Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Anjuman-e-Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Dil nahi voh cheez ke uss ki tijaarat bhi ki jaaye
Old
  (#1)
Mujahid Ali
Registered User
Mujahid Ali will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 387
Join Date: Feb 2016
Location: Mumbai
Rep Power: 9
Dil nahi voh cheez ke uss ki tijaarat bhi ki jaaye - 3rd July 2016, 10:32 AM

Dil nahi voh cheez ke uss ki tijaarat bhi ki jaaye
Ishq voh mazhab nahi jis ki ibaadat bhi ki jaaye

Daaman-e-ulfat kabhi be-daag hotey bhi nahi phir
Kya khata hai ishq jis pe ab nadaamat bhi ki jaaye

Hai mukhalif ye zamana par adaavat hum karey kyu
Kyu na iss daur-e-mukhalif se mohabbat bhi ki jaaye

Ho gaye hai ab puraaney ishq ke andaaz bhi kuch
Ke junoon-e-ishq mai paida haraarat bhi ki jaaye

BastiyaaN khamosh hai maatam shehar ab kar raha hai
Kyu na afsurdah dilo ki kuch himaayat bhi ki jaaye

Kis qadar insaaN mukar jaata hai paimaan-e-wafa se
Kyu na tajdeed-e-wafa ki phir se zahmat bhi ki jaaye

Hai khafa mujh se mera dilbar bataao ab karey kya
Ek ghazal tehseen-e-dilbar mai ibaarat bhi ki jaaye

Gardish-e-khuuN ab badan mai uss ke chune se hua hai
Kyu na phir se ilteja- e -lams- e -lataafat bhi ki jaaye

Tu na anjaam-e-mohabbat ki fikar kar aye mujahid
Aitraaf- e -ishq ki phir kyu na jurrat bhi ki jaaye



FEW MEANINGS

• Tijaarat= business
• Nadaamat= regret/repentance
• Mukhalif= against
• Adaavat= hate
• Daur-e-mukhalif= opposing era
• Haraarat= heat/temperature
• Afsurdah= sad
• Himaayat= support
• Paimaan-e-wafa= oath of loyalty
• Tajdeed-e-wafa= renewal of loyalty
• Zahmat= pain/trouble
• Tehseen-e-dilbar= praise of beloved
• Ibaarat= create/write
• Gardish-e-khuuN= blood circulation
• Ilteja-e-lams-e-lataafat= request for a delicate touch
• Aitraaf-e-ishq= confession of love
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
3rd July 2016, 08:28 PM

Quote:
Originally Posted by Mujahid Ali View Post
Dil nahi voh cheez ke uss ki tijaarat bhi ki jaaye
Ishq voh mazhab nahi jis ki ibaadat bhi ki jaaye

Daaman-e-ulfat kabhi be-daag hotey bhi nahi phir
Kya khata hai ishq jis pe ab nadaamat bhi ki jaaye

Hai mukhalif ye zamana par adaavat hum karey kyu
Kyu na iss daur-e-mukhalif se mohabbat bhi ki jaaye

Ho gaye hai ab puraaney ishq ke andaaz bhi kuch
Ke junoon-e-ishq mai paida haraarat bhi ki jaaye

BastiyaaN khamosh hai maatam shehar ab kar raha hai
Kyu na afsurdah dilo ki kuch himaayat bhi ki jaaye

Kis qadar insaaN mukar jaata hai paimaan-e-wafa se
Kyu na tajdeed-e-wafa ki phir se zahmat bhi ki jaaye

Hai khafa mujh se mera dilbar bataao ab karey kya
Ek ghazal tehseen-e-dilbar mai ibaarat bhi ki jaaye

Gardish-e-khuuN ab badan mai uss ke chune se hua hai
Kyu na phir se ilteja- e -lams- e -lataafat bhi ki jaaye

Tu na anjaam-e-mohabbat ki fikar kar aye mujahid
Aitraaf- e -ishq ki phir kyu na jurrat bhi ki jaaye



FEW MEANINGS

• Tijaarat= business
• Nadaamat= regret/repentance
• Mukhalif= against
• Adaavat= hate
• Daur-e-mukhalif= opposing era
• Haraarat= heat/temperature
• Afsurdah= sad
• Himaayat= support
• Paimaan-e-wafa= oath of loyalty
• Tajdeed-e-wafa= renewal of loyalty
• Zahmat= pain/trouble
• Tehseen-e-dilbar= praise of beloved
• Ibaarat= create/write
• Gardish-e-khuuN= blood circulation
• Ilteja-e-lams-e-lataafat= request for a delicate touch
• Aitraaf-e-ishq= confession of love
Wah janaab kya adaa hai bahut sukoon mila aapki yeh nayi ghazal padhkar.

Yeh sher to dil ko zaar zaar kar gaya


Hai mukhalif ye zamana par adaavat hum karey kyu
Kyu na iss daur-e-mukhalif se mohabbat bhi ki jaaye


kya baat hai janaab khaaksaar ki daad qubool kijiye



Qasid


___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#3)
Mujahid Ali
Registered User
Mujahid Ali will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 387
Join Date: Feb 2016
Location: Mumbai
Rep Power: 9
3rd July 2016, 10:11 PM

Shukriya mast sahab

Ye aap logo ka daad hi hai jo likhne ka baais hai

Shukriya aapka qeemti waqt khaaksaar ki ghazal pardhne mai lagaye
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
4th July 2016, 09:51 AM

Quote:
Originally Posted by Mujahid Ali View Post
Dil nahi voh cheez ke uss ki tijaarat bhi ki jaaye
Ishq voh mazhab nahi jis ki ibaadat bhi ki jaaye

Daaman-e-ulfat kabhi be-daag hotey bhi nahi phir
Kya khata hai ishq jis pe ab nadaamat bhi ki jaaye

Hai mukhalif ye zamana par adaavat hum karey kyu
Kyu na iss daur-e-mukhalif se mohabbat bhi ki jaaye

Ho gaye hai ab puraaney ishq ke andaaz bhi kuch
Ke junoon-e-ishq mai paida haraarat bhi ki jaaye

BastiyaaN khamosh hai maatam shehar ab kar raha hai
Kyu na afsurdah dilo ki kuch himaayat bhi ki jaaye

Kis qadar insaaN mukar jaata hai paimaan-e-wafa se
Kyu na tajdeed-e-wafa ki phir se zahmat bhi ki jaaye

Hai khafa mujh se mera dilbar bataao ab karey kya
Ek ghazal tehseen-e-dilbar mai ibaarat bhi ki jaaye

Gardish-e-khuuN ab badan mai uss ke chune se hua hai
Kyu na phir se ilteja- e -lams- e -lataafat bhi ki jaaye

Tu na anjaam-e-mohabbat ki fikar kar aye mujahid
Aitraaf- e -ishq ki phir kyu na jurrat bhi ki jaaye



FEW MEANINGS

• Tijaarat= business
• Nadaamat= regret/repentance
• Mukhalif= against
• Adaavat= hate
• Daur-e-mukhalif= opposing era
• Haraarat= heat/temperature
• Afsurdah= sad
• Himaayat= support
• Paimaan-e-wafa= oath of loyalty
• Tajdeed-e-wafa= renewal of loyalty
• Zahmat= pain/trouble
• Tehseen-e-dilbar= praise of beloved
• Ibaarat= create/write
• Gardish-e-khuuN= blood circulation
• Ilteja-e-lams-e-lataafat= request for a delicate touch
• Aitraaf-e-ishq= confession of love
waah!!! ek ek ashaar behad pasand aya mujahid sahab,,,

daad qubool karein..yun hee bazm ki raunak badhate rahiye..
likhte rahiye..



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com