Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Kaise Hasun ?
Old
  (#1)
Vipinbox
ek shoonya
Vipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to behold
 
Vipinbox's Avatar
 
Offline
Posts: 1,748
Join Date: Jul 2002
Location: दिल्ली व देहरादून
Rep Power: 30
Kaise Hasun ? - 30th November 2006, 02:19 PM

Matt kaho,
main hasna bhool gaya hoon,
kyonki main hasna bhoola nahin
bas main hans nahin paata hoon.

Mujhe hamesha yaad rehti hai
Maa ki aas, uske sapney,
woh ghutno ke dard mein
sard subahon ko utthkar
uska kaam karna
main bhool nahin paata.
Chotey ka fataa basta,
jahan se uski kitaabein
muhn ko nikaal
majaak urrati thi mera,
Behan ki woh sooni maang
jiskey rastey bannd hain
kisi anddhi gali ki tarah.

Aur Baba ki pension per
liya gaya woh karz,
jisney utthaaya tha bhaar
meri kaagaz ki degree ka.
Aaj bhi koi daftar mujhe
seerhi charhney nahin deta,
dehleez chooney nahin deta,
paas nahin bulaata
sautella vyavhaar karta hai mujhse.

Aaj Baba pe
ek chadi tak nahin hai
saath chalne ke liye,
Teen maah beet gaye hain
retire huey unko.
Tab se jaane kis tarah
chalta hoga kharch ghar ka,
kaun laata hoga
rotiyaan ghar per.

Mere dost !!!
ab tum hee bataao
main kaise hansu,
kis tarah se hansu ??
Kya mera hasna
sach mein jaroori hai ??


विपिन


   
Reply With Quote
Old
  (#2)
sakhi1909
raj
sakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud of
 
sakhi1909's Avatar
 
Offline
Posts: 2,332
Join Date: Aug 2003
Location: dil mein khud ke..aisa nahi kisi ko mera pata nahi hai mujhe dhundhne ki had tak koi dhundhta nahi hai..un
Rep Power: 34
30th November 2006, 03:23 PM

Quote:
Originally Posted by Vipinbox View Post
Matt kaho,
main hasna bhool gaya hoon,
kyonki main hasna bhoola nahin
bas main hans nahin paata hoon.

Mujhe hamesha yaad rehti hai
Maa ki aas, uske sapney,
woh ghutno ke dard mein
sard subahon ko utthkar
uska kaam karna
main bhool nahin paata.
Chotey ka fataa basta,
jahan se uski kitaabein
muhn ko nikaal
majaak urrati thi mera,
Behan ki woh sooni maang
jiskey rastey bannd hain
kisi anddhi gali ki tarah.

Aur Baba ki pension per
liya gaya woh karz,
jisney utthaaya tha bhaar
meri kaagaz ki degree ka.
Aaj bhi koi daftar mujhe
seerhi charhney nahin deta,
dehleez chooney nahin deta,
paas nahin bulaata
sautella vyavhaar karta hai mujhse.

Aaj Baba pe
ek chadi tak nahin hai
saath chalne ke liye,
Teen maah beet gaye hain
retire huey unko.
Tab se jaane kis tarah
chalta hoga kharch ghar ka,
kaun laata hoga
rotiyaan ghar per.

Mere dost !!!
ab tum hee bataao
main kaise hansu,
kis tarah se hansu ??
Kya mera hasna
sach mein jaroori hai ??
vipin ji
kya kahun kuch samjh nahi aa raha...???????
apka likha jab pada to laga jaise mera dimaag sunn ho chala hai. mere mathe ka khoon jamne laga hai.
bahut khub likhte ho aap..
jaise kisi ke dard ko kagaz par koi utaar raha ho apne shawdoin mein daal ke.
aur woh kagaz bhi utna hi dard liye hai jaisa ki us insaan ke andar ka dard hai.
such dil bhar aata hai apka likha pad kar.
shawb nahi mil rahe hai aur isliye bas yahi khungi bahut asardaar likha hai apne.
sakhi


कुछ ऐसे पल जिनको संजोना है ,
शब्दों में पिरोना है , जिससे वो हमारी यादों में महकते रहे
 Send a message via ICQ to sakhi1909  
Reply With Quote
Old
  (#3)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
30th November 2006, 05:42 PM

mere dost vipin ji ko mera namskaar

vipin ji aapki har rachna me jeevan ki vastavikta ke darshan hote hai sach me bahot hi umda likhte ho aap aur ye rachna bhi behtrin se andaz ke sath aapne pesh ki hai bas yehi kahunga k aap ki aage hbi ai rachnaye hume sadapadhne ko mile yehi guzarish karte hai aapse
apna khayal rakhiyenga khus rahiye

aapka dost
dhaval


*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
1st December 2006, 09:21 AM

Quote:
Originally Posted by Vipinbox View Post
Matt kaho,
main hasna bhool gaya hoon,
kyonki main hasna bhoola nahin
bas main hans nahin paata hoon.

Mujhe hamesha yaad rehti hai
Maa ki aas, uske sapney,
woh ghutno ke dard mein
sard subahon ko utthkar
uska kaam karna
main bhool nahin paata.
Chotey ka fataa basta,
jahan se uski kitaabein
muhn ko nikaal
majaak urrati thi mera,
Behan ki woh sooni maang
jiskey rastey bannd hain
kisi anddhi gali ki tarah.

Aur Baba ki pension per
liya gaya woh karz,
jisney utthaaya tha bhaar
meri kaagaz ki degree ka.
Aaj bhi koi daftar mujhe
seerhi charhney nahin deta,
dehleez chooney nahin deta,
paas nahin bulaata
sautella vyavhaar karta hai mujhse.

Aaj Baba pe
ek chadi tak nahin hai
saath chalne ke liye,
Teen maah beet gaye hain
retire huey unko.
Tab se jaane kis tarah
chalta hoga kharch ghar ka,
kaun laata hoga
rotiyaan ghar per.

Mere dost !!!
ab tum hee bataao
main kaise hansu,
kis tarah se hansu ??
Kya mera hasna
sach mein jaroori hai ??

vipin ji namaskaaR....!

koi shawad nahi hai eski tareef ke liye......!
bas aur bas mubarakbaad hi hai, es dil ko dahla dene wali shayri ke liye......?


aapki dost


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
wah ji wah
Old
  (#5)
rajveeer
shayri is my life
rajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud of
 
rajveeer's Avatar
 
Offline
Posts: 1,938
Join Date: Jun 2006
Location: Punjab(Phagwara)Now:(California) USA
Rep Power: 33
wah ji wah - 1st December 2006, 11:26 AM

vipin ji ko raj ka bhut sara pyaar or namaskaar....vipin ji aapko parhkar aisa mehsoos hota hai ki hum kya likhte hain.....jo aap likhte ho.....itni talakh haqkat ko itne seedhe lafzon me byaan karna koi aasaan kaam nahi bhut hunar ki baat hai or us hunar ke hum kayal hain.....aapka har kalaam seedhe dil pe dastak deta hai.....yu hee likhte rahiye....khuda aapko lambi umar or aapki kalam ko rawangi de......take care.....raj.....


un se kar liya kinara unki khushi ki khatir
ab mujhe bewafa kahiye ya bawafa kahiye...(Raj)
 Send a message via ICQ to rajveeer Send a message via Yahoo to rajveeer  
Reply With Quote
Old
  (#6)
garima
Paagal Pathik
garima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of light
 
garima's Avatar
 
Offline
Posts: 1,997
Join Date: Jan 2005
Location: In the heart of universe
Rep Power: 26
1st December 2006, 01:16 PM

Quote:
Originally Posted by Vipinbox View Post
Matt kaho,
main hasna bhool gaya hoon,
kyonki main hasna bhoola nahin
bas main hans nahin paata hoon.

Mujhe hamesha yaad rehti hai
Maa ki aas, uske sapney,
woh ghutno ke dard mein
sard subahon ko utthkar
uska kaam karna
main bhool nahin paata.
Chotey ka fataa basta,
jahan se uski kitaabein
muhn ko nikaal
majaak urrati thi mera,
Behan ki woh sooni maang
jiskey rastey bannd hain
kisi anddhi gali ki tarah.

Aur Baba ki pension per
liya gaya woh karz,
jisney utthaaya tha bhaar
meri kaagaz ki degree ka.
Aaj bhi koi daftar mujhe
seerhi charhney nahin deta,
dehleez chooney nahin deta,
paas nahin bulaata
sautella vyavhaar karta hai mujhse.

Aaj Baba pe
ek chadi tak nahin hai
saath chalne ke liye,
Teen maah beet gaye hain
retire huey unko.
Tab se jaane kis tarah
chalta hoga kharch ghar ka,
kaun laata hoga
rotiyaan ghar per.

Mere dost !!!
ab tum hee bataao
main kaise hansu,
kis tarah se hansu ??
Kya mera hasna
sach mein jaroori hai ??


jhanjhwaat si paida karti hui rachna...
Uncle ji ek lafj apane aaapme ek kahaani duhraati hai... muh chidhaa rahi hai un logo ko jo aaj tarraki ki bakhaan karte hue nahin thakate...

with love
Garv


Anant se bhi aage... itni si khwahish hai :)
  Send a message via Yahoo to garima Send a message via Skype™ to garima 
Reply With Quote
Old
  (#7)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
1st December 2006, 06:12 PM

Quote:
Originally Posted by Vipinbox View Post
Matt kaho,
main hasna bhool gaya hoon,
kyonki main hasna bhoola nahin
bas main hans nahin paata hoon.

Mujhe hamesha yaad rehti hai
Maa ki aas, uske sapney,
woh ghutno ke dard mein
sard subahon ko utthkar
uska kaam karna
main bhool nahin paata.
Chotey ka fataa basta,
jahan se uski kitaabein
muhn ko nikaal
majaak urrati thi mera,
Behan ki woh sooni maang
jiskey rastey bannd hain
kisi anddhi gali ki tarah.

Aur Baba ki pension per
liya gaya woh karz,
jisney utthaaya tha bhaar
meri kaagaz ki degree ka.
Aaj bhi koi daftar mujhe
seerhi charhney nahin deta,
dehleez chooney nahin deta,
paas nahin bulaata
sautella vyavhaar karta hai mujhse.

Aaj Baba pe
ek chadi tak nahin hai
saath chalne ke liye,
Teen maah beet gaye hain
retire huey unko.
Tab se jaane kis tarah
chalta hoga kharch ghar ka,
kaun laata hoga
rotiyaan ghar per.

Mere dost !!!
ab tum hee bataao
main kaise hansu,
kis tarah se hansu ??
Kya mera hasna
sach mein jaroori hai ??
Vipin jee:

namaskaar,

Aap ko paRhna hame hameSha achchha lagta hai.. aap kii har leKh aam insaanoN se aur unki bhavnaaooN se juRi hoti hai aur un ke zindagii par aadhaarit hoti hai.. aur ess baar bhii aap ne jo liKha hai hame pasand aaya.. hasne ke liye khushiyaan bhii honi chaahiye, hasne ki wazah bhii honi chaahiye.. jab zindagii kii yeH pariSthti ho to insaan hase to kaise hase.. zindagii ek jawaab-daari hi ban jaati hai.. voh bas haalat ka Shikaar ho kar rah jaata hai.. aur bhool jaata hai hasna... aur log lahte haiN kii 'usay hasna bhii nahiiN aata'

Apna Khayaal raKhiye,

Mayank
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#8)
gam-e-lashkar
Registered User
gam-e-lashkar will become famous soon enoughgam-e-lashkar will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 221
Join Date: Nov 2005
Rep Power: 20
4th December 2006, 01:08 PM

Vipin ji...sadar namaskaar...

such me great work dil ko jhinjor kar rakh diya...aur u laga ki kuch pal k liye kisi gaav me ek jhopri me ek parivaar ki haalat mere aage rakh di gayi ho...gum ho gai me usi pic.me....aur yahi ek shayer ki uttamta ki pehchaan hai ki padne waala uske likhe me kho jaaye...

aapka ise yaha post karne k liye bahut bahut dhanyewaad...

apna khayaal rakhiyega..



DIL KI TANHAAI KO AASHAAR BANA LETE HAI....
DARD JAB HAD SE GUZERTA HAI TO KUCHH LIKH LETE HAI....
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
dheer
Registered User
dheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant future
 
dheer's Avatar
 
Offline
Posts: 875
Join Date: Nov 2004
Location: udaipur
Rep Power: 35
4th December 2006, 02:52 PM

Bahut ache sahab!!! kafi murm-sparshi khayal utaara gaya hai!! chhu liye aapne !!!

Last edited by dheer; 4th December 2006 at 02:55 PM..
  Send a message via Yahoo to dheer  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Haalaato me kaise-kaise jee raha aadmi. ajay nidaan Hindi Kavitayen 0 7th October 2010 09:11 PM
Chicha kaise kaise kahaniyaa suna raiN kwahish Humourous Shayri 2 8th April 2010 02:22 AM
Kaise Hasun? Vipinbox Shayri-e-Dard 6 12th October 2009 12:49 AM
Kaise kahein ki hum kaise jee rahein hai.. chaahat Shayri-e-Dard 14 5th January 2007 08:47 PM
kaise kaise haadase sahate rahe ..! manoj kureel Shayri-e-Ishq 4 16th July 2003 02:35 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com