Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Nashaaa
Old
  (#1)
ghayalparwana
Registered User
ghayalparwana will become famous soon enoughghayalparwana will become famous soon enough
 
ghayalparwana's Avatar
 
Offline
Posts: 1,128
Join Date: Nov 2002
Location: London
Rep Power: 24
Nashaaa - 12th December 2003, 08:55 PM

Nashe me dooba huu main mujhe hai pyaar ka Nasha
Teri umeed ka nasha hai ..tere intezaar ka nasha

Koi saaki nahin paas ..hai duur har mehkashi bhi
Fir bhi behak raha huu main hai wasl e yaar ka Nasha

Mausam ye badalte rahe magar dil e saroor na utra
kabhi raha khiza ka nasha to kabhi Bahaar ka Nasha

Mere azeez ye khel raha hum dono ki munasib
tujhe hai jeet ka nasha to mujhe haar ka Nasha

Meri duniya hai gham bhari aur tujhe jannat hai haasil
Khuda ki reham ka tujhe to mujhe uski maar ka Nasha

Har aadmi juda hai,hai juda har shaunk bhi e Dost
Hum kehte rahe jisse Pyaar to samjha Bekaar ka Nasha

Fakat kuchh hi dino ka raha tu mehmaan e 'Ghayal'
Tere sang hi chala jaayega..is Dil e Bimaar ka Nasha
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
12th December 2003, 09:04 PM

Jaha bhi jati hu yehi pati hu. Keya hogaya hein sabko? Waise mujhe shayad aise nehi kehna chahiye tha lekin keya karu!!! Chale aapka yeh dilki kalam achhi hein. Bohot khub likhha hein aapne. Thanks. Take care. God bless you.


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
13th December 2003, 12:03 AM

ghayal dost

kaafi din ke baad is forum per kuch tabdeeli dikhayee hai aap ne apne is kalam ke zariye.
gham o khushi ka bara khoobsoorat imtizaaj hai aap ki yeh ghazal.
aur thori change bhi,
warna yahan to bas gham hi gham nazar aa raha thaa.

bohat khoob dost,

dua go hoon aap ke liye. aur my all best wishes are with you.

musharrafhusain
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
13th December 2003, 07:12 AM

ghayalparwana sahib,

Nashe me dooba huu main mujhe hai pyaar ka Nasha
Teri umeed ka nasha hai ..tere intezaar ka nasha

Koi saaki nahin paas ..hai duur har mehkashi bhi
Fir bhi behak raha huu main hai wasl e yaar ka Nasha

Waah lajawaab hai yeh kalaam aapka....

Mausam ye badalte rahe magar dil e saroor na utra
kabhi raha khiza ka nasha to kabhi Bahaar ka Nasha

Mere azeez ye khel raha hum dono ki munasib
tujhe hai jeet ka nasha to mujhe haar ka Nasha

Aur jeet-haar donon mein nasha...kya baat hai....!

Meri duniya hai gham bhari aur tujhe jannat hai haasil
Khuda ki reham ka tujhe to mujhe uski maar ka Nasha

Har aadmi juda hai,hai juda har shaunk bhi e Dost
Hum kehte rahe jisse Pyaar to samjha Bekaar ka Nasha

Fakat kuchh hi dino ka raha tu mehmaan e 'Ghayal'
Tere sang hi chala jaayega..is Dil e Bimaar ka Nasha

Bahut khoob janaab! khoobsuraat ehsaas se waakif karaya aapne...duaaon ke saath

Paras


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Re: Nashaaa
Old
  (#5)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
Re: Nashaaa - 14th December 2003, 10:21 AM

Quote:
Originally posted by ghayalparwana
Nashe me dooba huu main mujhe hai pyaar ka Nasha
Teri umeed ka nasha hai ..tere intezaar ka nasha

Koi saaki nahin paas ..hai duur har mehkashi bhi
Fir bhi behak raha huu main hai wasl e yaar ka Nasha

Mausam ye badalte rahe magar dil e saroor na utra
kabhi raha khiza ka nasha to kabhi Bahaar ka Nasha

Mere azeez ye khel raha hum dono ki munasib
tujhe hai jeet ka nasha to mujhe haar ka Nasha

Meri duniya hai gham bhari aur tujhe jannat hai haasil
Khuda ki reham ka tujhe to mujhe uski maar ka Nasha

Har aadmi juda hai,hai juda har shaunk bhi e Dost
Hum kehte rahe jisse Pyaar to samjha Bekaar ka Nasha

Fakat kuchh hi dino ka raha tu mehmaan e 'Ghayal'
Tere sang hi chala jaayega..is Dil e Bimaar ka Nasha
mere varinder,
hamesha isi tarah likhte rahna.....
tum anjaan raste par bhale chalte raho....
kadmo k nishaan bante gaye hamaare liyae
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
mein_aur_tanhai
Registered User
mein_aur_tanhai is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 492
Join Date: Feb 2003
Location: Kabaristaan...
Rep Power: 22
15th December 2003, 05:28 PM

namaste....viru bhai..

kaise hoo bhai .. kaisa chal raha hai sab. U.K.. mein yar.. hope.. u r doin fine.. over..there.. wah yar..bahut khoob likha hai .. abb.....nashe mein bahut.. rahe.. bhai..abb..nashe se bahar aa jao..sirkar.. warna..pata hai jayda. pee ne..liveer sad jata hai ..aur rahi baat pyar ke..nashe ki..yeah nasha..aisa hai ke.. agar yeah jayada. .raha na..too fir.. zindagi saad jati hai bhai..lolz..z. just kidding bhai..

wakai mein bahut khoob likha hai apne... umeed karta hun app aise hi age likte rahoge.. aur .. mehfil sajate rahoge..

bye..and take care.. n yeah ... best of luck..


Lamha Lamha...saSein Khatam hoo rai hai...
Zindagi Maut ke pehlu mein soo rai hai...
Us bewafa se na pucho meri maut ki wajah...
Woh to bus zamane ko dikhane ke liye roo rai hai...
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
ghayalparwana
Registered User
ghayalparwana will become famous soon enoughghayalparwana will become famous soon enough
 
ghayalparwana's Avatar
 
Offline
Posts: 1,128
Join Date: Nov 2002
Location: London
Rep Power: 24
17th December 2003, 04:30 PM

Shimul ji..jab bhi koi nayi ghazal post karta huun to aapka reply zaroor paata huun..Aap jis tarah se dil ke zakhmo ko pehchaan jaati hai shayad woh hunr kisi aur me nahin hai..

Ghazal pasand karne ka Shukriya


kyon zindagi ki raah mein akele chalta hai dost
chal waha chal jahan tere jaise aur bhi hai...
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
ghayalparwana
Registered User
ghayalparwana will become famous soon enoughghayalparwana will become famous soon enough
 
ghayalparwana's Avatar
 
Offline
Posts: 1,128
Join Date: Nov 2002
Location: London
Rep Power: 24
17th December 2003, 04:33 PM

Aadab Musharraf bhai,

Kaise ho aap?

jee theek kaha aapne..ye ghazal gam aur khushi dono ka imtizaad hai..yehi haal dil ka bhi hai..ye khud nahin jaanta ke isse khush ho9na chahiye ya fir ussi poorane gham me dooba rehna chahiye jo mera apna hai..

Khair jo bhi ho aapne is Ghazal ko samjha aur saraha..is baat ka shukrguzaar huun main..

Shukriya..


kyon zindagi ki raah mein akele chalta hai dost
chal waha chal jahan tere jaise aur bhi hai...
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
ghayalparwana
Registered User
ghayalparwana will become famous soon enoughghayalparwana will become famous soon enough
 
ghayalparwana's Avatar
 
Offline
Posts: 1,128
Join Date: Nov 2002
Location: London
Rep Power: 24
17th December 2003, 04:35 PM

Paras jii..

Aapne jis dil se is ghazal ko pada usse is nacheez ke dil ko bahut sakoon mila..Jis andaaz se aapne har swheyr ko pada aur samjha aur phir saraha usse aapke shayri ke mutakhib pyaar ka khoob izhaar hota hai..

Shukriya


kyon zindagi ki raah mein akele chalta hai dost
chal waha chal jahan tere jaise aur bhi hai...
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
ghayalparwana
Registered User
ghayalparwana will become famous soon enoughghayalparwana will become famous soon enough
 
ghayalparwana's Avatar
 
Offline
Posts: 1,128
Join Date: Nov 2002
Location: London
Rep Power: 24
17th December 2003, 04:38 PM

Meena ji aur Manish dost..

Miane socha ke tum dono ko alag alag response dene ka to koi faayda nahin..lol isliye ek saath hi aap dono ka shukriya karta huun is ghazal ko padne kaa aur mera saath dene kaa..Aur haa manaa bhai aapki nasiyat ko bhi khoob yaad rakhoonga..lol

Take Care
Varinder


kyon zindagi ki raah mein akele chalta hai dost
chal waha chal jahan tere jaise aur bhi hai...
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com