Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Ghazal Section

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Ghazal: 'Maikash saahab ke nazr!'
Old
  (#1)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
Ghazal: 'Maikash saahab ke nazr!' - 22nd September 2006, 12:01 PM

[color=royal blue]yaaraan-e-mehfil:

Ghazal liKhate Likhate kaafi waqt guzar gaya hai aur kaam kuchh baRh gay hai tau sochaa kee ab ek 'break' liya jaaye, Par break lene se pahle 'Ghaalib' jee kee zameen par likhi huii yeH gahzal 'Maikash saahab' nazr karta huuN... phir bhi ummeed raKhata huuN kee aap sabhi dost ise paRheN ge aur apni besh-qeematii raa'ey se zaroor navaazeNge.

*****************************************
Matla arz hai:-

1)dard de na Shifaa kare koii,
yaar aisa huaa kare koii..

Sher:-

2)na mila kaaenaat meiN tujh sa,
kaaSh! tujh sa huaa kare koii..

3)jism ho jaayeNge judaa to kyaa,
rooh kaise judaa kare koii..

qitaa:-

4)ai Khudaa tere dar pe aa pahuNche,
door kab tak rahaa kare koii..

5)sar jhukaata hai jo tire aage,
kaise us ka buraa kare koii..

Sher:-

6)hai yeh aadam mureed-e-shaitaaN kyoN,
ho sake to bhalaa kare koii..

7)kar sake tau wafa karay duniya,
na kisii par jafaa kare koii..

Maqta arz hai:-

8)gardishoN meiN sitaare hoN'Ghaafil',
kyaa kahe aur kyaa kare koii..

Shifa: cure
Mureed-e-ShaitaaN: Shaitaan ka chela,

-Mayank 'Ghaafil'
[/color]
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
hi
Old
  (#2)
akant
Registered User
akant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to behold
 
akant's Avatar
 
Offline
Posts: 1,774
Join Date: Apr 2003
Location: UP, India
Rep Power: 30
hi - 22nd September 2006, 12:17 PM

mayank ji,

bahut khub... aapki ghazala bahut pasand aayi... kai din ke baad aapko padha... aur aapki es ghazal se mujhe naye cheej ka abhas hua.. well done dear...

likhate rahiye,

Akant...

*********
आहट सी कोइ आये तो समझ लेना कि तुम हो...
AahaT si koi aaye to samajh lena ki tum ho...
   
Reply With Quote
Re: Ghazal: 'Maikash saahab ke nazr!'
Old
  (#3)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
Re: Ghazal: 'Maikash saahab ke nazr!' - 22nd September 2006, 12:19 PM

Quote:
Originally posted by Anjana Rahi
[color=royal blue]yaaraan-e-mehfil:

Ghazal liKhate Likhate kaafi waqt guzar gaya hai aur kaam kuchh baRh gay hai tau sochaa kee ab ek 'break' liya jaaye, Par break lene se pahle 'Ghaalib' jee kee zameen par likhi huii yeH gahzal 'Maikash saahab' nazr karta huuN... phir bhi ummeed raKhata huuN kee aap sabhi dost ise paRheN ge aur apni besh-qeematii raa'ey se zaroor navaazeNge.

*****************************************
Matla arz hai:-

1)dard de na Shifaa kare koii,
yaar aisa huaa kare koii..

Sher:-

2)na mila kaaenaat meiN tujh sa,
kaaSh! tujh sa huaa kare koii..

3)jism ho jaayeNge judaa to kyaa,
rooh kaise judaa kare koii..

qitaa:-

4)ai Khudaa tere dar pe aa pahuNche,
door kab tak rahaa kare koii..

5)sar jhukaata hai jo tire aage,
kaise us ka buraa kare koii..

Sher:-

6)hai yeh aadam mureed-e-shaitaaN kyoN,
ho sake to bhalaa kare koii..

7)kar sake tau wafa karay duniya,
na kisii par jafaa kare koii..

Maqta arz hai:-

8)gardishoN meiN sitaare hoN'Ghaafil',
kyaa kahe aur kyaa kare koii..

Shifa: cure
Mureed-e-ShaitaaN: Shaitaan ka chela,

-Mayank 'Ghaafil'
[/color]

Mayank ji namaskar............!

kaya kahney aapki gazal ke, etne pyarey ahsaas rakhtey aap apne dosto ke liye. aur sach kahu har shabad dil ko chu gaya, bahut hi badiya tareekey se likhtey hai aap, sab se alag andaz hai aapka. aur ha pls jayada lambhi break mat lijiyega, hum sab ko appke bina yeh parivaar suna suna lageyga, jaldi vapas aayega.

appki dost

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#4)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
22nd September 2006, 12:29 PM

mayank ji

kasie ho aap?

aapki peshkas ko padhke bahot khusi hui,,aapki dosti ka andaz pasand aaya

aur maine sath me padha k aap break le rahe ho..

apna khayal rakhiyega mayankji aur intear rahega aapki peshkas ka k kab aapki peshkas fir se padhne ko mile.......

ja rahe hai aap aaj 'Ghaafil' kuch waqt ke liye
intezar bhare lamhe chhod jayenge aap hum sab k liye..........

=FOR YOU =

aapka inteazar rahenga mayank ji.............take care

aapka dost
dhaval

*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...

Last edited by Dhaval; 22nd September 2006 at 12:31 PM..
   
Reply With Quote
mayank
Old
  (#5)
masoomshayer
Registered User
masoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud of
 
masoomshayer's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Dec 2005
Location: delhi
Rep Power: 31
mayank - 22nd September 2006, 12:30 PM

koyee sher is main se nahee chcant payoonga jise kah sakoon ye lajawab hai. haqeeqat ye hai sara kalam la jawab hai. bahut se koh-e-noor hon to us main se behatar kise kahe koyee mujhe achha lagata hai mera bhayee itna achha likhta hai garv ka anubhav hota hai
Maykash jee aap ko bahut bahut badhayee itne khoobsoorat kalam ek sath aap na nam aya hai

mayank break se pahale ek kalam masoomshayer ke nam bhee. suna hai chhotee chhotee baton se khush ho jata hai aur ye baat to bahut baree hogee
Anil

mere ashar ko mahoob samjh ke chhoomte the jo
kho gaye hain woh log ab un kee justzoo hai

Last edited by masoomshayer; 22nd September 2006 at 12:32 PM..
  Send a message via Yahoo to masoomshayer  
Reply With Quote
Old
  (#6)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
22nd September 2006, 03:10 PM

Mayank saheb

aadaab aur namaste

bhai aapne yeh khoobsuurat Ghazal mujh na'ehl ko nazr karke jo izzat baKhshi hai uske liye lafz-e-shukriya bohat kam pad raha hai

ek baar phir se aapne ek mayaari kalaam takhleeq kiya hai, afsos yeh hai ke ek adna si mubarakbaad pesh karke ke ilaawa aur kuch ikhti'aar meiN nahiiN hai ba-har-haal voh to kam-az-kam aap "Tikaa" hi lijiye

meri nazar meiN har Ghazal ka matlaa aur maqtaa shaayir ke takkhayul-o-taGhazzul ka aa'iinaa hota hai aur is lihaaz aapne is Ghazal ke saath ko'ii na'iNsaafi nahiiN ki.....maqtaa mere hisaab se haasil-e-Ghazal raha

aapne arz kiya ke "break" le rahe haiN jo ke achchi baat hai...kabhi-kabhaar yuuN hota hai ke hum zabran she'r kehne ki koshish karte haiN jis se fa'iidaa kam aur nuksaan zyaada hota hai, ummiid hai ke ye waqfaa aapke aur urdu adab ke liye mufeed saabit hoga

aapki muravvat ke liye mashkuur-o-mamnuun huuN

bohat shukriya

khair aNdesh
maikash

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
hi
Old
  (#7)
rajveeer
shayri is my life
rajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud of
 
rajveeer's Avatar
 
Offline
Posts: 1,938
Join Date: Jun 2006
Location: Punjab(Phagwara)Now:(California) USA
Rep Power: 33
hi - 23rd September 2006, 11:18 AM

8)gardishoN meiN sitaare hoN'Ghaafil',
kyaa kahe aur kyaa kare koii..

mayank ji appko raj ka bhut sara pyaar....appko parhna ek alag sa ehsaas hota hai jo ki apne app main ek sabaab hai......appki gazal bhut purkashisk bani hai or makta to janaab puchhiye hee main poori bebassi ko in do misro main baandh diya appne.....meri dil se daad kabool karna......take care.......raj........

un se kar liya kinara unki khushi ki khatir
ab mujhe bewafa kahiye ya bawafa kahiye...(Raj)
 Send a message via ICQ to rajveeer Send a message via Yahoo to rajveeer  
Reply With Quote
Old
  (#8)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
11th November 2006, 02:01 PM

Quote:
Originally Posted by akant View Post
mayank ji,

bahut khub... aapki ghazala bahut pasand aayi... kai din ke baad aapko padha... aur aapki es ghazal se mujhe naye cheej ka abhas hua.. well done dear...

likhate rahiye,

Akant...
Akant jee,

Namaskaar,

AaSha hai k s'kuShal hoNge. Aap ko Ghazal pasand aayee,Dhanyavaad. aap ne liKha hai ki aap ko ek nayee cheez ka aabhaas huaa hai, voh kya hai bata deN to Khushi hogii..

Bohat dinoN se aap ki rachna paRhne ko nahiN mili.Kya baat hai? Mausam khuShgawaar nahiN hai ya laparvahi ho rahi hai? Jaldi koi rachna kareN aur yahaN post kareN.

Aapka apna

Mayank
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#9)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
11th November 2006, 02:02 PM

Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post
Mayank ji namaskar............!

kaya kahney aapki gazal ke, etne pyarey ahsaas rakhtey aap apne dosto ke liye. aur sach kahu har shabad dil ko chu gaya, bahut hi badiya tareekey se likhtey hai aap, sab se alag andaz hai aapka. aur ha pls jayada lambhi break mat lijiyega, hum sab ko appke bina yeh parivaar suna suna lageyga, jaldi vapas aayega.

appki dost
Sunita jii,

Namaskaar,

Aap nko Ghazal pasand aayee, jaan kar bohat KhuShi huii.. maiN aap ka be-had sHukr guzaar huuN ki aap ne meri is chhoti si koShiSh ko na sirf paRhaa bal-ki ise saraahaa bhi... yeH to husn-e-nazar hai aap ki jo aap ne Ghazal pasand kiya..verna mujh jaise liKhne waale bohat haiN..

Aur Rahii baat break ki to, DeKhiye ham aa gaye haiN bohat jald hi.. kya kareN aap sab ke bina hamaara bhi dil nahiiN lagta hai na.. YuuN hi aap bazm meiN aati raheN..

-Mayank
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#10)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
11th November 2006, 02:04 PM

Quote:
Originally Posted by dhavalrami4you View Post
mayank ji

kasie ho aap?

aapki peshkas ko padhke bahot khusi hui,,aapki dosti ka andaz pasand aaya

aur maine sath me padha k aap break le rahe ho..

apna khayal rakhiyega mayankji aur intear rahega aapki peshkas ka k kab aapki peshkas fir se padhne ko mile.......

ja rahe hai aap aaj 'Ghaafil' kuch waqt ke liye
intezar bhare lamhe chhod jayenge aap hum sab k liye..........

=FOR YOU =

aapka inteazar rahenga mayank ji.............take care

aapka dost
dhaval

Dhaval Dost,

Kaise ho? maiN Theek huuN, aap ne ess koShish ko bhii saraaha jana kar behad Khushi huii.. aap sab dostoN se hi hausala afzaaii hoti hai hamaari , aur liKhane ki liye taaqat milta hai.. Aap ka yeH Reply paRh kar bohat Khushi huii.. itne paar bhare reply ke liye Shukriya.. yuuN hi aate raho.. take care..

-Mayank
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#11)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
11th November 2006, 02:05 PM

Quote:
Originally Posted by masoomshayer View Post
koyee sher is main se nahee chcant payoonga jise kah sakoon ye lajawab hai. haqeeqat ye hai sara kalam la jawab hai. bahut se koh-e-noor hon to us main se behatar kise kahe koyee mujhe achha lagata hai mera bhayee itna achha likhta hai garv ka anubhav hota hai
Maykash jee aap ko bahut bahut badhayee itne khoobsoorat kalam ek sath aap na nam aya hai

mayank break se pahale ek kalam masoomshayer ke nam bhee. suna hai chhotee chhotee baton se khush ho jata hai aur ye baat to bahut baree hogee
Anil
Anil Jee:

Namaskaar,

Aap ne ess Ghazal ko pasand kiya Ghazal kii Khubsuurati baRh gaii..PaRh kar bohat KhuShi huii.. aur jis dariya-dilii se aap ne is ki taareef ki hai, us ne to mujhe laa-jaavaab kar ke raKh diyaa hai. yeH to aap ka pyaar hai jo aap mujhe hameSha paRhte haiN aur waqt nikaal kar hausala afzaaii bhi karte haiN.. Aap kii yeh daad mere liye bohat maa'eyne raKhti hai.. ess se kabhi mujhe mehroom na raKkheN..

Break se pahle to maiN aap ke naam kuchh nahiiN liKh saka,, par ab koShish karuNga ki agala kalaam, (agar kuchh liKh paaya to) aap ke naam hogii.. Apna Khayaal raKhiye.. aur yuuN hi aate raheN...

aap ka apna

Mayank
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#12)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
11th November 2006, 02:06 PM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
Mayank saheb

aadaab aur namaste

bhai aapne yeh khoobsuurat Ghazal mujh na'ehl ko nazr karke jo izzat baKhshi hai uske liye lafz-e-shukriya bohat kam pad raha hai

ek baar phir se aapne ek mayaari kalaam takhleeq kiya hai, afsos yeh hai ke ek adna si mubarakbaad pesh karke ke ilaawa aur kuch ikhti'aar meiN nahiiN hai ba-har-haal voh to kam-az-kam aap "Tikaa" hi lijiye

meri nazar meiN har Ghazal ka matlaa aur maqtaa shaayir ke takkhayul-o-taGhazzul ka aa'iinaa hota hai aur is lihaaz aapne is Ghazal ke saath ko'ii na'iNsaafi nahiiN ki.....maqtaa mere hisaab se haasil-e-Ghazal raha

aapne arz kiya ke "break" le rahe haiN jo ke achchi baat hai...kabhi-kabhaar yuuN hota hai ke hum zabran she'r kehne ki koshish karte haiN jis se fa'iidaa kam aur nuksaan zyaada hota hai, ummiid hai ke ye waqfaa aapke aur urdu adab ke liye mufeed saabit hoga

aapki muravvat ke liye mashkuur-o-mamnuun huuN

bohat shukriya

khair aNdesh
maikash

MaikaSh saahab,

SSA,

Aap ko deKh kar aisa laga ki, 'jis ka intizaar tha voh Shaahkaar aa gaya"

Shukriya ka lafz zaroor kam paR sakta hai, par aap ke diloN meiN dostoN ke liye jo khluus hai voh kabhii kam nahiiN paR sakta... aur hamaare liye to yeH Shukriya ka lafz bhi bohat hai...

Aap ko 'apnii' yeH takhleeq pasand aaii, ess k liYe Khaaksaar aap ka tah-e-dil se Shukr guzaar hai... Aap ki yeH mubaarak baad hamne seene par ek 'medal' kii tarah 'TIKAA' diya hai..

Ghazal aap ko pasand aaii, aur Khaas taur par aap ne matla aur maqte ko pasand kiya, aur maqte ko haasil-e-ghazal se navaaza yeH jaan kar dil baaGh-baaGh huaa.. Shukriya...

aap ne sahii farmaaya hai, zabardasti Sher kahne se faa'eda kam aur nuksaan zeyaadah hota hai.. ess liye hi hamne socha tha ki ek break le leN..ab hamaare break le kar lautne se urdu adab ke liye mufiid saabit hota hai ya nahiN yeH nahiiN pata par ham koShish zaroor kareNge ki aap ke ummeedoN par Khare utareN... Apna Khayaal raKhiyega..

NawaaziSh ke liye aap ka mamnuun huuN..

ab ijaazat deejiye..

-Mayank
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#13)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
11th November 2006, 02:08 PM

Quote:
Originally Posted by rajveeer View Post
8)gardishoN meiN sitaare hoN'Ghaafil',
kyaa kahe aur kyaa kare koii..

mayank ji appko raj ka bhut sara pyaar....appko parhna ek alag sa ehsaas hota hai jo ki apne app main ek sabaab hai......appki gazal bhut purkashisk bani hai or makta to janaab puchhiye hee main poori bebassi ko in do misro main baandh diya appne.....meri dil se daad kabool karna......take care.......raj........

Rajveer jii,

aap ke pyaar ke liye maiN aap ka aabhaari huuN.. Yeh to aap ka pyaar hai jo aap ess na-chiiz ko paRhne ke liye waqt nikalte haiN,paRhte haiN ,aur pasand karte haiN, daad dete haiN.. Aap ne Ghazal ko aur Khaas karke maqte ko pasand kiya yaqeen keejiye jaan kar bohat KhuShi huii.. Aap ki daad hame dil se qubool hai.. Shukrguzaar hooN k ghazal pasand aayee.

Mayank
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#14)
MahamAzmi
Registered User
MahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 514
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 23
28th September 2007, 02:22 PM

Maynak sahab

Kabhi eik bazm mein Maikash ji ko parhne ka sharaf haacil ho chuka hei maham ko aur hum inke qalam ke buahat bare madaah hein

Maikash sahab ke kalam mein jo gehrayee jo dard jo ajub see taceer hei uske liye hamare pas qatan lafz na hee hum kuch unke liye keh sakte hien bas ita h eke jo bhi vo likhte hien dil mein zaroor naqsh hota mehsus hota hei shayed is liye ke vo SACH likhte hien aur dilse likhte hien aur yehe shart hei shayeri ke lie , ACHI SHAYERI ke liye shayed.........

Apki ye ghazal Maikash ji ke shayaan e shaan hei bebshak

Bauhat hee taqatvar aur puracar qalam hei sahab apka

Is ghazal k parha aur besakhta daad dene chale aye hum

Maqta kiya khub kaha sahab ap ne buahat hee umda .........

1)dard de na Shifaa kare koii,
yaar aisa huaa kare koii..

Sher:-

2)na mila kaaenaat meiN tujh sa,
kaaSh! tujh sa huaa kare koii..

3)jism ho jaayeNge judaa to kyaa,
rooh kaise judaa kare koii..

waaaaaaaaaaaaaaaah ufffffff ye ashaar baarhaa parhe hum ne , jaane kiya tha in mein ke humen laga jaise inki taceer taader ehsas mein rahe gee baaqi

Behud bakamaal kalam apka hazur

Maham ki daad haazir hei gu ke hum jaise adnaa likhne walon ki daad ki koi ehamiyat nahi pur dil ne kaha ke jo dilko acha laga usko daad dete chalaein aur ye ashaar waqayee Maham ke dil mein utar gaye

With all my due respects to the person this creation wz dedicated
and also to the person responsible for such wonderful writing

MahamAzmi
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
6th October 2007, 02:52 PM

Maham jee:

aadaab arz hai!

maikash saahab ke baare me.n aap ne bilkul sahii farmaaya hai..

mai.n bhii un ka mureed raha huu.n.. sab se khaas baat un ke ghazal me.n yeh hoti hai kii woh jo bhi kahte hai.n dil se kahte hai.n aur mushkil se khayaalo.n ko aasaani se lafzo.n se bayaa.n kar deta hai.n. aur ham dekhate hii rah jaata hai.n.

jaise kii aap ne taarikh par Ghaur kiya hoga, yeh saal bhar puraani Ghazal hai hamaarii.. aur ham lagaatar shayri likh-likh kar uktaa gaye the.. to socha kii do-ek mahine ki chhuTTi le li jaaye! aur chhuTTi par jaane se pahele ham ne socha kii ek Ghazal maikash saahab ki nazr kii jaaye! taaki kam se kam hame isi bahaane yaad rakhe.n. Ghazal to khair koii khaas nahii.n ban paaye, lekin yeh shayaad maikash saahab kii iinyat thee kii Ghazal un ko bhaa gayee!

Quote:
Bauhat hee taqatvar aur puracar qalam hei sahab apka

Is ghazal k parha aur besakhta daad dene chale aye hum
Ghazal Ghalib jee kii hai, to is par insaaf karna behad behad mushkil laga..par jaise taise Ghazal likh hi daali.. aur Ghazal ke kuchh sher aap ko achchhe lage,jaan kar behad behad khushi huii.. aur madam aap ne jis Dhang se Ghazal kii taariif kii hai,meri bohat hausila afzaaii huii hai.. is ke liye mai.n aap ke behad mamuun huu.n. yeh aap kii husn-e-nazar hai jo Ghazal aap ke dil ko is qadar bhaayii hai..

Quote:
Maqta kiya khub kaha sahab ap ne buahat hee umda .........

hmm.. maqta sab se pahle aap ne maqte kii hii taariif kar dii... lagta hai sab se pahle aap ne maqte ko paRh liya..hmm... lagta hai maqte ko ab chhupa kar rakhana paDega.

Quote:
1)dard de na Shifaa kare koii,
yaar aisa huaa kare koii..

Sher:-

2)na mila kaaenaat meiN tujh sa,
kaaSh! tujh sa huaa kare koii..

3)jism ho jaayeNge judaa to kyaa,
rooh kaise judaa kare koii..

waaaaaaaaaaaaaaaah ufffffff ye ashaar baarhaa parhe hum ne , jaane kiya tha in mein ke humen laga jaise inki taceer taader ehsas mein rahe gee baaqi

Behud bakamaal kalam apka hazur

Maham ki daad haazir hei gu ke hum jaise adnaa likhne walon ki daad ki koi ehamiyat nahi pur dil ne kaha ke jo dilko acha laga usko daad dete chalaein aur ye ashaar waqayee Maham ke dil mein utar gaye

With all my due respects to the person this creation wz dedicated
and also to the person responsible for such wonderful writing

MahamAzmi
maham jee, aap ne waah! kahte huye, 'a' ko jis tarah se khiicha hai, aisa lag raha hai kii bohat duur se aawaaz aa rahii hai.. aur bohat duur se koii taariif kar raha hai. aur aap khud ko adna na kahe.n, aap bohat khuub likhti hai.n, aisa kii paRhte hii dil par naqsh ho jaata hai.. aur aap ne jis Dhangh se is naa-cheezkii taariif kii hai, kya kahuu.n..

Shukriyah! iinaayat! karam! mehrbaanii!

mayank

PS:mahaam jee plz mera naam Theek se likhiye , mera naam मयंक hai, maynak nahii.n

Last edited by Mayank; 6th October 2007 at 03:06 PM..
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#16)
dheer
Registered User
dheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant future
 
dheer's Avatar
 
Offline
Posts: 875
Join Date: Nov 2004
Location: udaipur
Rep Power: 35
6th October 2007, 02:57 PM

bahut khoob Mayank saHeb!
aapkii ye ghazal behad pasand aayii! achchhe sher kahe hai aapne! merii aur se daad qabool kijiyegaa!

mukhlis
Dheer!
  Send a message via Yahoo to dheer  
Reply With Quote
Old
  (#17)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
7th October 2007, 12:01 PM

Quote:
Originally Posted by dheer View Post
bahut khoob Mayank saHeb!
aapkii ye ghazal behad pasand aayii! achchhe sher kahe hai aapne! merii aur se daad qabool kijiyegaa!

mukhlis
Dheer!
dheeraj Saahab,

aap ko yeh Ghazal pasa.nd aayee jaan kar behad khushii huii.. aap kii daad ke liye mai.n aap ka mamuun huu.n.. aap khud achchhaa likhate hai.n, is ke liye aapki daad mere liye khaas maa'ene rakhatii hai.. yuu.n hii aate rahe.n..

mayank
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Reply

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Meri nazr me apni nazr bar bar rakh,1dil jigar k par rakh. silent-tears Anjuman-e-Shayri 0 2nd May 2010 06:18 PM
Ghazal:hum ziNdagii the humko kisi ne jiyaa nahiiN (by maikash jee) Mayank Shayri-e-Dard 7 5th September 2009 12:05 AM
Nazr by Qayam silent-tears Shayri-e-Ishq 0 31st May 2008 02:52 PM
Bashir Saahab ki behtareen gazal xoopsx Shayri-e-Dard 2 21st February 2006 10:44 AM
bachhan saahab ki madhushaala.............!!!!!!!!!!1 anil_anna Shayri-e-Sharaab 3 21st December 2005 08:18 PM

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com