Samandar.... -
3rd May 2016, 04:06 PM
samandar,,,
khidki pe baitha mai samandar dekh rha tha..
nazre tiki thi saamne pr khud k andar dekh raha tha..
utaar chadaw aate hai zindagi me in lahro ki tarah..
kuchh pal jab kat te hai kai pahro ki tarah..
kabhi befikri ki bahar hoti hai,, kabhi zimmedariyo ka registaan..
kabhi maatam ka sannata hota hai kabhi ishq ka toofan ..
hoth hamesha muskuraye ye lazmi to nahi..
khair in lamho me to mai kuchh sundar dekh rha tha..
khidki pe baitha mai samandar dekh rha tha..
nazre tiki thi saamne pr khud k andar dekh raha tha..
ye kaale badal kuch anchahe palo ki yaade hai..
ye khilti chandani khoobsurat lamho ki nisani..
door wo kshitiz manjil hai apni.. dariya k jaisi hai apni rawanii..
mukaddar se aage gaya na koi ab tak.. likh na paya hai koi apni kahani..
wo taaro k beech chhupa ghutano k bal SIKANDAR dekh rha tha...
khidki pe baitha mai samandar dekh rha tha..
nazre tiki thi saamne pr khud k andar dekh raha tha..
............. awy d sailor
|