bhi nam thiin.....aur unhe chhipane ke liye chehre pe badi si muskaan,....

Sabko yaad karte karte vapas aa gayi papa use chhod kar laut gaye...samaan lekar hostel ki taraf badhi...to dekha raste me nikita bhi thi....shayad ghar se lauti thi vo bhi...vibha ko dekha to uske sath ho li aur shuru kar dii haesha ki tarah batein...kuch to tha usme shayad ek positive attitude,...khush rahti thi vo mast ekdam..khulkar hasna aur hasana dono hee aata tha use...aur shayad isiliye vibha ko dheere dheere vo pasand aane lagi thi...ek aur cheez thi jisne usse dosti ka rishta banaya vo purane gano aur ghazlon ka shauq....aise to vo doosre hall me rahti thi ..par vibha se milne aa jaya karti thi..ya vibha chali jati thi usse milne subjects ek hee the dono ke..to kabhi kabhi padhne ya kuch poochne bhi jati rahti thi...ab to kai saheliyaan bana li thiin usne freshers se pahle pahle.....nikita ki khaas dost shaheen se bhi dosti ho gayi.bahut pyari thi yun to vo bhi par thodi nakchidi thi..zara si baat pe naraz ho jana kabhi maan jana..vibha ko ye sab bachpana lagta tha.vaise sweet thi aur fir use kya karna tha..kon sa uske sath rahti thi..vo to nikita ki dost thi to uski bhi thi aisa tha. khair..freshers ki sab taiyariyaan mil ke ki gayiin,,,bahut maza aata tha..gapshap..shopping exicetment..seniors ne sab kuch surprise rakha tha...kya karenge kaise karenge..kuch nahi pata tha....bas kuch kuch udti udti kahrein bechaini badhati rahti thiin..isliye besabri se intzaar tha....ki vo din jaldi aaye......




अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
29th February 2016, 02:50 PM

hmmm...aaj dono episode aik saath pad liye....accha likh rhi ho, aage kya hoga eska intejaar hai..............


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#13)
masti
Moderator
masti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant future
 
masti's Avatar
 
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 38
29th February 2016, 06:10 PM

Madhu madam ...

Jaldi jaldi kahaani chalao...ek mahine mein ek episode...
Nahi chalega


-Apki Dost
Sarika
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
7th March 2016, 04:22 PM

Quote:
Originally Posted by masti View Post
Madhu madam ...

Jaldi jaldi kahaani chalao...ek mahine mein ek episode...
Nahi chalega
tumhare sath ka bahut shukriya sarika...bata nahi sakti kitni khushi huyi ki vaqt nkal kar tum ise padhe aati ho...

koshish karoongi jaldi jaldi aa sakoon...

padhti rahna...



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
7th March 2016, 04:23 PM

Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post
hmmm...aaj dono episode aik saath pad liye....accha likh rhi ho, aage kya hoga eska intejaar hai..............
thank u so much di.....

aap yahaan aayi man khush ho gaya..padhti rahiyega...



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
aage...
Old
  (#16)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
aage... - 7th March 2016, 04:30 PM

Aaj jaise ek ek baat bahut saaf saaf yad a rahi thi..purani album nikal kar jab vo tasweerein dekhi to sab kuch ankhon ke samne dubara aa gaya..kitni shiddat se taiyar huyi thi har ladki..jaise hazaron rang ke phool khilein ho ek hee asman ke neeche...



masoom nazuk allad ladkiyan..vo skokhi vo hansii vo ek doosre ke liye apna pan....yun to har ladki ki tarah usne bhi kai baar pahni thi maan ki saree par aaj jaise kareene se baal sajaye the vo pahle abhi nahi...sab bahut pyare lag rahe the masha allah.aur hostel to vahaan to jo raunak thi pahle kabhi na dekhi thi..vo seniors jo kabhi dhang se baat nahi karte the aaj subah se pagal huye ja rahe the,..taiyariyon me.....ek se ek dance programme..drama play sab kuch taiyar kiya tha...khana peen a music...masti sab tha....us raat aise thirak rahe the sab jaise ki bas jaise baki duniya ko bhool hee gaye hon.....adhi raat se zyada chali thi party...thak ke choor ho gaye sab....hostel ke aas paas building me ladke bas koodne ko taiyaar hon jaise...vo bhi apni seetiyon se sabka hausla badha rahe the jaise.....

Ek naya din tha agli subah kafi alag mahaul khushnuma sa....dar dar ke rahne ka vaqt khatm ho aaya tha..sab apni padhaiyon me busy ho agye..college me bhi pahle se zyada bsy ho gaye the...kab exams ka time aa gaya pata nahi chala...raat raat jag ke padhte the sab...aur ab warden ko padhne ke liye daant bhi nahi lagani padti thi...koi chhat pe tahal raha hota tha..koi kone me ekant.. koi bol bol ke, to koi chupchaap....achcha mahual tha....vibha ko adat nahi thi raat bhar jagkar padhne ki..mummy to daant ke 11 baje hee sula diya karti thi..to kabhi usne bh koshish nahi ki..yahaan sabko dekha to usne bhi ek paper me adhi raat se zyada jagkar padhai ki...subah jaise taise uthi exam dene...examination hall me..adha paper karte karte use jo neend aayi ki bas....lakh koshish ki na soye fir bhi,..desk par hee so gayi....last me bell baji jab aadha ghanta bachta tha...use teacher ne uthaya tha....uff paseene chhoot gaye the uske...ab kya kare...ek adha question niptaya ki passing marks to aa sake...rone jaisi halat thi paper dene ke baad...kan pakad liye ki ab nahi jagegi raat bhar..jise jo karna hai kare......



Ek to jo bhi padhti thi kuch samajh nahi aata tha...kyun ki ye uska school nahi tha jahaan teacher har topic itminaan se samjhaye..yahaan lecture diye jate the..aur vo bhi english me...uske liye ye kisi chunauti se kam nahi tha..fir notes ready karna unhe yaad karna ,samjhna....college ki padhai itni asaan nahi thi ab samajh aa raha tha...khair jaie taise exams huye..result jaisa ki expected tha...kafi bura tha...khud se ye ummeed kabhi na thi usko...aise nahi chalega khud hee hud se kitne din tak naraz rahi..khud ko taiyaar karti rahi aage ke liye...bahut ho gayi masti ab thoda serious ho ja vibha...Ab 2nd year me aagayi hai tu..year change hone ke sath sabko..ek ek room bhi mil gaya tha...jisme aapko apni pasand ke partner k sath rahna tha...aur summers k pahle ye decide karna tha taki vapas july me aakar rahna shuru kar sakein...hall me ye akhiri din the sabke sath...achcha bhi tha chalo thodi privacy bhi hogi aur padhne ka time bhi....sab chhuttiyon me apne ghar ja rahe the..hostel kafi khali sa ho gaya tha.....kuch aise bhi the jo tab bhi nahi jate the,....shayad unke ghar wale itne busy the..ya unhe hostel se kuch zyada pyaar ho gaya tha...khair....
Vibha ke samne ye sawaal tha ki vo kiske sath room le..kyun ki uski pyari dost nikita to pahle se hee shaheen ke sath room le rahi thi...ab uske paas zyada option nahi the..aise me neha ne khud aakar usse poocha ki kya vo uske sath rah legi...vibha ko sahi laga aur usne haan kah di..aur fir dono apne ghar chale gaye...vaps jaldi aane ka vada karke...



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
ek aur panna......
Old
  (#17)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
ek aur panna...... - 28th March 2016, 06:08 PM

Aaj kal garmiyon ki chhuttiyaan vaisi nahi hoti jaisi tab hua karti thi…bhari dopahar me bhi ghar nahi aate the ham…kabhi kisi dost k yahaan kabhi kahiin….tv shows naam k liye hote the…varna mazaal nahi ki koi ek ghante ek jagah baitha ke dikha de hamko…sabke sath masti karte kab vo ek mahina nikla pata nahi chala…vapas aakar dekha to hostel kafi khali khali tha,,,,abhi sab aaye nahi the..kuch log the jo apne apne kamro me the..kyun ki dopahar ka vaqt tha..shaam ko shayad sab dikhein..sochte sochte vibha apne kamre ki taraf badhi to dekha neha pahle se aa chuki thi…apna samaan bahut kareene se laga diya tha usne…ek almari ke do khane uske liye chhod ke do me apne kabde rakhe the…aise hee har jagah uske liye jagah bachayi huyi thi…corner me..ek cooljug rakh tha..ek chhoti si surahi bhi thi…ek coil wala heater shayad maggie banane k liye….chalo achcha hee hai..usne bhi apna samaan rakha aur books lagane lagi..tabhi darwaze par nikita akar khadi ho gayi…hi!! Aa gayi tum..dekho ham padosi hain na..tumahare barabar wale room me hain main aur shaheen..
Vibha to bahut khush huyi ye sunkar….maza aa gaya ab use akela to nahi lagega kam se kam..nikita ke sath baithkar purane gane gana bahut achcha lagta tha use…aisa lagta tha..usne seene me kitne raaz chupa rakhein hain koi dard tha jo uski awaaz me saaf sunayi deta tha….par kabhi kuch khul ke nahi bataya usne……na vibha ne hee poocha…

Sare khushi ke pal sath me celebrate karte the..sab apne apne room se nikal kar baramade me akar ..chahe bday ho.. Ya koi kisi exam me top hua ho..ya kisi ke ghar me koi shadi ho…party karne ke bahane mil hee jate the..ladkiyon ko…
Maggie expert nikita sabke liye snacks ready karti thi..kabhi eggs kabhi fried rice…kabhi fruits kheere….ha ha ..kuch bhi kha lete the tab…aur vo bhi bade pyaar se sabke sath se cheezon me aur bhi swaad badh jata tha…..

Exams me sab ek doosre ki help karte koi alarm clock ban jata to koi coffee maker…khoob dharne bhi diye gaye kabhi mess ke kharaab khane ko lekar kabhi warden ki ddagiri ke khilaaf…raat koi der se lauta to use bachaya bhi aur kabhi kisi se dushmani nikalni huyi to use fansaya bhi…..

Har ladki khud me alag thi..kisi ki koi misaal nahi kisi ko roop rang pe naaz tha..kisi ko style pe..koi kitabi keeda to kisi ke dil me hamesha peeda…lekin sab dil se jude the..

Neha to itni caring thi ki bas…sare room ko clean karna pani bhar k lana..kapde dhone uska bas chalta tha to sare kaam khud hee pahle se pahle kar deti thi…vibha ko ajeeb lagta tha ye sab ,..kyun ki use kisi se ehsaan lena pasand nahi tha…khud ke kaam khud karne chahiye..aisa use lagta tha…kitni baar kahaa bhi usne neha se par vo manti hee nahi thi…
Isliye fir usne bhi yse tokna chhod diya…..

Akhiri kuch mahine bache the..exams se pahle sab apni taiyariyon me lage the..practical ki viva ki..theory ki….sab ghoomte tahlte bas kitaab hath me liye dikhte the..kyun ki akhir sabko achche marks lekar jana tha…is bech ek aur silsila shuru ho chuka tha diary bharne ka…..apni dosti ke naam kuch lines likhkar apni dost ko dena taki kal vo ek doosre se door jahaan bhi hon , jab bhi padhe..ek doosre ko yaad karein…..nikita ne bade pyaar se vibha ki diary bhari thi..sari purani batein ankhon ke samne aa gayi thiin…

Aur vibha ne bhi aisa hee soch rakha tha ki vo apni khaas dost k liye khoob sari wishes ke sath dairy me apni dosti ke naam kuch achchi achi lines likhegi…usne sabse pahle tweety ka sketch banya jo nikita ko bahut pasand thi aur fir panno ko yadon se sajana shuru kar diya..likhti gayi aur kab ek se do,do se 4 page likh gaye pata nahi chala tabhi neha aayi room me jo ki pahle bhi kai baar akar dekh chuki thi ki vibha kya likh rahi hai…par vibha itni khoyi thi ki uska dhyaan hee nahi gaya tha us par…is baar usne palat kar kaha…dekho neha maine achcha banaya hai na cartoon..maine nikita ki dairy bhar di..abhi dekar aati hun…



Neha ne kaha achcha dikhao to…aur hath me lekar usne dairy ke panne ek jhatke me faad diye….agle hee pal kamre me vo panne tukdon me bikhre huye the..
Vibha dekhti hee rah gayi use samjh nahi aaya ye kya tha…..neha nikita ko pasand nahi karti janti thi vo.. Par is had tak chid kaise …… aaj pahli baar use neha par itna gussa bhi aaya tha..usne chilla kar kaha,,

Tumhari himmat kaise huyi…dono me thodi behas huyi aur vibha gusse se room se bahar chali gayi..room se nikalte hee nikita ka room tha usne sab sun to liya hee tha…hath pakad ke andar le gayi aur use samjhaya ki apna mood kharaab na kare dairy hee thi..fir likh lenge…abhi padhayi par dhyaan de..

Aur vo shaheen aur nikita thodi der college campus ki taraf chale gaye taki vo thodi shant ho jaye…..is baat se vibha ka man neha se bahut uchat gaya tha..uska possessive bahaviour use kabhi bhi achcha nahi lagta tha..aur aaj jo hua uske baad usse baat cheet bhi kafi kam ho gayi thi….ab vo mess me jane ke liye, college ke liye uska wait nahi karti thi….neha ne sorry bhi bola par kahte hain na dil pe chot lag jaye to asaani se nahi jati..fir bhi vibha sab bhool ke padhai me dhyaan dene ki koshish kar rahi thi…



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..

Last edited by Madhu 14; 28th March 2016 at 06:13 PM..
   
Reply With Quote
kuch dard bhari yadein..
Old
  (#18)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
kuch dard bhari yadein.. - 4th April 2016, 05:35 PM

Poore 3 saal yun guzre the jaise hathon se ret fisal jati hai….kuch baton par afsoos tha aur kuch par gumaan..aur in bache huye chand mahino me sab jitne emotinal the ek doosre se door hone ko lekar utne hee determined ki unhe ye akhiri saal achche se padh ke nikalna hai…….padhayi likhayi ka silsila jitna tezi se chal raha tha…utni hee gahrai vibha aur nikita ki dosti me bhi aati ja rahi thi……jab padhayi se bahut thak jate ya ghar ki yaad aati to dono ek gana gaya karte the jo aaj bahut yaad aa raha tha….

Karoge yaad to har baat yaad aayegi..
Guzarte vaqt ki har aauj thahar jayegi..

Ye chaand beete zamano ka aaina hoga…..

Ek silsila sa shuru ho jata tha..jo tab tak chalta tha jab tak ki dono ka man na bhar jaye…
Aur apni is guftaguu ko unhone aapki farmaish '''programme ka naam diya tha…..neha se ab sirf room ki zarooraton ke liye hee baat hoti ya fir yun hee kuch zaroori hua to..use nahi pata tha neha ke man me kya chal raha tha aur vo itni busy thi ki janne ki koshish bhi nahi ki..ek din apne room me padi table chair pe baith ke kuch padh rahi thi achanak vibha ko kuch yaad aaya aur vo uthkar bahar jane ko huyi..itne me neha jo ki bed pe baith ke padhayi kar rahi thi..usne pooch liya kahaan ja rahi ho..

Vibha-nikita se kuch poochna hai..

Neha -kyun use zyada aata hai kya

Vibha-..matlab..

Neha- matlab sari mushkilein aajkal vahi solve karti hai tumhari….dekh rahi hun room me tumhara man nahi lagta..

Vibha ne palat kar uski taraf dekha aur bina kuch bole chair chhodkar khadi huyi…

Neha tapak se bed se utari aur vibha ka haath pakad kar rokte huye boli main kuch kah rahi hun tum jawaab bhi nahi de rahi..

Vibha- mere pas tumhari in baton ka koi jawaab nahi aur abhi ye sab vaqt bhi nahi exams kareeb hain..
Mera hath chhodo.. Jane do..

Par neha ne hath chhoda nahi kheech kar use chair par vapas bitha diya….vibha ko bhi gussa aaya aur vo dubara uthi..par neha par to aaj jaise koi bhoot sawaar tha..khule huye kale lambe baal aur nafrat bhari aankhein..unhe dekhkar vibha darr si gayi…guuse aur jalan se pagal thi…ya pata nahi usne is baat ko apni ego bana liya tha ki uski roommate usi se naraz thi aur doosri friend ke sath itni comfortable…vajha kya thi vo aaj bhi nahi samjh payi vibha aur us vaqt to dimaag ne kaam karna band kar diya tha…neha ne kaske uske hath pakad rakhe the aur chair ke samne khadi thi…aise me vibha ko kuch na soojha vo chillaayi to neha ne uthkar darwaza band kar diya aur fir uska muh band kar use chup rahne ko kaha……

Vibha ke mathe par ghabrahat se paseena aa gaya tha….vo poori taqat se bhagne lagi aur neha se hath chhudane me uski kalai me neha ke charon nakhoon ghus gaye…vahaan se khoon bah nikla…vibha zor se chillayi..dard aur ghabrahat uski awaaz se jhalak hee raha tha..

Uski awaaz sunkar nikita shaheen aur doosre room ke log bhaagkar aaye..darwaze par tez tez knock karne lage neha ne dar ke mare drawaza khol diya..vibha daud kar aayi aur nikita ke gale lag gayi..uske chehre par hairani aur dard ke mile jule bhaav the….nikita use kheech kar warden ke room me le gayi…raste bhar yahi kahti ja rahi thi ki..uski batein aur ignore karo..uske tano ka karara jawaab pahle diya hota to aaj uski himmat nahi hoti tumhara hath pakadne ki..bahut daant lagayi vibha ki…aur vo apni jagah sahi bhi thi….vibha us vaqt aisi hee thi har baat sahan kar lena..ignore kar dena aasaan lagta tha use…jise sab uski kamzori samajh lete the…



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..

Last edited by Madhu 14; 4th April 2016 at 05:39 PM..
   
Reply With Quote
kabhi na bhoolne wale pal
Old
  (#19)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
kabhi na bhoolne wale pal - 6th April 2016, 04:40 PM

vo sahi bhi thi apni jagah par ab kya fayda...baat kafi bigad chuki thi...uske sath ek room me rahna to door uski shakl dekhna bhi pasand nahi aata vibha ko...ansuon ko pochte huye waraden ke room me pahunche jab...kalai me patti badhi dawa lagai...aur ek pain killer di warden ne.....first aid k baad nikita use apne room me le aayi use letne ko kaha vo thodi der k liye khud bhi so gayi..

uthi to vibha ko chhookar poocha theek ho..hath rakhte hee pata chala vo to bukhaar se tap rahi thi....ohh nikita ke muh se nikla-tumhe to fever aa gaya..ek paracetamol nikal kar khane ke liye di aur fir lita diya use...agle din sunday tha...nikita ne warden se outing ki request ki thi...

subah 11 baje ke aas paas nikita shaheen vibha ko lekar bahar ghoomne gaye taki kisi tarah uske dimaag se ye sab batein nikal jayein aur vo normal ho jaye.....

ek movie ki ticket li nikita ne ..usne kafi mana kiya tab bhi..kyun uske ghar me to kisi ko pasand nahi aata ye sab..ye uski zindgi ki pahli film thi jo usne hall me dekhi thi...nikita ne use mana liya tha ye kahkar ki ab ham alag hone wale hain yahi sab yadein sath rah jayengi aur picture hee to dekh rahe hain duniya dekhti hai...isme kya bura kaam kar rahe hain ham...use bhi laga kabhi to apni hadon se nikal kar jee le vo bhi...

khair 3 ghante picture aur fir thodi shopping...kulfi chaat kha p ke vo log vapas aa gaye...kafi achcha raha aajka din...

jaise hee hostel aai fir soch me pad gayi alai ka dard kam nahi hua tha..hath ki patti ko dekhne lagi..nikita ne pyaar se uska hath hath me lekar kah...-maine warden se baat ki hai vibhu tum hamare sath rahogi...ya fir vo doosre room me rahegi..ham tumhe uske sath nahi rahne denge...

vibha..dheere se muskarayi...kitna apna pan tha uske dil me aur kitni caring hai ye soch rahi thi...

kuch din aisa hee chalta raha...neha kafi tilmilayi huyi thi kyun ki poore hostel me uska naam kharaab hua tha..apni ghalti shayad usko samajh hee nahi aayi thi...tabhi to..jitne bhi bday cards gifts kabhi vibha ne usko diye the...sare room ke darwaje ke paas fenk gayi thi ek raat...aur fir vibha ne bhi vahi kiya use kyun rakhne the bhala...apna apna samaan alag alag raste alag...par isse bhi chain nahi tha use...aate jate...raste me mess me vibha ko tane marna...mazaak banana..ye sab karti hee rahti thi vo.......vibha koi jawaab nahi deti thi...kabhi kabhi muskura deti thi...aur ignore hee karti thi..

use ab koi panga nahi chahiye tha..ab to ghar me bhi sabko pata chal gaya tha...mummy papa milne aaye tab nikki ne sabko bata diya tha...sabne yahi naseehat di ki usse door rahna..bas padhai karo aur ghar aao vapas to bas yahi batein thi dimaag me..

ek din ghalti se neha ka uska samna ho gaya aurusne mauka dekhkar vibha ko bahut bhala bura bhala kaha ehsaan faramosh jaise shabd itemaal kiye...thode aansuu bhi bahaye ki vo hamari dosti ko aise kaise bhool sakti hai...par vibha jaise kuch sun hee nahi pa rahi thi na mahsoos kar pa rahi thi..

khud me ye badlaaw usne pahli baar dekha tha...uske atm samman uske vishwas ko chot pahunchi thi...uska man ho raha tha..vo neha se kahe ki kisi ki care karne ka ye matlab nahi hota ki use chot pahuncha sako ya us par apna poora adhikaar samjhne lago...koi bhi rishta vishwaas aur understanding par banta hai jahaan doosre ki ichhchaon ka bhi utna hee kahyaal kiya jata hai...jitna apna...

dost ki khushi me bhi apni khushi hoti hai...par use samjh me aa gaya tha...ab in baton ka koi matlab nahi isliye vo bina kuch kahe aage badh gayi vahaan se....

neha use dekhti rah gayi...

vo din bhi aa gaya jab sab apne apne ghar ja rahe the...kitna roye the niki aur vibha gale lag ke.........ek ek lamha yaad aa raha tha...
par dil me bahut sari yadein thi achchi buri..ek doosre se touch me rahne ka vada lekar hamesha ke liye alag alag raston par chal diye the sab.....

aakhiri pal ke un lamho ko yaad karke jaise hee vibha ne ankhein moondi...dono galon par hote huye ek ek ansuu uske hothon par thahar gaya tha aakar...aur fir ek muskaan....

nazar utha ke dekha usne koi dekh to nahi raha use rote huye...ghar me ek khamoshi chhayi huyi thi...itni ari batein usne man hee man khud ke sath kar li thiin...bina kisi se kuch kahe...aur ab khud ko samet kar un yadon se bahar nikal kar hakeekat me aa gayi thi....
uthi aur nikita ko phone kiya....uski awaaz sun kar nikita boli

..---kya hua ro rahi thi tum..

jhooth mat bolna haan...

kyun neha ki yaad aa gayi kya...

aur fir dono dost khilkhila ke hans padiin.....

is sath ko 16 saal ho gaye aur dua kar rahi thi ki aise dost uski zindgi me hamesha rahein..jo awaaz sunkar uske dil ka haal jaan lete hain....





अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#20)
masti
Moderator
masti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant future
 
masti's Avatar
 
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 38
18th April 2016, 12:47 AM

Aage....???

Jaldi jaldi likho mazaa aa raha hai.


-Apki Dost
Sarika
   
Reply With Quote
Old
  (#21)
parveen komal
devil ! forgive me
parveen komal is a splendid one to beholdparveen komal is a splendid one to beholdparveen komal is a splendid one to beholdparveen komal is a splendid one to beholdparveen komal is a splendid one to beholdparveen komal is a splendid one to beholdparveen komal is a splendid one to beholdparveen komal is a splendid one to behold
 
parveen komal's Avatar
 
Offline
Posts: 930
Join Date: Jul 2010
Location: MUMBAI PATIALA
Rep Power: 23
18th April 2016, 10:43 AM

Very nice ............................keep it up


07666027379,09041116001,09876442643,
09417142513,09914097007,09625494246
Mail: parveenkomal@parveenkomal.com
www.parveenkomal.com/blog
{ BURA NA SUNENGE BURA NA DEKHENGE BURA NA BOLENGE
ACHHA LIKHENGE,KOI BURA KAHEGA TO KHUD KO TATOLENGE }


Wohi rizq deta jahaan ko , wohi zaat sab se azeem hai
Meri muflisi pe na hans ke wo , tera taaj sar se giraa na de
}QadeerToopchi{
  Send a message via Yahoo to parveen komal Send a message via MSN to parveen komal Send a message via Skype™ to parveen komal 
Reply With Quote
Old
  (#22)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
3rd May 2016, 06:42 PM

Quote:
Originally Posted by masti View Post
Aage....???

Jaldi jaldi likho mazaa aa raha hai.
Zaroor ji...jaldi aati hun..bas zara zindgi ke tane bane me khoyi huyi hun....

Par tumhara reply aur aage likhne ko protsahit karta hai....dil se shukriya..mujhe padhne ka...

Sath deti rahna...

Takecare..
Madhu.



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#23)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
12th May 2016, 03:01 PM

Quote:
Originally Posted by parveen komal View Post
Very nice ............................keep it up
thank you very much parveen komal ji..............................................



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com