Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Humourous Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
PAAN KHAA KAR ,,,,2nd part
Old
  (#1)
masoodhassas
Registered User
masoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant future
 
masoodhassas's Avatar
 
Offline
Posts: 791
Join Date: Sep 2010
Rep Power: 31
PAAN KHAA KAR ,,,,2nd part - 11th September 2011, 01:14 PM

meree ek nazm PAAN KHAA KAR ye BBC london se nashr ho ke maqbool ho chukee hai ,,,,,,,, guzashta sundaey ise ek site pe post kiyaa to doston ne kaha aki aagey kiya ahuwaa ,,,,,,,,,,,,usee wajah se nazm ko aagey baDhaayaa hai aap bhi enjoy karen

naye paDhney waale yahaan se paDhen

chalaa ik din jo ghar se paan khaa k...ar
to thooka rel ki khirkee se aakar

magar joshe hawaa se chand cheente
pare rukhsaar pe ik naazneen ke

huyee aape se wo faoran hi baahar
lagee kahne abe o khushk bandar

zabaan ko rakh tu munh ke daaerey me
hamesha hi rahe gaa fdaaedey me

bahaane paan ke mat cher aise
yahee achha hai mujh se door rahle

teree soorat to hai shorafaa ke jaisee ,,, shorafaa ( shareef log)
tabiyat hai magar makkaar wahshee ,,,,,,,,,,,,, wahshee ( jaanwar )

kahaa main ne kahaani kuchh bhi bun len
magar mohtarmaa meree baat sun len

khudaa ke waaste kuchh khaof khaayen
zaraa see baat itnee na barhaayen

nahi achha hai itna bhao khaanaa
mujhe bas ek maoqa dedo jaanaa

zabaan ko apnee khud se kaat lun gaa
jahaan thooka hai us ko chaat lungaa
*********************************

AB AAGE DEKHEN

merey muh se jo nikla ameraa jumlaa ,,,JUMLAA ( kahee huyi baat )
huyi phir aor bhi wo hakkaa bakkaa

ghoroor e hus thaa chehrey pe taaree ,,, taaree ( chaDhaa huwaa )
zabaaN thi kuchh magar kahne se aaree ,,,, aaree ( mun band ho jaanaa )

wo gussa ho ke badlee raNg aisey
tamaatar ho gaye rukhsaar jaisey ... rukhsaar ( gaal)

kamar pe haath rakh ke muskuraayee
zaraa saa sar hilaayee budbudaayee

tumhaarei jaison se dartee nahi main
magar in kaamoN me paDtee nahi main

agar izzat pe meree harf aaye
to behtar hai ki meree jaan jaaye

main apne aap ka khud falsafah hun
jo too shaayir to main bhi shaayerah hun

mujhey tum aam mat samjkho kabhi bhi
anaa bedaar hai meree abhi bhi ........... anaa ( ego)

tawaqquf kuchh kiyaa phir tantanaayee,, tawaqquf ( thehar jaana )
ajab haalat meree us ne banaayee

lagee kahney to phir taiyaar ho lo
agar ho mard apnee baat rakh lo

zabaaN ko khud se apnee kaat lo tum
jahaaN thokaa hai us ko chaat lo tum

************************
giraa ik bam merey sar par usee dam
laraz kar rah gaye merey dam o kham ,,, dam o kham ( mokammal taaqat )

nadaamat ne mujhey phir aisey jakDaa ,,,, nadaamat ( sharmindagee )
agar kaato to khooN baaqee nahi thaa

baDaa mushkil thaa daryaa paar karnaa
kaDaa challenge merey saamney thaa

sharaafat ye kahey khaamosh ho looN
anaa kahtee par e parwaaz kholooN

ajab ik kashmaksh thee mujh me raqsaaN ,,,, raqsaaN ( chhaayee huyi )
kahaaN rakkhuN qadam is me thaa ghaltaaN ,,, ghaltaaN ( doobaa honaa )

achaanak fitrat e mardum ne tokaa ..... fitrat emardum ( mardaana fitrat )
khaDaa kiyaa sochtaa hai too gadhaa saa

telaaq e baayenah be basee ko ,,,,, telaa q e baayenah ( doosree telaaq )
khilaa le hastar e dil ki kalee ko

anaa ko aisey taDpaatey nahi haiN
ye maoqey baar baar aaatey nahi haiN

ghazal hai saamney us ko sajaa dey
takhallus ki mohar us pe lagaa dey

terey is me koyee ghaatey nahi haiN
bhalaa kiyaa mard jo chaatey nahi haiaN

sunaa aawaaz e fitree dil lagaa kar
liyaa ik faisla sar ko jhukaa kar

uthaa apnee jagah se jaisey cheetaa
usey baaNhoN me apnee main sametaa

zabaaN thi gaal thaa ik tantana thaa
ajab andaaz ka us ka nasha thaa

magar hasrat meree miTti nahi thee
zabaaN rukhsaar se katTi nahi thee

***********************
main apney farz se ghaafil nahi thaa
ye ik haasil thaa laa haasil nahi thaa,,,, laa haasil ( jis se kuchh na miley )

sitaarah aoj e qismat par mera athaa ,,, aoj e qismat ( jawwan honaa )
mezaaj e yaar bhi haatim bana athaa,,, (yaar ka mezaaj full josh pe thaa)

achaanak zor ki aawaaz gooNjee
to ik jhatkey se meree neeNd tootee

jo dekhaa to ajab see abtaree thee .............. abtaree ( afraa tafree )
razaayee ik jagah geelee paDee thee

khulee jo aaNkh to hasrat ne gheraa
haqeeqat kab bane gaa khowaab meraa

abhi hassaas raTtaa hai doaa ko
khodaa too bhej dey ik shaaeraa ko ,,,,,,,, shaayerahh ( kavitree )
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
2nd October 2011, 11:30 AM

Good one Hassas sahab...............................




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#3)
AnjAAn!!!
Registered User
AnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud of
 
AnjAAn!!!'s Avatar
 
Offline
Posts: 686
Join Date: Sep 2010
Location: Rewa, Madhya Pradesh
Rep Power: 28
12th October 2011, 09:41 AM

Bahoot khub hassas bhai. Behad rangeen creation hai. Likhte rahein...


_____________________________________
  Send a message via Yahoo to AnjAAn!!!  
Reply With Quote
Old
  (#4)
masoodhassas
Registered User
masoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant future
 
masoodhassas's Avatar
 
Offline
Posts: 791
Join Date: Sep 2010
Rep Power: 31
13th November 2011, 05:22 AM

zany saahabh aor anjaan ji aap donon ka mamnoon hun
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
Manshaa Thaakur
Registered User
Manshaa Thaakur is a splendid one to beholdManshaa Thaakur is a splendid one to beholdManshaa Thaakur is a splendid one to beholdManshaa Thaakur is a splendid one to beholdManshaa Thaakur is a splendid one to beholdManshaa Thaakur is a splendid one to behold
 
Manshaa Thaakur's Avatar
 
Offline
Posts: 298
Join Date: Dec 2011
Rep Power: 19
22nd December 2011, 08:32 PM

nice one ........................... !


Manshaa Thaakur
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com