Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Dukh Ki Dawa
Old
  (#1)
sahil_dilse
Registered User
sahil_dilse is on a distinguished road
 
sahil_dilse's Avatar
 
Offline
Posts: 24
Join Date: Aug 2004
Location: kisi ke dil mai to jagah mil na saki
Rep Power: 0
Arrow Dukh Ki Dawa - 13th August 2004, 11:06 AM

Well, salam to all friends...

main kaafi time se soch raha tha ke apna dard apni khushi aap logo se hi baant lu, par na jaane ise khuda ki marzi kahiye ya meri majboori ke chah kar bhi mai kuch nahi likh paa raha tha, aaj kuch logo ki nazm padh kar mujhe ehsas hua ke ek stranger bhi meri madad kar sakta woh mere dard or gam ko baant sakta hai shayad yaha par woh sab hai jo ek sharabi sharab peene ki baad kehta hai ke ab mai sukun se hu.. wakai khuda se urdu mai mai jaan bakshi hai ke jo insaan ko kuch had tak gum se door le jaati hai or sochne par majboor kar deti hai zindagi hai kya...

filhaal mai aaj yaha se shuru kar raha hu.. ummid ke saath ke shuru mai acche shayar jo hamare hua karte the unke nazm ka lutf lete huye .. mere apne likhe qalaam ka aap log intezaar karenge or mujhe poori ummid hai ke mujhe mayus nahi hone denge or barabar reply dete rahenge meri hosla afzaayeee karenge.


mere dukh ki koi dava na karo
mujh ko mujh se abhi juda na karo
naa-Khuda ko Khuda kaha hai to phir
Duub jaao, Khuda Khuda na karo
ye sikhayaa hai dosti ne hume
dost banakar kabhi wafaa na karo
ishq hai ishq, ye mazaak nahi
chand lamho mai faisla na karo
ashiqii ho ya bandagi 'SAHIL'
be-dili se to ibatidaa na karo


~!~! S A H I L !~!~


Maza Barsaat Ka Chaho to in Ankhon Mai Aa Baitho
Safed hai, Siyahi hai, Shafaaq hai, Abr-e-Baran Bhi hai


clicksahil@rediffmail.com
  Send a message via Yahoo to sahil_dilse  
Reply With Quote
Old
  (#2)
UDAS
Registered User
UDAS has a spectacular aura aboutUDAS has a spectacular aura about
 
UDAS's Avatar
 
Offline
Posts: 652
Join Date: Aug 2004
Location: India
Rep Power: 21
13th August 2004, 12:10 PM

SAHIL JI.....AADAAB

AAP KA KALAM BAHUT ACCHA LAGA

BAHANA KUCHH BHI THORA SA JEE LO YARO..
KHUSHI HO YA GAM MERE SANG PEE LO YARO..
KAHI.N TO HOGA HISAB IN JAKHMO KA BHI...
KABHI TO HOGA KHATM SAILAB IN GAMO KA BHI..

RUSVA NA KARO MUJHE, NA VAQT BARBAD KARO
AA JAO GALE LAG KE MUJHSE..IS GAM KO BHI JEE LO YAROO.

UDAS
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
dawa dushylove Shayri-e-Sharaab 0 18th June 2008 06:58 PM
Dawa-E-Dard. sachit Shayri-e-Dard 0 30th August 2005 10:08 PM
ishq ki dawa......... hasan_javed Shayri-e-Ishq 0 9th May 2004 04:27 PM
Dukh ka naam hai aisa yaaro ki sunke hi dukh hota hai,>>>>> shayri12345 Shayri-e-Dard 2 3rd December 2002 05:58 AM
dawa deewana Shayri-e-Ishq 0 26th July 2001 04:46 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com