Na bikane ka irada ho to keemat aur badhti hai ! -
19th January 2011, 01:23 AM
Safar me muskeelen aayen to zurrat aur badhati hai,
Koi jab rasta roke to himmat aur badhti hai !
Meri kamjoriyon par jab koi tankeed karta hai,
O dusman kyon na ho usse muhabbat aur badhti hai !
Zaroorat me azizon ke agar kuchh kaam aajao,
Rakam bhi doob jati hai adawat aur badhati hai !
Tera masoom as chehra chhupalun aankh me kaatil,
Nazar mujhko na tu aaye to dhadkan aur badhti hai !
Agar bikane pe a jao to ghat jate hain daam aksar,
Na bikane ka irada ho to keemat aur badhti hai !
|