Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Personal Messages > Introduction Forum

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 3 votes, 5.00 average. Display Modes
Old
  (#81)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
16th September 2014, 08:03 PM

Quote:
Originally Posted by Hamdam View Post
Zarra Sahib ,

Agar Shayri aap ki MOHABBAT hai tau ye aapki begum ki SAUTAN hui na.

Agar aapki begum aapko dono mein se ek chun.ne ka faisala karne ko kahe ...
ki ya tau maiN rahungi ya meri sautan ....

Aap kaise is masle ko solve kareinge

Kuch.bechare kavi is musibat mein pare hue hain aaj bhi aur main unme se ek hun
Waise aap ki baat to ek dum waajib hai Sanjay ji. Shayari bhi meri mohabbat hai aur begham bhi.

Waise ye shikayat to zaroor kayee baar ho chuki hai ki shayari mein ulajh kar main parivaar ko kam waqt de raha hoon, aur kaafi had tak ye shikayat waajib bhi hai. Ya is nainsaafi ka bhi ilzaam lagta rehta hai ki jab main parivaar ke saath hota hoon to achaanak beech beech mein shayari ki duniya mein kho jaata hoon. Ye ilzaam bhi sahi hai. Aur jab bhi main mulzim ke katghare mein khud ko kharha paata hoon to aainda "sudhar jaane" ka waada kar ke kuchh waqt ki "parole" le leta hoon. Magar afsos! wo waada ziayada dinon tak barkaraar naheen reh paata aur kuchh samay baad hi toot jaata hai, jis par main "contempt of court" ka doshi bhi ban jaata hoon

Magar jis faisle ke baare mein aap ne sawaal kiya hai, "ki ya to main rahoongi ya shayari", ji is faisle se abhi tak bacha hua hoon. Begham ne aisi shart naheen rakkhi hai ab tak. Shayad is liye kyunki shayari ke alaawa mujh mein aur bhi kayee saare "aib" hain, jo ki begham ki "hit list" mein hain. abhi tak unhi "aibon" ko ek ek kar door kar ke un ko tasalli de raha hoon, aur abhi tak shayari ka number naheen aaya hai to ab ye soch raha hoon ki kuchh aib bacha kar rakhta hoon, jab tak wo rahenge, shayad tab tak shayari mehfooz rahe

Abhi tak is naazuk muamale par mera tajurba aur meri samajh itni si hi hai

Mujhe Sanjay ji ke interview ka be-sabri se intezaar hai ki un se is masle ko suljhaane ka "guru mantra" seekh sakoon

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#82)
Hassan
Some Mirrors Lie...
Hassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Hassan's Avatar
 
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 44
Talking 16th September 2014, 08:10 PM

Quote:
Originally Posted by zarraa View Post

Waise aap ki baat to ek dum waajib hai Sanjay ji. Shayari bhi meri mohabbat hai aur begham bhi.

Waise ye shikayat to zaroor kayee baar ho chuki hai ki shayari mein ulajh kar main parivaar ko kam waqt de raha hoon, aur kaafi had tak ye shikayat waajib bhi hai. Ya is nainsaafi ka bhi ilzaam lagta rehta hai ki jab main parivaar ke saath hota hoon to achaanak beech beech mein shayari ki duniya mein kho jaata hoon. Ye ilzaam bhi sahi hai. Aur jab bhi main mulzim ke katghare mein khud ko kharha paata hoon to aainda "sudhar jaane" ka waada kar ke kuchh waqt ki "parole" le leta hoon. Magar afsos! wo waada ziayada dinon tak barkaraar naheen reh paata aur kuchh samay baad hi toot jaata hai, jis par main "contempt of court" ka doshi bhi ban jaata hoon

Magar jis faisle ke baare mein aap ne sawaal kiya hai, "ki ya to main rahoongi ya shayari", ji is faisle se abhi tak bacha hua hoon. Begham ne aisi shart naheen rakkhi hai ab tak. Shayad is liye kyunki shayari ke alaawa mujh mein aur bhi kayee saare "aib" hain, jo ki begham ki "hit list" mein hain. abhi tak unhi "aibon" ko ek ek kar door kar ke un ko tasalli de raha hoon, aur abhi tak shayari ka number naheen aaya hai to ab ye soch raha hoon ki kuchh aib bacha kar rakhta hoon, jab tak wo rahenge, shayad tab tak shayari mehfooz rahe

Abhi tak is naazuk muamale par mera tajurba aur meri samajh itni si hi hai

Mujhe Sanjay ji ke interview ka be-sabri se intezaar hai ki un se is masle ko suljhaane ka "guru mantra" seekh sakoon
i support zarraa saheb's suggestion... Next interview should be of our dearest Sanjay jee!

*hSn* : parStaar

tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN...
("Asad")
   
Reply With Quote
Old
  (#83)
Hamdam
Member
Hamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud of
 
Hamdam's Avatar
 
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 26
16th September 2014, 08:28 PM

Quote:
Originally Posted by Hassan View Post
i support zarraa saheb's suggestion... Next interview should be of our dearest Sanjay jee!
Hasan bhai aur Zarra bhai .

Ye baat Naaz aur Zainy ji bhi keh chuki hain ...per ye decide hua tha ki
is baar ek Shayra ka interview hona chahiye...and Naaz sugessted Zainy ji.

Main 2015 mein interview dene ke liye tayyar hun ..

Abhi mujhe Shayri mein propely enter kiye sdc ke through sirf 2years hue hain .
Main tau abhi bachcha hun hun , Shayri mein thora kachcha hun ..urdu mujhe aati
nahi, beher ke keher se darta hun ,bus thorri tuk bandi kar leta hun...

log bolenge kis nausikhiyee la interview chala diya ...

So bhai.yo zara mashq ki.zaroorat hai abhi mujhe ...meee pe rehm.khao.
. umwed hai meri mini interview Zarra sahib ki interview mein intrusion
tau nahi ho gayi

Haan Shayri ke elawa jawab dena janta hun ....

khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.

Last edited by Hamdam; 16th September 2014 at 08:31 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#84)
Ahmad Hyderabadi
Registered Member
Ahmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant future
 
Offline
Posts: 933
Join Date: Oct 2011
Location: Hyderabad (Deccan)
Rep Power: 31
16th September 2014, 09:06 PM

Quote:
Originally Posted by Hamdam View Post
Hasan bhai aur Zarra bhai .

Ye baat Naaz aur Zainy ji bhi keh chuki hain ...per ye decide hua tha ki
is baar ek Shayra ka interview hona chahiye...and Naaz sugessted Zainy ji.

Main 2015 mein interview dene ke liye tayyar hun ..

Abhi mujhe Shayri mein propely enter kiye sdc ke through sirf 2years hue hain .
Main tau abhi bachcha hun hun , Shayri mein thora kachcha hun ..urdu mujhe aati
nahi, beher ke keher se darta hun ,bus thorri tuk bandi kar leta hun...

log bolenge kis nausikhiyee la interview chala diya ...

So bhai.yo zara mashq ki.zaroorat hai abhi mujhe ...meee pe rehm.khao.
. umwed hai meri mini interview Zarra sahib ki interview mein intrusion
tau nahi ho gayi

Haan Shayri ke elawa jawab dena janta hun ....
Aadaab Zarra Bhaee and Sehgal Saahab,

Zaraa saahab ghustaakhe ke liyay advance mayn muaafii chahoonga, aapkay interview ke thread mayn apni dilki baat rakhne ke liyay;

Sehgal saahab, popular public demand se tou yay saabit ho chuka haye ki you are next in line to the Kath-garha!! And Naaz Sis is closely standing with you!! Jan-tantr kay usool ka aap inkaar nahi kar saktay!! majority rules Sir, 13 more days to go.....

Duagoh

Ahmad
   
Reply With Quote
Old
  (#85)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
16th September 2014, 09:20 PM

Quote:
Originally Posted by zarraa View Post
Shaad bhai, ab main aap ke baare mein kya kahoon. aap jaante hain ki ek bahaut hi khaas jagah hai aap ki mere dil mein. jab internet par aur SDC par shayari ki ibteda ki thi main ne 4-5 saal pehle, to aap wo pehle shakhs the jin se ek nisbat ek rafaaqat bani thi, jin se regularly shayari ke baare mein guftagoo hoti thi. aur bahaut khushi ki baat hai ye silsila abhi bhi qaayam hai, ye rishta air mazboot hota ja raha hai.

main pehle hi din se aap ki shayari aur aap ke andaaz-e-sukhan ka fan ho gaya. Aap ka andaaz mujhe bilkul taaza meetha aur ek dum alag laga. Phir aap ki shakhsiyat bhi bahaut hi positive, pleasing aur spirited lagi. Mujhe pata laga ki aap kaafi young hain magar aap ke andar ki maturity aur pukhtagi kamaal ki lagi, magar saath hi aap ki umr ke hisaab se jo youthful spirit aap mein honi chaahiye wo bhi pooree tarah dekhne ko miltee hai. you have qualities of yesterday, today and tomorrow !

pichhle kuchh saalon mein mujhe jo aap se jo beshumaar pyar, dosti, qadr daani, hausla afzaayee, izzat mili hai, Shaad mere yaar, bayaan naheen kar sakta ki un ke liye aap ka kitna ehsaanmand hoon aur main khud ko kis qadar khush naseeb samajhta hoon ki meri kismat mein aap ki dosti likhi hai

chaliye, dher saara footage khaane ke baad, ab aate hain aap ke barhe hi dilchasp, aur ek last ke naughty sawaal par

1) Shayrii me quantity matter kartii hai ya quality - if quantity exceeds do u think it will create adverse affect on quality, if so then why.?

mera maanna hai ki quality is supreme, regardless of quantity. agar wahi quality barkaraar rakhte huwe, quantity ziyada ho sakti hai, chaahein wo ek ghazal mein ziyada aashaar ya qalaam mein ziyada ghazalein, to sone par suhaga. magar quantity ko ziyada karne ki koshish mein quality se compromise ho jaaye then it defeats the whole purpose. shayari is all about perfection, or at least the journey towards perfection. shayari waqt maangti hai. haan kuchh geniuses zaroor huwe hain jo bina effort ke ya bina waqt sarf kiye achchhee aur sahi shayari keh sakte the/hain, par yahaan baat exceptions ki naheen kar rahe, aam shayar ke hawaale se baat kar rahe hain.

shayari ya kisi bhi art form mein, artists have been considered great by the brilliance of their work rather than their width / quantity of work. isiliye kayee kalaakaar jo bhari jawaani mein hi guzar gaye wo great aur immortal maane jaate hain based on the quality of the little work which they created before leaving this world for a higher plane.

haan, bas as ek chhota sa disclaimer, quantity baa kam se kam itni to honi chahiye ki shayar par ek raay qayam karne ke liye kaafi ho. for example, one cannot just write 5-10 ghazals and hope to be considered a great shayar! without putting a number to it, the body of work should be at least this much that the distinctive style and quality of the artist should get established.

2) aap ghazal me sabsse zyaada kis cheez ko importance dete hain aur kyon. Qaafiyaa, Radeef, Behar, khayaal etc. Please try to pick only one.

agar ek cheez ko hi pick karna ho to khayaal (aur us ke izhaar) ko karoonga. kyunki shayari mein jo sab se zarooree baat hai, maani, kyunki jaisa Ghalib ki famous quote hai "shayari maani-aafreenee hai qaafiya-paimaayee naheen". aur maani khayaal aur izhaar ke combination se hi paida hoti hai.
magar us ke baad agar practical taur par ghazal kehne ki mechanics ya operations ki baat karein, to main, zyaati taur se qafiya aur radeef ke combination to ek saath dekhta hoon aur ye koshish karta hoon ki wo aisa ho ki jis par kayee saare alag alag tarah ke ehsaas kahe ja sakein aur alag alag jazbaat us mein saans le sakein. in donon mein se bhi agar mujhe order specify karna ho to shayad radeef will come before qafiya because I feel radeef sets up the mood and temperament of the ghazal in most cases (unless it is a very short, simple and neutral radeef)

ghazal ke behr ka chunaav main khud naheen karta, bas beher apni ghazal khud chun let a hai. aksar bekhayaali mein ek misra apne aap behr mein man se phoot parhta hai, aur agar wo zameen upjaaoo rahi to chand misron ke nanhe-nanhe paudhe us mein ug jaate hain. jab 2-3 aashaar ka dhaancha sa ban jaata hain, tab main us ko ek ghazal ke taur par dekhne lagta hoon aur us ko mukammal karne ki koshish mein lag jaata hoon.

3) kisii mash'hoor shaayar ki zameeN pe likhnaa kis had tak jaayaz hai. isse new shayar ko positive ya negattive kis tarah ke response milne ki gunjaish hotii hai.

ji, main ne khud kisi mash'hoor shayar ki exact zameen par koyee ghazal nahee kahi hai. bas ek ghazal kehne ki koshish ki thi Mirza Ghalib ki ek ghazal ke radeef aur behr par magar jis mein qafiya alag tha, to wo ek tribute jaisi thi. magar us ke alaawa main ne aur koyee koshish naheen ki. us ke alaawa sirf 1 tarahi ghazal kahi hai ek FB group ki activity mein (based on a misra said by their member) just to see what the experience is like.

ziyati taur par main mash'hoor shora ki zamee par ghazal kehne ki koshish ko ghalat naheen samajhta. aisa kar ke koyee bhi shayar apna imtehaan bhi le sakta hai, mashq-e-sukhan bhi kar sakta hai, agar kisi shayar ko apna idol maanta ho to use tribute bhi de sakta hai. kayee mushayaron ya forum mein tarahi ghazal ki activity bhi hoti hai jis mein sabhi shora apne fan ke jalwe ek common platform par dikha sakein.

mere hisaab se mashhoor shora ki zameen par tarahi ghazal kehna koyee buree baat naheen balki us se seekhne ko bahaut mil sakta hai. of course, I am assuming ki shayar sirf tarahi ghazal hi naheen kehta rehta, khud ki nayee zameen bana kar bhi shayari karta rehta hai, and tarahi shayari is like the icing on the cake while the cake is made of their own original imagination.

4) sabse mushkil sawaal.. kyaa aapki shareeqe hayaat, (Mrs. Zarraa) aapki saari shayrii suntii hain???
agar nahee to aap apni frustration kaise nikaalte hain.. (kuch aaine pe gussa nikaalte hain kuch deewaron ko suna kar dil halka karte hain)

ha ha ha ha !! bhai waaqayee mushkil sawaal poochha aap ne. kuchh milta julta sawaal Sanjay bhai ne bhi poocha tha, jis ka main ne ishaaron ishaaron mein hi un ko jawaab de diya tha

the answer is both Yes and No

Mrs Zarraa (haha nice name ) meri kuchh shayari kabhi kabhi sun bhi leteen hain ya website par kabhi kabhaar pardh bhi leteen hain, magar un ko shayari mein mool roop se interest naheen hai, to samjah lijiye wo meri shayari ka 60-70% part naheen dekhti hain aur 30-40% part dekh leteen hain.

ji naheen, gusse ki koyee baat naheen hai. mujhe kabhi un se ye expectation naheen rahi ki jis cheez mein meri dilchaspi hai usi mein un ko interest ho.

aur mujhe is baat ki kaafi "practice" bhi hai ki apni creations main apne tak hi seemit rakkhoon. jab se shayari karni shuru ki thi, us ka ek barha hissa kisi se bhi share naheen kiya hai main ne. no one around me has ever been interested in it, and I am too proud to ask ayone to listen to it unless the request comes from their side. shayari ka ye safar main ne hamesha tanha hi tay kiya hai, kayee saalon se.

ye tanhaayee ka aalam Internet ke zariye khatm hua jab 4-5 saal pehle main ne shayari websites ko discover kiya aur us mein humkhayaal doston se mila. ab aap samajh sakte hain ki SDC ki kya ahmiyat hai mere liye aur SDC parivaar ki kitni barhee jagah hai mere dil mein.

aur agar suntii hain to ye aapne kaise kiyaa.. its a miracle buddy..

miracles do happen sometimes, when she insists that I tell her something which I have written or browses through the posts herself.

chaliye, Shaad bhai, bahaut achchha laga aap se baat kar ke, hamesha ki tarah. aap se agli guftagoo ka intezaar rahega.

take care ... love n regards
Zarraa

Zarraa bhai ko Shaad ka aadaab pahoche....... sacch kahun to kaafi der baad meri nazar is taraf pahuchii warna main to khamkhaa isi gumaan me raha aaya ke mere sawaalon ke jawaab nahi aaaye ab tak..... well kya kahun bhai aapke jawaabon ne meri aankhen nam kar diiN... kitni sachchaai, kitnii sanjeedgee, kitnii paakeezgee hai aapki baaton me .. subhaan Allaah.... aur main behad khushnaseeb hoon bhai jo mujhe aapke jaisa yaar, bhai aur dost milaa.....

aapne har sawaal ka usi tarah jawaab diyaa hai jaisaa ke mere dil ne tamanna ki thii...... aur bahot khuhsi hai mujhe ye bataate ke aapne mujhe mutmaeen kar diyaa bhai.... har jawaab seedhe dil tak pahoche hain.... Allah aapko shaad rakhe aabad rakhe..... khush rahiye aur zindgee ki har khushsi aapko naseeb ho aameen..... Allaah zore qalam me bhi izaafa karta rahe.. aur aap shaayri ki duniyaa me sitaare se chamakte rahen hame sha hameshaa... yahi mere di ki duaa hai mere bhai......

Shukriyaa.......

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#86)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
Smile 16th September 2014, 09:50 PM

[QUOTE=zarraa;468382]
Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post

Bahaut bahaut shukriya Sunita ji

Meri beti ka naam hai Rishima
bahut pyara naam hai Rishima
Zarra ji, hamne aapki takreeban sabhi gazleN pehle hi pad li hue thi, jo 2-3 nahi pehle nahi pad paaye thy..wo aapke link dene ke baad pad li aap bahut acche shayar hai...bhagwaan kare aapki kalam chalti rhe hamesha...acchi aur acchi

god bless u

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#87)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
16th September 2014, 11:04 PM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post
Its really good to know more and more about you zarra sahab

Ok!..Some more questions from my side

1)Do you think that you are strong?

2)What is your least favorite thing in the world?

3)Who do you miss most right now?

4)Have you ever been on radio or television?

5)Are you a dare devil?

6)Have you ever told a secret you swore you wouldn't?

7)Have you ever misused a word and it sounded
absolutely stupid?

8)Do you think there is a pot of gold at the end of the rainbow?

9)How do you release anger?

10)What was your favorite toy as a child?
Zainy ji .. thanks for these sweet and warm questions

1)Do you think that you are strong?

*I can keep a lot of pain, anguish and frustration within me without letting anyone know of it. If it is a strength, then I am strong .. but if it is a weakness then I am weak. I guess it's a mixture of both !

2)What is your least favorite thing in the world?

Waking up in the morning .. whatever the time

3)Who do you miss most right now?

Company of really close friends, talking aimlessly with them and laughing my heart out with them.*

4)Have you ever been on radio or television?

Once, for a few seconds, when I was in Class 8th or 9th when a small part of my speech in a debate competition was shown in a TV proramme on Doordarshan.

5)Are you a dare devil?

Not in the conventional sense, no. I usually plan a lot and think a great deal before doing anything substantial. *In fact I sometimes I feel that I over-think and over-plan.

But I have the ability to take big life altering decisions and calculated risks which takes people by surprise.

6)Have you ever told a secret you swore you wouldn't?

I respect secrets immensely and consider it a sacred duty to keep things to myself is any one asks me to keep it a secret. Sometimes, even if the person concerned has shared something in confidence and trust with me and even if he / she has not specifically asked me to keep it a secret, but if I feel that it should remain hidden, I voluntarily keep it to myself.

7)Have you ever misused a word and it sounded*absolutely stupid?

I'm sure I've done it many times. Sometimes I have become aware of it and maybe sometimes I might have done it and not even been aware of it. but whenever I have come to know of it, it was a huge learning experience.

8)Do you think there is a pot of gold at the end of the rainbow?

There always is ... and our desire & belief in it is what makes it real ... ummeed pe duniya kaayam hai

9)How do you release anger?

Please refer answer to Q1 as context.*

When the pent up pain / anguish / frustration inside me crosses all limits and is unbearable, it sometimes gets unleashed as a huge fit of anger. But this happens very few times and for very fundamental and major issues.

But on day to day issues, thorhi tu-tu-main-main to kabhi-kabhaar ho bhi jaatee hai, par us ke baad us baat par mitti daal ke aage bardh jaate hain.

10)What was your favorite toy as a child?[/QUOTE]

I loved "violent" toys as a small child.

One was guns - wo daur (mid 70s to early 80s) daakoo ya gangster films ka tha like Shole, Deewaar, Shaan etc I had all sorts of toy guns which were my prized possessions.

Us ke alaawa, mujhe ek kissa jo baar baar mere mama aur mausi sunaate hain, wo ye ki jab main garmiyon ki chhutti mein apne nanihaal jaaya karta tha, jahaan par kayee saare perh (trees) the baageeche mein, main un ki tahniyon ko torh kar dhanush-baanrh (bow & arrow) banaaya karta tha.

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#88)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
20th September 2014, 01:46 PM

ji sahi kaha N@zneen ji .. kayee sawaal pending hain jin ka main silsilawar jawaab le kar jald haazir hounga, par aap ke rapid fire questions ka rapid fire answers

Quote:
Originally Posted by N@zneen View Post
Zarraji mere pehle kuch sawaal pending hai lekin abhi jo sawaal kar rahi hun wo rapid fire round jaise haiN, to sawaal ye rahey:-

1)*Your favorite
a)*Food & Fast food
Food - pooree chhola
Fast food - chicken burger

b)*Colour

Dark blue

c)*Place

Mumbai

d)*Attire

Denim trousers and linen shirt

e)*Song

Main shayar badnaam

In ghazal based singing, gulon mein rang bhare

f)*Singer Male & Female

Male : Kishore Kumar
Female : Asha Bhonsle

(Not including ghazal singers, unmein Mehdi Hassan sahab)
g)*Movie

The Matrix trilogy

h)*Actor

Robert De Niro

i)*Actress

Vidya Balan

j)*Book

Haven't read much prose to comment

Poetry mein Diwan e Ghalib

k)*Writer

Haven't read much prose to comment

Favourite shora ka zikr kiya tha Ahmed sahab ke sawaalon ke jawaab mein, most favourite poet Ghalib

l)Season

Mumbai ki baarish (despite it's many problems)

2) Are you romantic or serious type?

Serious

3) Your idea of romantic date?
Losing sense if time in an isolated beach

4) Rate your ego between 1-10

Was close to 10, trying to being it closer to 1 now

5) Any unforgettable memory you wud like to share.

As mentioned in reply to Sunita di's question, the birth of my daughter

6) Any embarrassing moment (if thr is any) you wud like to share.

Once in a large group of people, I was speaking about someone who turned out to be the spouse of one the persons who was there. I hadn't said anything bad about the person, but it was quite embarrassing for sure

Filhaal keliye itna hi

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha

Last edited by zarraa; 20th September 2014 at 01:50 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#89)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
21st September 2014, 02:53 AM

Quote:
Originally Posted by N@zneen View Post
@Zarraji: Mera agla sawaal ye hai:-

1. Define
a) Beauty
b) Love
c) Friendship

2. Friendship v/s responsibility which is more important?

3. Friendship v/s Love what do you prefer and which is more important?

4. Child-labour is mostly prevalent in india, what do you suggest to stop this atrocious practice?

5. Your perspective on being human.
[/b]
N@zneen ji, extremely pertinent social & human issues have been raised in your questions. I have given very limited replies, based on my limited knowledge & perspective. Thanks for making me reflect on these.

1. Define

a) Beauty : jise pyaar se dekhte ho wo sundar ho jata hai
b) Love : if you can love yourself you can love everyone and everything
c) Friendship : a fundamental emotion that can make any relationship beautiful, even that between 2 total strangers

2. Friendship v/s responsibility which is more important?

If the responsibility is true, then it is non negotiable. Painful sacrifices also may need to be made for it, the most painful being that of friendship. We can only hope and pray that we are not called to make such a choice.

3. Friendship v/s Love what do you prefer and which is more important?

Love may give a bigger high but Friendship is ever lasting. True love has a strong element of friendship hidden in it.

4. Child-labour is mostly prevalent in india, what do you suggest to stop this atrocious practice?

It is a sin and not just a crime.

While penalties for the offenders and legal & legal constraints on businesses that employ child labour need to be strengthened, the change also needs to come from the parents or guardians of the children who are sending them for child labour. There are definitely economic hardships and survival issues that many be forcing this, but the unlimited money of the country being spent behind poverty alleviation programmes, which has had huge leaks which came out in public domain, nees to be used much much better. It will need a complete legal-economic-social solution, which is far easier said than done. Maybe media & other influencers can raise such issues more frequently and audiences support them with a complete lifelong boycott for goods and services which employ child labour, to make it financially unattractive to employ child labour as well.

5. Your perspective on being human.
Just avoiding being inhuman, not even for a moment, would be a good start. Everyone has adequate innate goodness in them to make the world a far better place, we need to give our goodness and that of each other a real chance.

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#90)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
22nd September 2014, 02:45 AM

Quote:
Originally Posted by Ahmad Hyderabadi View Post
Aadaab Zarraa Saahab,
Janaab aap nay tou khaaksaar kay labaoN ko sii daalaa apnee fayyaz wa faraagh-dil tahseeni kalimaat say! Saahab khaaksaar iska haqdaar khudko naheeN samajhta! Oopar say aapkay tafseelee jawaabaat parh dil o zahn dono ko bayhad lutf aayaa, dil ko aapki shaqsiyyat jaan-ker aur zahn ko aapki fahm-O-faraasat jaan-ker!! We are previleged to have a personality like you between us!! And I am not saying these words lightly in any manner what-so-ever!!

Aglee fehrist-e-suaalat-e-khaaksaar paysh e nazar haye aapki:

1. Aapki nazar/opinion/view mayn:

a. Shayri Kya haye/ what is Shayri?( Am confining myself by default to urdu Shayri Sir)

b. Is it an art or is it a science?

2. Har bahr mayn likhne-wala shaayar nahi hota aur har shayAr bahr mayn nahee likhta? If you agree Sir, please can you elaborate?

3. Ayk ghazal mayn , aapki nazar mayn, Maqte ki kya ahmiyyat haye? Is it necessary and if so why and if not then why?

4. Aapka favourite one-day cricket match abtak ka, if you had to choose one?

Guzaarish haye aap-say, ki apnay khaali wa fursat walay waqt mayn khaaksaar kay jawaab dayn, please do take your time answering my humble questions as I can see aap har kisee kay jawaab tafseel aur in-depth daytay hayn junmayn bayshak aap koee kami nahee chhortay and God forbid you are straining yourself because of that! And once again Thank You Sir for your kind and detailed answers!!!
Ahmad Sahab, thank you for posing deep intellectual questions. While I found myself quite wanting in knowledge to be able to answer them, they made me reflect on things that I am passionate about and thank you very much for that.

Here is my feeble attempt to answer some great questions which you have posed

1. Aapki nazar/opinion/view mayn:

a. Shayri Kya haye/ what is Shayri?( Am confining myself by default to urdu Shayri Sir)

Ahmad bhai, I am sure I am technically quite completely incapable of answering this question due to my extremely low technical or literary knowledge, but I will attempt to share few random thoughts straight from the heart.

being immersed in shayari is like being deeply in love. in donon lke beech mein kayee saaree similarities mujhe lagteen hain …

jab kisi se pyar ho jata hai to ye samajh mein naheen aata ki pyar kyoon hua hai. bas dil cheekh cheekh ke keta hai ki pyar ho gaya hai. usee tarah koyee sher ya koyee nazm aap ko kyoon pasand aatee hai ye kehna bahaut mushkil hota hai, magar sunte hi dil se apne aap “waah” nikal jaate hai.

pyar mein aksar yahee hota hai ki maashooq se mohabbat pehle hoti hai, aur shanasaayee baad mein, usee tarah shayari mein bhi aisa hota rehta hai ki koyee qalaam pasand pehle aata hai aur us ki samajh baad mein aatee hai.

pyar mein aashiq-maashooq ke beech mein job hi kaha jata hai (said), us se ziyada naheen kaha jaata (unsaid). Ghanton tak baat cheet karne ke baad bhi jo asli mudde hain numaayaan naheen hote aur apne apne dil mein nihaan rehte hain. usee tarah shayari mein kayee baar jo naheen kaha gaya hai us se hi maanee aur lutf paida hote hain.

oopar waalee baat ko zara aura age le jaayein, to ishq-mohabbat mein jo kaha jaata hai, us ka asli matlab us ke theek ulta hota hai kabhi kabhi, shayari mein bhi aisi hota hai kabhi kabhi ki jo kaha gaya ki ishaara bayaan ke ulta hota hai

kaheen padha tha, ki lafz “ghazal” ke maayne hain “conversations with beloved”. while I cannot vouch for the authenticity of this interpretation, magar ye baat shayari ke baare mein bilkul sahi lagti hai. shayari ka maqsad hai har cheeez har shai har pehloo se pyar karna. being in love with the whole universe and every thing borm or unborn, existent or non existent, every emotion, perception whether felt or unfelt. yahaan tak ki apne gham, soz, naakaamee, barbaadee se bhi beintehaayee mohabbat karna,

aur urdu shayari ki jo doosree baat hai wo urdu zabaan ki incomparable delicacy ! mujhe lagta hai ki urdu zabaan shayari ke liye hi bani hai (only an opinion of heart and not a technical / literary / historical opinion ☺).

is par Josh Malihabadi sahab ki ek divine nazm jo shyad unhone urdu zabaan par kahi thi, us ke chand misre (out of memory quote kar raha hoon, kisi bhi galti ke liye maazrat khwaah rahoonga)

naddee ka morh chashma-e-sheereeN ka zer-o-bam
chaadar shab-e-nujoom ki shabnam ka rakht-e-nam
moti ki aab gul ki mahak maah-e-nau ka kham
in sab ke imtizaaj se paida huwee hai tu
kitne haseeN ufaq se hawaida huwee hai tu

lehja maleeh hai ki namak-khwaar hooN tera
sehat zabaan meiN hai ke beemaar hooN tera
aazaad-e-sher hooN ke giraftaar hooN tera
tere karam se sher-o-sukhan ka imaam hooN
shaahoN pe khanda-zan hooN ke tera ghulaam hooN

- Josh Malihabadi

aur teesra pehloo jo mujhe shayari mein sab se pasand hai wo hai rawaanee. shayari is like the music of life and universe. ye zauq ko nashe ka maqaam deti hai.

b. Is it an art or is it a science?

ek tarah se dekhein to art hai, jaisa ki literature ya poetry ki tarah.

magar is mein agar behr ka khel shamil karein to us mein science ya maths ka bhi jauhar shaamil ho jaata hai. I like to think Behr as a binary code ☺

to phir aisa bhi socha ja sakta hai ki it is a combination of art & science, kyunki is mein bhi rules hain jin ki constraints ke andar aap ko kuchh naya banana hai, which is what the task is in scientific studies, especially the abstract ones.

mujhe ye bhi lagta hai shayad ki science or maths or software programming, in their pure conceptual form has aspects of art as well !

ek theory jo innovations par hai wo ye hai ki “constraints foster innovation”. kisi bhi situation mein jitni bhi bandishein hongeen, un se utna hi naya taaza innovative solution nikal ke aayega. to is lihaaz se bhi dekhein to shayari mein, maths ya science ki tarah, kayee bandishein ya constraints hain … jaise bahr ki, qaafiye ki, sher mein 2 misron ke andar hi mukammal baat kehne ki wagairah. so these consttaints also lead to greater innovation in thought and expression.

hence, the boundaries of science and art blur and they fuse into one beautiful and divine phenomenon called CREATION

shayari bhi ek aisa hi phenomenon hai, and hence it is a DIVINE CREATION

2. Har bahr mayn likhne-wala shaayar nahi hota aur har shayAr bahr mayn nahee likhta? If you agree Sir, please can you elaborate?

agar pichhle waale analogy ko hi aage continue karein, where we compared shayari in behr to a mathematical problem which needs to be solved with both technique and creativity …

har maths jaanne waala mathematician naheen ban jaata, aur aise bhi kayee mathematicians / scientific theorists / inventors /technologists huwe hain jinhone theek se school ya college bhi naheen pass kiya tha aur original discoveries / theory bana ke all time great ho gaye.

hence, I completely agree with you.

bahr jaan lene bhar se aur us mein qafiya bandi kar lene bhar se achchee shayari ho aisa zarooree naheen, agar ehsaas, takhayyul, maanee mein jaan naheen hai to. lekin agar ye sab maujood hain, aur qalaam mein bahr ke bina bhi rawaanee hai, to zaroor wo shayari qadrdaanon ke dil mein jagah bana legi.

main ne ziyaatee taur par bahr mein is liye likhna shuru kiya (ya kahiye bahr mein likhne ki koshish shuru ki ☺) kyunki mujhe laga ki bahr se hi aslee maaynon mein rawaanee aatee hai qalaam mein, at least in my case it was true. khaas taur par tab jab medium of transmitting your creation to the audience is via the written word (like we don in the shayari websites) and not via the spoken word, us haalat mein ye zarooree hai ki padhnewaala alfaaz ko jis tarah se bhi man mein padhe, us ko wahi rawaanee mehsoos ho jo shayar ko mehsoos huwee thi. yahaan bahr may give a common platform for building a shared understanding of the flow of the qalaam. hence, I decided a few years back when I came to know about Bahr, to attempt to write in Bahr. Kaheen ye bhi padha tha ki “while in English poetry Meter is like the icing on the cake, but in Urdu Shayari Meter is a large part of the cake itself” ☺. However, I am not prescribing or advocating writing in Bahr to others, since I feel that in a creative medium like Shayari, the decision should be left to each Shayar on how they want to pursue their passion.

3. Ayk ghazal mayn , aapki nazar mayn, Maqte ki kya ahmiyyat haye? Is it necessary and if so why and if not then why?

Maqta maqta banta hai shayar ke takhallus ke istemaal se ghazal ke aakhiri sher mein (at least that’s the only difference that I am aware of between a Maqta and any other Sher in the ghazal).

Mere hisaab se Maqte ki ahmiyat 2 tarah se hai .. (my personal theories only)

Puraane zamaane mein jab ghazal print form mein kam padhee jaatee thi, aur word of mouth ya music ke zariye hi travel karti thi, to maqta Shayar ki identity karwata tha. Samajh lijiye Maqta ek tarah ka trademark ya copyright tha. Phir print medium ke baad shayad is ki ahmiyat kam ho gayee kyunki us mein Shayar ka description apne aap hi sahi se darj ho jaata tha qalaam ke saath. But, I feel, that life has turned a full circle. Aaj internet ke daur mein, jab kaheen se koyee bhi cheez copy paste ho kar social media ke zariye travel kar rahi hai, to zarooree naheen ki jo bhi kisi qalaam ko internet par share kare wo shayar ka naam bhi mention kare. Yahaan par maqte mein takhallus kuchh had tak shayar ki identity bayaan kar dega. Haan agar share karne waale ka andesha hi galat hai to Maqte mein takhallus bhi beasar hoga, but in that case as well, since the ghazal with maqta having the right takhallus has been recorded somewhere else on internet, it can act as a proof of who the real shayar is in case of a conflict.

Doosree ahmiyat mere hisaab se lutf-e-sukhan ke poin of view se ho sakti hai. Maqte mein takhallus daalne ke liye, aksar aisa sher kehna hota hai jo ki ek personal statement ke jaisa ho (although it is also possible to say sher on any topoic and add takhallus in it, but often, at least in my experience, it can be done only few times and not all the time , warna takhallus zabardasti daala hua lagega). Us haalat mein, it can be a nice touch, to end the ghazal by saying something personal, intimate and revealing about yourself. Shayari adab mein kitne saare ba-kamaal maqte dekhne ko mile hain jin se humein mahaan shora ki shakhsiyat aur un ke sochne ke nazariye ka suraagh milta hai, jo ki mumkin naheen hota agar maqte mein takhallus daalne ka chalan naheen hota ☺

4. Aapka favourite one-day cricket match abtak ka, if you had to choose one?

If I had to choose only one match, then it will have to be the Finals of the 2011 World Cup played in Mumbai where India went on to lift the World Cup.

Cricketing history ke lihaaz se shayad wo ab tak ke sab se close ya high quality matches mein naheen gina jaayega (while it was reasonably interesting by itself, but there have been so many more close or dramatic matches than this one), aur na hi us mein koyee bhi all-time-great individual performances hi theen, magar jo poore desh mein ek ummeed aur utsaah jashn tha, wo hamesha yaad rahega. and as they say "alls well that ends well" ya jaise Ghalib ne kaha tha "kaam achchha hai wo jis ka ke ma'aal achchha hai"

Personally taur pe, World Cup ke aakhiri kuchh matches ke bahaane kam se kam kuch dost aapas mein poore din ke liye mile, families ke saath baith kar day spend kiya, shor machaaya, phir se jawaanee ke be-fikri mauj-masti waale din yaad aa gaye ☺

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha

Last edited by zarraa; 22nd September 2014 at 02:53 AM..
   
Reply With Quote
Old
  (#91)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
22nd September 2014, 11:01 PM

Quote:
Originally Posted by Hamdam View Post
Waah Zarra Sahib Wah ,

You are very good at words ...While reading your replies to Ahmad Sahib I was indeed mesmerised by your flow of thoughts and its presentation in English language and your grip and command over everything ( I visualised a Manager giving presentation in a seminar )

Aur jab aap Urdu zaban mein guftu kar rahe hote hain tau masha allah mere
rongte khare ho jate haiN . Please mujhe bhi aisi Urdu seekhni hai , put me on the track of learning Urdu ... Aur aap ke Hasan sahib ke questions ke replies parte hue ( I visualised you as a intellectual with long beard and achkan and Caop on your head giving sermons in a mosque)

Khair aap jo bhi hai ..lajawaab hai aur apne aap mein mukammal hain ..

Mere sanjeeda questions ...

1. Apne Shad sahib ke question mein kaha tha ki Ghazal mein Ehsaas aur uski adaygi matter karte hain ....... That means when I am writing shayri
which adheres to above two points , I am on write track ...Technicals tau
dheere dheere ayeinge seekhne per .
Per is forum mein I have notices ki kai bhari bharkam shayar jo ki technical mein strong hain ,look down upon budding shayars whoa re good at ehsaas but bad a technical ... Is gap ko kaise bridge kiya jaye.

2. Runahi Shayri ( Sufi Kalam e.g Bulle shah, Meera bai) kya duniyavi shayri se uupar hai and is the ultimage stage of poetry or is just one of branches of poetry..
ek sher ,,,Jin ka Ishq hai khuda se , fo kab faryaad karte hain ,
zubaan pe moher e khamoshi , dilon mein yaad karte hain
Sanjay ji .. sir, I am humbled by your lavish and extremely generous praise. Is se saaf dikhta hai ki aap ke dil mein kis qadar pyar dosti aur khuloos ka dariya beh raha hai. Janaab aap ne khaaksaar ki adna si koshish ko is qadar apni apaar aseem pazeeraayee ka faiz ata kiya. Tah e dil se mashqoor o mamnoon hoon aap ka !!

Ji, aap ke sawaalon par apni adna si raay arz karne ki koshish karta hoon

1. "Apne Shad sahib ke question mein kaha tha ki Ghazal mein Ehsaas aur uski adaygi matter karte hain ....... That means *when I am writing shayri
which adheres to above two points , I am on write track ...Technicals tau
dheere dheere ayeinge *seekhne per"

Sanjay ji, bilkul sahi kaha aap ne. Mere hisaab se you are definitely on the right track. Main ne aap ke jitne qalaam padhe hain, un ke ehsaas bahaut hi sachche aur gehre lage. Aap ke qalaam ki range bhi kamaal ki hai. Aap sanjeeda aur mazahiya shayari donon ka fan rakhte hain. Aur jitna main dekh sakta hoon, aap technically bhi lagaataar tarakki karte ja rahe hain and I am sure you would become adept at the technical aspects as well sooner rather than later, in fact you are already on the way towards it.

Meri aap se yahi guzaarish hai ki aap isee tarah mashq-e-sukhan jaaree rakkhein aur hum padhne waalon ko apne ke qalaam ke zariye zauq-e-sukhan uthaane ka mauka yoon hi dete rahein.

** ... "Per is forum mein I have notices ki kai bhari bharkam shayar jo ki technical mein strong hain *,look down upon budding shayars whoa re good at ehsaas but bad a technical ... Is gap ko kaise bridge kiya jaye"

Sanjay ji, agar aap ka aisa observation hai, to main itna hi keh sakta hoon ki mere hisaab se SDC ka ek maqsad usee bridge ka role ada karne ka hai jis ka ke aap zikr kar rahe hain. Specifics par to commemt naheen kar paaoonga kyunki main ne ziyati taur par aisa face naheen kiya hai aur na hi mujhe bahaut ziyada khabar rehti hai ki SDC mein kya kya conversations chal rahe hain (apart from the ones I am participating in), magar mera maanna hai ki hum sab shora yahaan saath saath kandhe se kandha aur qalam se qalam mila kar mashq-e-sukhan aur parastish-e-sher-o-adab kar rahe hain.

Har shayar kabhi na kabhi learning stage mein tha, balki aisa bhi keh sakte hain ki har shayar learning ki different stage par hai, kyunki shayari ki pardhaayee kabhi bhi pooree naheen hoti.

Lekin agar aap ko lagta hai ki kaheen bhi koyee gaps hain between members based on their shayari experience / knowledge levels, to us ka sab se bada bridge to dilon ke andar hi dhoondhna hoga, lekin is mein ye help kar sakta hai ki log agar ek doosre ko as a person, as a friend, as a shayari-colleague samjhein. ho sakta hai is mein jo kayee activities mods / volunteers / members yahaan organize karte hain they could serve as ice-breakers (sometimes they can be cause mini-explosions too in trying to break the ice, but that is worth the risk if it helps members come together )

Ab aur ziyada kya kahoon. Yahaan sab members samajhdaar aur zimmedaar hain. Dekhiye, duniya mein shayari ke ab gine chune hi deewaane baaki reh gaye hain .. we are all part of a small tribe, we are an endangered species ... hum sab saath mil kar ek doosre ke saath ka jashn manaayein aur masti se raqs-e-sukhan mein kho jaayein, aur ek doosre ki company ke liye shukrguzaar hon, aisa mera maanna hai aur meri dilee dua hai.
Meri aap se darkhwaast hai ki aap apna focus barkaraar rakkhein aur apne passion par qaayam rahein.

2. "Runahi Shayri ( Sufi Kalam *e.g Bulle shah, Meera bai) kya duniyavi shayri se uupar hai *and is the ultimage stage of poetry or is just one of branches of poetry.."
** *ek sher ,,,Jin ka Ishq hai khuda se , fo kab faryaad karte hain ,
** * * * * * * * * *zubaan pe moher e khamoshi , dilon mein yaad karte hain

pehle to waah!! Kya karishmaayee sher hai !!

ji, roohaanee shayari ka to ek behad hi muqaddas darja hai. ye dil ko sukoon aur rooh ko shifa bakshne ka kaam karti hai. jin mahaan roohaanee shora ka aap ne zikr kiya, aur jo kuchh aur bhi aise shora hain, un ke saamne sar apne aap jhuk sa jaata hai.

in my opinion, roohaanee shayari is "not just one of the branches of poetry" but it definitely has an exalted status.

lekin main shayari mein "oopar neeche" ke sawaal ke taur par shayad naheen dekh pa raha hoon. mere khayaal se kisi bhi kism ki shayari apne aap mein ek roohaanee safar hai, agar wo saaf dil sachchee lagan aur paak iraade se ki ja rahi ho.to phir agar mazmoon duniyavi bhi hon, magar maani mein roohaaniyat ki kaheen n kaheen koyee chhaap zaroor hoti hai, aksar.

isee context par main Ahmad bhai ko diye gaye apne ek jawaab ka ek para quote karna chaahoonga ..

"kaheen padha tha, ki lafz “ghazal” ke maayne hain “conversations with beloved”. while I cannot vouch for the authenticity of this *interpretation, magar ye baat shayari ke baare mein bilkul sahi lagti hai. shayari ka maqsad hai har cheeez har shai har pehloo se pyar karna. being in love with the whole universe and every thing born or unborn, existent or non existent, every emotion, perception whether felt or unfelt. yahaan tak ki apne gham, soz, naakaamee, barbaadee se bhi beintehaayee mohabbat karna"

ab is masle par ziyada aur kuchh naheen kahoonga kyunki main apni kam-ilmi ko waise hi bahaut stretch kar chuka hoon *

Shukriya, aap ke khoobsurat sawaalon ke liye, jin par khaaksaar ke aadhe adhoore jawaab bhi shayad utne badsoorat naheen lagein jitne wo asal mein hain

Sanjay ji.*Ummeed hai aap se guftagoo ka silsila yoon hi chalta rahega bazm-e-SDC par apna khayaal rakhiyga aur aap ko dheron duaein

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#92)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
23rd September 2014, 12:53 AM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post

4..Aap ke khayal se accha shayer banne ke liye kya zaruri hai..??

Quote:
Originally Posted by zarraa View Post
Zainy ji, sawaal to bahaut achchha bhi hai, dilchasp bhi aur aham bhi ... magar saath saath mushkil bhi, pecheeda bhi, aur I suspect is ka ek multidimensional answer hoga. Koyee "readymade" thoughts bhi naheen hain mere paas is sawaal ke mutalliq. But I definitely want to take a crack at this question.

Agar aap ki ijaazat ho to, main is par kuchh din soch vichaar kar, is par waapas aaoonga. Is beech ho sakta hai kuchh aur sawaal-jawaab ya guftagoo ho jis se mujhe is ke liye kuchh additional thoughts mil jaayein.

Par main aap ke uthaaye sawaal par interview khatm hone se pehle zaroor kuchh na kuchh arz karoonga.

Hope you don't mind and I have your approval. Please do let me know otherwise.

Many thanks
Zarraa

Zainy ji, behad maazrat khwaah hoon ki aap ke ye ek sawaal ka jawaab abhi tak naheen diya hai. Jaisa main ne pehle arz kiya tha, ye ek bahaut hi fundamental sawaal tha aur main chaahta tha ki maheene bhar sher o sukhan ke maslon par ghaur karne ke baad, saare discussions ke ideas assimilate kar ke, is azeem sawaal par apni adna si raay zaahir karoon.

is sawaal ke jawaab mein agar kayee kitaabein bhi likh di jaayein to kam hongi, magar bas is ka bahaut limited sa replt de raha hoon, bas thorhu bahaut baatein jo zehn mein aayee hain umhein le kar .. ye koyee bhi technical ya literal opinion par based theories naheen hain, bas mere opinions ya jo kuchh idhar udhar se grasp kiye huwe thoughts.

aur apni soch se ziyada main ustaad shora ke aashaar ka sahara le raha hoon, khaaskar Ghalib ke aashaar ka, jin ko main me apna ustaad maana hai ( bina un ki permission ke kyunki wo hargiz mujh jaisa naamaakool shagird naheen rakhte)*

Shayar banne le liye agar 5 baaton ka zikr karoon, to wo kuchh is tarah hongi (this is definitely not an exhaustive or conclusive list)

1. In born talent or inclination, or call it destiny, whichever way.*

to is lihaaz se shayar "bana" naheen jaata, balki jis mein shayari ki hunar apne aap hota hai, ye us ke haath main hai ki wo apna fan pehchaane aur use shayari ki khidmat mein lagaaye. us ke baad haalaat ka bhi khel hai ki use seekhne ke kaise mauke milte hain, us ko kaisi sangat naseeb hoti hai wagairah wagairah.

yahaan Ghalib ka ek quote rakhna chaahoonga, jo main ne kuchh is se tarah se suni hai *"main ne shayari khud naheen ikhtiyaar ki, balki shayari ne khud mujhe majboor kiya ki main use apna fan qaraar doon"

2. shayari be-iraada be-ummeed-e-sila ki jaatee hai. ye bas isiliye ki jaatee hai ki bin a kiye raha naheen jaata. phir us ka kya achchha-bura anjaam hota hai, ye aur baat hai.

is par Ghalib ke 2 sher

sau pusht se hai pesha-e-aaba sipehgari
kuchh shayari zareeya-e-izzat naheeN mujhe
- Ghalib

n sataaish ki tamanna n sile ki parwaah
gar naheeN haiN mere ashyaar meiN maanee n sahi
- Ghalib

3. bekhudi ... khud ko bhula dena aur bhulaaye rakhna.. aur aisa tab hota hai jab shayar ke ehsaasaat, jazbaat aur khayaalaat ki parwaaz itni buland ho jaatee hai ki wo use khud se kaheen door le kar chali jaatee hai. jab shayar apne baare mein bhi baat kare to wo khud ko bhi ek ghair ki tarah dekhe aur apne aap par tabsira kar sake, apni hi sharh kar sake ... *aur khud se door jaane ki haalat mein wo aur logon ke paas aane ki taaqat rakhta hai jis se wo *doosron ke ehsaasaat ko bhi waise hi mehsoos kar paata hai jaise ki wo us ke khud ke hi hon.

kuchh aashaar ...

bekhudi besabab naheeN ghalib
kuchh to hai jis ki pardadaaree hai
- Ghalib

hum wahaaN haiN jahaaN se hum ko bhi
khud hamaari khabar naheeN aatee
- Ghalib

bekhudi le gayee kahaaN hum ko
der se intezaar hain apna
- Meer Taqi Meer

dikhaayee diye yooN ki bekhud kiya
humeiN aap se hi juda kar chale
- Meer Taqi Meer

sab ka to mudaawa kar daala apna hi mudaawa kar n sake
sab ke to girebaaN see daale apna hi girebaaN chaak raha
- Majaz

4. Power of observation & imagination, extrapolation & conclusion, exaggeration & miniaturization

ab ye itne saare lambe lambe "ion" waale words keh ke main kya kehna chaah raha hoon... ho sakta hain aap hairaan hon*

bas Ghalib ka ek hi sher kaafee hai sab kuchh samjha dene ke liye

qatre meiN dajla dikhaayee n de n juzv meiN kul
khel bachchoN ka huwa deeda-e-beena n huwa
- Ghalib

is nayab sher ko, mere hisaab se, describe naheen kiya ja sakta, bas samjha aur mehsoos kiya ja sakta hai, jis ke liye is link ki madad li ja sakti hai

http://www.columbia.edu/itc/mealac/p...22/22_08.html?

5. And of course, love of words and the fascination for the written form.

words are the bricks with which the city of shayari is built.*

2 sher ...

ganjeena-e-maanee ka tilism us ko samajhiye
wo lafz jo "ghalib"mere ashyaar meiN aave
- Ghalib
(ganjeena-e-maanee = treasury of meaning)

a link to a commentary on the above sher
http://www.columbia.edu/itc/mealac/p...73/173_11.html

mere rone ki haqeeqat jis mein thi
ek muddat tak wo kaaghaz nam raha
- Meer Taqi Meer

Zainy ji, ye bas aadha adhoora sa jawaab hi ban paaya hai aap ke azeem sawaal ka. Aap ka bahaut bahaut shukriya ki aap ne ye sawaal poochh kar mujhe majboor kiya ek aham pehloo par sochne ke liye, jis par shayad mere dimaagh ke kisi kone mein kuchh khayaalaat zaroor pinhaan the, magar aaj wo meri zubaan par ayaan ho gaye

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#93)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
24th September 2014, 01:51 PM

waaaaahhhh!!!
Zarraasaab, kya dhairya aur vistaar se itna khubsurat javaab diya hai....

aapke interview meN bhii jaise ek class chal rahi hai kyuN ki aapke interview se bhii hameN bahot kuch ilm haasil huaa hai.....

ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता

http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote
Old
  (#94)
Ahmad Hyderabadi
Registered Member
Ahmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant future
 
Offline
Posts: 933
Join Date: Oct 2011
Location: Hyderabad (Deccan)
Rep Power: 31
Smile 28th September 2014, 04:33 AM

Quote:
Originally Posted by zarraa View Post
Ahmad Sahab, thank you for posing deep intellectual questions. While I found myself quite wanting in knowledge to be able to answer them, they made me reflect on things that I am passionate about and thank you very much for that.

Here is my feeble attempt to answer some great questions which you have posed

1. Aapki nazar/opinion/view mayn:

a. Shayri Kya haye/ what is Shayri?( Am confining myself by default to urdu Shayri Sir)

Ahmad bhai, I am sure I am technically quite completely incapable of answering this question due to my extremely low technical or literary knowledge, but I will attempt to share few random thoughts straight from the heart.

being immersed in shayari is like being deeply in love. in donon lke beech mein kayee saaree similarities mujhe lagteen hain …

jab kisi se pyar ho jata hai to ye samajh mein naheen aata ki pyar kyoon hua hai. bas dil cheekh cheekh ke keta hai ki pyar ho gaya hai. usee tarah koyee sher ya koyee nazm aap ko kyoon pasand aatee hai ye kehna bahaut mushkil hota hai, magar sunte hi dil se apne aap “waah” nikal jaate hai.

pyar mein aksar yahee hota hai ki maashooq se mohabbat pehle hoti hai, aur shanasaayee baad mein, usee tarah shayari mein bhi aisa hota rehta hai ki koyee qalaam pasand pehle aata hai aur us ki samajh baad mein aatee hai.

pyar mein aashiq-maashooq ke beech mein job hi kaha jata hai (said), us se ziyada naheen kaha jaata (unsaid). Ghanton tak baat cheet karne ke baad bhi jo asli mudde hain numaayaan naheen hote aur apne apne dil mein nihaan rehte hain. usee tarah shayari mein kayee baar jo naheen kaha gaya hai us se hi maanee aur lutf paida hote hain.

oopar waalee baat ko zara aura age le jaayein, to ishq-mohabbat mein jo kaha jaata hai, us ka asli matlab us ke theek ulta hota hai kabhi kabhi, shayari mein bhi aisi hota hai kabhi kabhi ki jo kaha gaya ki ishaara bayaan ke ulta hota hai

kaheen padha tha, ki lafz “ghazal” ke maayne hain “conversations with beloved”. while I cannot vouch for the authenticity of this interpretation, magar ye baat shayari ke baare mein bilkul sahi lagti hai. shayari ka maqsad hai har cheeez har shai har pehloo se pyar karna. being in love with the whole universe and every thing borm or unborn, existent or non existent, every emotion, perception whether felt or unfelt. yahaan tak ki apne gham, soz, naakaamee, barbaadee se bhi beintehaayee mohabbat karna,

aur urdu shayari ki jo doosree baat hai wo urdu zabaan ki incomparable delicacy ! mujhe lagta hai ki urdu zabaan shayari ke liye hi bani hai (only an opinion of heart and not a technical / literary / historical opinion ☺).

is par Josh Malihabadi sahab ki ek divine nazm jo shyad unhone urdu zabaan par kahi thi, us ke chand misre (out of memory quote kar raha hoon, kisi bhi galti ke liye maazrat khwaah rahoonga)

naddee ka morh chashma-e-sheereeN ka zer-o-bam
chaadar shab-e-nujoom ki shabnam ka rakht-e-nam
moti ki aab gul ki mahak maah-e-nau ka kham
in sab ke imtizaaj se paida huwee hai tu
kitne haseeN ufaq se hawaida huwee hai tu

lehja maleeh hai ki namak-khwaar hooN tera
sehat zabaan meiN hai ke beemaar hooN tera
aazaad-e-sher hooN ke giraftaar hooN tera
tere karam se sher-o-sukhan ka imaam hooN
shaahoN pe khanda-zan hooN ke tera ghulaam hooN

- Josh Malihabadi

aur teesra pehloo jo mujhe shayari mein sab se pasand hai wo hai rawaanee. shayari is like the music of life and universe. ye zauq ko nashe ka maqaam deti hai.

b. Is it an art or is it a science?

ek tarah se dekhein to art hai, jaisa ki literature ya poetry ki tarah.

magar is mein agar behr ka khel shamil karein to us mein science ya maths ka bhi jauhar shaamil ho jaata hai. I like to think Behr as a binary code ☺

to phir aisa bhi socha ja sakta hai ki it is a combination of art & science, kyunki is mein bhi rules hain jin ki constraints ke andar aap ko kuchh naya banana hai, which is what the task is in scientific studies, especially the abstract ones.

mujhe ye bhi lagta hai shayad ki science or maths or software programming, in their pure conceptual form has aspects of art as well !

ek theory jo innovations par hai wo ye hai ki “constraints foster innovation”. kisi bhi situation mein jitni bhi bandishein hongeen, un se utna hi naya taaza innovative solution nikal ke aayega. to is lihaaz se bhi dekhein to shayari mein, maths ya science ki tarah, kayee bandishein ya constraints hain … jaise bahr ki, qaafiye ki, sher mein 2 misron ke andar hi mukammal baat kehne ki wagairah. so these consttaints also lead to greater innovation in thought and expression.

hence, the boundaries of science and art blur and they fuse into one beautiful and divine phenomenon called CREATION

shayari bhi ek aisa hi phenomenon hai, and hence it is a DIVINE CREATION

2. Har bahr mayn likhne-wala shaayar nahi hota aur har shayAr bahr mayn nahee likhta? If you agree Sir, please can you elaborate?

agar pichhle waale analogy ko hi aage continue karein, where we compared shayari in behr to a mathematical problem which needs to be solved with both technique and creativity …

har maths jaanne waala mathematician naheen ban jaata, aur aise bhi kayee mathematicians / scientific theorists / inventors /technologists huwe hain jinhone theek se school ya college bhi naheen pass kiya tha aur original discoveries / theory bana ke all time great ho gaye.

hence, I completely agree with you.

bahr jaan lene bhar se aur us mein qafiya bandi kar lene bhar se achchee shayari ho aisa zarooree naheen, agar ehsaas, takhayyul, maanee mein jaan naheen hai to. lekin agar ye sab maujood hain, aur qalaam mein bahr ke bina bhi rawaanee hai, to zaroor wo shayari qadrdaanon ke dil mein jagah bana legi.

main ne ziyaatee taur par bahr mein is liye likhna shuru kiya (ya kahiye bahr mein likhne ki koshish shuru ki ☺) kyunki mujhe laga ki bahr se hi aslee maaynon mein rawaanee aatee hai qalaam mein, at least in my case it was true. khaas taur par tab jab medium of transmitting your creation to the audience is via the written word (like we don in the shayari websites) and not via the spoken word, us haalat mein ye zarooree hai ki padhnewaala alfaaz ko jis tarah se bhi man mein padhe, us ko wahi rawaanee mehsoos ho jo shayar ko mehsoos huwee thi. yahaan bahr may give a common platform for building a shared understanding of the flow of the qalaam. hence, I decided a few years back when I came to know about Bahr, to attempt to write in Bahr. Kaheen ye bhi padha tha ki “while in English poetry Meter is like the icing on the cake, but in Urdu Shayari Meter is a large part of the cake itself” ☺. However, I am not prescribing or advocating writing in Bahr to others, since I feel that in a creative medium like Shayari, the decision should be left to each Shayar on how they want to pursue their passion.

3. Ayk ghazal mayn , aapki nazar mayn, Maqte ki kya ahmiyyat haye? Is it necessary and if so why and if not then why?

Maqta maqta banta hai shayar ke takhallus ke istemaal se ghazal ke aakhiri sher mein (at least that’s the only difference that I am aware of between a Maqta and any other Sher in the ghazal).

Mere hisaab se Maqte ki ahmiyat 2 tarah se hai .. (my personal theories only)

Puraane zamaane mein jab ghazal print form mein kam padhee jaatee thi, aur word of mouth ya music ke zariye hi travel karti thi, to maqta Shayar ki identity karwata tha. Samajh lijiye Maqta ek tarah ka trademark ya copyright tha. Phir print medium ke baad shayad is ki ahmiyat kam ho gayee kyunki us mein Shayar ka description apne aap hi sahi se darj ho jaata tha qalaam ke saath. But, I feel, that life has turned a full circle. Aaj internet ke daur mein, jab kaheen se koyee bhi cheez copy paste ho kar social media ke zariye travel kar rahi hai, to zarooree naheen ki jo bhi kisi qalaam ko internet par share kare wo shayar ka naam bhi mention kare. Yahaan par maqte mein takhallus kuchh had tak shayar ki identity bayaan kar dega. Haan agar share karne waale ka andesha hi galat hai to Maqte mein takhallus bhi beasar hoga, but in that case as well, since the ghazal with maqta having the right takhallus has been recorded somewhere else on internet, it can act as a proof of who the real shayar is in case of a conflict.

Doosree ahmiyat mere hisaab se lutf-e-sukhan ke poin of view se ho sakti hai. Maqte mein takhallus daalne ke liye, aksar aisa sher kehna hota hai jo ki ek personal statement ke jaisa ho (although it is also possible to say sher on any topoic and add takhallus in it, but often, at least in my experience, it can be done only few times and not all the time , warna takhallus zabardasti daala hua lagega). Us haalat mein, it can be a nice touch, to end the ghazal by saying something personal, intimate and revealing about yourself. Shayari adab mein kitne saare ba-kamaal maqte dekhne ko mile hain jin se humein mahaan shora ki shakhsiyat aur un ke sochne ke nazariye ka suraagh milta hai, jo ki mumkin naheen hota agar maqte mein takhallus daalne ka chalan naheen hota ☺

4. Aapka favourite one-day cricket match abtak ka, if you had to choose one?

If I had to choose only one match, then it will have to be the Finals of the 2011 World Cup played in Mumbai where India went on to lift the World Cup.

Cricketing history ke lihaaz se shayad wo ab tak ke sab se close ya high quality matches mein naheen gina jaayega (while it was reasonably interesting by itself, but there have been so many more close or dramatic matches than this one), aur na hi us mein koyee bhi all-time-great individual performances hi theen, magar jo poore desh mein ek ummeed aur utsaah jashn tha, wo hamesha yaad rahega. and as they say "alls well that ends well" ya jaise Ghalib ne kaha tha "kaam achchha hai wo jis ka ke ma'aal achchha hai"

Personally taur pe, World Cup ke aakhiri kuchh matches ke bahaane kam se kam kuch dost aapas mein poore din ke liye mile, families ke saath baith kar day spend kiya, shor machaaya, phir se jawaanee ke be-fikri mauj-masti waale din yaad aa gaye ☺

Aadaab Zarraa Bhaee,
Taakheer e haazri k liyay maazratkhwaah hoon. Aapkay jawaaabaat nay hamayn aapka qaail kerdiya..MashaAllah kya he tafseel kya he fahm o faraasat say aapnay khaaksaar kay chund adna say suaalat kay jawaab ataa kiyay hayn.
Is baar ki fehrist mayn ham aapko zyaada mahoolat nahi day saktay janaab..maazrat!! So pahli FURSAT mayn ataa farmaayayn apni aqeel jawaab.

1. Insaaniyat badii hai ya dayshbhakti?
2. Sahl-e-mumtana par aapki kya personal opinion haye?
3. How do you wish the world to remember you after we are long gone?
4. If it were possible, what age/period of your would you like to relive again and again?
5. Your favourite shayr of the following great poets:

i. Ghalib Saahab
ii. Iqbal Saahab
iii. Zarraa Saahab

InshaAllah jald he hazir hongay aapki qidmat mayn!

Duagoh

Ahmad
   
Reply With Quote
Old
  (#95)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
30th September 2014, 11:56 PM

Ahmad Bhai ... ek baar phir se aap ki mohabbat bhari pazeeraayee ka tah e dil se shukriya. Maazrat khwah hoon ki ain akhiri waqt mein aap ke danishmandi se bhare huwe sawaalon par apni adna raay zaahir kar raha hoon. Kyunki interview ki mohlat jald hi khatm hone ko hai, to bas dil se jo bhi jasisi bhi aawaazein nikal raheen hain, waisi ki waisi, aap ko pesh kar raha hoon ..*

1. Insaaniyat badii hai ya dayshbhakti?
Donon hi jazbe bahaut hi mahaan hain azeem hain poojneeya hain .. aur jin logon ne in jazbon par apni zindagi aur jaan nyochhavar kari duniya un ko salaam karti hai. Agar aaj ke haalaat mein dekhein, jahaan duniya samaaj awaam, sab mein ek bahaut barha badlaav nazar aa raha hai, jahaan individualism lagbhag ek virtue ban ke saamne aa rahi hai (kuchh maynon mein wo justified bhi hai), communities ki definition, interdependence, interactivity buniyaadee taur se badal raheen hain .. wahaan insaaniyat ki sakht kami bhi dikhti hai aur behad zaroorat bhi mehsoos hoti hai. Aaj ke sandarbh mein mujhe kuchh kuchh aisa lagta hai ki ek khaas tarah ki insaaniyat ki maang hai duniya, desh aur samaaj ko. An Insaaniyat based on mutual understanding, respecting and celebrating differences, making small contributions but surely making them, responding while not reacting, empathy towards one and all, taking a stand when it matters and finding a common ground between self and others. aur agar is hisaab se dekhein, to jahaan Insaaniyat hai wahaan desh bhakti bhi apne aap hi aa jaatee hai, kyunki jo baatein insaaniyat ke lihaaz ze sahi hain, unmein se ziyadatar desh bhakti ke lihaaz ss bhi sahi hongeen ... kam se kam aam logon ke liye roz marra ke jeevan ke aadhaar par.*

Main koyee socio-political thinker to hoon naheen, bas ek saadhaaran insaan ki haissiyat se yahi kahoonga ki Insaaniyat is a general global philosophy which gives rise to many many virtues among whom Deshbhakti is also one of those.

2. Sahl-e-mumtana par aapki kya personal opinion haye?

Sahl-e-mumtana to shayari ka ek sab se ziyada lazeez dilkash pehlu hai. Jab ustaad shora ke aashaar dikhte hain jin mein sahl-e-mumtana ka kamaal ho, to bas dil se ghanton tak waah waah nikalti hai aur reh reh kar un ka suroor chha jaata hai.

Ab technically to Sahl-e-mumtana ke baare mein ziyada kuchh to naheeN keh paaoonga, aur ye ek aisa fan hai jisse main abhi khud koson door hoon ... Main khud ko technically qualified naheen samajhta shayari mein sahl-e-mumtana par ziyada kuchh kehne ka, is liye bas ek link share karna chaahoonga jahaan mujhe behad hi khoobsurat commentary lagi is pehlu par, aur Ghalib ke kuchh behtareen aashaar bhi (pls scroll down alphabetically till you see Sahl-e-mumtana)

http://archive.today/1FR6

Waise Meer ke aashaar ke baare mein suna hai ki wo Sahl-e-mumtana ke meel ke patthar hain. Shayad Meer ke aashaar isiliye bina koyee aawaaz kiye dil mein apna ghar kar lete hain aur zindagi bhar jaane ka naam naheen lete par Meer ke Sahl-e-mumtana par guftagu kisi din aur, yahaan main ek alag hi nazariya baantna chaahta hoon, which is Sahl-e-mumtana in the world around us.

Agar shayari ke baahar aayein, to mujhe sahl-e-mumtana ek basic phenomenon lagta hai, which characterises Excellence, Genius and Leadership. Below is my humble, limited and perhaps flawed opinion on it.*

Sahl-e-mumtana ek zabardast Leadership Quality hai. Kayee saare great leaders ke baare mein kaha jaata hai, bhale wo political leaders hon ke social leaders ya business leaders ya military leaders ya kisi bhi profession ke leaders ... ke un ko apna sandesh bilkul aasaan kar ke logon ke saamne rakhne ka fan haasil hota hai. Great leaders are able to simplify complex issues and present their solution in an uncomplicated manner to their followers, which makes them able to galvanism their followers and achieve the impossible.

Sahl-e-mumtana ka ek aur pehlu jo mere hisaab se dekhne ko mil raha hai, wo hai aaj kal ki technology aur products mein, jahaan par DESIGN ek bahaut aham pehlu ban ke saamne aaya hai. Is Design revolution mein jis hasti ka ek aham yogdaan maana jaata hai wo hain Steve Jobs, jin ki ek quote hamesha mere zehn mein goonjtee rehti hai ki "Simplicity is the ultimate Elegance". Unhone apne game-changing innovations se ye saabit bhi kar ke dikha diya. So we can say that the great Apple brand is also an example of Sahl-e-mumtana

Aur final example is in mathematics *.. Mere ek college ke professor kaha karte the that every mathematical problem has a laborious solution and alo an elegant solution which is usually much shorter and seemingly simpler after you have arrived at it, but very few people can arrive at the elegant solution. Wahaan bhi Sahl-e-mumtana

To ab main is nateeje par pahunch raha hoon ki Sahl-e-mumtana kisi bhi bhi field mein ek highest standard of excellence ka prateek hai, aur jo ise baar baar haasil kar pate hain aur is se kaarnaame kar guzarte hain, wo waaqayee genius hote hain.

3. How do you wish the world to remember you after we are long gone?

World mujhe remember karegi is ke to aasaar kam hi hain shayad , bas jin logon ke main kareeb raha hoon, wo mujhe jab yaad karein to pehle un ke hothon par ek *halki ki muskuraahat aa jaayein aur phir aankh bas thorhi si (ziyada naheen) nam ho jaaye, to main jahaan bhi hoonga mujh tak un ke jazbaat pahunch jaayenge.*

Is ke alaawa, har ek shakhs ke liye main ek alag insaan raha hoon, to wo mujhe alag tarah se yaad karega. Shayad jo log mujhe jaante hain, sab mera koyee na koyee alag pehlu hi yaad karein. Aur aisa is liye naheen ki mujhe apni shakhsiyat ko mauke ke hisaab se badalne ka fan haasil hai (ai kaash thorha sa ye fan bhi mila hota ) magar is liye ki main ye koshish karta hoon ki logon se mutual interest aur mutual resonance ke topics ki binaah par hi rapport banaaoon. Ab misaal ke taur par,*jaise, main aap ke saath Shayari aur Pholiosophical topics par guftagoo kar raha hoon kyunki ye hamaare common interests hain, waise hi aise kayee log jo mujhe kayee decades se jaante hain wo ye jaante hi naheen ki mujhe shayari mein dilchaspi bhi hai, kyunki un ke saath main aur alag pehluon par baatcheet karta hoon kyunki unhein shayari aur philosophy mein interest naheen. So I feel, in I I cass I remembered after I am gone it will be in different ways by different people. However, ifthey feel something while remembering me, that itself will be more than enough for me

4. If it were possible, what age/period of your would you like to relive again and again?

My 20s, when I made most of the choices relating to education, career, professional, personal life were made, which have defined what I will become or the kind of life I will lead till I die. I might reassess some of those choices and maybe go for somewhat riskier but potentially more fulfilling options. And even if I were to make some of the choices in the same way as I eventually did, they would be done with greater consideration and a greater exploration of alternatives.

5. Your favourite shayr of the following great poets:

Arey, Sahab aap ne humaara naam azeem ustaad shora ki fehrist mein daal diya ! ye zaroor aap ki beshumaar mohabbat hi hai, but I am truly humbled even though somewhat embaraased Magar aap ka hukm sar aankhon par janaab

i. Ghalib Saahab

mujh jaise "Ghalib bhakt" ko ek hi sher chunna barha hi mushkil ka kaam lagega, par ek jo un ka bahaut hi azeem aur behtareen sher, jo saath saath bahaut hi witty bhi lagta hai mujhe, wo yahaan quote karta hoon ...

daayam parha huwa tere dar par naheeN hooN maiN
khaak aisi zindagi pe ke patthar naheeN hooN maiN
- Ghalib

ii. Iqbal Saahab

jaisa ke main ne pehle arz kiya huwa hai, meri badkismati ki main Iqbaal saahab ke qalaam ki roshni se abhi tak mehroom raha hoon, bahaut hi kam aashaar dekhe sune pardhe hain un ke (but of course un ki ghazal "saare jahaan se achchha" ga ga kar hamaaree pooree generation barhee huwee hai)

Just quoting a magnificent sher by Iqbal sahab filled with devotion and enlightenment ..

kabhi ai haqeeqat-e-muntazar nazar aa libaas-e-majaaz meiN
ke hazaaroN sajde tarhap rahe haiN meri jabeen-e-niyaaz meiN
- Iqbaal

iii. Zarraa Saahab

Ab main kya apna sher kahoon? Kaun sa kahoon ? Kis munh se kahoon?

Waise, koyee bhi nayee ghazal kehne ke baad kuchh waqt tak to mujhe us ke sabhi sher achchhe se hi late hain, par thorha sa waqt beetne ke baad khud ko kosta hoon ki "zarraa, naamaakool, ye bhi kya be-dhange aashaar kahe daale tum ne. kuchh to sharam kar lete"

Phir bhi, apni aakhiri kahi huwee ghazal, jis ka ek sher mere kaafee kareeb raha hai, wo arz kar deta hoon ..

tujhe shauq-e-laala-o-gul agar to lahoo se seeNch ke surkh kar
tujhe gham khizaaN ka hai kis liye tujhe intezaar-e-bahaar kyooN
- zarraa

InshaAllah jald he hazir hongay aapki qidmat mayn!

Ahmad bhai, aap ki beinteha bepaayaan mohabbaton ka main waaqayee karzdaar hoon, aur aap ko dheron dheron duaein arz karta hoon

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#96)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
1st October 2014, 12:55 AM

Doston

Alfaaz bilkul bhi saath naheen de pa rahe hain ki main kis tarah se aap ki beinteha bepaayaan bepanaah mohabbat ka shukriya ada kar paayoon, *kis tarah se main aap ki mohabbaton ka qarz chuka paaoon. To is qarz ko chukaane ki main koshish bhi naheen karoonga, kyunki aap ki mohabbaton ka qarz meri sab se barhi daulat ban gaya hai.

Aap sab ne apne sawaalon ke zariye aur mere jawaabon par apne jawaabon ke zariye, mujh par jo daad o tehseen, izzat, mohabbat, dosti, mamata ki baarish kari hai, sach maaniye, us mein bheeg kar main bilkul naya jaisa mehsoos kar raha hoon. aur mujhe dekhiye, main ne aap sab ki meherbaaniyon ka theek se shukriya bhi ada naheen kiya hai shayad. kyunki idhar ek pyaar ki bauchhaar rukti thi to udhar ek aur mohabbat ki phuhaar chhoot parhti thi.bas isee ke ras mein bheeg kar aur doob kar ek maheena kahaan nikal gaya pata hi naheen chala. Saath hi main ne N@zneen ji aur Aadeil sahab ka bhi theek se shukriya ada naheen kiya jinhone mere aashaar ko apne signatures mein jagah bakshi is maheene, jis se wo aam se aashaar bhi daad ke qaabil ho gaye sirf ek hi wajah se ke un ko in meherbaanon ka pyaar mila.

Doston, mere hisaab se main ne saare sawaal cover kar liye hain, as per my calculation. Lekin agar mujh se "calculation mistake"ho gayee hai aut agar galti se koyee bhi sawaal chhoot gaya ho, to kripaya meherbaanee kar ke mujhe saaf saaf bata dijiyega. Main PM ke zariye ya jo bhi tareeka aap sahi samjhein, us se aap ki khidmat ko mushtaaq rahoonga.

Doston, ek baar phir aap sab ka dil ki gehraaiyon se shukriya karta hoon

I AM INDEED PRIVILEGED AND HONOURED TO BE AMONGST YOU !!

And all the best to the next interviewee !

dheron dheron duaon ke saath
zarraa

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#97)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
Thumbs up 1st October 2014, 10:14 AM

Zarra ji aapke saath baate karte, aapki baate sunte yeh aik mahina kaise beet gya pta bhi nahi chala, aapke bare meiN ham poetry ke alawa kuch nahi jaante thy, aapko jaankar behad accha lga.

bhagwaan kare ki aapki kalam shayri ki bulandiyoN ko chuey.

bahut saari duaoN ke saath

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com