Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
tumse koyi shikwa nahin....
Old
  (#1)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
Arrow tumse koyi shikwa nahin.... - 13th December 2005, 10:44 AM

mai.n apane Khvaab se kaT kar jiyuu.N to meraa Khudaa
ujaa.D de merii muTThii ko dar-ba-dar kar de
--iftikhar arif


Khuda na kare ki shayar se uska tasavvur ruuth jaaye…uske khayaal hain tau uske dil ki mehfil kabhi veeraan nahin…duniya se sukoon ki ummiid….? bilkul nahin...kuch bikhre se khayaal...kuch tuute se alfaaz...aapki nazar-o-karam ke talabgaar...

tumhein suni nahin meri sada, koyi baat nahin
tere dar se laut aayi meri sada, koyi gila nahin
tanhaa batiyaate rahe us paar, koyi shikwa nahin
din bhar naaz uthaye rozi ke, koyi shiqayat nahin
raat jhuujhte rahe sannaton se, tujhse tau kuch kaha nahin
yaqeen kaanch se tuut te rahe, tujhpe tau koyi ilzaam nahin

par meri tanhaayi ki munder pe jo
aksar aakar baith jaate hain
mere tarashe huye khayal,
mere gair haqiqi waehm,
mere duur daraaz tasawwur

in par sar basar haq mera hai…
ki yeh tau teri nemat nahin…

mere anjaane sapne
meri phadphadaati hasratein
meri anchaahi chaahatein
meri machalti dhadhkanein,
meri sulagati saansein,
mere dilkash gunaah
meri tarasti nigaahein

mere dil ke biyabaan viraanon
ke sur ke saath sur milaate ye ranj
ik tees jagaate, ik pyaas badhaate,
ik tadap dabaate, palakon pe
rukte, phisalte, gaalon pe suukhte yeh aansoon

in par bhi tamaam haq mera hai…
ki yeh bhi teri saugaat nahin…

tarashe = carved
gair haqiqi = unrealistic
duur daraaz = extensive, far-fetched
nemat = blessing
sar basar = absolutely, entirely


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan

Last edited by Parastaar; 13th December 2005 at 10:47 AM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
mehul jain
haatho se haath milte rah
mehul jain is a jewel in the roughmehul jain is a jewel in the roughmehul jain is a jewel in the rough
 
mehul jain's Avatar
 
Offline
Posts: 1,429
Join Date: Feb 2005
Location: mumbai
Rep Power: 23
13th December 2005, 10:45 AM

good 1 dd bahut pasand aaya likhte rahiye


meri har chahat se pehle ek chahat hogi
wo chahat hamesha tum hogi
ab to chahna hi reh gaya hai zindagi main
na jane yeh chahat kab puri hogi
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
gam-e-lashkar
Registered User
gam-e-lashkar will become famous soon enoughgam-e-lashkar will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 221
Join Date: Nov 2005
Rep Power: 20
13th December 2005, 11:00 AM

HAI PARAS JAAN....KAISI HO...BARE DINO DINO BAAD NAZER AATI HO..KAHA.N KHO JAATI HO IS DUNIYA KI BHEED ME..HAM SITE PER AA AA KAR DHOOND DHOOND KAR THAKE KADMO SE LAUT JAATE HAI..ASAFALTAO K TOKRA SIR PER LIYE.....

tumhein suni nahin meri sada, koyi baat nahin
tere dar se laut aayi meri sada, koyi gila nahin
tanhaa batiyaate rahe us paar, koyi shikwa nahin
din bhar naaz uthaye rozi ke, koyi shiqayat nahin
raat jhuujhte rahe sannaton se, tujhse tau kuch kaha nahin
yaqeen kaanch se tuut te rahe, tujhpe tau koyi ilzaam nahin


EK DAM SAHI TAL-MAIL HAI SHABDO KA AUR BARI SOOJH-BOOJH SE DARD KO PIROYA HAI TUMNE IS KALAAM ME...YE ANDAAZ KUCHH HAT K LAGA...KAFI ASARDAAR HAI...

par meri tanhaayi ki munder pe jo
aksar aakar baith jaate hain
mere tarashe huye khayal,
mere gair haqiqi waehm,
mere duur daraaz tasawwur

in par sar basar haq mera hai…
ki yeh tau teri nemat nahin…

KITNI AASANI SE KEH PATI HO..JO BAATE SIRF MEHSOOS KARNE-KARAANE KI HOTI HAI...SUPER.B.... CLAP...CLAP...CLAP...GUSTKHI CHAHENGE AAP K DARD PER CLAP NAHI KAR RAHE HAI...SHABDO KO AASANI SE DHAAL LENE KI KALA PAR CLAP KAR RAHE HAI....


mere anjaane sapne
meri phadphadaati hasratein
meri anchaahi chaahatein
meri machalti dhadhkanein,
meri sulagati saansein,
mere dilkash gunaah
meri tarasti nigaahein

mere dil ke biyabaan viraanon
ke sur ke saath sur milaate ye ranj
ik tees jagaate, ik pyaas badhaate,
ik tadap dabaate, palakon pe
rukte, phisalte, gaalon pe suukhte yeh aansoon

in par bhi tamaam haq mera hai…
ki yeh bhi teri saugaat nahin…

SUCH ME IS SAB JAZBATO KO HAM IS TAREH SHABDO KA JAMA NAA PEHNA PAATE...VERY GOOD....DIL KO CHOO GAYA HAR SHABD KHAS TAUR SE....PHADPHADATI HASRATEIN..SULAGTI SAANSE, DILKASH GUNAAH, TARASTI NIGAHE...YE ALFAAZ TADPA GAYE DARD KO B....

OK BYE....APNE DHYAAN RAKHIYEGA...HAM FIKRMAND REHTE HAI....AAP AATI REHTI HAI TO SAKOON REHTA HAI KI SAB THEEK HAI...

gam-e-lashkar
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
candyboy
Registered User
candyboy will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 1,473
Join Date: Aug 2004
Location: Sharjah, U.A.E.
Rep Power: 21
13th December 2005, 09:38 PM

My Pyaari Guru Ji,

U're works are always so dear to us. Rather an honor 4 us. N this time real happy cos u've just written u're free thoughts without any restraints by means of rules and regulations of shayri

Just a small correction if i may, I just felt the first line should've been:

tumne suni nahin meri sada, koyi baat nahin

Felt it so said it. Well please do keep writing more so with emotions so rare nd thoughts so free and hope n pray u're benevolent presence is always there with us.

Aapka Nalayak Shagird.


Luvs,

Salim

If there are no tears in the eyes, there will be no rainbow in the soul

Happiness is a butterfly, which, when pursued, is always just beyond your grasp, but which, if you sit down quietly, may alight upon you.

We come to love not by finding a perfect person but by learning to see an imperfect person perfectly
  Send a message via Yahoo to candyboy  
Reply With Quote
Old
  (#5)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
15th December 2005, 07:11 PM

Hello Mehul...

Deri ke liye muafi chahti hoon...apko yeh mere bikhare se khayal pasand aaye...daad ke liye shukria...milte rahiyega


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
15th December 2005, 07:17 PM

Ohh Gam-e-lashkar...

itni shiddat se tau maine in tukdon ko likha bhi nahin thaa jitni shiddat se aapne is pe apni raaye pesh kee...apka tahe dil se shukria...wo alfaaz jo aapne pasand kiye...bus ehsaas ko kagaz pe utaarne ke liye kafi lage...halanki technically this would be a zero...but mujhe inko likhkar sukoon mehsoos hua...aur aapne mere kalaam ki ruuh ko pehchana inayat aapki...yoonhi karam farmaate rahieye...aur apna khayaal rakhieye


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
farhana
Registered User
farhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud of
 
farhana's Avatar
 
Offline
Posts: 3,383
Join Date: Dec 2002
Location: *~**Khwaabon ke sheher se*~**
Rep Power: 35
15th December 2005, 11:30 PM

bahaut khoob paras d....
dil ko choo gaya hai aapka yeh lajawaab kalaam...
yuhin apne kalaamon se mehfil ko roshan karti rahiye....


"Roz Kii Taraah Aaj Bhii Taare
Subha Kii Gard MeiN Naa Kho JaayeiN
Aa ! Tere Gham MeiN Jaagtii AankheiN
Kam Se Kam Aik Raat So JaayeiN."


**~*FaRhAnA*~**
  Send a message via Yahoo to farhana  
Reply With Quote
Old
  (#8)
paplupopat
Registered User
paplupopat will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 269
Join Date: Jan 2003
Location: india.
Rep Power: 22
15th December 2005, 11:53 PM

ye halaat-e-aashiq hai ya dastaan-e-jang
jahan dekhiye fate se kapade aur lahu ka laal rang.....?


as you write more and more personal
it becomes more and more universal.
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
16th December 2005, 12:18 AM

meri paras,

tumhe padhti hu to dard is kadar gale lagta hai k shabd ghabhra ke simat jaate hai kahi door door chale jate hai... or pratibimb mai yah hota hai ke mere maun se tum ruth jaati ho...

tumhari meena
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
16th December 2005, 12:27 AM

Guddo Didi...

Mujhe aadat hai apne gham chupane ki ...
alfazoN se suna duN to gunah na kehna...

cheeN lena mujhse daulat-e-jahaN chahe...
aur virasat-e-walid, meri kalam na cheen lena...


Bas meri kalaM jo bas barsa saki aapki mehfil maiN arz kar diya .. kyuNki is kangaal ke paas tareef aur alfaz ke alawa hai hi kya .. le lo meri jhuki nazroN pe se...

aapka apna

Kunal


KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#11)
jinn
Silent
jinn is on a distinguished road
 
jinn's Avatar
 
Offline
Posts: 112
Join Date: Oct 2003
Location: Maharashtra india
Rep Power: 21
16th December 2005, 12:42 PM

wah kya baat meri dua aap ke saath hai aap aise hi likhte rahiye


maana ki aap ki nazaro mein kuch nahi hai hum
par unse jakar puchiye jinhe hasil nahi hai hum



..............
call or msg at 00919823008024
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
Pulkit_gupta
Humanity
Pulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant future
 
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 42
16th December 2005, 03:02 PM

tumhein suni nahin meri sada, koyi baat nahin
tere dar se laut aayi meri sada, koyi gila nahin
tanhaa batiyaate rahe us paar, koyi shikwa nahin
din bhar naaz uthaye rozi ke, koyi shiqayat nahin
raat jhuujhte rahe sannaton se, tujhse tau kuch kaha nahin
yaqeen kaanch se tuut te rahe, tujhpe tau koyi ilzaam nahin

Very welll said Guruji.... last line was too good...!


par meri tanhaayi ki munder pe jo
aksar aakar baith jaate hain
mere tarashe huye khayal,
mere gair haqiqi waehm,
mere duur daraaz tasawwur

WaaaaaaaH...loved these lines...!


in par sar basar haq mera hai…
ki yeh tau teri nemat nahin…

mere anjaane sapne
meri phadphadaati hasratein
meri anchaahi chaahatein
meri machalti dhadhkanein,
meri sulagati saansein,
mere dilkash gunaah
meri tarasti nigaahein


Beautifullll....very nice words....!


mere dil ke biyabaan viraanon
ke sur ke saath sur milaate ye ranj
ik tees jagaate, ik pyaas badhaate,
ik tadap dabaate, palakon pe
rukte, phisalte, gaalon pe suukhte yeh aansoon

in par bhi tamaam haq mera hai…
ki yeh bhi teri saugaat nahin…

Waaaaaaaaaahhhhh..... kya keh diya hai...simply loved it...!

Dearest Guruji,

Ek baar fir aapko padhkar bahut hi accha laga...sach behad khoobsuarati se ehsaas bayaan kiye hain...I liked it a lot...!

Last stanza specially...Ek haq se, ik guroor se bola...loved it...!

Bass.. aise hi likhti raho.. My Daad is always with u...Apna khayal rakhna acche se...!


Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
  Send a message via Yahoo to Pulkit_gupta  
Reply With Quote
Old
  (#13)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
18th December 2005, 05:54 AM

Jeete raho Salim...

Well well well! galati bhi meri pakadte ho phir khud ko nalaayak batate ho...your correction is well noted and saved Sir...please aage bhi be jhijhak bata diya karo...you dont want your guru to show flaws in her writing...do you? tumhare liye kitne sharm ki baat hogi..nai?


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
18th December 2005, 05:58 AM

Dear farhana...

main tau bus tumhara avatar hi dekhti rahi...ki kitni baar yeh ladki likhegi mere liye...I Love you....I love you...lol...meri posts pe aati rehti ho...phir daad bhi hamesha deti ho...really nice of you...waqt nikalne ke liye shukriya...


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
18th December 2005, 06:02 AM

Quote:
Originally posted by paplupopat
ye halaat-e-aashiq hai ya dastaan-e-jang
jahan dekhiye fate se kapade aur lahu ka laal rang.....?
Arre Waah Paplupopat!

kya khuub kaha...Aashiqii bina ammunition ke ladi jaane wali jang hi tau hai...sab ke sab ghayal hi nazar aate hain...khuun-e-jigar...khuun-e-tamanna


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#16)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
18th December 2005, 06:08 AM

Quote:
Originally posted by meena chheda
meri paras,

tumhe padhti hu to dard is kadar gale lagta hai k shabd ghabhra ke simat jaate hai kahi door door chale jate hai... or pratibimb mai yah hota hai ke mere maun se tum ruth jaati ho...

tumhari meena
Meri meena ho tau suniye...

Yeh sab...kuch na likhne ka bahana hai...sab jaanti hoon...aap jo bhi kahain...lekin kehna padegaa...maun ki bhasha mujhe samajh nahin aati...aur phir gar rooth gayi tau kasoor sirf aapka hoga...bus...

mujhe apne pyaar se be-dakhl kar dijiey chahe...lekin mujhe sab chahiye...nahin tau kuch bhi nahin...


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Koi shikwa nahin. SAJAN1984 Shayri-e-Ishq 0 23rd November 2007 08:55 PM
Koi Shikwa Nahin roopali Shayri-e-Dard 11 22nd February 2005 01:34 AM
Tere bina zindagi se Koyi shikwa to nahi candyboy Hindi/Urdu Lyrics 8 25th October 2004 11:02 AM
Koi Shikwa Nahin roopali Shayri-e-Dard 0 27th March 2004 07:31 PM
shikwa nahin kisi say!!! Ajforu Shayri-e-Dard 2 24th February 2004 08:51 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com