saki gar pilana ho pilao naam ka pyala........... -
13th January 2011, 09:15 PM
aap sabhi ko prem anjana ka salaam........
ik baaar phir se yeh naacheez is mehphil mein upasthiti banane ki koshish kar raha hai
yadi meri yeh upasthiti pasand aye toh jaroor batayiyega......
aap sabhi ke reply ke intizaar mein........
saki gar pilana ho pilaao naam ka pyala,
jhoomo raat din banke bas mai naam ka pyala.
utarni ho agar isko is raat ke sang mein,
toh saki tod do botel au phod do pyala.
waise toh maikhano mein pade rehte hai woh sare,
pila ke noor se apne chamka do mera tara.
maine toh yehi chaha ki tera ban ke rah jaaoon,
mujhko toh bas ratni hai tere naam ki mala.
peeta hun mai mehfil mein au tujhko yaad karta hoon,
tera yeh naam mita dega mere dil bhi woh chala.
khudaya yeh na kehna ki mujhe peena nahi aata,
pee lega yeh "anjana" wohi meera ka vish pyala.
anjana prem sab meri muskurahat se jalte hai, mai sabko hasata chala gaya. pasand thi jamane ko meri barbadi, mai unpe dil-o-jaan lutata chala gaya.
|