Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Kai Baar
Old
  (#1)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
Sad Kai Baar - 19th April 2004, 01:42 PM

Sheershak Prerna..Meena ji ki ek post.

Kai Baar

Kai Baar YooN bhi hota hai
Ke koi apna chhoot jaata hai ,
Koi sun bhi nahi paata or
Ye sheeesha toot jaata hai ..

Kai baar yooN bhi hota hai ke wo
Kuchh bhi to nahi kehta phir bhi
Bin kahe ek ajeeb si chubhan ka
Ehsaas kara jaata hai…

Kai baar wo mere saath hota hai or
Ek ajnabi sa pesh aata hai ,
Kai baar hamne samjhaya is dil ko
Kai baar yea dil..bekaabu ho jaata hai…

Kai baar kuchh jalta hai bheetar or
Ek badi gehri taqleef de jaata hai
Kasoor us shaks ka bhi nahi ey dil
Kai baar jo uske saath nazar aata hai….

Kai baar apne mukaddar pe rota hooN mai
Kai baar ye dard use bhi chhu hi jaata hai,
MAI BURA INSAAN NAHI..par kya karooN ey dil
Wo mere khaatir nahi ye dard bahut sataata hai.


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Re: Kai Baar
Old
  (#2)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
Re: Kai Baar - 19th April 2004, 01:49 PM

Quote:
Originally posted by Chaand
Sheershak Prerna..Meena ji ki ek post.

Kai Baar

Kai Baar YooN bhi hota hai
Ke koi apna chhoot jaata hai ,
Koi sun bhi nahi paata or
Ye sheeesha toot jaata hai ..

Kai baar yooN bhi hota hai ke wo
Kuchh bhi to nahi kehta phir bhi
Bin kahe ek ajeeb si chubhan ka
Ehsaas kara jaata hai…

Kai baar wo mere saath hota hai or
Ek ajnabi sa pesh aata hai ,
Kai baar hamne samjhaya is dil ko
Kai baar yea dil..bekaabu ho jaata hai…

Kai baar kuchh jalta hai bheetar or
Ek badi gehri taqleef de jaata hai
Kasoor us shaks ka bhi nahi ey dil
Kai baar jo uske saath nazar aata hai….

Kai baar apne mukaddar pe rota hooN mai
Kai baar ye dard use bhi chhu hi jaata hai,
MAI BURA INSAAN NAHI..par kya karooN ey dil
Wo mere khaatir nahi ye dard bahut sataata hai.
chaand dost,
tumhare ahesaas ki kya taarif karu? tumhari har tasweer dil maie basi hai. gr8 work...... humesha ki tarah. meri poorani post yaad aa gayi.....
kahi baar........
kahi bar aisa bhi hota hai...
khushi ke saath gam bhi hota hai;
saara din aap bhid main raho
aur apne aapko akela paao
kahi bar aisa bhi hota hai.
kahi bar aisa bhi hota hai....
haste haste aankh bhar aaye
aur achanak dard chhalak jaye
jo baat sabse chhoopani ho
wahi baat laboon par aa jaye
kahi bar aisa bhi hota hai.
kahi bar aisa bhi hota hai.....
din bhar nazar main talash rahe
aur shaam bhi yuhi biit jaye
raat achaanak sapne main
ose dil ke karib paao
kahi bar aisa bhi hota hai.
kahi bar aisa bhi hota hai.....
jindgi bhar intzar karo
aur intzar hi jindgi ban jaye
ak din achhanak samne aaye
aur wah kayamat ka din ban jaye
kahi bar aisa bhi hota hai.
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
19th April 2004, 02:09 PM

Main kabse sochrahi thi ke kaunsi sher ke bade mein kahun lekin decide nehi kar paarahi thi, aur ab kuch yun hein ke aisa koi sher nehi hein jo dilko na chhoo gaaya ho tou keya kare...bohot khubsurat likhha hein...dilki gehraion se shurkiya kabool kijiyega. Yunhi likhte rahiyega. This one is the best so far...khush rahiye yeh Duwa hamesha rahegi. Take care. God bless you.

Keep smilling.......


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 27
19th April 2004, 02:15 PM

Samajhh nahi aa raha.. original post ki tareef karein ya uske jawaab ki!

Chaand saahab,

Aapko shayad aadat si paR gayi hume bezubaan karne ki.. bas, yahi kahenge ki bohat pasand aaya aapka ye kalaam.. apni si jhhalak nazar aayi, shayad isi liye aur bhi achha laga.. Yunhi likhte rahiyega..


Meena!

Pata nahi humne tumhaari ye waali rachna pehle paRi hai bhi ya nahi.. lekin sach yaar, kamaal likha hai tumne! Har soch sach me doobi hui hai.. behtareen! Tumhe yahaan dekh kar bohat khushi hui..


Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
19th April 2004, 04:24 PM

chand dost

bohat khoob nazm kahi hai.
aur yeh aap ka bara pan hai ke zameen jis ki hai voh bata ker usi zameen per aap ne likha.
ham yeh kehne mein haq ba jaanib hain ke meena ne to likha hi khoob thaa. aap ne bhi apna haq adaa ker diya.
mukhtasaran yeh ke bohat khoob dost chaand.

wishing you all the best

musharrafhusain
   
Reply With Quote
Shukriya DostoN
Old
  (#6)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
Shukriya DostoN - 19th April 2004, 06:59 PM

Dear Meena ji ..mai aap ki is behtreen rachna ko ab tak nahi bhoola hooN...ye jo kashmakash hai na isme...wahi prerna ka strot hai mere liye...

Chaand

Shukriya Shimul ji... aapko mere ye khayalaat itne pasand aaye, jaankar bahut khushi hui...tahe dil se shukriya.

Chaand


Banno ji original Post jo hai na Meena ji ki post se hi upji hai...uske bachche jaisi...aap ek ko achchha kaheNge dusra khudbakhud khoobsoorat nazar aaega....Khuda na kare ham se eisi Gustakhi ho kabhi...KyoN ki aap dostoN ke kehne se hi to ham kehte haiN...Shukriya tahe dil se.

Chaand

musharrafhusain ji... YooNto ham ye chura bhi lete to Meena ji shikaayat na karti... Per unki is jameeN ki mehek kahaaN chhupaate...Shukriya aapko donoN rachnaaeiN pasand aai..Tahe dil se shukriya aapka bhi...


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
sau baar chaman mahakaa sau baar bahaar aa_ii -. 0aayush Shayri-e-Mashahoor Shayar 2 15th June 2010 10:56 AM
sau baar chaman mahakaa sau baar bahaar aa_ii Mayank Shayri-e-Mashahoor Shayar 2 9th August 2008 11:23 AM
KHAT US KO BAAR BAAR LIKHO, ILTEJA KARO - by Qateel Rajasthani Mahek Shayri-e-Mashahoor Shayar 1 18th December 2003 05:07 PM
saw baar chaha tumhey ek baar bhi nibha na sakey husn_haya Shayri-e-Dard 4 26th May 2003 01:09 PM
Kyuin Hum Baar Baar Dhokha Kha Rehe Hai??? Ishiqka Shayri-e-Dard 7 3rd February 2003 12:16 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com