Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
hum ne dekheiN haiN falak ke chaand taare tod ke
Old
  (#1)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,722
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
hum ne dekheiN haiN falak ke chaand taare tod ke - 26th May 2019, 11:12 AM

tishna* nazroN ko bhala dooN kya nazaare tod ke
hum ne dekheiN haiN falak ke chaand taare tod ke
*thirsty

ek tera hi sahaara zindagi meiN tha aham
hum ne jaana zindagi ke sab sahaare tod ke

vaqt ye mere liye aur vaqt vo un ke liye
zindagi ko tukde tukde meiN guzaare tod ke

zabt* meiN gussa jama hota raha hai booNd booNd
phoot na jaaye ye dariya baaNdh saare tod ke
*self control

hum-safar rakht-e-safar* meiN baNdh ke gum se ho gaye
phir se maiN aur tum chaleiN mere tumhaare tod ke
*luggage of journey

aag dahkaayee jawaaN khaaboN ne vo ke umr bhar
bas bujhaate hi rahe us ke sharaare* tod ke
*sparks

gar samandar ki ye lehreiN hi muqaddar haiN to phir
bhar ke le aayeNge daaman meiN kinaare tod ke

tum ko ummeed-e-vafa hai dushmanoN se “zarraa” ab
jab gaye ahd*-e-vafa ko dost saare tod ke
*promise

- zarraa

तिशना नज़रों को भला दूं क्या नज़ारे तोड़ के
हम ने देखें है फ़लक के चांद तारे तोड़ के

एक तेरा ही सहारा ज़िंदगी में था अहम
हम ने जाना ज़िंदगी के सब सहारे तोड़ के

वक़्त ये मेरे लिये और वक़्त वो उन के उन के लिये
ज़िंदगी को टुकड़े टुकड़े में गुज़ारे तोड़ के

ज़ब्त में गुस्सा जमा होता रहा है बूंद बूंद
फूट ना जाये ये दरिया बांध सारे तोड़ के

हमसफ़र रख्त-ए-सफ़र में बंध के गुम से हो गये
फिर से मैं और तुम चलें मेरे तुम्हारे तोड़ के

आग दहकायी जवां ख्वाबों ने वो के उम्र भर
बस बुझाते ही रहे उस के शरारे तोड़ के

गर समंदर की ये लहरें ही मुक़द्दर हैं तो फिर
भर के ले आयेंगे दामन में किनारे तोड़ के

तुम को उम्मीद-ए-वफ़ा है दुश्मनों से “ज़र्रा” अब
जब गये अहद-ए-वफ़ा को दोस्त सारे तोड़ के

- ज़र्रा


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
bhushan
Registered User
bhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Nov 2014
Rep Power: 13
1st August 2019, 06:15 PM

waaah behad khoob, kyaa baat hai

dheero daad

aapka apna
bhushan



Bhushan Joshi
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com