Wah wakaiee me aapka interview padhkar yeh ehsaas hua ke aap ek shaandaar insaan hai...........jitni aapke andar hai agar uski aadhi sachchaiee bhi mere andar aa jaye to main khud ko khush kismat samjhuga.
Talib saheb aap SDC se bohat pyaar karte they aur karte hai.......mere man me ek sawaal hai mere bhai yu samajh lijiye ke aapka mashwira chahiye.
Kuch dino se mujhe pareshaan kiya ja raha hai........ya yu kahe beizzat kiya ja raha hai aur koi is baare me kuch nahi karta sab tamasha dekhte hai........ab aisi halet me jab main SDC se itna pyaar karta hu itna attached hu mujhe kya karna chahiye..........ab SDC kisi ki zaati jageer to hai nahi par phir bhi mujhe majboor kiya ja raha hai ke main SDC chodkar chala jaoo to aap hi bataye mere bhai aisi surat me insaan kya kare. Agar yaha rehna hai to unki terms and condition par rahe ya phir waise hi rahe jaise hum hai aur beizzat hote rahe bina kisi wajah ke.
Qke jab maine SDC join kiya tha tab ki SDC me aur ab ki SDC me zameen aasmaan ka fark hai.........yaha to ab openly keh diya jata hai jana hai to jao humko koi fark nahi padta. Meri bato ne agar aapko pareshaan kiya ho to mujhe maaf kar dijiyega pata nahi aapka interview padhkar mehsoos hua ke apni taqleef aapke sath share karu aur aapse mashwira lu.
Aapka Dost
Ghayel