Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Dard
Old
  (#1)
mahima
Registered User
mahima is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 47
Join Date: Feb 2002
Location: Canada
Rep Power: 0
Love Dard - 19th February 2003, 04:37 PM

Tumse miloon to mere dil ka dard aur badhta hai
is liye socha hai ki hum aur tum milna chhod dein
pyaar ki dor jis se zindgi bandhi thi hamaari
ab yahi behtar hai dheere se woh dor tod dein

Mujhe yakeen hai ki tumko mujhse pyaar nahi hai
fir bhi aankhein band karke saath chal rahi hoon main
yeh bhi jaanti hoon tum kar rahe ho mere dil se fareb
fir bhi dil se tumhein pyaar kar rahi hoon main
pyaar ke naam ka ek bharm jo maine dil mein paala tha
ab yahi behtar hai us aakhri bharm ko tod dein
pyaar ki dor jis se zindgi bandhi thi hamaari
ab yahi behtar hai dheere se woh dor tod dein

Pyaar ke naam par jhootha sa ek rishta hai
jiski buniyaad hi dhokhe se rakhi gayee thi kabhi
ki har ek haal mein har kadam pe mere saath tum rahoge
jaane kya sochkar yeh kasam uthaaee gayee thi kabhi
kadam kadam par mujhse kiye thae jo tumne jhoothe vaade
ab yahi behtar hai un vaadon se hum naata tod dein
pyaar ki dor jis se zindgi bandhi thi hamaari
ab yahi behtar hai dheere se woh dor tod dein

Main tum mein nahin magar khud mein kasoor dhoondti hoon
aur baar baar apne dil se yeh sawaal poochti hoon
ki mere pyaar meri wafa mein kya naa paya tumne
kyon bina kasoor bina wajah mujhe itna tadpayaa tumne
bas ab yahi dua hai ki teri yaadein mera peecha chhod dein
pyaar ki dor jis se zindgi bandhi thi hamaari
ab yahi behtar hai dheere se woh dor tod dein

Tumhaare badle hue andaaz mujhe hairaan karte hain
tumhaare badle hue lehze mujhe pareshaan karte hain
main nahi kar sakti hoon tumhaari berukhi ka saamna
saha nahi jaayega mujhse tumhaara thokar maarna
is liye socha hai ki ek dusre se hum moonh mod lein
pyaar ki dor jis se zindgi bandhi thi hamaari
ab yahi behtar hai dheere se woh dor tod dein


mahima
   
Reply With Quote
Very Nice Thoughts
Old
  (#2)
Princess
Registered User
Princess is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 9
Join Date: Jan 2003
Location: Chicago
Rep Power: 0
Very Nice Thoughts - 21st February 2003, 03:38 AM

Hi Mahimaji,
Firstly, Many Many Happy Returns of The Day!! Hope u have a blast!!
Bahut hi accha likha hai aapne...keep up the good work...
Princess
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#3)
Ursfoeva
DiL
Ursfoeva will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 203
Join Date: Feb 2003
Rep Power: 22
hi - 21st February 2003, 06:46 AM

hi mahima ji,

bahut achaa likha hai aapne
keep writing.

Luv Urs4eva


dont frown, u never know whoz falling in love with ur smile :)
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
geetanjali
Registered User
geetanjali is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 22
Join Date: Oct 2002
Rep Power: 0
21st February 2003, 10:54 AM

Mahima ji
Kya baat kahi hai aapne. Bohat accha lika hai aapne. liktey rahiye

Geetanjali
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
mahima
Registered User
mahima is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 47
Join Date: Feb 2002
Location: Canada
Rep Power: 0
11th April 2003, 02:06 PM

Thanx geetanjli.Ursfoeva and Princess....


mahima
   
Reply With Quote
mind blowing
Old
  (#6)
vinaydahiya
Registered User
vinaydahiya will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 79
Join Date: Apr 2003
Location: delhi
Rep Power: 21
mind blowing - 11th April 2003, 08:38 PM

mahima,
hi!
agar sabd kuch kahne ki ijjajat dete to kahta_tum kahwab hi acche the kyo aaye haqiqat bankarn na aate tum aur na hota ye gam umarbhar.
aapki shyari se aapki soch ki kal;pana karna to bahut muskil hai haa magar itna yakin ho gaya hai ki aap ki soch mein haqiqat
zalkti hai .
sari sochne ki saqti ko aapne nichod liya.har sabd aissa laga jasse agar ek ek sabad ko gahrai se soche to samandar ki gahrai sayad kum lagane lage.
bas itna hi kahna chahata hu---
"sabhi ko pyar mile zindgi mein zaroori to nahi,
har khwab ho pura zindgi ko zarooi to nahi"
....vinaydahiya
   
Reply With Quote
mind blowing
Old
  (#7)
vinaydahiya
Registered User
vinaydahiya will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 79
Join Date: Apr 2003
Location: delhi
Rep Power: 21
mind blowing - 11th April 2003, 08:40 PM

mahima,
hi!
agar sabd kuch kahne ki ijjajat dete to kahta "tum kahwab hi acche the kyo aaye haqiqat bankar na aate tum aur na hota ye gam umarbhar".
aapki shyari se aapki soch ki kalpana karna to bahut muskil hai haa magar itna yakin ho gaya hai ki aap ki soch mein haqiqat
zalkti hai .
sari sochne ki saqti ko aapne nichod liya.har sabd aissa laga jasse agar ek ek sabad ko gahrai se soche to samandar ki gahrai sayad kum lagane lage.
bas itna hi kahna chahata hu---
"sabhi ko pyar mile zindgi mein zaroori to nahi,
har khwab ho pura zindgi ka zarooi to nahi"
....vinaydahiya
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
~~Khamoshi~~
Registered User
~~Khamoshi~~ is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 61
Join Date: Jan 2003
Location: somewhere...
Rep Power: 22
13th April 2003, 09:40 PM

hi mahima ji

apki yeh lines

Tumse miloon to mere dil ka dard aur badhta hai
is liye socha hai ki hum aur tum milna chhod dein
pyaar ki dor jis se zindgi bandhi thi hamaari
ab yahi behtar hai dheere se woh dor tod dein

bohot achi lagi. ek to judai ka gum mar dalta hai aur agar doobara milo to beeta hua waqt samne aa kar ankhen bar deta hai.... insaan kare bhi to kya kare? jaye bhi to kaha jaye?
keep it up sis! well done!


~~Meena~~


Na kisi apne ki arzoo aab, Na kisi baigane ki talash hai,
Mai to phool hoon tanhaiyon ka, Mujhe bas virane ki talash hai.

   
Reply With Quote
reply
Old
  (#9)
mahima
Registered User
mahima is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 47
Join Date: Feb 2002
Location: Canada
Rep Power: 0
reply - 17th May 2003, 11:21 AM

thanx a lot...Khamoshi and Vinaydahiya ji..for encouraging me..


mahima
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
aashiq anwer
Registered User
aashiq anwer is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 48
Join Date: May 2003
Location: ujjain
Rep Power: 0
17th May 2003, 12:10 PM

mahima ji
kaafi accha likhti hain aap ..har line dil ko chhu gayi jaise ....aapke emotion kaafi khubsurti laa dete hain gajal mai...

weldone

aashiq


aashiq anwer aashiq
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
17th May 2003, 07:13 PM

mahima ji
bohat khubsurat ashaar hain aap keh
dil ko choo gaey.
itni taweel alfaz aur itne pur asr, mein bohat kam partaa hoon magar in ashaar ko parha to parhta chala gaya.
please keep writing, now from now i will try to read all your poetry. hope to read more from you.

all the best.
musharrafhusain
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Chithiye ni dard pirak waliye[Dard bahra punjabi Geet] Diggaj_Dave Hindi/Urdu Lyrics 1 20th January 2009 02:48 PM
Dard Hi Dard Likha Hai In Haatho mein Tanha_Sahil Shayri-e-Dard 0 31st October 2008 11:00 PM
Dard badhta hai dard ko dil mein basane se.... Diggaj_Dave Shayri-e-Ishq 4 19th September 2005 11:24 PM
Dara jab jab ik had se gujar jata hai, vo dard dard nahi rehta>>> shayri12345 Shayri-e-Dard 0 16th November 2002 11:49 PM
dard ki davaa paayi, dard bedavaa paaya allahabadrptds Shayri-e-Dard 2 30th October 2002 06:40 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com