my sweet pari -
2nd September 2012, 10:19 PM
To my sweet daughter Pari
Tum jo aayin jindagi mein , baat ban gayee.
Dil ke kone mein kabse chipaya tha,
Sapna tumhare aane ka aankho mein samaya tha,
Pane ko tumhe kiye hamne kitne jatan tab,
tumhe hamne hamare SAI se paya tha,
Dekha tha jab tumhara chehra dil bhar aaya tha,
Utha kar jab tumhe gale se lagaya tha
Chalak aaye the aankhon mein aansu jab,
Meri ungli ko tumne haathon se dabaya tha.
Hans kar tumne hamare ghar ko mehkaya tha,
Ro kar tumne hum sabko hansaya tha,
Hua tha mujhe baap hone ka ehsaas jab
Pehli baar tumhe lori gaa kar sulaya tha.
Maanga tha tumhe hee jab haath failaya tha,
Chaha tha tumhe hee jab sar ko jhukaya tha,
Shukriya hai baar baar mere SAI ka,
Jisne hamari bagiya mein ye phool khilaya tha.
Pa ke apni 'PARI' ko humara jeevan muskaraya tha,
Kaise tumhare intejaar mein ek ek din bitaya tha,
Bhool gaye hain apne dukhon ko hum jab
Tumne apni shaitaniyon se humko hansaya tha.
एक हाथ में दिल उनके एक हाथ में खंजर था
चेहरे पे दोस्त का मुखौटा अजीब सा मंजर था
Arvind Saxena
Ph. No. 7905856220
|