Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
do safar ...
Old
  (#1)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
do safar ... - 8th June 2019, 06:02 PM

दो सफ़र एक ही रस्ते पे ये करते भी रहे

पीछे मुड़ते भी रहे आगे निकलते भी रहे



जब तलक जोश-ए-सफ़र दिल में था चलते भी रहे

संग-ए-मील अपने खयालात में घड़ते भी रहे



आये बाज़ार में हम बन के खरीदार मगर

इस का दस्तूर है जो आये वो बिकते भी रहे



दोस्ती प्यार वफ़ा रहम शराफ़त ईमान

दाम मंहगायी में कुछ चीज़ के गिरते भी रहे



वो यकीं था के गुमां था के तकब्बुर के असूल

वक़्त की आंच में आहन ये पिघलते भी रहे



झूंठे इलज़ाम लगाये तो सर आंखों पे लिये

पर जब आईना दिखाया तो मुकरते भी रहे



पढ़ के अख़बार तो इतिहास पे शक होता है

सच में हैवान से इंसान हैं बनते भी रहे



अब वो कहते हैं के हम उन को पसंद आते नहीं

और हम उन की ही सूरत में बदलते भी रहे



वक़्त को बांध के रक्खा है कुछ इक यादों ने

पल वो बीते नहीं और साल गुज़रते भी रहे



राह तकते रहे दरवाज़े पे घर के सब लोग

और हम घर के किसी कोने में रहते भी रहे



वस्ल और हिज्र के हर रोज़ ज़माने गुज़रे

एक ही छत के तले मिलते बिछड़ते भी रहे



शेर से उड़ गये मानी सभी और “ज़र्रा” तुम

क़ाफ़िये से ये क़फ़स खाली हो भरते भी रहे



- ज़र्रा



do safar ek hi r’ste pe ye karte bhi rahe

peechhe mudte bhi rahe aage nikalte bhi rahe



jab talak josh-e-safar dil meiN tha chalte bhi rahe

saNg-e-meel* apne khayaalaat meiN ghadte bhi gaye

*milestones



aaye baazaar meiN hum ban ke khareedaar magar

is ka dastoor hai jo aaye wo bikte bhi rahe



dosti pyaar vafa rahm sharaafat eemaan

daam meNhgaai meiN kuchh cheez ke girte bhi rahe



wo yakeeN tha ke gumaaN tha ke takabbur* ke asool

waqt ki aaNch meiN aahan** ye pighalte bhi rahe

*arrogance **iron



jhooNthe ilzaam lagaaye to sar aaNkhoN pe liye

par jab aaeena dikhaaya to mukarte bhi rahe



padh ke akhbaar to itihaas pe shaq hota hai

sach meiN haiwaan se insaan haiN bante bhi rahe



ab wo kehte haiN ke hum un ko pasand aate naheeN

aur hum un ki hi soorat meiN badalte bhi rahe



waqt ko baaNdh ke rakkha hai kuchh ik yaadoN ne

pal wo beete naheeN aur saal guzarte bhi rahe



raah takte rahe darwaaze pe ghar ke sab log

aur hum ghar ke kisi kone meiN rahte bhi rahe



wasl* aur hijr** ke har roz zamaane guzre

ek hi chhat ke tale milte bichchhadte bhi rahe

*union **separation



sher se ud gaye maani* sabhi aur “zarraa” tum

qaafiye** se ye qafas** khaali ho bharte bhi rahe

*meaning **rhyming word ***cage



- zarraa


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
masti
Moderator
masti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant future
 
masti's Avatar
 
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 38
10th June 2019, 10:43 PM

Wah ustaad waah..

Bohut khushi hui apko yahaa dekh kar


-Apki Dost
Sarika
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
bhushan
Registered User
bhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Nov 2014
Rep Power: 13
1st August 2019, 08:17 PM

aapki shayri ke kayal ho gaye zarra sahab, waaaaaaaah waaaaaaah waaaaaaaaah

aapka apna

bhushan



Bhushan Joshi
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com