Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Ghazal Section

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
aye meri dil ruba aap ka shukriya
Old
  (#1)
mujib66
Registered User
mujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 409
Join Date: Nov 2006
Rep Power: 26
aye meri dil ruba aap ka shukriya - 4th November 2016, 11:28 PM

aye meri dil ruba aap ka shukriya
hum nafas hum nawa aap ka shukriya

ghar mera aap ke dum se aabaad hai
aap hain bawafa aap ka shukriya

ghar ke afraad hain aap se khush bohut
shaad hai ghar mera aap ka shukriya

noor se bhar diya zindegi ko meri
eh karam marhaba aap ka shukriya

her ghadi aap ko dil se dey key duwa
kar raha hun ada aap ka shukriya

chal rahi hai meri zindegi theek thaak
hai zabaaN per sada aap ka shukriya

rooh hain, jaan hain, saans bhi hain meri
aise men kehna kya aap ka shukriya

ghar men Perwaaz ko khaak samjhen to bhi
ghar ka gharbaar ka aap ka shukriya

A few meaning
nafas- Breath
nawa- Companion
Afraad- People
Bawafa- With favour
Shaad- Satisfied/ Peaceful
Noor- Light
Merhaba- Very good
Khaak- Nothing/ Soil
Gharbaar- Family Members

By Mujeeb Parwaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
5th November 2016, 01:13 AM

waah waah!! bahot khoob hai apke shukriya kahne ka andaaz...



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
mujib66
Registered User
mujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 409
Join Date: Nov 2006
Rep Power: 26
5th November 2016, 01:42 PM

Aap ka shukriya Madhuji..

Agar aap ne Daagh Dehlvi ko padha hoto pata hoga ke unka andaaz bhi isi tarah ka tha.
Oh bhi jazbati sher qalam kiya karte the aur aam fehem alfaaz men shayri karte the.
darasl mujhe shayri ki fikr karne ke liye ziyada waqt nahin milta.....peshe se Scientist jo thera....Naahin Urdu/ Hindi men mera koi kaam hota hai...sirf English aur English...2 din pehle shaam ko baithe baithe ek baek jee chaha ke kuch apni shareek-e-hayaat ki tareef men likh dun ....aur oh aap ke saamne hai..

Kher aap ka andaaz-e-bayaan bhi qabile tareef hai... mujh ko bohut pasand hai.

Duaon ke saath.
Mujeeb
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
shakir ali 01
Registered User
shakir ali 01 has a spectacular aura aboutshakir ali 01 has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 297
Join Date: Oct 2013
Rep Power: 12
5th November 2016, 01:44 PM

Mujiib sahab kis bahut khubsurat sa
shukriya ADA kiya he aapne
bahut ....khuub

SHAKIR ALI
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
mujib66
Registered User
mujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 409
Join Date: Nov 2006
Rep Power: 26
5th November 2016, 01:49 PM

Aap ka shukriya Shakir Sahab

Yun hi begum ki tareef men Ghazal ban gayi hai.

Cheers!
Mujeeb
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
5th November 2016, 08:11 PM

Quote:
Originally Posted by mujib66 View Post
Aap ka shukriya Madhuji..

Agar aap ne Daagh Dehlvi ko padha hoto pata hoga ke unka andaaz bhi isi tarah ka tha.
Oh bhi jazbati sher qalam kiya karte the aur aam fehem alfaaz men shayri karte the.
darasl mujhe shayri ki fikr karne ke liye ziyada waqt nahin milta.....peshe se Scientist jo thera....Naahin Urdu/ Hindi men mera koi kaam hota hai...sirf English aur English...2 din pehle shaam ko baithe baithe ek baek jee chaha ke kuch apni shareek-e-hayaat ki tareef men likh dun ....aur oh aap ke saamne hai..

Kher aap ka andaaz-e-bayaan bhi qabile tareef hai... mujh ko bohut pasand hai.

Duaon ke saath.
Mujeeb
Ji zyada to nahi thoda bahot jo bhi padha hai Dagh dehlvi ka andaaz sabse juda hai......mujhe maloom hai aap scientists hain aur uske baad bhi aap shayri k liye vaqt nikal lete hain kabil e tareef hai.......likhte rahiye aate rahiyega....

Behad shukriya jo aapko mera likha pasand aata hai.....main bhi aam fehem alfaaz me shayri kah pati hun..jo jazbaat dil me aaye likh diya bas......

Bahot shukriya khush rahein..



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
mujib66
Registered User
mujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 409
Join Date: Nov 2006
Rep Power: 26
8th February 2018, 04:05 PM

Thank you madhu Saheba

Mujeeb Parwaaz
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com