Quote:
Originally Posted by shab_seher
Jo Tu nigah mai Na sahi To fir ye Justju hi Sahi...
Jo tere khwab mayassar nahi to fir ye aarzu hi sahi..
Tujhse Mohabbat Mai "khudi" luta k bhi chup hai....
Gar milna hai tujhse to fir yun Be-aabru Hi sahi.....
Bahut Rah taaki hai jahan se guzarta tha tu....
Gar tu na aaye to fir hum dar-ba-dar hi sahi ....
Har Dua mai tujhe mangna aadat ho gayi hai meri...
Jo shauk-e-namaz hai to fir be-wazu hi sahi.......
|
janaab, aap faiz sahab se kafi mutasir lagte haiN.........
koe shayed yahi kahe ki aapne copy hi kiyaa hai, par mujhe ye koshish bahut achi lagi.........
agar ye same flow ya meter mai hoti to aur kamal ho jataa....
ye faiz ki gahzal..
Nahin nigaah mein manzil to justuju hi sahi
Nahin visaal mayassar to aarzu hi sahi
Na tan main Khun faraham na ashk aankhon mai
Namaaz-e-shauq to waajib hai be-wazuu hii sahii
gar intizaar kathin hai to jab talak aye dil
Kisi ke vaada-e-fardaa ki guftagu hi sahi
dayaar-e-Gair mein mahram agar nahin koi
to 'Faiz' zikr-e-watan apne ru-ba-ru hi sahi
-
plzz fir se koshish kare, is gahzal ko bahut logo ne gaya hai. usi dhun pe fir se try kareN..