Yek kalam maine barso pehle likha tha, tab shayed yeh tak pata nahi tha ke sher o shayri ke kya usool hai aur yaqeen janiye aaj bhi pata nahi hai.........Diwali ek khushi ka mauka hai aur mera yeh kalam shayed aapki is khushi ko bemaza kare jiske liye main aapse mafi mangna chahta hu........par main samajhta hu ke shayro ne hamesha har pehlu se apni baat kahi hai aur jaha tak koshish ki hai sach kehne ki koshish ki hai..........ek sach main bhi aapke sabke samne lekar hazir hua hu......yeh kalam kisi samudaye ya kisi dharm ke khilaaf nahi likha gaya hai........yeh kalam us mazloom ki diwali ko bayaan karta hai jispar zulm hua hai.
Aao diwali manaye hum
Khushiyo ka mauka hain khushiya manaye hum
Kabhi dharm kabhi jati kabhi bhasha ke nam par ladei.N
Phir bhi kehte ho diwali hai aao hath milaye hum
Aao diwali manaye hum......
Jala ke auro ke gharo ko is diwali me
Kis muh se apne gharo ko sajaye hum
Aao diwali manaye hum........
Is diwali soya kisan ka ghar ek sath kha ke zehar
Hame isse kya aao bachcho ko apne mithaee khilaye hum
Aao diwali manaye hum......
Koi marathi koi punjabi koi tamil to koi bengali
Aao nikle is diwali ek hindustani dhoond laye hum
Aao diwali manaye hum.........
So raha hain desh mera GHAYEL aaj odhe hue kafan
Aao yaro deepak nahi uski cheeta jalaye hum
Aao diwali manaye hum
Khushiyo ka mauka hain khushiya manaye hum
Sajid Ghayel