Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Paaras Dil ka Rishta hai...
Old
  (#1)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
Paaras Dil ka Rishta hai... - 17th February 2007, 01:59 PM

Dosto:

Namaskaar! Ek arse baad yahan ka rukh kiya tau apne puraane doston ko dekh bahut khushi huyi, sabki posts dekhin...achha laga...yeh naya interface zara anjaana sa lagta hai...aur mujhe apna saada sa forum behad pyaara thaa...lekin changes tau aayeinge hi...haan dil tau wahi raheinge...aur dil se niklee awaaz bhi...kuchh doston kee guzarish poori kar rahi hoon...haan der tau kar dee...aap sab ki nazar ek naya kalaam...inaayat farmayiegaa...

Ab kaunse mausam se koyi aas lagaaye
Barsaat mein bhi yaad na jab unko hum aaye
--Parveen Shakir


Duur falak ka chaand salona meet puraana lagta hai
Meethi subah kii aas liye wo saari raat jagta hai

Main teri jaanib na paltoon zidd is paagal birhan ki
Par dum todhuun teri baahon mein bebas dil yeh kehta hai

Saanson mein mehak barkhaa ki, aur adharon pe shikwa
Aanchal mein behaki sabaa, ab sapnon jaisa lagta hai

Shaam dhale yaadon ke baadal kar dein nam jo palakon ko
Rok sake aankhon ka daryaa, kya aisa shaanaa milta hai?

Badan ki raanaayian kya laashon ke bhi hoti hain?
Baarahaa bus yeh sawaal, aainaa mujhse karta hai

Poocho na dil-e-muztar apna, baaz kahaan yeh aata hai
Kabhi doobta, kabhi bigadta, aur kabhi sambhalta hai

Zahar se bhi bujhe na pyaas hud hai tamanaa-e-yaar
Taashna lab, tarsee aankhein, nigodha dil ka rishta hai


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
dheer
Registered User
dheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant future
 
dheer's Avatar
 
Offline
Posts: 875
Join Date: Nov 2004
Location: udaipur
Rep Power: 35
17th February 2007, 03:35 PM

Saanson mein mehak barkhaa ki, aur adharon pe shikwa
Aanchal mein behaki sabaa, ab sapnon jaisa lagta hai

Shaam dhale yaadon ke baadal kar dein nam jo palakon ko
Rok sake aankhon ka daryaa, kya aisa shaanaa milta hai?

Badan ki raanaayian kya laashon ke bhi hoti hain?
Baarahaa bus yeh sawaal, aainaa mujhse karta hai


Namsate .. kaise hai aap!!!
aapke ye 3 sher mujhe bahut pasand aaye!!! ek umdaa cor-relation nazar aataa hai,aapke kalaam aur kudrat ke beech!!
Daad kabool farmaayiyega!!
  Send a message via Yahoo to dheer  
Reply With Quote
Old
  (#3)
Pulkit_gupta
Humanity
Pulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant future
 
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 42
17th February 2007, 04:06 PM


Duur falak ka chaand salona meet puraana lagta hai
Meethi subah kii aas liye wo saari raat jagta hai

Main teri jaanib na paltoon zidd is paagal birhan ki
Par dum todhuun teri baahon mein bebas dil yeh kehta hai

Ufff... kyaa baat kahi hai huzoor...


Saanson mein mehak barkhaa ki, aur adharon pe shikwa
Aanchal mein behaki sabaa, ab sapnon jaisa lagta hai

Shaam dhale yaadon ke baadal kar dein nam jo palakon ko
Rok sake aankhon ka daryaa, kya aisa shaanaa milta hai?

Bahut khoob guruji


Badan ki raanaayian kya laashon ke bhi hoti hain?
Baarahaa bus yeh sawaal, aainaa mujhse karta hai

Poocho na dil-e-muztar apna, baaz kahaan yeh aata hai
Kabhi doobta, kabhi bigadta, aur kabhi sambhalta hai

Aaah... loved this sher... beautifull expression...


Zahar se bhi bujhe na pyaas hud hai tamanaa-e-yaar
Taashna lab, tarsee aankhein, nigodha dil ka rishta hai

Kya baat hai...

Dearest Paras,

Kaisi ho? hope you are doing abs. fine

This one is simply amazing... bahut hi pyaari ghazal hai... Har sher ghazab ka expressive aur khoobsurat hai... mazaa aa gaya padhkar... Bass ab aise hi kucch kuch likhti rehna... humaari naak oonchi karaati rehna.. hehe... do keep coming regularly and take care

Aur haan... pata lag raha hai ke tumhaari post karne ki practice chhoot gayi hai... meanings kahan hain?

Purane interface ki baat hi alag thi yaar... I have posted something on this.. do chck... khayal rakhna apna...


Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai

Last edited by Pulkit_gupta; 17th February 2007 at 04:08 PM..
  Send a message via Yahoo to Pulkit_gupta  
Reply With Quote
Old
  (#4)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
17th February 2007, 05:19 PM

namskaar Paras ji,

kaisi haiN aap?

aapko yahaaN dekh ke mujhe baRii hi khusi ho rahi hai site ke poorane sadasyoN ko jab bhi maiN yahaaN dekhTa huN to baRa achha lagta hai lagta hai ki jaise ab parivaar poora hai hamara , aur aapke likhne ka andaz to pehle se hi bahot behtrin sa raha hai is bar bhi aapne un ehsaasoN ko ziNda rakha hai yeH baat mujhe bahot pasaNd aayi aapki is tehreer meiN.

aapki yeH kosisH mujhe bahot pasaNd aayii is lajawab ghazal ke liye dil se nikli daad ko kubul kijiyenGaa

apna khayal rakheN aur khus raheN,

duaoN ke sath ijaazaT.


aapka dost
dhaval


*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
Parul
Registered User
Parul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the rough
 
Parul's Avatar
 
Offline
Posts: 3,305
Join Date: Jun 2004
Location: Florida,USA
Rep Power: 26
18th February 2007, 10:39 AM

Duur falak ka chaand salona meet puraana lagta hai
Meethi subah kii aas liye wo saari raat jagta hai

Main teri jaanib na paltoon zidd is paagal birhan ki
Par dum todhuun teri baahon mein bebas dil yeh kehta hai


yeh sher's... Too good.

hii Paras didi,

Kitne mahine baad parha aap ko... bahot badhiya likha hai medam and it is so nice to read you as always. keep writing.

take care!
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
sakhi1909
raj
sakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud of
 
sakhi1909's Avatar
 
Offline
Posts: 2,332
Join Date: Aug 2003
Location: dil mein khud ke..aisa nahi kisi ko mera pata nahi hai mujhe dhundhne ki had tak koi dhundhta nahi hai..un
Rep Power: 34
19th February 2007, 01:05 AM

aapa
swagat hai phir s eyahan aapka. are kaphi arsa hua na pade huye apko... chalo apko yaad to aai is jagah ki..
phir s ebahut khub likha hai

Shaam dhale yaadon ke baadal kar dein nam jo palakon ko
Rok sake aankhon ka daryaa, kya aisa shaanaa milta hai?
dil el gya hai ji hamara.

meri dil se nikli daad kubul karna.
sakhi with mitthiya


कुछ ऐसे पल जिनको संजोना है ,
शब्दों में पिरोना है , जिससे वो हमारी यादों में महकते रहे
 Send a message via ICQ to sakhi1909  
Reply With Quote
Old
  (#7)
Merul
Registered User
Merul will become famous soon enoughMerul will become famous soon enough
 
Merul's Avatar
 
Offline
Posts: 1,008
Join Date: Feb 2006
Location: India (Surat)
Rep Power: 21
19th February 2007, 01:26 PM

wah paras ji kya baat kahi hai aapne apni is rachna mein

aapko hamara sadar pranam

paras ji aapki ye jo rachna hai uski har line ko gehrai mein socha jaye esi baat kahi hai aapne is rachna mein, aapki ye rachna hamein behad pasand aayi hai iske liye hum aapka sukhriya adaa karte hai

aapki ye rachna padh ke hamein aaj koi sher bhi yaad nahi aa raha hai ki aapko wo javab ke taur pe bhej sake

ese hi likhte rahi yega
aapka dost
Merul


Quote:
Originally Posted by Parastaar View Post
Dosto:

Namaskaar! Ek arse baad yahan ka rukh kiya tau apne puraane doston ko dekh bahut khushi huyi, sabki posts dekhin...achha laga...yeh naya interface zara anjaana sa lagta hai...aur mujhe apna saada sa forum behad pyaara thaa...lekin changes tau aayeinge hi...haan dil tau wahi raheinge...aur dil se niklee awaaz bhi...kuchh doston kee guzarish poori kar rahi hoon...haan der tau kar dee...aap sab ki nazar ek naya kalaam...inaayat farmayiegaa...

Ab kaunse mausam se koyi aas lagaaye
Barsaat mein bhi yaad na jab unko hum aaye
--Parveen Shakir


Duur falak ka chaand salona meet puraana lagta hai
Meethi subah kii aas liye wo saari raat jagta hai

Main teri jaanib na paltoon zidd is paagal birhan ki
Par dum todhuun teri baahon mein bebas dil yeh kehta hai

Saanson mein mehak barkhaa ki, aur adharon pe shikwa
Aanchal mein behaki sabaa, ab sapnon jaisa lagta hai

Shaam dhale yaadon ke baadal kar dein nam jo palakon ko
Rok sake aankhon ka daryaa, kya aisa shaanaa milta hai?

Badan ki raanaayian kya laashon ke bhi hoti hain?
Baarahaa bus yeh sawaal, aainaa mujhse karta hai

Poocho na dil-e-muztar apna, baaz kahaan yeh aata hai
Kabhi doobta, kabhi bigadta, aur kabhi sambhalta hai

Zahar se bhi bujhe na pyaas hud hai tamanaa-e-yaar
Taashna lab, tarsee aankhein, nigodha dil ka rishta hai


!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!! !!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!! !!!!!!!!





Dhoka diya tha jab tumne mujhe,
Tab dil se me naraz tha,
Phir socha ki dil se tumhe nikal du,
Magar woh kambakth dil bhi tumhare paas tha.


Merul~~~~~~~~~~>
  Send a message via Yahoo to Merul  
Reply With Quote
Old
  (#8)
candyboy
Registered User
candyboy will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 1,473
Join Date: Aug 2004
Location: Sharjah, U.A.E.
Rep Power: 21
19th February 2007, 01:55 PM

My 4everluvly Guru Ji,

Words so precious n very dear to my heart. Dunno if my words alone can describe the beautiful emotions expressed by you. As always, just mesmerising!!!

Yeah n as Pulkit bhai rightly pointed out, Where's the dictionary??? U know how nalayk we r!!!!

U're Nalayak Shagird


Luvs,

Salim

If there are no tears in the eyes, there will be no rainbow in the soul

Happiness is a butterfly, which, when pursued, is always just beyond your grasp, but which, if you sit down quietly, may alight upon you.

We come to love not by finding a perfect person but by learning to see an imperfect person perfectly
  Send a message via Yahoo to candyboy  
Reply With Quote
Old
  (#9)
pallavi_here
to feel & to be felt...
pallavi_here has a spectacular aura aboutpallavi_here has a spectacular aura about
 
pallavi_here's Avatar
 
Offline
Posts: 1,311
Join Date: Feb 2005
Location: On minds
Rep Power: 22
20th February 2007, 10:53 AM

Quote:
Originally Posted by Parastaar View Post
Ab kaunse mausam se koyi aas lagaaye
Barsaat mein bhi yaad na jab unko hum aaye
--Parveen Shakir


Duur falak ka chaand salona meet puraana lagta hai
Meethi subah kii aas liye wo saari raat jagta hai

Main teri jaanib na paltoon zidd is paagal birhan ki
Par dum todhuun teri baahon mein bebas dil yeh kehta hai

Saanson mein mehak barkhaa ki, aur adharon pe shikwa
Aanchal mein behaki sabaa, ab sapnon jaisa lagta hai

Shaam dhale yaadon ke baadal kar dein nam jo palakon ko
Rok sake aankhon ka daryaa, kya aisa shaanaa milta hai?

Badan ki raanaayian kya laashon ke bhi hoti hain?
Baarahaa bus yeh sawaal, aainaa mujhse karta hai

Poocho na dil-e-muztar apna, baaz kahaan yeh aata hai
Kabhi doobta, kabhi bigadta, aur kabhi sambhalta hai

Zahar se bhi bujhe na pyaas hud hai tamanaa-e-yaar
Taashna lab, tarsee aankhein, nigodha dil ka rishta hai
Jee Hello hai aapko!

vo ek hota hai na... dheere dheere asar sa dikhana aur aakhir me qatl sa kar jana... paras di.. ye aakhiri 2 sher... kya kahu... main khud bhi bahut din baad aayi hu aur lagta hai ki aapka ka bhi kaafi time baad hua hai is taraf... baaki baate main jara personal ho ke kahungi hehehehe... ummeed karti hu ki jab bhi yahaan aaungi.. apne khaas dosto ko jarur paungi

jaldi hi milti hu fir se ..
Pallo


Pallavi...

******
Your attitude towards life decides Life's attitude towards you...
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
Vipinbox
ek shoonya
Vipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to behold
 
Vipinbox's Avatar
 
Offline
Posts: 1,748
Join Date: Jul 2002
Location: दिल्ली व देहरादून
Rep Power: 30
20th February 2007, 01:02 PM

Namaskaar Paaras Ji
Kaisi hain aap?....dua hai hamesha hamesha khush rahein.
Bahaut samay baad aapne dastak di hai aur woh bhi itni behtareen. Aapko parhna hamesha se hee bahaut pasand hai. aapke shabdon ko parhna, unhe gaur se samajhna accha lagta hai. Urdu samajhna mere liye katthin tow hai magar koshish kar liya karta hoon jab aap jaisi writer usse likhti hain tow. Aaj ke ek shabd se jara sa asamanjas hoon "dil-e-muztar " . Ummeed hai jald hee iska matlab jaan-ne ko milega.

dhanyavaad

aabhaar
vipin


विपिन


   
Reply With Quote
Old
  (#11)
rajveeer
shayri is my life
rajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud of
 
rajveeer's Avatar
 
Offline
Posts: 1,938
Join Date: Jun 2006
Location: Punjab(Phagwara)Now:(California) USA
Rep Power: 33
20th February 2007, 05:10 PM

Quote:
Originally Posted by Parastaar View Post
Dosto:

Namaskaar! Ek arse baad yahan ka rukh kiya tau apne puraane doston ko dekh bahut khushi huyi, sabki posts dekhin...achha laga...yeh naya interface zara anjaana sa lagta hai...aur mujhe apna saada sa forum behad pyaara thaa...lekin changes tau aayeinge hi...haan dil tau wahi raheinge...aur dil se niklee awaaz bhi...kuchh doston kee guzarish poori kar rahi hoon...haan der tau kar dee...aap sab ki nazar ek naya kalaam...inaayat farmayiegaa...

Ab kaunse mausam se koyi aas lagaaye
Barsaat mein bhi yaad na jab unko hum aaye
--Parveen Shakir


Duur falak ka chaand salona meet puraana lagta hai
Meethi subah kii aas liye wo saari raat jagta hai

Main teri jaanib na paltoon zidd is paagal birhan ki
Par dum todhuun teri baahon mein bebas dil yeh kehta hai

Saanson mein mehak barkhaa ki, aur adharon pe shikwa
Aanchal mein behaki sabaa, ab sapnon jaisa lagta hai

Shaam dhale yaadon ke baadal kar dein nam jo palakon ko
Rok sake aankhon ka daryaa, kya aisa shaanaa milta hai?

Badan ki raanaayian kya laashon ke bhi hoti hain?
Baarahaa bus yeh sawaal, aainaa mujhse karta hai

Poocho na dil-e-muztar apna, baaz kahaan yeh aata hai
Kabhi doobta, kabhi bigadta, aur kabhi sambhalta hai

Zahar se bhi bujhe na pyaas hud hai tamanaa-e-yaar
Taashna lab, tarsee aankhein, nigodha dil ka rishta hai
paras ji ko raj ka namaskaar...bhut dino baad waqt mila aapko hum khaakhsaaron ke liye lakin koi baat nahi aap itnii khub surat gazal ke saath hazir huyee ho to aapka har gunah muaaf.....paras aap sacchi bhut khub likhti ho har ashaar maano apne aap mein ek gazal ho.....yeh do ashaar bhut pyare lagge yun ti poori gazal hii lajawaab hai........

Saanson mein mehak barkhaa ki, aur adharon pe shikwa
Aanchal mein behaki sabaa, ab sapnon jaisa lagta hai

Shaam dhale yaadon ke baadal kar dein nam jo palakon ko
Rok sake aankhon ka daryaa, kya aisa shaanaa milta hai?

yun hi likhti rehna or jaldi jaldi apne kalaam se ru b ru hone ka moka dena.......raj.........


un se kar liya kinara unki khushi ki khatir
ab mujhe bewafa kahiye ya bawafa kahiye...(Raj)
 Send a message via ICQ to rajveeer Send a message via Yahoo to rajveeer  
Reply With Quote
Old
  (#12)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
20th February 2007, 10:34 PM

Ab kaunse mausam se koyi aas lagaaye
Barsaat mein bhi yaad na jab unko hum aaye
--Parveen Shakir


Duur falak ka chaand salona meet puraana lagta hai
Meethi subah kii aas liye wo saari raat jagta hai

Main teri jaanib na paltoon zidd is paagal birhan ki
Par dum todhuun teri baahon mein bebas dil yeh kehta hai

Saanson mein mehak barkhaa ki, aur adharon pe shikwa
Aanchal mein behaki sabaa, ab sapnon jaisa lagta hai

Shaam dhale yaadon ke baadal kar dein nam jo palakon ko
Rok sake aankhon ka daryaa, kya aisa shaanaa milta hai?

Badan ki raanaayian kya laashon ke bhi hoti hain?
Baarahaa bus yeh sawaal, aainaa mujhse karta hai

Poocho na dil-e-muztar apna, baaz kahaan yeh aata hai
Kabhi doobta, kabhi bigadta, aur kabhi sambhalta hai

Zahar se bhi bujhe na pyaas hud hai tamanaa-e-yaar
Taashna lab, tarsee aankhein, nigodha dil ka rishta hai

Philhaal tau aap sabki shikaayat duur karne aayee hoon aur kuch lafzon ke matlab likh rahi hoon fursat mein aap sabse milti hoon...

falak = aasmaan, sky
jaanib = toward, in the direction of
Adharon = lips
Sabaa = breeze
Shaanaa = shoulder
Ranaayiaan = beauty
Baarahaa = time and again, baar baar
Dil-e-muztar = impatient heart
Tamanaa-e-yaar = yearning for beloved
Taashna lab = thirsty lips

ab tau theek hai na?


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
21st February 2007, 08:15 PM

Paras Di...

Aap jab bhi aati hain bas chaa hi jaati hain.. Aur is baar bhi ek behad khoobsoorat rachna le kar aap hum sab ke beech ek baar phir se aayin!!

Meri daad kubool keejiye...

Har ek sher jaise dil ko choo gaya... bahut hi khoobsoorat... bahut hi umda..

Take Care Di..

~Priya



"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

   
Reply With Quote
Old
  (#14)
aarya
trail of thoughts
aarya is just really niceaarya is just really niceaarya is just really niceaarya is just really niceaarya is just really nice
 
Offline
Posts: 387
Join Date: Sep 2006
Location: in the hopes of my family
Rep Power: 22
22nd February 2007, 02:46 AM

"Parastaar" jee

bahut hi pyari lagi aapki yeh rachna.


Regards
aarya


khwaabo.n ke par kabhii kaTne na denaa
inke sahaaron me raahai.n rahe.ngii

lage.nge ye lejaa rahe alag raste
un raston pe bhii kai seekhai.n to ho.ngii

ye seekhai.n hameshaa sameTe rakhnaa
inhii.n se to sabko manzil milai.ngii


regards aarya
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
Taish
"Taish meN hai Taish"
Taish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Taish's Avatar
 
Offline
Posts: 5,535
Join Date: Jan 2005
Location: Lost In The Cobwebs Of Mah Mind...!!
Rep Power: 48
22nd February 2007, 10:17 AM

paai laagu dd,,

muddatoN ke baad dekha aapko mehfil sajaate hue, aur yakeeN maaniye behad khushi hui, apne guru ko padh ke, badi suni lag rahi thi mehfileN aapke bina...! bas aapke wahi andaaz-e-bayaan, wo khoobsurat andaaz, dil ko choo gaya, aur is akhiri sher ne to maaniye,

Zahar se bhi bujhe na pyaas hud hai tamanaa-e-yaar
Taashna lab, tarsee aankhein, nigodha dil ka rishta hai


samaaN sa hi baandh diya...! bas darkhwast aapse yahi rahegi dd, ki aap yuNhi likhti raheN...!



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
http://alfaaz-e-taish.blogspot.in/

Ishq hota tha, ishq karte haiN,
Vo zamana tha, ye zamana hai...

----Taish

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
  Send a message via Yahoo to Taish Send a message via Skype™ to Taish 
Reply With Quote
Old
  (#16)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
22nd February 2007, 03:40 PM

paaras jee:

Namaskaar!

kaisi haiN aap? aur kahaaN gaayab haiN? yaa phir gham-e-roz-gaar-e-zindagii meiN masruuf haiN? gaahe-gaahe bazm meiN aati raha kareN huzuur...taa'kee ham naa-daaN aap ko paRh sakeN aur kuch ilm haasil kar sakeN
Quote:
Badan ki raanaayian kya laashon ke bhi hoti hain?
Baarahaa bus yeh sawaal, aainaa mujhse karta hai
kya baat kahii hai aap ne, bohat khuub hai: daad haazir hai, aur duaa hai oopar-waale se kii aap ko aur hunarmand kare: Khush rahiye

Mayank
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#17)
sukanya
Registered User
sukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the rough
 
sukanya's Avatar
 
Offline
Posts: 1,239
Join Date: Jul 2004
Location: India
Rep Power: 0
24th February 2007, 01:41 PM

Shaam dhale yaadon ke baadal kar dein nam jo palakon ko
Rok sake aankhon ka daryaa, kya aisa shaanaa milta hai?


Namaskar Paras ji

Ek arsa hua aapka likha kuch parhey huay....aap aati hain to lagta hay site mein ronak aa gayi.....ek khoobsurat Ghazal ke liye meri mubarak baad kabul kijeyega......Aapka yeh sher dil ki gehraiyon tak pahuncha.....bahut khoobsurat sher hay......aapkey iss sher ko parh kar ek geet yaad aa gaya....shaam se aank mein nami si hay....aaj phir aap ki kami si hay.....yuunhi aati raha kijeye....

Apna khyal rakhiyega
   
Reply With Quote
Old
  (#18)
candyboy
Registered User
candyboy will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 1,473
Join Date: Aug 2004
Location: Sharjah, U.A.E.
Rep Power: 21
25th February 2007, 12:33 PM

Thank U!!!!!


Luvs,

Salim

If there are no tears in the eyes, there will be no rainbow in the soul

Happiness is a butterfly, which, when pursued, is always just beyond your grasp, but which, if you sit down quietly, may alight upon you.

We come to love not by finding a perfect person but by learning to see an imperfect person perfectly
  Send a message via Yahoo to candyboy  
Reply With Quote
wonderful
Old
  (#19)
acharya_mj
Zakhm-e-Rooh
acharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud of
 
acharya_mj's Avatar
 
Offline
Posts: 2,220
Join Date: Nov 2004
Location: ahmedabad
Rep Power: 33
wonderful - 26th February 2007, 12:33 AM

Quote:
Originally Posted by Parastaar View Post
Dosto:

Namaskaar! Ek arse baad yahan ka rukh kiya tau apne puraane doston ko dekh bahut khushi huyi, sabki posts dekhin...achha laga...yeh naya interface zara anjaana sa lagta hai...aur mujhe apna saada sa forum behad pyaara thaa...lekin changes tau aayeinge hi...haan dil tau wahi raheinge...aur dil se niklee awaaz bhi...kuchh doston kee guzarish poori kar rahi hoon...haan der tau kar dee...aap sab ki nazar ek naya kalaam...inaayat farmayiegaa...

Ab kaunse mausam se koyi aas lagaaye
Barsaat mein bhi yaad na jab unko hum aaye
--Parveen Shakir


Duur falak ka chaand salona meet puraana lagta hai
Meethi subah kii aas liye wo saari raat jagta hai

waah waah didi kyaa andaaz-e-bayaaN hai, aap ka bhi jawab nahi, aaj ek mahine baad yahaa aa raha hu par aap ka ye kalaam padh kar vaapis ghazale likhne ka man kar raha hai

Main teri jaanib na paltoon zidd is paagal birhan ki
Par dum todhuun teri baahon mein bebas dil yeh kehta hai

waah waah kyaa khwaayish jaahir ki hai

Saanson mein mehak barkhaa ki, aur adharon pe shikwa
Aanchal mein behaki sabaa, ab sapnon jaisa lagta hai

didi ye line bhi ghazab hai kuchh puraani yaade jaise koi sapna dekh rahe hai aisa mahssos hone laga hai

Shaam dhale yaadon ke baadal kar dein nam jo palakon ko
Rok sake aankhon ka daryaa, kya aisa shaanaa milta hai?

waah waah behad khoobsurat baat kahi hai

Badan ki raanaayian kya laashon ke bhi hoti hain?
Baarahaa bus yeh sawaal, aainaa mujhse karta hai

Poocho na dil-e-muztar apna, baaz kahaan yeh aata hai
Kabhi doobta, kabhi bigadta, aur kabhi sambhalta hai

Zahar se bhi bujhe na pyaas hud hai tamanaa-e-yaar
Taashna lab, tarsee aankhein, nigodha dil ka rishta hai

aur ye last line jo dil par kahar saa dhaati hai, rishto ki kashmkash hai ya chalaava hai jis se ham khinche chale aate hai


Didi aap ki bahut mahine baad padhaa par ye anubhav sach mai kaabil-e-taarif raha, aise hi likhte rahiyega.
aur nichhe aap ke liye ek surprize hai, aap ka ek puraana nageena jise mai dhhondh ke laaya hu mujhe pata nahi kaun se haalat mai aap ne ye khoobsurat nazm likhi hai. it was a wonderful experience to read such poetry from u didi. Keep it up.




Respected paras didi aaj mai yahaa 1 mahine baad aaya hu, kaafi mahino se likhna jaise bandha sa ho gaya tha kyun ki mai b'har sheekh raha thaa e.bazm par, vaha ghalti se puraane discussion forum mai ghus gaya aur vahaa hadd-e-nigaah mai aap ki ek khoobsurat nazm aa gayi , jab use padh to dil baug baug ho gaya mujhe pata nahi yahaa ke logo ne use padha hai ki nahi to sochha yahaa paish kar rahaa hu

aur didi aap ki is nazm ko mai salaam karta hu


Posted on Friday, August 26, 2005 - 08:03 pm:
Adaab Dosto...

Chaliye ek aur nazm aapki nazar karte hain...ummiid hai pasand aayegi...aap doston ki nawaazish chahiye...


Taa umr hamein mausam-e-gul ka intezzaar raha
Aanchal mein bujha dil, ankhon mein pyaar raha

Duur tak tanhaayi mein guruub-e-sham ka alam
Maazi ki yadein, beeti ruton ka lutf-o-karam
Kudrat ke faisley, apne gunaahon ka shumaar
Taaron se huyi dosti, chandaa gham gusaar raha

Jaise khamoshi se takraa ke laut aati hai pukaar
Mere paas laut aayi meri hasraton ki *aah-o-zaar
Mere khwabhon ka daman raha yunhi chaak chaak
Bekas dil ko magar, ahad-e-wafa pe aitbaar raha

Jo tumhein na chaahe use chahte rehne ki aadat
Shiddat-e-gam ke rehte, muskuraate rehne ki aadat
*Qata-e-taalluq pe bhi na rukne ka kiya *israar
Par apna *ahad-e-tarab pe yaqin bar qaraar raha

Ab yeh umr bhar ka riyaaz khatm bhi kar do
Yeh daastan-e-ishq ka saaz dafn bhi kar do
Kyun yeh *ranjoor-e-wafa chup si gungunati ho
Ki tera ruuh-e-nagma sun na use dushwaar raha

Itni na keen khataayein, jitni saza mili thee
Zindagi na jaane kabse khamosh ho chuki thee
Par saanson ki *fitrat ‘paras,’ fitrat buri thee
Teri ik ik haar pe hansta, *kafan-bardaar raha

aah-o-zaar = wail, cry
qata-e-taalluq = abandoning, leaving
israar = obstinacy (rukne ki zid)
ahad-e-tarab = promise of good times
ranjoor = sad, aggrieved
fitrat = nature
kafan bardaar = shroud bearer
----------------------------Parastaar----------------------------



regards
manu

Last edited by acharya_mj; 26th February 2007 at 12:37 AM..
  Send a message via Yahoo to acharya_mj  
Reply With Quote
Old
  (#20)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
27th April 2007, 02:57 PM

Quote:
Originally Posted by Parastaar View Post
Dosto:

Namaskaar! Ek arse baad yahan ka rukh kiya tau apne puraane doston ko dekh bahut khushi huyi, sabki posts dekhin...achha laga...yeh naya interface zara anjaana sa lagta hai...aur mujhe apna saada sa forum behad pyaara thaa...lekin changes tau aayeinge hi...haan dil tau wahi raheinge...aur dil se niklee awaaz bhi...kuchh doston kee guzarish poori kar rahi hoon...haan der tau kar dee...aap sab ki nazar ek naya kalaam...inaayat farmayiegaa...

Ab kaunse mausam se koyi aas lagaaye
Barsaat mein bhi yaad na jab unko hum aaye
--Parveen Shakir


Duur falak ka chaand salona meet puraana lagta hai
Meethi subah kii aas liye wo saari raat jagta hai

Main teri jaanib na paltoon zidd is paagal birhan ki
Par dum todhuun teri baahon mein bebas dil yeh kehta hai

Saanson mein mehak barkhaa ki, aur adharon pe shikwa
Aanchal mein behaki sabaa, ab sapnon jaisa lagta hai

Shaam dhale yaadon ke baadal kar dein nam jo palakon ko
Rok sake aankhon ka daryaa, kya aisa shaanaa milta hai?

Badan ki raanaayian kya laashon ke bhi hoti hain?
Baarahaa bus yeh sawaal, aainaa mujhse karta hai

Poocho na dil-e-muztar apna, baaz kahaan yeh aata hai
Kabhi doobta, kabhi bigadta, aur kabhi sambhalta hai

Zahar se bhi bujhe na pyaas hud hai tamanaa-e-yaar
Taashna lab, tarsee aankhein, nigodha dil ka rishta hai
bahut khoob paras ji.....main chahti hoon ki aap jaise likhne walo ko muj jaise seekne wale aur naye member bhi padey aur kuch seekhey.

regards


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#21)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
12th August 2007, 11:38 AM

Shaam dhale yaadon ke baadal kar dein nam jo palakon ko
Rok sake aankhon ka daryaa, kya aisa shaanaa milta hai?


Meri Paras

khush raho

Tumhari Meenajee
   
Reply With Quote
Old
  (#22)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
15th January 2016, 03:55 PM

paras ji....
Aapke janm din par aaj aapko aur kareeb se jaanne ka dil kiya to aapki kuvh purani post padhne chali aayi....
Bahut apne se bahut pyare ehsaas lage..tareef k liye bahut chhoti hun main kya kahun....

Bas itna hee ki aaya kariye kabhi kabhi hame bhi aapka sath chahiye..aur sdc ko bhi...

Apna khayaal rakhiyega..

Regards
Madhu.



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Yaadoon se rishta kal bhi thaa yaadoon se rishta aaj bhi hai silent-tears Shayri-e-Dard 4 30th January 2008 02:39 PM
*mujh se mera kya rishta hai har ik rishta bhool gaya.."Mumtaz Rashid jee"* Diggaj_Dave Ghazal Section 1 10th September 2006 05:37 PM
Dil Ka Rishta Rubina Shaikh Shayri-e-Ishq 1 7th September 2006 12:17 PM
Rishta Irfan Hakeem Shayri-e-Ishq 0 22nd December 2003 05:15 PM
yeh rishta bhi koi rishta hai!! farhana Shayri-e-Dard 11 10th November 2003 02:11 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com