Kuch beeTe lamhe jab lauT ke aaTe hain..
Gam ke saaye saaTh me laaTe hain..
Hum jiTna bhi chaahe aaine ke saamne mukuraana..
Na jaane aansoon kahan se aankhon me bhar aaTe hain...
Apni duniya ko aaj bhi khwaabon se sajaaTe hain..
Aankh khulTe hi yeh sab bhi TooT jaaTe hain..
JaanTe hain na sach hoga abhi koi sapna humara..
Phir bhi aankhon me woh sunehre sapne sajaaTe hain...
Khal rahi hai yeh doori... chalo ab hum lauT aaTe hain..
EK pal bhi na Tumhare bina hum khushi se jee paaTe hain..
Par kubool na hoga humara milan fir se is zaalim duniya ko..
Bas yahi soch kar fir "ChaahaT" ke kadam khud hi ruk jaaTe hain..
Hum jiTna bhi chaahe aaine ke saamne mukuraana..
Na jaane aansoon kahan se aankhon me bhar aaTe hain...[/b][/COLOR]
~Priya
[/B][/QUOTE]
priya sachi mai maine to esko dekha hai nahi, agar tum na batati to yeh meri nazar se rah jatta. priya ab mai kaya kahu upper sabhi ne kaha hai ki bahut dard hai es main. mai to bas yehi dua karti hu ki dard khatam ho jaye aur eski jagah hamari priya pyar ke, kushi ke taraney likhney lagey, par patta nahi yeh dua kab kabool hogi. ek geet ka mukhra tumharey liye likhna chahti hu:
kab tak dillo ko andherey chaleygey,
udhasi bharey din kabhi to dhaleygey,
kitney bhi ho tej hawa ke yeh jonkey,
jo tum se hai bichdey woh kal phir mileygey............!
kush raha karo.....!
tumhari didi