Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
ApnoN ki Shikaayat Per
Old
  (#1)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
ApnoN ki Shikaayat Per - 9th March 2005, 03:59 PM

Pyare doston apnoN ki farmaaish per to aksar log kuchh na kuchh kehte haiN...aaj mai yahaaN apnoN ki shikaayat per kuchh likh raha hooN...jo aap sab ki nazar kar raha hooN.

ApnoN ki Shikaayat Per

Mere yaar mere pyar pe shaayad
Wo pehle sa eitbaar nahi kar paate,
Mai jo Mut.thibhar aasmaaN chaahuN to
Daaman Chhudane pe, aa jaate haiN,

Mere Vujud ke sookhe pat.te giraane ke liye
Wo naadaan meri shaakhoN ko hilaate haiN,
Per aksar un sookhe huve pat.toN ke saath
Kuchh maasoom-anchhuve, KoNpal bhi gir jaate haiN,

Kuchh ghataaeiN amaawas ki tareh
Apni shakshiyat pe chhaa jaati hai,
Isme apni kya khata hai gar suraj ki tarah
Ye ghataaein ham cheer nahi paate haiN,

Beronak is jindgi me tumhare phooloN ne
Phir bhi kuchh to mehka rak.kha hai,
Mere ghar me Guldaan nahi ye kehkar
Wo apne phooloN ko waapas liye jaate haiN,

Mumkin hai ke is taraf se tumko
Sab Ujla-Ujla hi nazar aata ho,
Is ‘Chaand’ ka ek syah chehra peechhe bhi hai
Shaayad mere dost, use dekh nahi paate haiN.


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Re: ApnoN ki Shikaayat Per
Old
  (#2)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
Re: ApnoN ki Shikaayat Per - 9th March 2005, 04:17 PM

Quote:
Originally posted by Chaand
Pyare doston apnoN ki farmaaish per to aksar log kuchh na kuchh kehte haiN...aaj mai yahaaN apnoN ki shikaayat per kuchh likh raha hooN...jo aap sab ki nazar kar raha hooN.

ApnoN ki Shikaayat Per

mere chaand

Mere yaar mere pyar pe shaayad
Wo pehle sa eitbaar nahi kar paate,
Mai jo Mut.thibhar aasmaaN chaahuN to
Daaman Chhudane pe, aa jaate haiN,


~~~
hmmmmmmm


Mere Vujud ke sookhe pat.te giraane ke liye
Wo naadaan meri shaakhoN ko hilaate haiN,
Per aksar un sookhe huve pat.toN ke saath
Kuchh maasoom-anchhuve, KoNpal bhi gir jaate haiN,

~~~ kabhi nahi bhul paaungi is ahesaas ki najukaai ko.
samaj aata hai ki hum kis tarah apno k maan ko, oonki bhavna ko berahmi se anjaane hi kuchalte hai

Kuchh ghataaeiN amaawas ki tareh
Apni shakshiyat pe chhaa jaati hai,
Isme apni kya khata hai gar suraj ki tarah
Ye ghataaein ham cheer nahi paate haiN,

~

Beronak is jindgi me tumhare phooloN ne
Phir bhi kuchh to mehka rak.kha hai,
Mere ghar me Guldaan nahi ye kehkar
Wo apne phooloN ko waapas liye jaate haiN,

..................
Mumkin hai ke is taraf se tumko
Sab Ujla-Ujla hi nazar aata ho,
Is ‘Chaand’ ka ek syah chehra peechhe bhi hai
Shaayad mere dost, use dekh nahi paate haiN.

jaroor kuch kahungi kabhi.................

tumhari meena
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Pulkit_gupta
Humanity
Pulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant future
 
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 42
9th March 2005, 04:39 PM

Mere yaar mere pyar pe shaayad
Wo pehle sa eitbaar nahi kar paate,
Mai jo Mut.thibhar aasmaaN chaahuN to
Daaman Chhudane pe, aa jaate haiN,

Again a wonderful start to the post....


Mere Vujud ke sookhe pat.te giraane ke liye
Wo naadaan meri shaakhoN ko hilaate haiN,
Per aksar un sookhe huve pat.toN ke saath
Kuchh maasoom-anchhuve, KoNpal bhi gir jaate haiN,

Waaahhh!


Kuchh ghataaeiN amaawas ki tareh
Apni shakshiyat pe chhaa jaati hai,
Isme apni kya khata hai gar suraj ki tarah
Ye ghataaein ham cheer nahi paate haiN,

WAaaaaaaahhhh...


Beronak is jindgi me tumhare phooloN ne
Phir bhi kuchh to mehka rak.kha hai,
Mere ghar me Guldaan nahi ye kehkar
Wo apne phooloN ko waapas liye jaate haiN,

Woh apne phoolon ko waapis liye jaate hian........Amazinggggg!!


Mumkin hai ke is taraf se tumko
Sab Ujla-Ujla hi nazar aata ho,
Is ‘Chaand’ ka ek syah chehra peechhe bhi hai
Shaayad mere dost, use dekh nahi paate haiN.

Aaaaaaaaaaah.... Chaand bhai..Ultimate....

Dear Chaand Bhai!

Ek aur behetreen rachna, Kitne saade aur khoobsurat shabdon me aapne apne ehsaas pesh kiye hain.. humesh aki tarah....

Aapke ehsaas itne sundar hote hain...ke shabdon ka chhooo jaan laazmi hai... Meri dilee daad is behetreen rachna ke liye


Unse Guzarish hai.. I mean aapse guzarish hai .. Likhte reha...


Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
  Send a message via Yahoo to Pulkit_gupta  
Reply With Quote
Old
  (#4)
candyboy
Registered User
candyboy will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 1,473
Join Date: Aug 2004
Location: Sharjah, U.A.E.
Rep Power: 21
9th March 2005, 04:50 PM

Hi Chaand Bhai,

Wah mere bhai, shikayat ko bhi itna behtereen kalaam bana daala. Bohot khoob. Bas uhi umda kalaam likhte raho.


Luvs,

Salim

If there are no tears in the eyes, there will be no rainbow in the soul

Happiness is a butterfly, which, when pursued, is always just beyond your grasp, but which, if you sit down quietly, may alight upon you.

We come to love not by finding a perfect person but by learning to see an imperfect person perfectly
  Send a message via Yahoo to candyboy  
Reply With Quote
Re: ApnoN ki Shikaayat Per
Old
  (#5)
vijen
Registered User
vijen is on a distinguished road
 
vijen's Avatar
 
Offline
Posts: 138
Join Date: Dec 2004
Location: New Delhi, India
Rep Power: 20
Re: ApnoN ki Shikaayat Per - 9th March 2005, 05:08 PM

Waah..Chand..bahoot hi umda kaha hai aapne..
Bade behatareen shabdon ke moti chune hain..
aapne..
wishes..


Quote:
Originally posted by Chaand
Pyare doston apnoN ki farmaaish per to aksar log kuchh na kuchh kehte haiN...aaj mai yahaaN apnoN ki shikaayat per kuchh likh raha hooN...jo aap sab ki nazar kar raha hooN.

ApnoN ki Shikaayat Per

Mere yaar mere pyar pe shaayad
Wo pehle sa eitbaar nahi kar paate,
Mai jo Mut.thibhar aasmaaN chaahuN to
Daaman Chhudane pe, aa jaate haiN,

Mere Vujud ke sookhe pat.te giraane ke liye
Wo naadaan meri shaakhoN ko hilaate haiN,
Per aksar un sookhe huve pat.toN ke saath
Kuchh maasoom-anchhuve, KoNpal bhi gir jaate haiN,

Kuchh ghataaeiN amaawas ki tareh
Apni shakshiyat pe chhaa jaati hai,
Isme apni kya khata hai gar suraj ki tarah
Ye ghataaein ham cheer nahi paate haiN,

Beronak is jindgi me tumhare phooloN ne
Phir bhi kuchh to mehka rak.kha hai,
Mere ghar me Guldaan nahi ye kehkar
Wo apne phooloN ko waapas liye jaate haiN,

Mumkin hai ke is taraf se tumko
Sab Ujla-Ujla hi nazar aata ho,
Is �Chaand� ka ek syah chehra peechhe bhi hai
Shaayad mere dost, use dekh nahi paate haiN.


Aaj Ke Daur Mai.N Ummede.N Wafa Kisase Kare.N
Dhoop Mai.N Baitha Hai Khud Pedh Lagaane Wala

http://artwanted.com/vijen
http://vijendrasvij.com
  Send a message via Yahoo to vijen Send a message via AIM to vijen  
Reply With Quote
Old
  (#6)
Aman_rahi
Paigaam-e-Aman
Aman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really nice
 
Aman_rahi's Avatar
 
Offline
Posts: 2,689
Join Date: Oct 2004
Location: Patiala, Punjab, India. Now:Pune, India
Rep Power: 26
9th March 2005, 05:15 PM

Chaand bhai.....

bahut aacha likha hai.....wah to nahi kahoonga kyunki dard hai isme.....lekin dil mein utar gaya aapka ye dard....



**(*·.¸(`·.¸ ¸.·´)¸.·*)**
*·.¸Paigaam -e- Aman¸.·*
**(¸.·´(¸.·* *·.¸)`·.¸)**


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
inhan ankhaaon vicho kadi, tere hanju vaghe si.....
aaj ki hoye, jehda ^AMAN^ da lahoo vagda ae......

AMAN RAHI
  Send a message via Yahoo to Aman_rahi  
Reply With Quote
gud
Old
  (#7)
tanhaa
Registered User
tanhaa will become famous soon enough
 
tanhaa's Avatar
 
Offline
Posts: 84
Join Date: Jan 2004
Location: delhi, india
Rep Power: 21
gud - 9th March 2005, 05:16 PM

~~~Tanhaa~~~

waah ji waah kamaal hi kar diya aapne to..

aapka ye kalaam padne ke baad to aansoo aur bhi bewafaa ho gaye..

ab mujhko unse koi shikaayat nahi rahi,
iski bhi unhe shikaayat hai kya karen...


aapka dost
~~~tanhaa~~~


mujhe phool na dena mujhe unse nafrat hai, dena hai to kaantey de dena ,mujhe unki aadat hai,
wo chubtey hai aur zakhm dete hai imaandaari se, phool to bewafa hotey hai...dhoka dete hai wafadaari se

DARD KO BHI AB DARD HONE LAGA, DARD KHUD HI GAAV BARANE LAGA,
DARD KE MAARE HUM NA ROYE KABHI, DARD HUM KO CHUKAR KHUD HI RONE LAGA..............
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#8)
komal5
Eyes and Dreams..
komal5 will become famous soon enoughkomal5 will become famous soon enough
 
komal5's Avatar
 
Offline
Posts: 1,228
Join Date: Jan 2005
Location: Mumbai
Rep Power: 22
hi - 9th March 2005, 05:38 PM

Chaand ji..m so sorry i read this post so late!...its 2 gud chaand ji..apke chehre pe jo saadgi nazar ati hai...voh iin shabdon mein ubhar k dikh rahi hai...wel ek ek shabd dil ko chhu gaya hai...kya kahu...U r 2 good........!
tc
komal


~a tender touch~
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
9th March 2005, 07:56 PM

Meena ji...aapki upastithi...sir aaNkhoN per...aapke reply ka is naacheez ko besabri se intzaar rahega.

Chaand

Pulkit mere dost...shukriya...na sirf tumhaari is daad ke liye, balki mere ehsaasoN ko samjha...shukriya dost...meri is hausla afzaai or zarra nawaazi ke liye.

Chaand

Salim mere dost..shaayad yahi achchha hai ki shikaayat ek rachna ka roop ikhtiyaar kar le..or apnoN ki berukhi bhi na rahe.

Shukriya Dost...meri is hausla afzaai ke liye.

Chaand

Vijen ...shukriya dost...tahe dil se shukriya tumhaare is reply or mera hausla barhane ke liye.

Chaand

Aman dost...shukrgujaar hai ye Chaand tumhaara bhi...meri post per tumhaare reply or meri hausla afzaai ka tahe dil se shukriya.

Chaand


ab mujhko unse koi shikaayat nahi rahi,
iski bhi unhe shikaayat hai kya karen


Bahut achchhe tanhaa ji...aapke is sher ne to gazab dha diya...tahe dil se shukriya aapke reply or behtreen sher ke liye.

Chaand

Sorry kehkar dostoN ko sharminda nahi karte Komal ji..aap der se nahi haiN ...bilkul sahi samay per haiN meri is koshish per...or aksar der ho bhi sakti hai...per khushi hai ki aapne ise parha mujhe saraaha....tahe dil se shukrgujaar hai ye Chaand aapka bhi.

Ye nawaazish hai aapki dostoN...jo ye Chaand khud ko aasmaaN ke Chaand ke kareeb paata hai.

Shukriya aap sabhi ka.

Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Re: ApnoN ki Shikaayat Per
Old
  (#10)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
Re: ApnoN ki Shikaayat Per - 9th March 2005, 08:23 PM

Quote:
Originally posted by Chaand

ApnoN ki Shikaayat Per

Mere yaar mere pyar pe shaayad
Wo pehle sa eitbaar nahi kar paate,
Mai jo Mut.thibhar aasmaaN chaahuN to
Daaman Chhudane pe, aa jaate haiN,


Kuchh ghataaeiN amaawas ki tareh
Apni shakshiyat pe chhaa jaati hai,
Isme apni kya khata hai gar suraj ki tarah
Ye ghataaein ham cheer nahi paate haiN,


Mumkin hai ke is taraf se tumko
Sab Ujla-Ujla hi nazar aata ho,
Is ‘Chaand’ ka ek syah chehra peechhe bhi hai
Shaayad mere dost, use dekh nahi paate haiN.

har uljhan yuN ulajhati ja rahi jindgi maiN..
dostoN ka aitbaar na raha jab jindgi maiN...
patto pe kabhi tehar na saka "saccha_pyar"
maiN unki soch ke pachtaya phir jindgi maiN...


chaNd bhai ....

bohat khoob likha hai aapne ye kalaam .... apni likhawat se thoda sa change karte hue .... sach kabhi kabhi yuN hota hai jab huM .. jinke liye poori tarah se sochte hai.. unke liye apne upar musibatoN ko le lete hai... par tab bhi khatawaar keh laate hai ... bohat dukh hota hai ... ek kahani jo maiNe 10th claas maiN padhi thi english ki book maiN yaad aa gayi ... bohtoN ne padhi hogi ,... par aaj yahaN likh raha huN ... kyuNki hath rukna nahi chahte ... sankchhipt maiN hi sahi ...

to hua yuN ....

kahiN ek gareeb kisaan tha bohat din pehle ... poore saal bhar kheti karta ... par tab bhi itna na kama paata ki poore saal aaram se gujar sake... kharcha badi mushkil se hi chalta tha ...

par is saal woh kisaan kuch jyada pareshan tha kyuNki baarish na ke barabar hui .. aur woh jitni kheti kar paya usse poore saal ka gujara nahi chal pata ... tab usne socha ki woh ek khat bhagwaan ke naam likhega ... aur unse apne upar reham ki bheek mangega... usne waisa hi kiya ... aur ek khat likha ... jisme poori vyatha keh sunai usne ... aur bhagwaan se kaha ki use 3000 rs bhi bheje .. taki woh is sal ka kharcha chala sake aur agle saal kheti bhi kar paye ... usne letter fold kiya ek envolep maiN dala aur uske upar likh diya to god... aur apna pata peeche likh diya ...aur use post box maiN daal aaya ....

rozana ki tarah post box maiN se mail nikali gayi aur post master ke pas bheji gayi alag karne ke liye ... post master chonk gaya .. jab usne dekha ye chitthi to bhagwaan ke naam hai ... par bhagwaan ke paas kaise bheje use woh .. usne letter nikala aur padha to use rona aa gaya kisaaan ki halat padh kar ... uska vishawash kaise tod de letter wapas bhej uski samajh na aa raha tha ...

usne faisla kiya ki sare post office ke karam chari apni salary ka kuch hissa daan kareNge uske liye ... sabne bhi is nek kam maiN hath batane ka faisla kiya ... paise jama kiye gaye ... par kul mila ke 2500 rs hi jama ho paye ... post master ne sare paise bhej diye aur ek letter bhi .. bhagwaan ki taraf se ... ki maiN paise bhej raha huN ....

paise kisaan ko mile ... kisan patra pake khushi se phool gaya .., aur usne paise gine ... to paya isme 500 rs kam hai .,,, aur letter maiN likha tha ki paise bhej raha huN... tab usne aek doosra khat likha ... phir post master ke hath maiN aaya wo .. par woh chonk gaya use padh ke .... usme likha tha ... bhagwaan aap bohat dayawaan ho ... aapne mujh gareeb ki suni ... mujhe poore paise nahi mile hai ... 500 rs aur bheje jaldi se ... aur haN kisi aur jariye se bhejna ... post office wale bade chor hai ...pichli bari maiN se unhone 500 rs chura ke apne paas rakh liye the ... paise jaldi bhejna ....




to bhai yahi baat hai ... jab koi humare liye karta hai .. bina bataye ... apne ko chupa ke .. to kayi bar hum khud hi gunahgaar ban jate hai... aapka last sher sahayd yahi keh raha hai ... aap meri daad teh dil se kabool kareN ...

aur haN ... kahani poori tarah se sahi hai iske bare maiN keh nahi sakta .. par jitni yaad hai yahaN likh di ...

aap apna khayal rakhna ...

aur aate rehna ....

aapka bhai

kunal


KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#11)
Ek_Tanha_Dil
Registered User
Ek_Tanha_Dil is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 44
Join Date: Sep 2004
Location: delhi
Rep Power: 0
10th March 2005, 01:04 PM

Beronak is jindgi me tumhare phooloN ne
Phir bhi kuchh to mehka rak.kha hai,
Mere ghar me Guldaan nahi ye kehkar
Wo apne phooloN ko waapas liye jaate haiN,


wah kaya baat hai bahut acche ,

Dard Jab kaanto se milta hai to 2-4 pal ka hota hai ,
Aur dard jo phoon se mile wo behisab hota hai



bye tanha
   
Reply With Quote
Namaskar
Old
  (#12)
sukanya
Registered User
sukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the rough
 
sukanya's Avatar
 
Offline
Posts: 1,239
Join Date: Jul 2004
Location: India
Rep Power: 0
Namaskar - 10th March 2005, 01:20 PM

Namaskar Chand ji

ek bahut khoobsurat sa qalam pesh kiya hay aapne.Simplicity with beauty of imaginations.........

Mere yaar mere pyar pe shaayad
Wo pehle sa eitbaar nahi kar paate,
Mai jo Mut.thibhar aasmaaN chaahuN to
Daaman Chhudane pe, aa jaate haiN,

Dhoondtey hain muthey bhar Asmaan par hamesha asmaan nahin milta is duniya mein sabhi ko muqadar ka taz nahin milta

Mere Vujud ke sookhe pat.te giraane ke liye
Wo naadaan meri shaakhoN ko hilaate haiN,
Per aksar un sookhe huve pat.toN ke saath
Kuchh maasoom-anchhuve, KoNpal bhi gir jaate haiN,

beautiful imaginations

Kuchh ghataaeiN amaawas ki tareh
Apni shakshiyat pe chhaa jaati hai,
Isme apni kya khata hai gar suraj ki tarah
Ye ghataaein ham cheer nahi paate haiN,

kali ghata itni gehre to nahin ki suraj na aa sakey.........kirno ki roshni ko kaun rok paya hay

Beronak is jindgi me tumhare phooloN ne
Phir bhi kuchh to mehka rak.kha hai,
Mere ghar me Guldaan nahi ye kehkar
Wo apne phooloN ko waapas liye jaate haiN,

Mumkin hai ke is taraf se tumko
Sab Ujla-Ujla hi nazar aata ho,
Is ‘Chaand’ ka ek syah chehra peechhe bhi hai
Shaayad mere dost, use dekh nahi paate haiN.

In all a very nice poem u have presented

Last edited by sukanya; 10th March 2005 at 01:26 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
10th March 2005, 03:21 PM

Kunal mere dost shukrya tumhaare is reply or khoobsoorat si story yaad dilaane ke liye...tahe dil se shukrguzaar hai ye Chaand tumhaara.

Dard Jab kaanto se milta hai to 2-4 pal ka hota hai ,
Aur dard jo phoon se mile wo behisab hota hai


tanha ji...aapka ye sher bilkul sahi hai or pasand bhi aaya...shukriya is sher or...meri hausla afzaai ke liye.

Chaand

Sukanya ji...tahe dil se shukriya aapka mere in shabdoN me chhupe khayaalatoN ko aapne samjha ...jaana or mera hausla barhaya.

shukriya ek baar phir.

Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
mein_aur_tanhai
Registered User
mein_aur_tanhai is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 492
Join Date: Feb 2003
Location: Kabaristaan...
Rep Power: 22
11th March 2005, 01:31 AM

namastee..chandji...

kasie hoo sirkar... .

wah yar..bahut khoob ..likha hai apne...i mean .. i don't have.. words.. for this..gr8 stuff..... .. apka kalam.. padh kar..wakai mein kuch baat yaad aa gai...bahut khoob likha hai sikar.. apne..bahut khoob..these..lines are..gr8-->

Mere Vujud ke sookhe pat.te giraane ke liye
Wo naadaan meri shaakhoN ko hilaate haiN,
Per aksar un sookhe huve pat.toN ke saath
Kuchh maasoom-anchhuve, KoNpal bhi gir jaate haiN,

Kuchh ghataaeiN amaawas ki tareh
Apni shakshiyat pe chhaa jaati hai,
Isme apni kya khata hai gar suraj ki tarah
Ye ghataaein ham cheer nahi paate haiN,

bahut.. khoob..sirkar..aise hi likhte rahiyega.... aur mehfil.. ko ..apne..rangon se rangeen karte rahiyega...


bye n... take care..


Lamha Lamha...saSein Khatam hoo rai hai...
Zindagi Maut ke pehlu mein soo rai hai...
Us bewafa se na pucho meri maut ki wajah...
Woh to bus zamane ko dikhane ke liye roo rai hai...

Last edited by mein_aur_tanhai; 11th March 2005 at 01:33 AM..
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
11th March 2005, 12:26 PM

mana mere dost...tumhe meri ye koshish pasand aayi...jaankar achchha laga...tahe dil se shurkguzaah hai tumhara ye Chaand, is hausla afzaai ke liye...per jo baat yaad aai uska jikr to kiya hi nahi tumne...jaroor likhna.


Thanks

Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Old
  (#16)
soni_sonal
kuch baatein kuch yaadein
soni_sonal is on a distinguished road
 
soni_sonal's Avatar
 
Offline
Posts: 1,748
Join Date: May 2003
Rep Power: 22
6th May 2005, 08:00 PM

chaandji

behad khoob kaha hai aapne
daad kubul kijiye

sonal
   
Reply With Quote
Old
  (#17)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
7th May 2005, 02:07 PM

Tahe dil se shukriya Soni_Sonal ji....meri is hausla afzaai ke liye tahe dil se shukriya.

Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
shikaayat young_prince11 Humourous Shayri 0 2nd November 2005 05:18 PM
Humein tumse na koi shikaayat hai... Irfan Hakeem Shayri-e-Ishq 4 30th January 2004 12:08 PM
na apnon se shikwa hai...... misnomer Shayri-e-Dard 4 17th September 2003 06:02 PM
Kuchh dard apnoN se bhi.. Chaand Shayri-e-Dard 8 15th April 2003 10:38 AM
Gazal ki Shikaayat ashish_dave Ghazal Section 0 19th June 2002 02:18 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com