Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Ishq

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Yaadon ke saaye...
Old
  (#1)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
Yaadon ke saaye... - 8th November 2003, 08:31 PM

tumhari yaadon ko seene se laga rakha hai
andhere dil mein ek chiraag jala rakha hai

jeene ki umeed jagi hai tumse mil kar
hamne sehra ko shabnam se saja rakha hai

tumhare intezaar mein khuli hai kab se aankhein
hamne raahon par palkon ko bicha rakha hai

har lahmha unki yaad mein tadpata hai dil
dard e-dil ka hamne naam dawa rakha hai

unko bhi nahin maloom kitna chahte hai ham unhe
pyar mein unke hamne khud ko bhula rakha hai

zindagi hai jab tak sirf unhe hi chahenge
dil mein hamne yeh raaj chuupa rakha hai

-Manoj Kureel
Attached Images
File Type: jpg yaad.jpg (118.8 KB, 418 views)


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#2)
arvindsony
Rajni
arvindsony is on a distinguished road
 
arvindsony's Avatar
 
Offline
Posts: 399
Join Date: Sep 2003
Location: Boston *USA*
Rep Power: 21
8th November 2003, 08:42 PM

hi
great yaar
really superbbbb
keep it yaar


Love Is Life.
Love Is God.
Love is worship.
Love is Everything......
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
8th November 2003, 08:53 PM

arvind saaheb
aap ki hauslaafzai ke liye dil ki gehraiyon se shukriya...
-MANOJ


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#4)
zoobi
Registered User
zoobi is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 31
Join Date: Nov 2003
Location: vancouver, canada
Rep Power: 0
8th November 2003, 10:54 PM

wah manoj ji man gaye aap ko...bahut hi khubsuat hai ye.
yahi baat pe hum bhi kuch likhna chahte hai

piyar karte hai hum tum ko sanam
par kaise kahe ke ho jao mere tum
dar hai duniya ka
khuaf hai khuda se
ke mante hai hum tum ko apna khuda sanam


cute lil angel:)
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
mango
Registered User
mango is on a distinguished road
 
mango's Avatar
 
Offline
Posts: 172
Join Date: Oct 2003
Rep Power: 21
8th November 2003, 11:06 PM

waah manoj ji
bohot achha likha hai aapne
aur kaise hain aap?
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
mango
Registered User
mango is on a distinguished road
 
mango's Avatar
 
Offline
Posts: 172
Join Date: Oct 2003
Rep Power: 21
8th November 2003, 11:17 PM

waah manoj ji
bohot achha likha hai aapne
aur kaise hain aap?
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
sakhi1909
raj
sakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud of
 
sakhi1909's Avatar
 
Offline
Posts: 2,332
Join Date: Aug 2003
Location: dil mein khud ke..aisa nahi kisi ko mera pata nahi hai mujhe dhundhne ki had tak koi dhundhta nahi hai..un
Rep Power: 34
9th November 2003, 01:27 AM

tumhari yaadon ko seene se laga rakha hai
andhere dil mein ek chiraag jala rakha hai

/chalo jab woh hakeekat mein ayenge to roshni to milegi unko /

jeene ki umeed jagi hai tumse mil kar
hamne sehra ko shabnam se saja rakha hai

/achaaaaaaaaa pahle kya kiya tha haan bolo bolo/

tumhare intezaar mein khuli hai kab se aankhein
hamne raahon par palkon ko bicha rakha hai

/hey plsssssssss palkein agar bichaoge to dhool aankhoin mein jayegi isliye kuch aur bicho na /

har lahmha unki yaad mein tadpata hai dil
dard e-dil ka hamne naam dawa rakha hai

/hum karenge kaamna na dukhi hona tum
aalaah se hai ye dua sukhi rahna tum/

unko bhi nahin maloom kitna chahte hai ham unhe
pyar mein unke hamne khud ko bhula rakha hai

/yahan ek song yaad aya hai-- mein jis din bhula dun tera pyaar dil se woh din akhiri ho meri jindagi ka/ apne ye suna to hoga hai na.
aap unke liye khud ko bhi bhula chuke ho to hamein yaad rakha hai kya haan ?bataiye na/

zindagi hai jab tak sirf unhe hi chahenge
dil mein hamne yeh raaj chuupa rakha hai

/ab kya likhoo mein hey bhagwaan KYUN KI APNE APNA RAJ TO KHUD HI FAAS KIYA HAI HUMNE KUCH NAHI KIYA HAAN/

manoj ji sorry kahne ki jarurat hai kya are baba try to undarstand me , meine jara majak ke saath ans diya hai .
apki gazal jazzbaatoin se bhar pur hai aur such dil ke ye jazbaat dil waala hi jaan sakta hai .but hum kya kare majbor hai janab dil nahi hai na yahan are baba just joking.
bhut hi pyaari gazal hai dil ki gahraaiyoin se aapko daad deti hun
with lov
urs sakhi

chalo jab woh hakeekat mein ayenge to roshni to milegi unko achaaaaaaaaa pahle kya kiya tha haan bolo bolo hum karenge kaamna na dukhi hona tum ab kya likhoo mein hey bhagwaan KYUN KI APNE APNA RAJ TO KHUD HI FAAS KIYA HAI HUMNE KUCH NAHI KIYA HAAN/


कुछ ऐसे पल जिनको संजोना है ,
शब्दों में पिरोना है , जिससे वो हमारी यादों में महकते रहे
 Send a message via ICQ to sakhi1909  
Reply With Quote
Old
  (#8)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
9th November 2003, 03:00 AM

Dear Manoj Jee, Khubsurat sa kalam hein. Actually I thought I already replied but I was wrong. Mujhe toh yeh pata hein. Kaha toh pehle hi. Hame bhi toh batlao, kush karna sake toh duwa hum zaroor karenge. Aise hi likhte rahiyega. Bohot achha lagta hein. Shukriya. Aapna khayal rakhiyega. God bless you.


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
9th November 2003, 05:22 AM

har lahmha unki yaad mein tadpata hai dil
dard e-dil ka hamne naam dawa rakha hai

unko bhi nahin maloom kitna chahte hai ham unhe
pyar mein unke hamne khud ko bhula rakha hai

zindagi hai jab tak sirf unhe hi chahenge
dil mein hamne yeh raaj chuupa rakha hai

manoj sahib aap to kamaal ka likhte hain...dil kee gehraayion ko choo gaya aapka yeh andaaz...bakayeda illustration ke saath? Bahut hee achhe! Wow! Aapne kitna sach likha hai....yeh Anand movie ke gaane ki do lines yaad aa rahin hain...

jiinaa bhuule the kahaa.N yaad nahii.n
tujhako paayaa hai jahaa.N, saa.Ns phir aaii vahii.n
zi.ndagii , tere binaa haay, bhaaye naa
naa, jiyaa laage naa ...

khud kee soch koi aise bayan kare...aur itne khoobsurat andaaz mein? bahut bahut shukriya! Khayal rakhein apna...ijazzat chahoongi


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
9th November 2003, 02:27 PM

piyar karte hai hum tum ko sanam
par kaise kahe ke ho jao mere tum
dar hai duniya ka
khuaf hai khuda se
ke mante hai hum tum ko apna khuda sanam

ZOOBI JI
bahoot umda khayal hai aapka,,,hamari daad kubool kijiye....bahoot acha laga aap ko yahan dekh kar....aap ki hauslaafzai ka dil se shukrguzaar rahunga
-MANOJ

__________________________________________________ __

MANGO JI
mein acha hoon,,,aasha karta hoon aap bhi achi hongi....aap ne yahan aap ka mera hausla badhaya,,,mujhe behad acha laga....mein shukriya kehta hoon aapka...apna khayal rakhiye....
-MANOJ
__________________________________________________ __

PRIYE SAKHI JI
KAISI HAI AAP..??? BAHOOOT ACHA LAGA YEH DEKH KAR KI AAP NE KIS GEHRAI SE HAMARI KOSHISH KO SAMJHA HAI,,,,AUR JIS CHANCHALTA SE REPLY DIYA HAI WO AUR BHI KABIL-E-TAREEF HAI...MUJHE BAHOOT ACHA LAGA AAP KA YEH ANDAAZ....AAP KI HAUSLA AFZAI KA DIL KI GEHRAIYON SE SHUKRIYA. APNA KHAYAL RAKHIYEGA...
-MANOJ

__________________________________________________ __
SHIMUL JI
kaisi hai aap???? jab jab aap ka reply milta hai.bahoot acha lagta hai mujhe....bahooot aabhari hoon mein aapka ki aap ne hamehsa ki hi tarah hamari yeh koshiosh ko pasnd kiya,,,,likhte rahiye aur apna khayal rakhiye...
-MANOJ
__________________________________________________ __

PARASTAAR JI
kaisi hai aap?? sach..!! bahooot acha laga aap ko yahan dekh kar....aap ne to bahoot jayada hi tareef kar di hai hamari.....hamne to bas dil ke kuch jazbaaton ko kagaz par utara tha,,,aap ne gazal aur Illustration mein chupe hamare jazbaaton ko samjha,,,,unko pasand kiya,,,bahoot khushi hui mujhe....dil ki gehraiyon se mein aap ka shukrguzaar rahunga...

jiinaa bhuule the kahaa.N yaad nahii.n
tujhako paayaa hai jahaa.N, saa.Ns phir aaii vahii.n
zi.ndagii , tere binaa haay, bhaaye naa
naa, jiyaa laage naa ...

bahoot khoob geet yaad dilwaya aapne....Yogeshji ka likha yeh geet mujhe bhi bahoot pasand aai....shukriya aap ne is geet ko mujhe phir se yaad dilwaya....
aap se ab izzazat chahunga....
likhte rahiye....aur apna khayal rakhiye...
-MANOJ


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#11)
sakhi1909
raj
sakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud of
 
sakhi1909's Avatar
 
Offline
Posts: 2,332
Join Date: Aug 2003
Location: dil mein khud ke..aisa nahi kisi ko mera pata nahi hai mujhe dhundhne ki had tak koi dhundhta nahi hai..un
Rep Power: 34
9th November 2003, 04:09 PM

para staar ji
apne basir ji ka ye sher yaad dila ke bhut acha kiya hai kyun ki hum bhi phir se is jagah aaye hai kuch kahne ko--

jindagi mein kuch saksh yaise hote hai
hum jinko yaad karke rote hai
woh yun dil ke kareeb hote hai
jyun gul mahak ke samg hote hi.

with best wishes
sakhi

manoj ji
apko mera andaazasand aaya thanx a lots .
aap bhi apna khyaal rakhna ok
byeeeeeeee
sakhi


कुछ ऐसे पल जिनको संजोना है ,
शब्दों में पिरोना है , जिससे वो हमारी यादों में महकते रहे
 Send a message via ICQ to sakhi1909  
Reply With Quote
Old
  (#12)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
9th November 2003, 05:15 PM

jindagi mein kuch saksh yaise hote hai
hum jinko yaad karke rote hai
woh yun dil ke kareeb hote hai
jyun gul mahak ke samg hote hi.

Waah sakhi ji, bilkul sahi kaha aapne, main aap sab kee tarah likh to nahin sakti lekin rachnaaon mein chupe jazzbaaton se wakif zaroor hoon...manoj jee ka andaaze bayan bhi khuub hota hai...lijiey aapke liye ye sher, by kishwar naheed...

tuu ashk hii ban ke merii aa.Nkho.n me.n samaa jaa
mai.n aa_iinaa dekhuu.N to teraa aks bhii dekhuu.N

shubhkaamnaaon sahit....


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
Manish K Bansal
Registered User
Manish K Bansal is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 146
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 21
9th November 2003, 06:14 PM

Manoj Bhai,

Bahut achha likha hai aap ne. Daad kabool kaerein.
Yah humari taraaf se aap ke liye payar ka sougaat app ke liye.

Kash dil ki awaz mein ajj wo asar ho jaye
Aap usse yaad karein
Aur usse khabar ho jaye.
Aaj Rab se Bas itni hi dua hain..
Aap jisse chahe woh aap ka humsafar ho jaye...

Manish
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
10th November 2003, 12:02 PM

jindagi mein kuch saksh yaise hote hai
hum jinko yaad karke rote hai
woh yun dil ke kareeb hote hai
jyun gul mahak ke samg hote hi.

PRIYE SAKHI JI
kaisi hai aap...bahoot acha sher likha hai aapne yahan Parastaar ji ke liye,,,kud ko daad dene se nahin rok saka mein,,,ek sher hamne bhi likha hai,,,,umeed hai aap ko pasand aayega...

zindagi ke safar mein kuch aise shaksh bhi milte hai
jo ban ke hamsafar ghadi do ghadi saath chalte hai
unke saath bitaye lamhe tanhaiyon mein tadpate hai..
aankhon se baraste hai aansoo jab wo yaad aate hai.

likhti rahiye aur apna khayal rakhiye...
-MANOJ










apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#15)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
10th November 2003, 12:25 PM

tuu ashk hii ban ke merii aa.Nkho.n me.n samaa jaa
mai.n aa_iinaa dekhuu.N to teraa aks bhii dekhuu.N

Parastaar ji
aap ko hamara aadaz-e-baya acha lagta hai iske liye mein aap ka aabhari hoon...aap ne behad khoobsurat sher arz kiya hai...bahoot khoob,,,,,aap ke sher se hi prerna le kar mein bhi ek sher arz karne ki gustakhi kar raha hoon....mulaiza farmaiye...


dil mein rehte hai wo ashkon mein aksh dikhta hai unka
aaina bhi ab to dikhata hai mujhe chehra unka.

take care
-MANOJ


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#16)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
10th November 2003, 01:00 PM

Kash dil ki awaz mein ajj wo asar ho jaye
Aap usse yaad karein
Aur usse khabar ho jaye.
Aaj Rab se Bas itni hi dua hain..
Aap jisse chahe woh aap ka humsafar ho jaye...

Manish bhai
kya khoob kaha hai aapne,,,,bahoot acha laga aap ko yahan dekh kar,,,aap ki hausla afzai ke liye dil ki gehraiyon se shukrguzar rahunga...aap ka sher aur us sher mein chupi dua dil ko choo gayi....behad acha andaaz hai aapka...LIKHTE RAHIYE AUR APNA KHAYAL RAKHIYE...


YAAD KARNA BHI NA CHAHE TO BHI YAAD AAYENGE WO
SEHRA PAR BAADAL BAN CHAA JAYENGE WO
UNHI KI YAADON KE SAAYE MEIN DIL SUKOON PATA HAI
UN KO BHULA KAR NA PHIR JINDA REH PAYENGE HAM.

-MANOJ


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#17)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
10th November 2003, 02:44 PM

Dear Manoj Jee, aapka jitni bhi tarif karu utni hi kaam hein. Bohot achha likhte hein aap. Aise hi likhte rahiyega. I really feel good when I read your poetry. Thanks. Take care. God bless you.


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#18)
deewaana
deewaana
deewaana is a glorious beacon of lightdeewaana is a glorious beacon of lightdeewaana is a glorious beacon of lightdeewaana is a glorious beacon of lightdeewaana is a glorious beacon of light
 
Offline
Posts: 214
Join Date: May 2003
Location: Dar-es-salaam
Rep Power: 25
11th November 2003, 07:33 AM

manoj jee
wah kiya baat hain aapkee alfazoh neh kisiki yad delah dee aj toh humneh kahan hain pehlee bhi padhtee zarror hain magar jawab denha kabhi muskeel hoh jata hain aap likhtee rahiyegha hum shimul je keh bhi bahut badeh fan hain aur sakhijee bhi kuch nah kuch keh detee hain dil kee gherayeesho jho acha laghta hain kabeeleh tareef hain unkee baate bhi
aapnee meri mehboobaa shabnam koh jish tarah behakkaya hain wah janaab wah chaloh koi toh ashk ghwaar mila hain rah mein acha kheriyat wa salaams namaste sat sri akaal and a good day to you and keep on writing plzz


dil toh sirf deewaana hain
   
Reply With Quote
Hi
Old
  (#19)
Rimjhim
Registered User
Rimjhim has a spectacular aura aboutRimjhim has a spectacular aura aboutRimjhim has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 607
Join Date: Mar 2003
Rep Power: 24
Hi - 11th November 2003, 08:10 AM

Manoj ji ab yeh kahenge hum ki aapne bahaut khoobsoorat likha hai to bahaut mamooli sa lagega isiliye hum to yeh kahenge ki yeh gazhal hamare dil ko chu gayi.

Par hume k bata aur bhi kahna chahenge ki agar poorani yadoon ko dil mai basa ke rakhoge, to nayi yadoon ko kaise banaoge...

Hum aapke dost hone ke naate yeh kahenge ki apni zindagi ko rango se sajao, naaki gam se, bhagvaan ji ek zindagi dete hain aur hamara yeh maan na hai ki jitni iss mai khusiyaan milen ootna hi kam hai, aur khusiyaan chalkar khud nahi aati hai oonhe bulana parta hai choti choti batoon par kush hona sikho...

Itna hi kahenge, agar aapko bura laga hot o hum maufi nahi maagenge, kyonki yeh to haar hakh tha apako yeh sab kahne ka...

Bye
Luv
Rimjhim :-)


"It takes a minute to have a crush on someone, an hour to like someone, a day to love someone, but it takes a lifetime to forget someone..."

Isn't that true??? ;-)
   
Reply With Quote
Old
  (#20)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
12th November 2003, 10:35 AM

Shimul ji
kaisi hai aap??? aap ki izaat afzai ka bahoot bahoot shukrguzaar rahunga mein,,,,dil ki gehraiyon se aap ka shukriya kehta hoon mein,,,bahot acha laga yeh jaan kar ki aap ko hamara likha pasand aata hai....THNAKS AGAIN ,,apna khayal rakhiyega.
-MANOJ


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#21)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
12th November 2003, 10:51 AM

Deewana ji
kaise hai aap,????aap waqt nikaal karyahan aaye aur hamari koshiash ko saraha,,,dil ki gehraiyon se aap ka shukrguzaar hoon,,,,bahoot acha laga aap ko yahan dekh kar........aap ne sach hamare dil ki baat keh di ,,shimul ji aur sakhi ji ke to ham bhi bahot bade fan hai,,kyun ki bina in ke reply ke hamein apni har rachnai si lagti hai
take care
-MANOJ


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Re: Hi
Old
  (#22)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
Re: Hi - 12th November 2003, 10:57 AM

Rimjhim ji
aap ki saari hidayatein hamare sar aankhon par,,,,aap ne itne apnepan se hamein jo bhi samjhaya hai ham uske liye dil ki gehraiyon se aap ke shukrguzar hai....aap ne apne is dost ke ache ke liye socha,,,mujhe behad acha laga....
aap ki kahi ek ek baat par ham poora utarne ki koshish kareinge....ek baar fir kehna chahunga,,,behad acha laga aap ka reply padh kar....likhte rahiye
take care
-MANOJ


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#23)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
12th November 2003, 02:25 PM

Dear Manoj Jee, Mein thikh thakh hu. Aap keise hein? Asha karungi aap thikh hein. Itni jiyada shukriya kehne ki koi zaroorat nehi hein, right? Jo bhi meine kaha woh meri dilki baat hein, just believe it. Thanks. Aapna khayal rakhiyega. God bless you.


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#24)
pappu
Registered User
pappu is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 638
Join Date: Sep 2003
Location: texas
Rep Power: 21
Thumbs up 12th November 2003, 10:38 PM

dera manoj,
very beautiful, kya kahoo mai soch mai pad gaya hu. aare yar u should start your own shayri,poem,gazal etc etc business. aap khud aapni book print kijiye. u r already mashoor shayar, kavi. aapke ma-aur pitaji ko mera namaskar kahiyega ki unhone 1 jaberdast shayar ki aachi tarah parvarish ki hai. aur unhone aapko aache sanskar diye hai. please keep it up lovely.
pappu.
   
Reply With Quote
Old
  (#25)
pappu
Registered User
pappu is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 638
Join Date: Sep 2003
Location: texas
Rep Power: 21
Thumbs up 13th November 2003, 03:52 AM

dear manoj,
its lovely. yar u should print your own book. u have a great talent. i salute your mom and dad ke unhone aap ki bahoot aachi tarah parvarish ki hogi. plz keep it on. aap kavi bhi ho, shayar bhi, gazal kar bhi etc etc.
pappu.
   
Reply With Quote
Old
  (#26)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
13th November 2003, 03:42 PM

Pappu ji
kaise hai aap??? dost aap ne to sach bahoot jayada tareef kar di hamari,,,itni tareef ke haqdaar ham katai nahin hai,,,yeh to aap ke dekhne ka nazariya hai ki aap mere liye itni badi soch rakhte hai...mein to bas dil ke sache jazbaaton ko jabaan dene ki koshish karta hoon,,,aap doston ko pasand aate hai,,samjhiye mera likhna safal hua....mein koi shayar nahin hoon dost,,,keh sakte ho ki apni bhavnaon ko aawaz bhar deta hoon,,,,ek se badh kar ek hunarmand mauzood hai is mulq mein,,,ham to unki charnon ki dhool bhi nahin....mein to ek adna sa kalakaar hoon bas,,,aur yeh kala bhi Ishwar ki dein hai.mera kuch bhi nahin hai.
aap ka namshkaar mein jaroor apne mata-pita tak pahunchaunga,,,aap ke is aadar se mein samjh sakta hoon ki aap ke sanskaar bhi bahoot ache hai...mein bhi apke mata-pita ko naman karta hoon jinhone itne ache sankaar diye aapko.
aap ki is izzatafzai ka dil ki gehraiyon se shukrriya kehta hoon...
aage bhi aap ki umeedon par khara utarne ki koshish karta rahunga...likhte rahiye aur apna khayal rakhiye..
-Manoj


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Kisi kee yaadon ke saaye..... anish_ekshayar Shayri-e-Dard 2 4th August 2006 08:03 PM
~*~*~*Guzri yaadon ke saaye*~*~*~ Aman_rahi Shayri-e-Dard 22 14th June 2005 04:30 PM
saaye kishor Shayri-e-Dard 1 3rd May 2005 01:18 AM
Meri yaadon kay saaye main, apne aap ko bhula dena Ajforu Shayri-e-Dard 1 29th February 2004 09:30 PM
teri yaadon ke saaye ......... maikasH Shayri-e-Dard 2 16th October 2001 06:43 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com