Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Ghazal Section

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Maut
Old
  (#1)
munaf4u
Registered User
munaf4u will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 20
Join Date: Jul 2001
Rep Power: 0
Lightbulb Maut - 27th July 2001, 12:42 PM

ek maut hi to aisi haqeeqat hai dosto"


De kar nai sharab jo sarshar kar gaye
Adyan ke badan pe jo kal war kar gaye
communism ka apne jo parchar kar gaye
Allah ke wajood ka inkaar kar gaye
Aayi jo maut un ke khudaoN ko kha gai
us falsafe ki rakh talak ko mita gai
Aise mite ke koi bhi matam kunaN na tha
youN chup huwe ke jaise ye unka bayaN na tha
PholoN ko tahniyo se utarna zaroor hai
tarteeb e gulsitaN ko bikharna zaroor hai
Is marhale se sab ko guzarna zaroor hai
MULHID bhi mante haiN ke MARNA zaroor hai
muflis pe aur bala nasheeN par bhi aaegi
bad shakl pe bhi aur haseeN par bhi aaegi
darya mai ya khala ya zameeN par bhi aaegi
lamha ho maut ka to kahiN par bhi aaegi
rahro bhi aur saheb e manzil bhi jaega
ghasib ko khud bhi jana hai aadil bhi jaega
sayyaad bhi safar mai hai bismil bhi jaega
maqtool ja chuka hai to qaatil bhi jaiga
Dawa bhi maut khud hi hai khud hi wakeel hai
har cheez ka wajood fana ki daleel hai
ye zindagi to dhaage ki choti si reel hai
muddat to is jahan ki khud hi qaleel hai
DAYAM HAI DO JAHAN MAY TO TANHA WOH ZAAT HAI
WOH ZAAT JIS KE "KUN" SE BANI KAYINAAT HAI
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
maut rinnusa Shayri-e-Dard 1 3rd October 2006 03:51 PM
maut rinnusa Shayri-e-Ishq 0 3rd October 2006 03:40 PM
Maut garima Shayri-e-Dard 28 29th October 2005 09:01 PM
Maut henna Shayri-e-Dard 0 21st May 2004 10:21 PM
maut sweetdillu Shayri-e-Dard 0 10th May 2004 11:01 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com