Tere kadmon ke nishan -
19th September 2013, 02:29 PM
idhar jaam chalke udhar chalke mere ansu,
De rahe gavahi mere tadapne ki.
Per tujhe kya fikar tu to hai bekhabar ,
is baat se ki kis haal mein main para hun,
shayad zinda bhi hun ya mar gaya hun.
Mere liye tum meri duniya thi,
tumhare liye ek hadsa tha jo guzar gaya,
mere liye to wakt wahin thahar gaya,
main aaj bhi wahin khara hun jahan tum chor ayee thi ,
Tune to apne liye dhoond liya ek naya karvan, per
main aaj bhi ret per tere kadmon ke nishan dhoondta hoon.
Sanjay Sehgal
khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.
|