misc couplets -
10th November 2014, 01:32 PM
All will be posted here..
Raw unedited form.. help appreciated
Ab aapki adakri mai wo baat na rhi..
Ab humaari shayri mai wo baat na rhi..
Roz milte hai wahi purane zakhm..
Ab is zamaane mai wo baat na rhi..
Ab bas aawaz h aur fakat kya..
Ab in dhadkano mai wo baat na rhi..
Ab to cheen lena hi paane ka tarika hai..
Ab duaon mai wo baat na rahi...
Has dete hai hum ab ye soch kar..
Ab muskarane mai wo baat na rhi..
Roothna bhi ab roothna kahan rha..
Sahiba ab manane mai wo baat na rhi..
Shama ye soch k khud bujh gyi..
Ab parvaano mai wo baat na rhi..
Ae neend teri firaak mai h Seher..
Ki ab zindgaani mai wo baat na rhi..
|