mit jana hai mukaddar -
26th November 2013, 10:17 PM
Mit jana hai mukaddar toh banaya kyun tha
Meri hasti ko is mukam tak laya kyun tha
Use dekha bhi, chua bhi, mahsoos kar saka naa kabhi
Wo ek shakhs jo apna sa tha, paraya kyun tha
Ab woh hairan sa, pareshan sa khada sahil pe
Sochta hai katre ko samundar se milaya kyun tha
Yeh to sach hai, mere zakhmon se nahin wasta tera
mera naseeb teri mehfil mein mujhe laya kyun tha
Ab kya rota hai, tadapta hai, bahakta kyun hai
Kambakht ishq, shahre husn mein aaya kyun tha
|