mujhe kuchh kehna tha.....................!!
haan shayad kuchh kehna tha
shayad kuchh aisa jo tumne kabhi suna na ho
shayad kuchh aisa jo kisi ne kabhi kaha na ho
shayad kuchh aisa jo koi kisi se na kahe...................
magar kahun kya................?
ke kitne khas ho tum . dhadkan ko chhuta ehsas ho tum
phool se zyada nazuk ho or kohinur se zyada nayab ho tum
husn-e-lajawab hai or takabbur nahi
sharm se jhuki nigahon par dunia ka asar nahi
tum kya ho humnashin tumhe hi khabar nahi
barsat ke baad ki ho pehli wo subha
hawa se chhidi kali ki nazuk si ada
nigahen tumhe dekhen or kahen ..(marhaba )
is jism-e-larawan ki jaan ho tum
shayad is baat sde anjan ho tum
hawa ki rawani me patte jo sarsarate hain
malum hai sargoshion me tumhe hi bulate hain
kabhi kehte hain tumhe naghma kabhi sabz bagh kehte hain
kabhi chowdhvi ka chamakta hua mehtab kehte hain
kabhi kehte hain dil kashi kabhi rooh-e-saaz kehte hain
nateeja ye ke sab tumhe lajawab kehte hain
tasawwur me tumhe la kar yahi sochta hun me
tumhe kyon kar me apnaun
tumhe kyon kar me apnaun
mere chhote se daaman me chand khushiyaan mayassar hain
tumhari rahon me hazaron sitaren munawwar hain
tumhe kaise phoolon se me katon ki sej par laun
tumhe kyon kar me apnaun
magar
tumhe be-tahasha chahta hun ye bhi haqiqat hai
tumhe tumhi se mangta hun meri mohabbat hai
har gham mera hoga ye wada karta hun
har khushi tumhari ho ye irada karta hun
yakeen jano mohabbat tumse kuchh zyada karta hun
mere wade par pura aitbaar karna
meri ilteja hai mujhse bhi itna hi pyar karna......!!!