Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Personal Messages > Chit-Chat & General Discussion Forum

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
mera akhri paigam meri LAMHA ke naam
Old
  (#1)
secret admirer
Registered User
secret admirer is just really nicesecret admirer is just really nicesecret admirer is just really nicesecret admirer is just really nice
 
Offline
Posts: 473
Join Date: Mar 2010
Location: New Delhi
Rep Power: 18
Post mera akhri paigam meri LAMHA ke naam - 13th April 2010, 10:16 AM

Socha to tha ke waqt aane par hi post karunga isse par jab kal tumhe pad kar suna hi diya aur ye mahsus bhi kar liya ke jitni taklif mujhe isse likhne me hui usse kahin jayada tumhe sunne me hui .........mujhe maaf karna main aaj hi tumhari mehfil se ruk'Ksat ho raha hoon.

Isse likhne ke baad main kuch bhi likhne ki halat me nahi hoon aaj jab main isse post kar raha hoon to mere hath kaan'P rahe hain aur meri aankein itni bheeg chuki hain ke thik se kuch dekh nahi pa rahi hain.

Aaj bhi jab palat kar dekhta hoon to har wo khushi har wo gum nazar aata hai jo hamne sath sath jiya. lakh mushkile'N aayi'N par hamne ek dusre ka hath thame rakha kya kuch nahi khoya tumne aur maine par ek dusre par hamara vishwas kayam raha.

Tumse kya chupa hai ke mere liye kitna mushkil tha tum tak pahuchna apno ko naraz karke duniya ki parwah kiye bagair main roj sahil pe baitha tumhara intezar kiya karta tha par tum aa na saki'N main us waqt bahut tut chuka tha mujhe koi sambhalne wala nahi tha........samandar me bhi utna pani nahi tha jitne maine usme apne aansu gira diye the ........samandar se uthti unchi unchi lahrein mujhe apne sath baha le jana chahti thi shayad unhe mujh par taras aa gaya tha.

Wapas ghar aaya to halat kuch aisi thi jaise 'kato to khoon nahi'. Ab faisla mujhe karna tha ke is zindagi ka kya karu'N tabhi achanak ek purana wada yaad aaya......to socha marne se pehle usse hi nibhata chalu......baich diya apni zindagi ko kisi gair ke hatho'N. Socha apne kaam to nahi aayi kisi aur ke hi kaam aajaye shayad.

Main yahan sirf tumse milne aaya tha waise to tumne mujhe pehchan hi liya tha par main hi anjan bana raha tumse par aaj main sabke samne ye kubul karta hoon ke main wohi hoon jo teri dhadkano, teri saanso'N, tere har gum, teri har khushi me basa hai...........mujh par tera aaj bhi haq hai...............par.....................


teri mehfil se ab uth ke mujhe jana hoga
aane ka mujh pe ab na koi bahana hoga

ajnabi ban kar main yahan aaya tha
teri nazroo'N se kahan bach paya tha

ab rasta mujhe badalna hoga
tujhse shayad hi mera milna hoga

main mazboor hoon ke phir se mar nahi sakta
na jane kaise bin dhadkano ke jiye ja raha hoon

tujhse ab apni pehchan juda kiye ja raha hoon
teri mathey ka sindoor sang liye ja raha hoon

mujhe malum hai ke tu aansu bahayegi
mere jane ka gum na sah payegi

main teri yaadein sang le ja raha hoon
ru'H yahin hai bas ang le ja raha hoon

ek wade ne mujhe tujhse dur kar diya
mujhe tujhse bichadne ko mazbur kar diya

zindagi agar phir se mili to tere pass hi aaunga
wada hai tere pehlu se phir kabhi sarak ke na jaunga


ajmer me khawajah sahab ki dargah me aaj bhi wo dhaga bandha hai jo maine tumhare aur mere rishte ki salamati ke liye bandha tha ............ par dekho kya se kya ho chala hai ............... khawajah sahab se is baat ka jawab main jaroor mangunga 'LAMHA' ke unhone aisa kaise hone diya

ab main chalta hoon meri manzil bahut dur hai rastein bade mushkil hain lekin mere irade bahut mazbut hain

( SDC ke sabhi doston se meri guzarish hai ke wo meri thread bhale hi pad le par is par reply na karein yeh thread maine sirf LAMHA ke liye likhi hai is par reply karne ka haq sirf uska hi )


Na tha main to khuda tha, kuch na hota to khuda hota?
mitaya mujh ko hone ne, na hota main to kya hota !!
(NM)

Last edited by secret admirer; 13th April 2010 at 10:34 AM..
  Send a message via Yahoo to secret admirer  
Reply With Quote
Old
  (#2)
LAMHA
beautiful moment.........
LAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant future
 
LAMHA's Avatar
 
Offline
Posts: 6,429
Join Date: Jul 2007
Location: u.s.a
Rep Power: 42
Smile 13th April 2010, 09:57 PM

kya kahu mai.... aaj lafz jaise mujse ruth se gaye hai... naa ungliyaan saath de rahi hai , naahi shabd....
bas ek hi baat kehna chahungi ke....

Allah hafiz.....


"LAMHA"

mujhko acchaa nahiiN lagtaa ko’ii hamnaam teraa ,
ko’ii tujhsaa ho to phir naam bhii tujhsaa rakhe....
  Send a message via Yahoo to LAMHA  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com