Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Anjuman-e-Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Pa-band nazm= AARZUU
Old
  (#1)
Mujahid Ali
Registered User
Mujahid Ali will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 387
Join Date: Feb 2016
Location: Mumbai
Rep Power: 9
Pa-band nazm= AARZUU - 18th April 2016, 08:55 PM

زندگی کے سفر میں سب کو اک یار ہی چاہیے؛
ہو سکے الفت پہ نثار وہ دلدار ہی چاہیے؛
بیباک ہو کردار اس کا اور نگاہیں بھی پاک؛
وہ ہم مذہب نہ سہی فرد پر باوقار ہی چاہیے؛

ہو اُس شخص میں رویت بھی مگر غریب پروری کی؛
کرے سب کی مدد مقصد ہو یہ اُس کی زندگی کی؛
نہ اختلاف ہو لوگوں کے دلوں میں بھی مذہب سے اب؛
ہو ہر فرد ہموار اک ایسا دیار ہی چاہیے؛

اجڑے ہوئے گلشن میں اے خدا اک گل کھلا بھی دو؛
جو خار ہے موجود اُس کو باغ سے مٹا بھی دو؛
نظارہ بھی سبز ہوجائے یا رب رحمت بھی برسا؛
یہ مرجھائے ہوئے چمن کو اب بہار ہی چاہیے؛

پروازِ آسمان کروں ایسی آرزو ہیں مری؛
عروجِ افلاک کو سمجھوں یہی جستجو ہیں مری؛
ناکام ہوجاؤں پھر بھی میں کوشش کرتا رہوں گا؛
مشکلوں میں خود کی آزمائش کرتا رہوں گا؛

نا عندلیبِ گلشن ہوں نا گلابِ گلستاں ہوں؛
مجھ کو سبز نظارہ ئے برگ و بار ہی چاہیے؛
زیست کہیں ختم نا ہوجائے عشق سے پیشتر؛
کچھ وقت کے ہی لیے سہی مگر قرار ہی چاہیے؛

Zindagi ke safar mai sab ko ik yaar hi chahiye
Ho sakey ulfat pe nisaar voh dildaar hi chahiye
Be-baak ho kirdaar uska aur nigaahe bhi paak
Voh hum-mazhab na sahi fard par ba-waqaar hi chahiye

Ho uss shakhs mai ruuyat bhi magar gareeb-parwari ki
Karey sab ki madad maqsad ho ye uss ki zindagi ki
Na ikhtilaaf ho logo ke dilo mai bhi mazhab se ab
Ho har fard humwaar ik aisa dayaar hi chahiye

Ujhrey hue gulshan mai aye khuda ik gul khila bhi dou
Jo khaar hai moujood uss ko bagh se mita bhi dou
Nazaara bhi sabz hojaye ya rab rahmat bhi barsa
Ye murjhaiye hue chaman ko ab bahaar hi chahiye

Parwaaz-e-aasmaan karu aisi aarzuu hai meri
Urooj-e-aflaak ko samjhu yehi justjuu hai meri
Na-kaam hojaau phir bhi mai koshish karta rahunga
Mushkilo mai khud ki aazmaaish karta rahunga

Na andaleeb-e-gulshan hu na gulaab-e-gulistaan hu
Mujh ko sabz-nazaara-e-barg-o-baar hi chahiye
Zeest kahi khatam ho na jaaye ishq se peshtar
Kuch waqt ke hi liye sahi magar qaraar hi chahiye

Few meanings

Fard= individual
Ba-waqaar= respectable
Ruuyat= vision
Ikhtilaaf= differences/animosity
Humwaar= equal
Dayaar=city/region/territory
Parwaaz-e-aasmaan= to fly in sky
Urooj-e-aflaak= magnitude of the sky
Andaleeb-e-gulshan= nightingale of the garden
Sabz-nazaara= green scenario
Barg-o-baar= leaves & fruits
Zeest= life
Peshtar= before
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
19th April 2016, 01:20 PM

Quote:
Originally Posted by Mujahid Ali View Post

Behatreen nazm pesh ki hai...mujahid ji....

Bahut khoob...likhte rahiye....

अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
sabaa kiyani
Registered User
sabaa kiyani will become famous soon enoughsabaa kiyani will become famous soon enough
 
sabaa kiyani's Avatar
 
Offline
Posts: 455
Join Date: May 2015
Rep Power: 10
26th May 2016, 01:32 AM

buhet khub nazm hey mujahid saheb

sabaa kiyani
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
sabaa kiyani
Registered User
sabaa kiyani will become famous soon enoughsabaa kiyani will become famous soon enough
 
sabaa kiyani's Avatar
 
Offline
Posts: 455
Join Date: May 2015
Rep Power: 10
28th May 2016, 09:22 PM

pabund nazm likhney ke rules btayein please
mujahid saheb

sabaa kiyani
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
Mujahid Ali
Registered User
Mujahid Ali will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 387
Join Date: Feb 2016
Location: Mumbai
Rep Power: 9
28th May 2016, 10:25 PM

Waise toh hum danishwar nahi

Phir bhi koshish karta hu aapke sawaal ka jawaab dene ki

Pa-band nazm usey kehte hai jaha mauzu ko tasalsul karte hue misre likhi jaati hai. Lekin iss khususi nazm mai behar ki pa-bandi ki jaati hai.

Iss mai qaafiye ke hona laazmi hai

Kyu ke ye nazm stanza mai bhi taqseem kar sakte hai

Isliye iss mai qaafiya ko badal bhi sakte hain jab ke radeef ka hona laazmi nahi

Umeed hai aapke sawaal ka munasib jawaab de paaya hu

Kahi jawaab mai kotaahi ho maafi chahta hu
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
sabaa kiyani
Registered User
sabaa kiyani will become famous soon enoughsabaa kiyani will become famous soon enough
 
sabaa kiyani's Avatar
 
Offline
Posts: 455
Join Date: May 2015
Rep Power: 10
29th May 2016, 02:01 AM

aap shaaer to hain danishwar na sahi
shukria buhet shukria mujahid saheb

sabaa kiyani
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
29th May 2016, 11:10 AM

Quote:
Originally Posted by Mujahid Ali View Post
Waise toh hum danishwar nahi

Phir bhi koshish karta hu aapke sawaal ka jawaab dene ki

Pa-band nazm usey kehte hai jaha mauzu ko tasalsul karte hue misre likhi jaati hai. Lekin iss khususi nazm mai behar ki pa-bandi ki jaati hai.

Iss mai qaafiye ke hona laazmi hai

Kyu ke ye nazm stanza mai bhi taqseem kar sakte hai

Isliye iss mai qaafiya ko badal bhi sakte hain jab ke radeef ka hona laazmi nahi

Umeed hai aapke sawaal ka munasib jawaab de paaya hu

Kahi jawaab mai kotaahi ho maafi chahta hu
Waah nice sharing mujahid sahab....

Behad shukriya aapka....

अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
30th May 2016, 07:22 AM

kamaal ki nazm pesh ki hai aapne Mujahid saahab........................
lafz lafz dil me samaata chalaa gayaa....... aur jaise silsilaa sar se pa talak wahi ehsaas aankhon ke saamne le kar aata raha ho....

bahut shukriyaa neeche iske rules bhi bataane ke liye....

duaaon me yaad rakhiyegaa.... aate rahiyegaa..

Shaad...

Shaad...
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com