Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Ghazal Section

 
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Prev Previous Post   Next Post Next
kisiki kahani, kisiki zabaani
Old
  (#1)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
Sad kisiki kahani, kisiki zabaani - 10th March 2003, 02:08 PM

Tujh bin jeena nahi mujhko gavaara,
Mera to tu hi hai ek sahaara.
Tujh bin jiya jaayega mujhse nahi,
rehta hai in aankhon mein tera intzaar vahi.

jaise pukaar raha hai koi mujhe kahin,
jaanti hun ki tum hi ho,
phir bhi saamne tum aate kyun nahi.
khel rahe ho yun dil se mere kyun?
marr na jaayein is khel mein hum kahin.
duniya ne to thaan li hai khaak mein huemin milaane ki,
kya tum bhi shaamil ho usi kataar mein kahin???
tum saath doge to duniya se bhi lad lenge,
par aur nahi himmat judai ka gam uthaane ki.

tumse juda ho kar mein reh na paayi,
maaf bhi khud ko kabhi main kar na paayi.
Bahut ki koshish tumhe bhulaane ki,
lekin chaah kar bhi tumhe bhula na paayi.
jab jaante the tum ki juda ho jaayenge hum,
tab meri zindagi mein aaye hi kyun?

"socha bahut hum tumhe haan kahen bhi ya nahi"
par is dil par mera zor chala nahi.
bani hui thi teri surat dil ki deewaron pe meri,
apni us pehli mulaakat se hi.
lekin tujhe is baat ka kabhi pata chala hi nahi.
Jab kaha tumne karte ho mohabbat humse tum bhi,
mere diwaane dil ko aaya yakin bilkul nahi.
Aata bhi kaise tumne kabhi koi ishaara na diya,
chaahne lage the hum to tumhe pehli nazar mein hi.
bata dete tumhe yeh, itna honsla hum mein tha nahi.
socha gar naraaz ho gaye tum humse,
to khud ko maaf kar paayenge hum nahi.
tumhari dosti ke bina ji paayenge hum nahi.

kat rahi thi zindagi meri bhi khushiyon ke saaye mein,
shaayad khuda ko yeh bhi pasand aaya nahi.
kuch is kadar khafa hua khuda mujhse,
Yahan hun main, aur mera hum dum hai aur kahin.
Darmayaan doori hai, judai hai, tanhai hai,
dard ke alaawa khuda se aur kuch mila nahi.
phir duniya bhi bigad gayi mujhse,
itne kehar dhaaye gaye phir mujhpe.

Vaapis jaane ka jab bhi liya naam maine,
jakda zanjeeron mein mujhe sabne yahin.
mohabbat se meri kiya mujhko door,
ab to unhi ka chehra nazar aata hai mujhe har kahin.
jaana hai mujhe mere hum dum ke paas,
dil ki mere yehi pehli aur aakhiri aas.

Paa loongi tumhe phir ya nahi..
koi raasta nazar mujhe aata nahi.
tadap rahi hun tere pyar ke bina main,
tadap raha hoga tu bhi kahin.
Sache premiyon ke naseeb mein kyun gam aate hain?
kyun dilwalo ki khushiyan, khuda se dekhi jati nahi?
kyun bhari meri zindagi judaai ke gam se?
kyun khuda ko mujh par taras aata nahi?
Kyun aaye saare gam mere hi hisse mein?
de rahi hai saugaat mein aur gam mujhe yeh duniya,
lagta hai, abhi ise bhi chain aaya nahi.

Kab hogi mere dil ki murrad poori?
kab tak jiyoongi main yeh zindagi adhoori.
Khushiyan kabhi to mere daaman mein hogi ya nahi?
is baat par yakin mujhe aata nahi.
apni mohabbat ke bina ji paaongi nahi,
chod doongi yeh saanse, marr jaaondi mein yahin,
gar jeena pada tumhare pyar bina mujhe kahin.



"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

   
Reply With Quote
 


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Nahi Chahiye dua kisiki samyasar1 Anjuman-e-Shayri 0 5th August 2008 01:33 PM
Har Kisiki Kahani Hoti Hai, Kisiki ZUBAANI Kisiki BEZUBAANI Hoti Hai roothi_pari Shayri-e-Dard 0 26th September 2005 06:00 PM
kisiki yaad me Priyamitra Shayri-e-Dard 0 20th May 2004 10:11 PM
kisiki yaad mai.. ruma Shayri-e-Ishq 2 2nd July 2003 10:21 AM
kisiki bewafai hemant2001nisha Anjuman-e-Shayri 0 1st August 2002 07:36 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com