Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Hum to hindi se pyaar karte hain
Old
  (#1)
WAQUIF ANSARI
Registered User
WAQUIF ANSARI will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 52
Join Date: Jul 2010
Rep Power: 14
Hum to hindi se pyaar karte hain - 15th September 2010, 09:13 AM

Poore Hindustan ke Sarkaari daftaroN meiN aik se lekar 14 Sitember talak HINDI SAPTAAH manaaya jata hai, isi hawaale se aik HINDI NAZM peshe-khidmat hai, mulaahizah farmaaiye:
HUM TO HINDI SE PYAAR KARTE HAIN
Jaan-o-Dil sab nisaar karte haiN
Hum to Hindi se pyaar karte haiN
Jo bhi karta hai baat Hindi meiN
Us pe hum aitebaar karte haiN
Hum to English wichaardhaara ko
Dard-o-ghum meiN shumaar karte haiN
Disco ki jagha Hindi ke naghme
Waaqayee beqaraar karte haiN
Hindi Deewas kab aayega apna
Saal bhar intezaar karte haiN
Ik Sitamber se le ke chaudah talak
Hindi pe hum wichaar karte haiN
YahaaN abto ninaanwe feesad
Kaam Hindi meiN yaar karte haiN
HIND se pyaar aur HINDI se
Ishq hum aar paar karte haiN
(Waquif Ansari)
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
zidd
Registered User
zidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zidd's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 47
15th September 2010, 12:31 PM

bada lutf aaya bhai.....apka kalaam padkar

hum aur tum milkar hindustaan banate hai
aap hindi seekho hum urdu pe mare jaate hai

kaaash sab aap ki tarah ek dusre keliye soche......

daad hi daad ...sahab

regards
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
krishna
Registered User
krishna is just really nicekrishna is just really nicekrishna is just really nicekrishna is just really nicekrishna is just really nice
 
Offline
Posts: 112
Join Date: Jul 2010
Location: Lucknow
Rep Power: 18
15th September 2010, 12:57 PM

Quote:
Originally Posted by WAQUIF ANSARI View Post
Poore Hindustan ke Sarkaari daftaroN meiN aik se lekar 14 Sitember talak HINDI SAPTAAH manaaya jata hai, isi hawaale se aik HINDI NAZM peshe-khidmat hai, mulaahizah farmaaiye:




HUM TO HINDI SE PYAAR KARTE HAIN




Jaan-o-Dil sab nisaar karte haiN



Hum to Hindi se pyaar karte haiN




Jo bhi karta hai baat Hindi meiN



Us pe hum aitebaar karte haiN




Hum to English wichaardhaara ko



Dard-o-ghum meiN shumaar karte haiN




Disco ki jagha Hindi ke naghme



Waaqayee beqaraar karte haiN




Hindi Deewas kab aayega apna



Saal bhar intezaar karte haiN




Ik Sitamber se le ke chaudah talak



Hindi pe hum wichaar karte haiN




YahaaN abto ninaanwe feesad



Kaam Hindi meiN yaar karte haiN




HIND se pyaar aur HINDI se



Ishq hum aar paar karte haiN




(Waquif Ansari)
ansari sahib bahut achchha likha hai----wah

krishna



NA JANE NEENDON SE KYON DUSHMNI HUEE krishna
KHULI PLAK PE KOEE KHWAB LIYE FIRTA HUN
KRISHNA
sprjp@yahoo.com
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
WAQUIF ANSARI
Registered User
WAQUIF ANSARI will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 52
Join Date: Jul 2010
Rep Power: 14
15th September 2010, 03:42 PM

Janab Zidd Saheb! Adab !

Aap ne baRe dilnasheeN andaaz mein taareefi kalmaat se nawaaza jiske liye bandah aapka mashkoor-o-mamnoon hai. Hamein Hindi se utna hi prem hai jitna Urdu se hai. Aapko jaisa k ilm hai Hindi aur Urdu ki grammer aik hai. Donon bhaashaaon mein farq sirf lipi ka hai. Main Urdu aur Hindi mein farq nahin samajhta. Kisi ne khoob kaha hai k "Hindi-Urdu mein hai farq sirf itna : Woh dekhte hain khwaab hum dekhte hain sapna : Aapki muhabbaton ka aur taareefi kalmaat ka bahut bahut shukriya ada karta hoon janab.

(Waquif Ansari)

Quote:
Originally Posted by zidd View Post
bada lutf aaya bhai.....apka kalaam padkar

hum aur tum milkar hindustaan banate hai
aap hindi seekho hum urdu pe mare jaate hai

kaaash sab aap ki tarah ek dusre keliye soche......

daad hi daad ...sahab

regards
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
WAQUIF ANSARI
Registered User
WAQUIF ANSARI will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 52
Join Date: Jul 2010
Rep Power: 14
15th September 2010, 03:45 PM

Janab Krishna Ji ! Adab !

Aapne is kaawish ko saraha ye mere liye baa-a-se-sad-iftekhar hai. Aapke taareefi kalmaat ka bahut bahut shukriya janab. Isi tarah apni nawaazison se nawaazte rahiye.

(Waquif Ansari)

Quote:
Originally Posted by krishna View Post
ansari sahib bahut achchha likha hai----wah

krishna
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
Rashmi sharma
volunteer
Rashmi sharma has much to be proud ofRashmi sharma has much to be proud ofRashmi sharma has much to be proud ofRashmi sharma has much to be proud ofRashmi sharma has much to be proud ofRashmi sharma has much to be proud ofRashmi sharma has much to be proud ofRashmi sharma has much to be proud of
 
Rashmi sharma's Avatar
 
Offline
Posts: 723
Join Date: May 2010
Location: chandigarh
Rep Power: 24
16th September 2010, 03:35 PM

Quote:
Originally Posted by WAQUIF ANSARI View Post
Poore Hindustan ke Sarkaari daftaroN meiN aik se lekar 14 Sitember talak HINDI SAPTAAH manaaya jata hai, isi hawaale se aik HINDI NAZM peshe-khidmat hai, mulaahizah farmaaiye:
HUM TO HINDI SE PYAAR KARTE HAIN
Jaan-o-Dil sab nisaar karte haiN
Hum to Hindi se pyaar karte haiN
Jo bhi karta hai baat Hindi meiN
Us pe hum aitebaar karte haiN
Hum to English wichaardhaara ko
Dard-o-ghum meiN shumaar karte haiN
Disco ki jagha Hindi ke naghme
Waaqayee beqaraar karte haiN
Hindi Deewas kab aayega apna
Saal bhar intezaar karte haiN
Ik Sitamber se le ke chaudah talak
Hindi pe hum wichaar karte haiN
YahaaN abto ninaanwe feesad
Kaam Hindi meiN yaar karte haiN
HIND se pyaar aur HINDI se
Ishq hum aar paar karte haiN
(Waquif Ansari)
hindi humaari rashtria bhasha hai hume hindi pe garoor hona chahiey achchha likha hai aapne

Last edited by Rashmi sharma; 16th September 2010 at 03:39 PM..
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com