Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Na baaton se baatein banaaya karo
Old
  (#1)
anaarhi
Talib-e-ilm
anaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 213
Join Date: Aug 2010
Location: NOIDA (U.P.)
Rep Power: 23
Na baaton se baatein banaaya karo - 8th June 2011, 06:15 PM

ना बातों से बातें बनाया करो,
कोई पूछे तभी कुछ बताया करो.

वज़्न झेल सकते हो उसका अगर,
तो मुद्दा बज़्म में उठाया करो.

जो घर में किसी को बुलाया है तो,
दिल अपने को पहले सजाया करो.

मुसाफिर सफ़र के यहां हैं सभी,
ये ग़म बे वज़ह ना मनाया करो.

मंज़िलों के तो हैं अपने ही मज़े,
कभी लुत्फे सफ़र भी उठाया करो.

पता है अगर जो मराहल तुम्हें,
इन सितारों को रस्ता दिखाया करो.
( मराहल = destinations)

दिल जो भी कहे बात उसकी सुनो,
यूँ ही सीने में ना धड़काया करो.

हैं फूल तितलियां जामो साकी भी हैं,
कभी ख़ुद को ज़रा बहलाया करो.

है चालाकी भी थोड़ी ज़रूरी यहाँ,
अनाड़ी ही ना कहलाया करो.

na baaton se baatein banaaya karo,
koee poochey tabhi kuchh bataaya karo.

wazn jhel saktey ho uska agar,
to mud'da bazm mein uthaya karo.

jo ghar mein kisee ko bulaya hai to,
dil apne ko pehley sajaya karo.

musafir safar ke yahan hain sabhee,
ye gam bewazah na manaaya karo.

manzilon ke to hain apne hi mazey,
kabhi lutf-e-safar bhi uthaya karo.

pata hai agar jo maraahal tumhen,
in sitaaron ko rasta dikhaya karo.

dil jo bhi kahe baat ushi suno,
yoon hi seeney mein na dharkaya karo.

hain fool titliyan jam-o-saaki bhi hain,
kabhi khud ko zaraa behlaaya karo.

hai chalaaki bhi thodi zaroori yahan,
anaarhi hi na kehlaaya karo...

"Anaarhi"
7th June 2011


पुराने लिबासों में लाखों हैं पैवंद,
ख़यालों को चोला नया दे रहा हूँ .

Last edited by anaarhi; 8th June 2011 at 06:17 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
naresh_mehra110
Anshumali
naresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.com
 
naresh_mehra110's Avatar
 
Offline
Posts: 7,420
Join Date: Apr 2009
Location: DELHI (INDIA)
Rep Power: 87
8th June 2011, 10:28 PM

wazn jhel saktey ho uska agar,
to mud'da bazm mein uthaya karo.

pata hai agar jo maraahal tumhen,
in sitaaron ko rasta dikhaya karo.

dil jo bhi kahe baat usskii suno,
yoon hi seeney mein na dharkaya karo.


Very Impressive ........ Anaarhi Ji

Good Expression .......... !




YuuN Besabab Aansoo Aate NahiN
Lag Zaroor Koii Baat Dil Ko Rahii Hai ...

Fareb Kaa ChaDhtaa Bazaar Dekh
Insaaf Se Bastii Khaalii Ho Rahii Hai ...


---Naresh Mehra----
  Send a message via Yahoo to naresh_mehra110  
Reply With Quote
Old
  (#3)
anaarhi
Talib-e-ilm
anaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 213
Join Date: Aug 2010
Location: NOIDA (U.P.)
Rep Power: 23
10th June 2011, 09:37 PM

Quote:
Originally Posted by naresh_mehra110 View Post
wazn jhel saktey ho uska agar,
to mud'da bazm mein uthaya karo.

pata hai agar jo maraahal tumhen,
in sitaaron ko rasta dikhaya karo.

dil jo bhi kahe baat usskii suno,
yoon hi seeney mein na dharkaya karo.


Very Impressive ........ Anaarhi Ji

Good Expression .......... !

Badey Bhai Naresh ji,

Namaskaar,

khyaal pasand kerney ka shukriya....

Regards,

"Anaarhi"
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
11th June 2011, 02:26 PM

na baaton se baatein banaaya karo,
koee poochey tabhi kuchh bataaya karo.

wazn jhel saktey ho uska agar,
to mud'da bazm mein uthaya karo.

manzilon ke to hain apne hi mazey,
kabhi lutf-e-safar bhi uthaya karo.

BOHAT KHOOB .................................................




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#5)
anaarhi
Talib-e-ilm
anaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 213
Join Date: Aug 2010
Location: NOIDA (U.P.)
Rep Power: 23
12th June 2011, 06:54 AM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post
na baaton se baatein banaaya karo,
koee poochey tabhi kuchh bataaya karo.

wazn jhel saktey ho uska agar,
to mud'da bazm mein uthaya karo.

manzilon ke to hain apne hi mazey,
kabhi lutf-e-safar bhi uthaya karo.

BOHAT KHOOB .................................................
Zainy Sahiba, Ishk ji, Naresh bhai,
Namaskaar,
Khyaal pasand kerney ka shukriya aur reps add kerney ka bhi shukriya per in reps ka main asli haqdaar nahin hoon. Kuch din pehley face book per Janaab Rahat Indori sahab ki shayri ka ek link aaya tha sajid bhai k group page par. us cliping ko dekh kar aur rahat sahab ki shayri sun kar main unse behad parbhavit hua. usmein unhone ye gazal bhi padi ...........

UNgliyaa.N yu na sab par uthaya karo
Kharch karne se pehle kamaya karo

Zindagi kya hai khud hi samajh jaoge
Barisho me patangei.N udaya karo

Shaam ke baad tum jab sehar dekh lo
Kuch fakiro ko khana khilaya karo

Dosto se mulakaat ke naam par
Neem ki pattiyo ko chabaya karo

Chand suraj kaha apni manzil kaha
Aisey waiso ko muh mat lagaya karo

Ghar usi ka sahi tum bhi haqdaar ho
Roz aaya karo roz jaaya karo

Rahat Indori



meri koshish is gazal ki sirf nakal bhar hai jo ki khyaal aur adaygi k muamley mein iske 5% bhi nahi hai. jo aap sab is nacheez ko daad de rahey hain uske asli haqdaar Janaab Rahat Indori hi hain.

Talib-e-ilm
"Anaarhi"
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com