Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Ghazal: Maut ka darr hi kahiiN maar na daale mujhko
Old
  (#1)
kasak
Pieces of me!
kasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to all
 
kasak's Avatar
 
Offline
Posts: 823
Join Date: Jul 2005
Location: Bhopal(MP, india)
Rep Power: 25
Ghazal: Maut ka darr hi kahiiN maar na daale mujhko - 13th February 2009, 12:01 PM

YaaraaN-e-bazm ko mera adaab!
dostoN, kuch roz pehle kisi ghazal ka ek misra sunaa tha kahiiN, 'Zindagi kar gayii sholoN ke hawaale mujhko'. Shayad Rahat Indori sahab ke muh se suni thi ...bahut koshish ki, magar aage ki ghazal yaad na aa sakii ..phir zehen me khayaal aaya ki kyuN na isi zameen pe apni khud ki ghazal banaauN...
toh leejiye, haazir ho gayi maiN phir ek nayii ghazal ke saaath ...gaur farmaaiyega ..

Maut kaa darr hii kahiiN maar na daale mujhko
'Zindagii kar gayi sholoN ke hawaale mujhko'

Ishq itnaa toh kar ki neend se jaaguN main zaraa
Aake ek baar toh seene se lagaale mujhko

Kab kahaa maine mujhe aag ka fun haasil hai?
Kab kahaa maine charaaghoN saa jalaale mujhko?

Waqt hii hai ke jo bas laut kar nahiiN aata
maiN toh insaa.N huN sadaa deke bulaale mujhko

apnii hastii pe is qadar bhii na itraa jaanaa.N!
hoor kehte haiN mere chaahne waale mujhko

wo ‘KasaK’ rabt rakhe bas chaahe jaisaa rakkhe
humsafar naa sahii dushman hi banaale mujhko ....

galtiyaaN muaaf kijiyega ..veteran writers se iltijaa hai galtiyaaN thok me nikaaleiN

ijaazat,
KasaK

~A tease in heart~

Judaa huye haiN bahut log, ek tum bhii sahii,
Ab itnii sii baat pe kyaa zindagii haraam kareiN ..

Last edited by kasak; 13th February 2009 at 12:13 PM..
  Send a message via Yahoo to kasak  
Reply With Quote
Old
  (#2)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
13th February 2009, 12:35 PM

kasak saahiibaa!

aadaab arz hai!

to aap ne apni Ghazal se mehfil ko raushan kar hi diyaa

Ghazal ka majmuee rang pasand aaya so daad qubuul keejiye!

Quote:
apnii hastii pe is qadar bhii na itraa jaanaa.N!
hoor kehte haiN mere chaahne waale mujhko

aap ne khud ki taareef karne me.n koii kasar nahii.n chhoDi hai yahaa.n! , main yeh soch raha huu.n ki log kitni khuubi se apni taareef kar lete hai.n...

Khair, mazaak ki baat alag... sher achchha hai! daad!

ab phir dubaara haazir hote hai.n kuchh Der me.n, tab jaa kar tafseel se aap ki Ghazal par raa'ey de paaye.nge.... tab tak intazaar keejiye!

Mayank

  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#3)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
13th February 2009, 01:04 PM

Waqt hii hai ke jo bas laut kar nahiiN aata
maiN toh insaa.N huN sadaa deke bulaale mujhko

apnii hastii pe is qadar bhii na itraa jaanaa.N!
hoor kehte haiN mere chaahne waale mujhko

wo ‘KasaK’ rabt rakhe bas chaahe jaisaa rakkhe
humsafar naa sahii dushman hi banaale mujhko ....

waah kasak saahiba waah...kamaal kar diya ek baar fir se bhopal ka naam roshan kiya hai...daad kubool ho....bakhuda aaj itne arse ke baad aapko padhkar ye mahsoos hua hai ki meri pichli shayri.com fir se ek baar lout aai hai...behad acchee nazm hai.keep writing....
shaad.
   
Reply With Quote
bhut khub
Old
  (#4)
rajveeer
shayri is my life
rajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud of
 
rajveeer's Avatar
 
Offline
Posts: 1,938
Join Date: Jun 2006
Location: Punjab(Phagwara)Now:(California) USA
Rep Power: 33
bhut khub - 13th February 2009, 01:05 PM

kasak ji adaab, kyaa baat hai dilfrabe qalaam...kasam se maza aa gyaa,.

aapne jo zameen chuni hai bhut lajawaab hai...ye qateel sahib ki gazal ki zameen hai......

apne haatho ki lakeero mein basa le mujhko
main hoon tera to naseeb apna bana le mujhko

khud ko main baant na daalu kahin daman daman
kar diya tune agar mere hawaale mujhko...

wada fir wada hai main zehar bhii pee jaoun"qateel'
sharat yeh hai ki koii baaho mein sanbhale mujhko......

daad kabool kijiyega........Raj.......

un se kar liya kinara unki khushi ki khatir
ab mujhe bewafa kahiye ya bawafa kahiye...(Raj)
 Send a message via ICQ to rajveeer Send a message via Yahoo to rajveeer  
Reply With Quote
Old
  (#5)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
13th February 2009, 01:06 PM

Kasak saaHibaa:

aadaab!!

aapka aNdaaz-e-bayaaN beHteriN rahaa...Ghazal Khuub kahii haii aapne.. Ghazal kaa maq'taa mujhe Khaas pasaNd aayaa... dil se DheroN saarii daad !!

YuuNhi liKhate raheN aage bhee.. duaa hai Zor-e-qalaam aur baRheN zeyaadaah!

KhuSh raheN... apnaa Khayaal raKheN

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~ Dhaval

*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
kasak
Pieces of me!
kasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to all
 
kasak's Avatar
 
Offline
Posts: 823
Join Date: Jul 2005
Location: Bhopal(MP, india)
Rep Power: 25
13th February 2009, 03:25 PM

Quote:
Originally Posted by Mayank View Post
kasak saahiibaa!

aadaab arz hai!

to aap ne apni Ghazal se mehfil ko raushan kar hi diyaa

Ghazal ka majmuee rang pasand aaya so daad qubuul keejiye!

aap ne khud ki taareef karne me.n koii kasar nahii.n chhoDi hai yahaa.n! , main yeh soch raha huu.n ki log kitni khuubi se apni taareef kar lete hai.n...

Khair, mazaak ki baat alag... sher achchha hai! daad!

ab phir dubaara haazir hote hai.n kuchh Der me.n, tab jaa kar tafseel se aap ki Ghazal par raa'ey de paaye.nge.... tab tak intazaar keejiye!

Mayank

achcha janaaB ...toh aadha-pardha bhi kyuN kiya? ...aap toh un logoN me se ho jo ghazaloN ko udheR-udheR ke padhte haiN
wo toh khair maine apni itnii taareef kar di us sher me toh aapne izzat rakh li ...lolz!
khair ..aapke replies toh humesha hi mazedaar hote haiN ..aur rahii baat wo HOOR wale sher ki ...toh apko toh pata hi hai ki maiN apni taareef kitni kam karti hooN so is baar i thought ki ghazal me kuch toh daal dun!
technically toh bahut mushkil hoti hai mujhe, magar likh maiN lungi ..edit aap log kar dena
beherhaal, honsla-afzaai ka shukriya ..aate rahiyega!
ijaazat,
KasaK

~A tease in heart~

Judaa huye haiN bahut log, ek tum bhii sahii,
Ab itnii sii baat pe kyaa zindagii haraam kareiN ..
  Send a message via Yahoo to kasak  
Reply With Quote
Old
  (#7)
kasak
Pieces of me!
kasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to all
 
kasak's Avatar
 
Offline
Posts: 823
Join Date: Jul 2005
Location: Bhopal(MP, india)
Rep Power: 25
13th February 2009, 03:32 PM

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post
Waqt hii hai ke jo bas laut kar nahiiN aata
maiN toh insaa.N huN sadaa deke bulaale mujhko

apnii hastii pe is qadar bhii na itraa jaanaa.N!
hoor kehte haiN mere chaahne waale mujhko

wo ‘KasaK’ rabt rakhe bas chaahe jaisaa rakkhe
humsafar naa sahii dushman hi banaale mujhko ....

waah kasak saahiba waah...kamaal kar diya ek baar fir se bhopal ka naam roshan kiya hai...daad kubool ho....bakhuda aaj itne arse ke baad aapko padhkar ye mahsoos hua hai ki meri pichli shayri.com fir se ek baar lout aai hai...behad acchee nazm hai.keep writing....
shaad.
shaad sahab ...
ek arsa hua aapse guft-goo kiye huye ...yuuN maaniye masroofiyat ne qahar sa dhaa diya zindagi pe ..na aapka pata tha, aur na mera
kahaaN haiN aap? ..mumbai me hi? kaam-kaaj ke kya haal?
contact me rahiyega ...
saaloN baad meri kavish pe aapka aana hua ...aur sahi baat hai, hum hi gum ho gaye the andheroN me ..SDC toh humesha hi wahi thi ..jo pyar kal mila karta tha .wahi aaj bhi milta hai ...shayad kahiin zyada hi!
beherhaal, apne sheher ka naam sirf hum hi roshan kareNge aap yunhi ate rahiyega!

ijaazat,
KasaK

~A tease in heart~

Judaa huye haiN bahut log, ek tum bhii sahii,
Ab itnii sii baat pe kyaa zindagii haraam kareiN ..
  Send a message via Yahoo to kasak  
Reply With Quote
Old
  (#8)
kasak
Pieces of me!
kasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to all
 
kasak's Avatar
 
Offline
Posts: 823
Join Date: Jul 2005
Location: Bhopal(MP, india)
Rep Power: 25
13th February 2009, 03:34 PM

Quote:
Originally Posted by rajveeer View Post
kasak ji adaab, kyaa baat hai dilfrabe qalaam...kasam se maza aa gyaa,.

aapne jo zameen chuni hai bhut lajawaab hai...ye qateel sahib ki gazal ki zameen hai......

apne haatho ki lakeero mein basa le mujhko
main hoon tera to naseeb apna bana le mujhko

khud ko main baant na daalu kahin daman daman
kar diya tune agar mere hawaale mujhko...

wada fir wada hai main zehar bhii pee jaoun"qateel'
sharat yeh hai ki koii baaho mein sanbhale mujhko......

daad kabool kijiyega........Raj.......
arre waah, ye toh meri padhii huyi hai
raj sahab, umr ke saath saath merii yaaddasht kamzor hoti jaa rahi hai ...hahaha!
waise ye zameeN hi kuch aisi hai ...mazaa aata hai likhke!
thank you for coming ..

ijaazat,
KasaK

~A tease in heart~

Judaa huye haiN bahut log, ek tum bhii sahii,
Ab itnii sii baat pe kyaa zindagii haraam kareiN ..
  Send a message via Yahoo to kasak  
Reply With Quote
Old
  (#9)
kasak
Pieces of me!
kasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to all
 
kasak's Avatar
 
Offline
Posts: 823
Join Date: Jul 2005
Location: Bhopal(MP, india)
Rep Power: 25
13th February 2009, 03:39 PM

Quote:
Originally Posted by dhavalrami4you View Post
Kasak saaHibaa:

aadaab!!

aapka aNdaaz-e-bayaaN beHteriN rahaa...Ghazal Khuub kahii haii aapne.. Ghazal kaa maq'taa mujhe Khaas pasaNd aayaa... dil se DheroN saarii daad !!

YuuNhi liKhate raheN aage bhee.. duaa hai Zor-e-qalaam aur baRheN zeyaadaah!

KhuSh raheN... apnaa Khayaal raKheN

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~ Dhaval
aadaab dhaval sahab,
maqte ne toh jaan nikaal di thi meri ..sach kahuN toh 15 min akele maqte se joojhti rahi maiN khair, mehnat asar dikh hi deti hai ...hai ke nahiN?
bahut bahut shukriya .....aate rahiyega!
ijaazat,
KasaK

~A tease in heart~

Judaa huye haiN bahut log, ek tum bhii sahii,
Ab itnii sii baat pe kyaa zindagii haraam kareiN ..
  Send a message via Yahoo to kasak  
Reply With Quote
Old
  (#10)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
14th February 2009, 10:50 AM

Quote:
YaaraaN-e-bazm ko mera adaab!
dostoN, kuch roz pehle kisi ghazal ka ek misra sunaa tha kahiiN, 'Zindagi kar gayii sholoN ke hawaale mujhko'. Shayad Rahat Indori sahab ke muh se suni thi ...bahut koshish ki, magar aage ki ghazal yaad na aa sakii ..phir zehen me khayaal aaya ki kyuN na isi zameen pe apni khud ki ghazal banaauN...
toh leejiye, haazir ho gayi maiN phir ek nayii ghazal ke saaath ...gaur farmaaiyega ..
kasak saahiba, waade ke mutaabik dubaara haazir huu.n.. is ummeed ke saath ki aap ki Ghazal par kuch raaey de paau.nga. jo achchhi lage us par Ghaur farmaa leejiye, baaqi jo achchhi na lage us ke liye raDDi ki Tokri to hogii hii...

Quote:
Maut kaa darr hii kahiiN maar na daale mujhko
'Zindagii kar gayi sholoN ke hawaale mujhko'

Girah achchhi nahii.n lag paayii, pahla misra mujhe behad kamzor laga aur khayaal bhi ulajh gaya hai.... aap kuchh duusra kahene ki koshish keejiye.. ek-do suurat mere zehn me.n bhi hai!

1)ban ke ham shaaya mera koii sa.nbhaale mujh ko.
'Zindagii kar gayi sholoN ke hawaale mujh ko'

2)aarzuu jeene ki ab maar na Daale mujh ko!

aap bhi dekhiye, koii aur suurat...
Quote:
Ishq itnaa toh kar ki neend se jaaguN main zaraa
Aake ek baar toh seene se lagaale mujhko

is sher ke baare me.n bhi mera khayaal pahle ke jaise hi hai..
'Ishq itnaa toh kar ki neend se jaaguN main zaraa' , mujeh yeh misra samjh me.n nahii aaya, ishq ka niind se kyaa ta'alluk ya phir ho sakta hai ki aap ne jitna gehra socha hai mai.n wahaa.n tak nahii.n pahunch paaya huu.n.. to ek suurat mere zehn me.n yeh aa rahi hai;-

ik muddat se huu.n pyaasi tere pyaar ke liye!
Aa ke ek baar toh seene se lagaale mujhko

Quote:

Kab kahaa maine mujhe aag ka fun haasil hai?
Kab kahaa maine charaaghoN saa jalaale mujhko?

yeh sher bhi behad uljhaa huaa lag raha hai... aap dubaara dekhiye ki bayaa.n kaise aasaan ho sake!

Quote:
Waqt hii hai ke jo bas laut kar nahiiN aata
maiN toh insaa.N huN sadaa deke bulaale mujhko

yeh sher achchha hai! is tarh se bhi kaha jaa sakta hai:-

mai.n koii waqt nahii.n laut ke phir aa bhee na sakuu.n
maiN toh insaan huu.n jis waqt bulaale mujhko
Quote:
apnii hastii pe is qadar bhii na itraa jaanaa.N!
hoor kehte haiN mere chaahne waale mujhko

is sher ke baare me.n to, ham pahle se kah chuke hai.n! sher achcha hai yeh ! pahle misra yuu.n bhi kah sakte hai.n:-

is qadar hasti pe apni tuu na itraa jaanaa.n..
hoor kahte....................

Quote:
wo ‘KasaK’ rabt rakhe bas chaahe jaisaa rakkhe
humsafar naa sahii dushman hi banaale mujhko ....

pahla misra aisa bhi kaha jaa sakta hai;-

rabt rakkhe vo 'kasak' jaisa woh chaahe rakkhe!
humsafar na sahii....................................
Quote:

.veteran writers se iltijaa hai galtiyaaN thok me nikaaleiN

ijaazat,
KasaK
yahaa,n veteran writer kaun hai, yah to nahii.n pata , jab woh raa'ey denge tab de.nge, filhaal ham jaise 'TaT-Punjiye' shayar ki raa'ey se kaam chala leejiye!

Mayank
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#11)
kasak
Pieces of me!
kasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to all
 
kasak's Avatar
 
Offline
Posts: 823
Join Date: Jul 2005
Location: Bhopal(MP, india)
Rep Power: 25
14th February 2009, 12:38 PM

UdheR diya janaab ..ek ek rowaa.N nikaal ke
sai hai ...khayaal toh itne gehre the ki mujhe bhi samajh nahiN aaye ..lolz!
isiliye toh kehti phirti hooN ...mere saath likhne ka idea drop kar dijiye ...
aur beher seekhne ki koi badhiya site dijiye!
shukriyah!

ijaazat,
KasaK

~A tease in heart~

Judaa huye haiN bahut log, ek tum bhii sahii,
Ab itnii sii baat pe kyaa zindagii haraam kareiN ..
  Send a message via Yahoo to kasak  
Reply With Quote
Old
  (#12)
stillalive
Guest
 
Posts: n/a
14th February 2009, 01:44 PM

bahut acha laga aapko padhna...
khayaal umda lage..or ashaar bhi...
humein kamiyaan nikaalna nahi aata...
par achhi cheez ki taarif karna aata hai
khush rahein

likhti rahiye....

god bless u..
vicky
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
rahnuma
Rahnuma istiyaq
rahnuma has a spectacular aura aboutrahnuma has a spectacular aura aboutrahnuma has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 102
Join Date: Sep 2007
Location: mumbai
Rep Power: 19
14th February 2009, 10:23 PM

mubaraqbad zinda gazal ke liye
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
19th February 2009, 02:42 AM

Quote:
Originally Posted by kasak View Post
UdheR diya janaab ..ek ek rowaa.N nikaal ke
sai hai ...khayaal toh itne gehre the ki mujhe bhi samajh nahiN aaye ..lolz!
isiliye toh kehti phirti hooN ...mere saath likhne ka idea drop kar dijiye ...
aur beher seekhne ki koi badhiya site dijiye!
shukriyah!

ijaazat,
KasaK

"beher seekhne ki koi badhiya site dijiye!"

aapki is itni si baat ne Mayank saheb ki saari mehnat par paani pher diya!!

I hope you realise it!!

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#15)
dheer
Registered User
dheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant future
 
dheer's Avatar
 
Offline
Posts: 875
Join Date: Nov 2004
Location: udaipur
Rep Power: 35
19th February 2009, 01:23 PM

kasak saHiba, aadaab!

vaade ke mutaabik haazir huN. koshish achchhee hai magar guzishta kalaamoN ke muqaabale is ghazal se kam hee mutaas'sir huaa huN. mazaarat!! Mayank saHeb ne achchhaa tabsaraa kiyaa hai so mujh taalib e ilm ke liye gunjaish kam hai.
2-1 baateiN arz kar rahaa huN. sher kahne se pehle agar khayaal zeh'n meN hee uljhaa huaa ho to sher bhee ulajh jaataa hai. donoN misroN meN rabt aur saHeeH alfaaz chun'naa apnee ahmiyat rakhte haiN, so us taraf bhee kuchh mehnat ho jaaye ... for example

Maut kaa darr hii kahiiN maar na daale mujhko
'Zindagii kar gayi sholoN ke hawaale mujhko'!

donoN misroN meN koee rabt naheeN hai! apnee apnee kahaanee kah rahe haiN.ek soorat yeh dekhiye.

ban ke baadal koee seene se lagaa le mujh ko,
zindagee ----------------------------------

ai sanam! der nah kar! aa ke bachaale mujh ko,
zindagee-----------------------------------
==================================================

apnii hastii pe is qadar bhii na itraa jaanaa.N!
hoor kehte haiN mere chaahne waale mujhko!

ab jahaaN doosre misre "hoor" kee baat ho rahee hai wahaaN pehle misre meN "hastee" kaise khap saktaa hai. "husn" kee baat keejiye.

aapkee aglee kaavish kaa intazaar rahegaa. mashq jaaree raklhiyegaa!

dheer
  Send a message via Yahoo to dheer  
Reply With Quote
Old
  (#16)
eliyas
Registered User
eliyas will become famous soon enougheliyas will become famous soon enough
 
eliyas's Avatar
 
Offline
Posts: 138
Join Date: Mar 2007
Location: mumbai
Rep Power: 19
19th February 2009, 03:47 PM

wah wah kasak ji, bahot khub, daad kabul kijiye,
take care
bye

koi pyaar chahe to koi jahan chahe,
koi doulat chahe to koi shaan chahe,
hum to jindagi ke sataye huwe hai,
‘Eliyas’ to khudase do gaaz zameen aur kafan chahe

- ELIYAS SHAIKH
  Send a message via Yahoo to eliyas  
Reply With Quote
Old
  (#17)
kasak
Pieces of me!
kasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to all
 
kasak's Avatar
 
Offline
Posts: 823
Join Date: Jul 2005
Location: Bhopal(MP, india)
Rep Power: 25
20th February 2009, 06:44 PM

Quote:
Originally Posted by stillalive View Post
bahut acha laga aapko padhna...
khayaal umda lage..or ashaar bhi...
humein kamiyaan nikaalna nahi aata...
par achhi cheez ki taarif karna aata hai
khush rahein

likhti rahiye....

god bless u..
vicky
adaab vicky jee!
jee ab kya kaheiN, galtiyaaN nikaalna koi badii baat nahiN hai ...galtiyaan kaise sudhaareiN, wo ehem baat hai ...!
and mayank jee haiN na ...hum gareeboN ke maseeha
bahut bahut shukriya aane ka ....

ijaazat,
KasaK

~A tease in heart~

Judaa huye haiN bahut log, ek tum bhii sahii,
Ab itnii sii baat pe kyaa zindagii haraam kareiN ..
  Send a message via Yahoo to kasak  
Reply With Quote
Old
  (#18)
kasak
Pieces of me!
kasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to all
 
kasak's Avatar
 
Offline
Posts: 823
Join Date: Jul 2005
Location: Bhopal(MP, india)
Rep Power: 25
20th February 2009, 06:48 PM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
"beher seekhne ki koi badhiya site dijiye!"

aapki is itni si baat ne Mayank saheb ki saari mehnat par paani pher diya!!

I hope you realise it!!

aadaab maikash sahab ...
arre aap kha-ma-kha galat le gaye baat ko ...beher seekhne ke liye maiN toh kayii saaloN se ro rahi hooN unke saamne ..wo har baar taal jaate haiN
isliye maiNe kaha ki ghazal-dar-ghazal beher seekhna thoda mushkil hoga ..isliye mujhe perfect knowledge ke liye koi badhiya site bataaayeiN taaki maiN aap logoN ko niraash na karuN ..
bas itni sii baat thi ...
and mayank jee se toh bahut achche rishte haiN ..i hope he doesn't mind anything i say or do ..

ijaazat,
KasaK

~A tease in heart~

Judaa huye haiN bahut log, ek tum bhii sahii,
Ab itnii sii baat pe kyaa zindagii haraam kareiN ..
  Send a message via Yahoo to kasak  
Reply With Quote
Old
  (#19)
kasak
Pieces of me!
kasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to all
 
kasak's Avatar
 
Offline
Posts: 823
Join Date: Jul 2005
Location: Bhopal(MP, india)
Rep Power: 25
20th February 2009, 06:51 PM

Quote:
Originally Posted by dheer View Post
kasak saHiba, aadaab!

vaade ke mutaabik haazir huN. koshish achchhee hai magar guzishta kalaamoN ke muqaabale is ghazal se kam hee mutaas'sir huaa huN. mazaarat!! Mayank saHeb ne achchhaa tabsaraa kiyaa hai so mujh taalib e ilm ke liye gunjaish kam hai.
2-1 baateiN arz kar rahaa huN. sher kahne se pehle agar khayaal zeh'n meN hee uljhaa huaa ho to sher bhee ulajh jaataa hai. donoN misroN meN rabt aur saHeeH alfaaz chun'naa apnee ahmiyat rakhte haiN, so us taraf bhee kuchh mehnat ho jaaye ... for example

Maut kaa darr hii kahiiN maar na daale mujhko
'Zindagii kar gayi sholoN ke hawaale mujhko'!

donoN misroN meN koee rabt naheeN hai! apnee apnee kahaanee kah rahe haiN.ek soorat yeh dekhiye.

ban ke baadal koee seene se lagaa le mujh ko,
zindagee ----------------------------------

ai sanam! der nah kar! aa ke bachaale mujh ko,
zindagee-----------------------------------
==================================================

apnii hastii pe is qadar bhii na itraa jaanaa.N!
hoor kehte haiN mere chaahne waale mujhko!

ab jahaaN doosre misre "hoor" kee baat ho rahee hai wahaaN pehle misre meN "hastee" kaise khap saktaa hai. "husn" kee baat keejiye.
==================================================

aapkee aglee kaavish kaa intazaar rahegaa. mashq jaaree raklhiyegaa!

dheer
dheer sahab,
vaada nibhaane ka bahut bahut shukriya
ab itni innovation hoti toh kya baat thi ....aapne toh kamaal examples diye ...mere dimaag me aate hi nahiN haiN aise!
khair, i agreed to every point you guys quoted about ...
and aap agli kavish pe dekhiyega ....aap logoN ko niraash nahiN karuNgi ...

ijaazat,
KasaK

~A tease in heart~

Judaa huye haiN bahut log, ek tum bhii sahii,
Ab itnii sii baat pe kyaa zindagii haraam kareiN ..
  Send a message via Yahoo to kasak  
Reply With Quote
Old
  (#20)
Fathomless
Ð Amorist
Fathomless is a splendid one to beholdFathomless is a splendid one to beholdFathomless is a splendid one to beholdFathomless is a splendid one to beholdFathomless is a splendid one to beholdFathomless is a splendid one to beholdFathomless is a splendid one to behold
 
Fathomless's Avatar
 
Offline
Posts: 2,283
Join Date: Aug 2008
Rep Power: 26
20th February 2009, 06:52 PM

Quote:
Originally Posted by kasak View Post
dheer sahab,
vaada nibhaane ka bahut bahut shukriya
ab itni innovation hoti toh kya baat thi ....aapne toh kamaal examples diye ...mere dimaag me aate hi nahiN haiN aise!
khair, i agreed to every point you guys quoted about ...
and aap agli kavish pe dekhiyega ....aap logoN ko niraash nahiN karuNgi ...

ijaazat,
KasaK
haha.....sahi me mere bhi upar se hi gaya inka explanation

lekin Kasak ji......likha bahot khoob hai aapne

Save me from the safety of my SILENCE
   
Reply With Quote
Old
  (#21)
Rashid_rahil
Registered User
Rashid_rahil is a splendid one to beholdRashid_rahil is a splendid one to beholdRashid_rahil is a splendid one to beholdRashid_rahil is a splendid one to beholdRashid_rahil is a splendid one to beholdRashid_rahil is a splendid one to beholdRashid_rahil is a splendid one to behold
 
Rashid_rahil's Avatar
 
Offline
Posts: 309
Join Date: Mar 2006
Rep Power: 26
20th February 2009, 06:57 PM

Wah Wah bahut khoob kasak ji,

Aap ke ashaar dekh kar to Rahat Indori sahab bhi danton tale ungli dabaa lenge.

apnii hastii pe is qadar bhii na itraa jaanaa.N!
hoor kehte haiN mere chaahne waale mujhko

wo ‘KasaK’ rabt rakhe bas chaahe jaisaa rakkhe
humsafar naa sahii dushman hi banaale mujhko ..

Ye lines dil ke qareeb rahi

Daad kubul kijiye

With best wishes

Rashid

Quote:
Originally Posted by kasak View Post
YaaraaN-e-bazm ko mera adaab!
dostoN, kuch roz pehle kisi ghazal ka ek misra sunaa tha kahiiN, 'Zindagi kar gayii sholoN ke hawaale mujhko'. Shayad Rahat Indori sahab ke muh se suni thi ...bahut koshish ki, magar aage ki ghazal yaad na aa sakii ..phir zehen me khayaal aaya ki kyuN na isi zameen pe apni khud ki ghazal banaauN...
toh leejiye, haazir ho gayi maiN phir ek nayii ghazal ke saaath ...gaur farmaaiyega ..

Maut kaa darr hii kahiiN maar na daale mujhko
'Zindagii kar gayi sholoN ke hawaale mujhko'

Ishq itnaa toh kar ki neend se jaaguN main zaraa
Aake ek baar toh seene se lagaale mujhko

Kab kahaa maine mujhe aag ka fun haasil hai?
Kab kahaa maine charaaghoN saa jalaale mujhko?

Waqt hii hai ke jo bas laut kar nahiiN aata
maiN toh insaa.N huN sadaa deke bulaale mujhko

apnii hastii pe is qadar bhii na itraa jaanaa.N!
hoor kehte haiN mere chaahne waale mujhko

wo ‘KasaK’ rabt rakhe bas chaahe jaisaa rakkhe
humsafar naa sahii dushman hi banaale mujhko ....

galtiyaaN muaaf kijiyega ..veteran writers se iltijaa hai galtiyaaN thok me nikaaleiN

ijaazat,
KasaK

Tu AndheroN -ujaaloN me mila kar mujhko
Zindagi ab to sawaloN me mila kar mujhko

Reply With Quote
Old
  (#22)
LAMHA
beautiful moment.........
LAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant future
 
LAMHA's Avatar
 
Offline
Posts: 6,429
Join Date: Jul 2007
Location: u.s.a
Rep Power: 42
20th February 2009, 06:57 PM

Waqt hii hai ke jo bas laut kar nahiiN aata
maiN toh insaa.N huN sadaa deke bulaale mujhko

apnii hastii pe is qadar bhii na itraa jaanaa.N!
hoor kehte haiN mere chaahne waale mujhko

wahhhhhhhhhhhhhh wahhhhhhhhhh wahhhhhhhhhhhhhh....kya baat hai KASAK.....kya khoob mehfil me rounak le aayi hai aap...andaaz-e-bayaan bahut khubsoorat hai...specially upar ke do aashar....mind blowing dear.....keep writing....

"LAMHA"

mujhko acchaa nahiiN lagtaa ko’ii hamnaam teraa ,
ko’ii tujhsaa ho to phir naam bhii tujhsaa rakhe....
  Send a message via Yahoo to LAMHA  
Reply With Quote
Old
  (#23)
kasak
Pieces of me!
kasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to all
 
kasak's Avatar
 
Offline
Posts: 823
Join Date: Jul 2005
Location: Bhopal(MP, india)
Rep Power: 25
20th February 2009, 07:13 PM

Quote:
Originally Posted by Fathomless View Post
haha.....sahi me mere bhi upar se hi gaya inka explanation

lekin Kasak ji......likha bahot khoob hai aapne

arre aisa kya?
uupar se nai nikla mere ...examples dekhiye sahab .. kisi veteran shayar me aur ek aam shayar me yahi farq hota hai ... baithe baithe ghazal ban jati hai
mujhse nahiN banti ... ab dheer sahab toh dheer sahab haiN
shukriya jee aane ka

ijaazat,
KasaK

~A tease in heart~

Judaa huye haiN bahut log, ek tum bhii sahii,
Ab itnii sii baat pe kyaa zindagii haraam kareiN ..
  Send a message via Yahoo to kasak  
Reply With Quote
Old
  (#24)
kasak
Pieces of me!
kasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to all
 
kasak's Avatar
 
Offline
Posts: 823
Join Date: Jul 2005
Location: Bhopal(MP, india)
Rep Power: 25
20th February 2009, 07:15 PM

Quote:
Originally Posted by Rashid_rahil View Post
Wah Wah bahut khoob kasak ji,

Aap ke ashaar dekh kar to Rahat Indori sahab bhi danton tale ungli dabaa lenge.

apnii hastii pe is qadar bhii na itraa jaanaa.N!
hoor kehte haiN mere chaahne waale mujhko

wo ‘KasaK’ rabt rakhe bas chaahe jaisaa rakkhe
humsafar naa sahii dushman hi banaale mujhko ..

Ye lines dil ke qareeb rahi

Daad kubul kijiye

With best wishes

Rashid
janaab rahil sahab, adaab!
itna toh na hi kaheiN ..ki rahat indori sahab ungliyaan chabaa leNge
dukhi hoNge ki itni badhiya zameeN pe aisa implementation

Khair, aapne jo 2 sher quote kiye wo mujhe bhi pasand aaye ....
bahut bahut shukriya aane ka
ijaazat,
KasaK

~A tease in heart~

Judaa huye haiN bahut log, ek tum bhii sahii,
Ab itnii sii baat pe kyaa zindagii haraam kareiN ..
  Send a message via Yahoo to kasak  
Reply With Quote
Old
  (#25)
kasak
Pieces of me!
kasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to all
 
kasak's Avatar
 
Offline
Posts: 823
Join Date: Jul 2005
Location: Bhopal(MP, india)
Rep Power: 25
20th February 2009, 07:19 PM

Quote:
Originally Posted by LAMHA View Post

Waqt hii hai ke jo bas laut kar nahiiN aata
maiN toh insaa.N huN sadaa deke bulaale mujhko

apnii hastii pe is qadar bhii na itraa jaanaa.N!
hoor kehte haiN mere chaahne waale mujhko

wahhhhhhhhhhhhhh wahhhhhhhhhh wahhhhhhhhhhhhhh....kya baat hai KASAK.....kya khoob mehfil me rounak le aayi hai aap...andaaz-e-bayaan bahut khubsoorat hai...specially upar ke do aashar....mind blowing dear.....keep writing....

adaab lamha jee ....
aapko achcha lagaa ...mujhe badi khushi huyi ...ehsaasoN ko technically implement karna seekh rahi hooN ...kuch waqt lagega ...magar jald hi ek pur-asar ghazal pesh karungi ...!
shukriya aane ka ..

ijaazat,
KasaK

~A tease in heart~

Judaa huye haiN bahut log, ek tum bhii sahii,
Ab itnii sii baat pe kyaa zindagii haraam kareiN ..
  Send a message via Yahoo to kasak  
Reply With Quote
Old
  (#26)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
20th February 2009, 09:24 PM

Maut kaa darr hii kahiiN maar na daale mujhko
'Zindagii kar gayi sholoN ke hawaale mujhko'

Ishq itnaa toh kar ki neend se jaaguN main zaraa
Aake ek baar toh seene se lagaale mujhko

Kab kahaa maine mujhe aag ka fun haasil hai?
Kab kahaa maine charaaghoN saa jalaale mujhko?

Waqt hii hai ke jo bas laut kar nahiiN aata
maiN toh insaa.N huN sadaa deke bulaale mujhko

apnii hastii pe is qadar bhii na itraa jaanaa.N!
hoor kehte haiN mere chaahne waale mujhko

wo ‘KasaK’ rabt rakhe bas chaahe jaisaa rakkhe
humsafar naa sahii dushman hi banaale mujhko ....

Dear Kasak........bazm mein aapki kavish padna accha laga.....mujhe technically to jayada knowledge nahi hai, haan ahsaas behad acche lage mujhe....1st aur 2nd sher uljey se lage jo mujhe samaj nahi aaye....baaki sher acche lage....last wale dono sher sabse jayada badiya lage....!

yoon hi aati rahiye aur likhti rahiye, aapki next creation ka intzaar rahega.

duao.n ke saath

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#27)
Praneeta
~"REBELLIOUS IN LOVE"~
Praneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Praneeta's Avatar
 
Offline
Posts: 3,264
Join Date: Feb 2008
Location: Ruatonga, Cook Islands
Rep Power: 52
Love 21st February 2009, 07:52 AM

Quote:
Originally Posted by kasak View Post
YaaraaN-e-bazm ko mera adaab!
dostoN, kuch roz pehle kisi ghazal ka ek misra sunaa tha kahiiN, 'Zindagi kar gayii sholoN ke hawaale mujhko'. Shayad Rahat Indori sahab ke muh se suni thi ...bahut koshish ki, magar aage ki ghazal yaad na aa sakii ..phir zehen me khayaal aaya ki kyuN na isi zameen pe apni khud ki ghazal banaauN...
toh leejiye, haazir ho gayi maiN phir ek nayii ghazal ke saaath ...gaur farmaaiyega ..

Maut kaa darr hii kahiiN maar na daale mujhko
'Zindagii kar gayi sholoN ke hawaale mujhko'

Ishq itnaa toh kar ki neend se jaaguN main zaraa
Aake ek baar toh seene se lagaale mujhko

Kab kahaa maine mujhe aag ka fun haasil hai?
Kab kahaa maine charaaghoN saa jalaale mujhko?

Waqt hii hai ke jo bas laut kar nahiiN aata
maiN toh insaa.N huN sadaa deke bulaale mujhko

apnii hastii pe is qadar bhii na itraa jaanaa.N!
hoor kehte haiN mere chaahne waale mujhko

wo ‘KasaK’ rabt rakhe bas chaahe jaisaa rakkhe
humsafar naa sahii dushman hi banaale mujhko ....

galtiyaaN muaaf kijiyega ..veteran writers se iltijaa hai galtiyaaN thok me nikaaleiN

ijaazat,
KasaK
mindblowing kasak ji.........khaas kar ke ye line
humsafar naa sahii dushman hi banaale mujhko
bahot khub......keep writing
Regards
Praneeta

_______________________________________________
PRANEETA

Kaash k khamoshi bhi ek zabaaN hoti
Main dekta rehta unhe aur haal-e-dil bayaaN hota
Ananthpak
  Send a message via Yahoo to Praneeta Send a message via Skype™ to Praneeta 
Reply With Quote
Old
  (#28)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
21st February 2009, 01:58 PM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
"beher seekhne ki koi badhiya site dijiye!"

aapki is itni si baat ne Mayank saheb ki saari mehnat par paani pher diya!!

I hope you realise it!!
maikash bhaaii,

aap ne jo pyaar diya hai aur izzat afzaaii ki hai us ke liye shukriya kahana na-kaafi hai..... phir bhi kyaa karuu.n, filhaal yahii ikhtiyaar me.n hai... aap ka tah-e-dil se aabhaari huu.n..

aur kasak jee ne jaisa ki niiche bhi mention kiya hai, mai.n bhii maan,ta huu.n ki un ka iiraada kuchh aisa nahii.n tha. dar-asal kasak jee ko yeh maloom hoga ki aisii koii site nahii.n hai jahaa.n behr ki paaTh-saala ho,aur behr sikhaaya jaa rahaa ho.. yeh sirf khud ki mehnat, maashq aur kisi achche guru se haasil kiya jaa sakta hai. shaayad un ka ishaara behr se related article ki aur ho, jo mai.n unhe nahii.n de paaya huu.n...

bhaai, aap ka ek baar phir se shukriyah.. aur aap se guzaarish hai ki yuu.n hi yaahaa.n par aate rahe.n... aap ke aane se hii ham jaise nau-mashq shayar ki hausila afzaaii ho jaati hai...

gar kuch khataa ho gaii ho to muafi ka talabgaar huu.n

Mayank
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#29)
sakhi1909
raj
sakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud of
 
sakhi1909's Avatar
 
Offline
Posts: 2,332
Join Date: Aug 2003
Location: dil mein khud ke..aisa nahi kisi ko mera pata nahi hai mujhe dhundhne ki had tak koi dhundhta nahi hai..un
Rep Power: 34
23rd February 2009, 10:50 PM

kasak achi lagi mujhe to apki koshish...yuhi likhte jao..

sakhi

कुछ ऐसे पल जिनको संजोना है ,
शब्दों में पिरोना है , जिससे वो हमारी यादों में महकते रहे
 Send a message via ICQ to sakhi1909  
Reply With Quote
Old
  (#30)
redtears_ocean
Registered User
redtears_ocean is a jewel in the roughredtears_ocean is a jewel in the roughredtears_ocean is a jewel in the rough
 
redtears_ocean's Avatar
 
Offline
Posts: 1,502
Join Date: Jan 2009
Location: In YoUr HeArT
Rep Power: 19
23rd February 2009, 11:11 PM

NICE KASAK JII....acha likha hai
yun.hi likhte rahiyeh..........

Mera daman jalega tau jalogai tum bhi
yeh samajhte ho,phir aag lagate kyu ho
   
Reply With Quote
Old
  (#31)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
2nd March 2009, 09:34 AM

Waqt hii hai ke jo bas laut kar nahiiN aata
maiN toh insaa.N huN sadaa deke bulaale mujhko

SUPERB KASAK JI........YE SHER BEHAD ACCHA LAGA HAMEIN.....WAISE POORI GHAZAL KHOOBSURAT HAI...

YUHI LIKHTI RAHIYE AUR MEHFIL KO ROSHAN KARTI RAHIYE

ZAINY

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#32)
koi to ho
Registered User
koi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to behold
 
koi to ho's Avatar
 
Offline
Posts: 3,851
Join Date: Dec 2005
Location: karachi
Rep Power: 31
4th March 2009, 12:14 AM

Waqt hii hai ke jo bas laut kar nahiiN aata
maiN toh insaa.N huN sadaa deke bulaale mujhko

wo ‘KasaK’ rabt rakhe bas chaahe jaisaa rakkhe
humsafar naa sahii dushman hi banaale mujhko ....

bohat acha likha hai kasak ji koshish jaari rakhiyega

Waqt ke jisam ki kharash hoon main
apne ander se pash pash hoon main
zaaat hai aetbaar e zaaat nahin
ab to main khud bhi apne saath nahin
   
Reply With Quote
Old
  (#33)
Taish
"Taish meN hai Taish"
Taish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Taish's Avatar
 
Offline
Posts: 5,535
Join Date: Jan 2005
Location: Lost In The Cobwebs Of Mah Mind...!!
Rep Power: 48
4th March 2009, 03:37 PM

aur ji lo hum bhi aa gaye, humare udherne ke liye to mayank bhaiya ne ****a hi nahiN hai kuch, aur wah khud ki tareef me kya sher kaha hai,... waise matla thoda kamjor tha maiN sehmat huN, aur shayad ghazal utni purzor isliye v na lagi, kyuNki jis zameen pe aapne likha, vo ghazal har baar zubaaN pe aa gayi, umeed karta huN aapse aage v yuNhi mukhatib hota rahuNga mehfil me....!!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
http://alfaaz-e-taish.blogspot.in/

Ishq hota tha, ishq karte haiN,
Vo zamana tha, ye zamana hai...

----Taish

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
  Send a message via Yahoo to Taish Send a message via Skype™ to Taish 
Reply With Quote
Daad Kabool Kijiyega!!!!
Old
  (#34)
vikramjethi
masttt...
vikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.com
 
vikramjethi's Avatar
 
Offline
Posts: 2,151
Join Date: Sep 2009
Location: Chandigarh
Rep Power: 40
Thumbs up Daad Kabool Kijiyega!!!! - 7th October 2009, 05:41 PM

Padne ke baad sahi na ****du.n apni
aisa to mumkin hi nahi
Kahoo.n kya lekin itni to
mujhme liyaqat hi nahi
Ashaar tere ehsaaso.n ko byaa.n karte hai.n
Samajh sakoo.n inko itni to mujhme taqat hi nahi....!!!!

Pata nahi yeh kyo.n likha hai maine....lekin baat yeh thi ke dil se daad dena chahta tha, Likhna to khuda ki nemat hai aur aap isme labrez hai.n. Khuda kare ke aap aise hi likhe.n aur hm bhi pad ke lutf lete rahe.n......
DAAD KABOOL KIJIYEGA!!!!

'E Taahire Laahuti!!!
Uss Rizk Se Tau Maut Bhali
Jis Rizk Se Aatee Ho
Tere Parwaaz MeiN Kotaahi....

vikramjethi@gmail.com
  Send a message via Yahoo to vikramjethi  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
"Darr hai mujhko vo khafa ho jaaye Na" Diya_Jale Shayri-e-Dard 11 26th June 2016 04:27 AM
*~*Mujhko Maut Ne Nahi Zindagi Ne Pal Pal Sataaya Hai*~* farhana Shayri-e-Dard 27 8th October 2014 12:09 AM
mauT safar meiN kahiiN iNtezaar kar rahi hai......! Dhaval Shayri-e-Dard 16 19th March 2007 05:06 PM
Darr Hai Zikr Unka Ghazal Me Na Ho Jaaye Asif jamil Aapki Shayri 0 19th January 2007 07:15 PM
Ghazal: Darr Lagta Hai.. Afshan Shayri-e-Dard 34 22nd July 2003 11:52 AM

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com