Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
ahl-e-dil yuN mohabbat nibhaate rahe (Ghazal)
Old
  (#1)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
ahl-e-dil yuN mohabbat nibhaate rahe (Ghazal) - 11th December 2015, 04:18 AM

ek arsey baad koi Ghazal hui hai, yaaro suno :




ahl-e-dil yuN mohabbat nibhaate rahe
zakhm khaate rahe muskuraate rahe

yaad-e-maazi* sataati rahi raat bhar
khwaab TuuTe hue dil dukhaate rahe

yaad-e-maazi* = beetey dinoN ki yaad

ik taraf aas thi ik taraf aaNdhiyaaN
sham’aa bhujhti rahi hum jalaate rahe

zakhm riste’y rahe aaNkh behti rahi
iNtehaa dard ki aazmaate rahe

kaT gayi kaT’te-kaT’te shab-e-hijr* yuN
she'r kehte rahe gun’gunaate rahe

shab-e-hijr* = judaai ki raat

jinke pairoN tale’y dil bichhaya,vohi
dhajjiyaaN aabruu ki uDaate rahe

raah puuchhi massarrat* ki aur tere Gham
raastaa maikade ka bataate rahe

massarrat* = khushi

saaNs chalti rahi dil sulagtaa raha
dard ki aaNch se til’milaate rahe

is qadar the kaThin raaste hosh ke
paaoN rakkhe jidhar, laDkhDaate rahe

aitbaar-e-wafaa, aaj ke daur meiN!
ajee, tum kahaaN sar khapaate rahe?

voh samajhte haiN “maikash” faqat shayri
aap TukDey jigar ke sajaate rahe


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................

Last edited by maikasH; 11th December 2015 at 04:59 AM..
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#2)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
11th December 2015, 08:40 AM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
ek arsey baad koi Ghazal hui hai, yaaro suno :




ahl-e-dil yuN mohabbat nibhaate rahe
zakhm khaate rahe muskuraate rahe

yaad-e-maazi* sataati rahi raat bhar
khwaab TuuTe hue dil dukhaate rahe

yaad-e-maazi* = beetey dinoN ki yaad

ik taraf aas thi ik taraf aaNdhiyaaN
sham’aa bhujhti rahi hum jalaate rahe

zakhm riste’y rahe aaNkh behti rahi
iNtehaa dard ki aazmaate rahe

kaT gayi kaT’te-kaT’te shab-e-hijr* yuN
she'r kehte rahe gun’gunaate rahe

shab-e-hijr* = judaai ki raat

jinke pairoN tale’y dil bichhaya,vohi
dhajjiyaaN aabruu ki uDaate rahe

raah puuchhi massarrat* ki aur tere Gham
raastaa maikade ka bataate rahe

massarrat* = khushi

saaNs chalti rahi dil sulagtaa raha
dard ki aaNch se til’milaate rahe

is qadar the kaThin raaste hosh ke
paaoN rakkhe jidhar, laDkhDaate rahe

aitbaar-e-wafaa, aaj ke daur meiN!
ajee, tum kahaaN sar khapaate rahe?

voh samajhte haiN “maikash” faqat shayri
aap TukDey jigar ke sajaate rahe
Janaab ek baar phir pur asar peshkash huyi aur is nayaab ghazal ko nacheez ka salaam qubool ho....yeh do sher ab tak khanjar ki tarah dil par vaar kar rahe hai...

kaT gayi kaT’te-kaT’te shab-e-hijr* yuN
she'r kehte rahe gun’gunaate rahe

jinke pairoN tale’y dil bichhaya,vohi
dhajjiyaaN aabruu ki uDaate rahe


Yunhi likhte rahiYe



Qasid


___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#3)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
11th December 2015, 09:41 AM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
ek arsey baad koi Ghazal hui hai, yaaro suno :




ahl-e-dil yuN mohabbat nibhaate rahe
zakhm khaate rahe muskuraate rahe

yaad-e-maazi* sataati rahi raat bhar
khwaab TuuTe hue dil dukhaate rahe

yaad-e-maazi* = beetey dinoN ki yaad

ik taraf aas thi ik taraf aaNdhiyaaN
sham’aa bhujhti rahi hum jalaate rahe

zakhm riste’y rahe aaNkh behti rahi
iNtehaa dard ki aazmaate rahe

kaT gayi kaT’te-kaT’te shab-e-hijr* yuN
she'r kehte rahe gun’gunaate rahe

shab-e-hijr* = judaai ki raat

jinke pairoN tale’y dil bichhaya,vohi
dhajjiyaaN aabruu ki uDaate rahe

raah puuchhi massarrat* ki aur tere Gham
raastaa maikade ka bataate rahe

massarrat* = khushi

saaNs chalti rahi dil sulagtaa raha
dard ki aaNch se til’milaate rahe

is qadar the kaThin raaste hosh ke
paaoN rakkhe jidhar, laDkhDaate rahe

aitbaar-e-wafaa, aaj ke daur meiN!
ajee, tum kahaaN sar khapaate rahe?

voh samajhte haiN “maikash” faqat shayri
aap TukDey jigar ke sajaate rahe

adaab janaab...har baar aapki ghazal me bayaan dard dil tak paunchta hai...aur is baar ek ek sher ko kitni hee padha aur bas waah waah waah karte hai....aapke andaaz aur apki kalam ko khuda aur tarakki de yahi dua hai..

Tah e dil se..daad pesh hai..

Salamat rahein..



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Waah
Old
  (#4)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
Waah - 11th December 2015, 12:37 PM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
ek arsey baad koi Ghazal hui hai, yaaro suno :




ahl-e-dil yuN mohabbat nibhaate rahe
zakhm khaate rahe muskuraate rahe

yaad-e-maazi* sataati rahi raat bhar
khwaab TuuTe hue dil dukhaate rahe

yaad-e-maazi* = beetey dinoN ki yaad

ik taraf aas thi ik taraf aaNdhiyaaN
sham’aa bhujhti rahi hum jalaate rahe

zakhm riste’y rahe aaNkh behti rahi
iNtehaa dard ki aazmaate rahe

kaT gayi kaT’te-kaT’te shab-e-hijr* yuN
she'r kehte rahe gun’gunaate rahe

shab-e-hijr* = judaai ki raat

jinke pairoN tale’y dil bichhaya,vohi
dhajjiyaaN aabruu ki uDaate rahe

raah puuchhi massarrat* ki aur tere Gham
raastaa maikade ka bataate rahe

massarrat* = khushi

saaNs chalti rahi dil sulagtaa raha
dard ki aaNch se til’milaate rahe

is qadar the kaThin raaste hosh ke
paaoN rakkhe jidhar, laDkhDaate rahe

aitbaar-e-wafaa, aaj ke daur meiN!
ajee, tum kahaaN sar khapaate rahe?

voh samajhte haiN “maikash” faqat shayri
aap TukDey jigar ke sajaate rahe
Behtareen Ghazal Hui hai Maikash Bhai

YuN to har sher lajawaab hai par Maqta bohat khoob raha.

voh samajhte haiN “maikash” faqat shayri
aap TukDey jigar ke sajaate rahe

DheroN daad aur mubarakbaad qubuul farmayeN. Aur naye-naye kalamoN se bazm ko lutf-andoz karte raheN.

Khaksaar
Praveen


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Old
  (#5)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
Thumbs up 11th December 2015, 02:38 PM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
ek arsey baad koi Ghazal hui hai, yaaro suno :




ahl-e-dil yuN mohabbat nibhaate rahe
zakhm khaate rahe muskuraate rahe

yaad-e-maazi* sataati rahi raat bhar
khwaab TuuTe hue dil dukhaate rahe

yaad-e-maazi* = beetey dinoN ki yaad

ik taraf aas thi ik taraf aaNdhiyaaN
sham’aa bhujhti rahi hum jalaate rahe

zakhm riste’y rahe aaNkh behti rahi
iNtehaa dard ki aazmaate rahe

kaT gayi kaT’te-kaT’te shab-e-hijr* yuN
she'r kehte rahe gun’gunaate rahe

shab-e-hijr* = judaai ki raat

jinke pairoN tale’y dil bichhaya,vohi
dhajjiyaaN aabruu ki uDaate rahe

raah puuchhi massarrat* ki aur tere Gham
raastaa maikade ka bataate rahe

massarrat* = khushi

saaNs chalti rahi dil sulagtaa raha
dard ki aaNch se til’milaate rahe

is qadar the kaThin raaste hosh ke
paaoN rakkhe jidhar, laDkhDaate rahe

aitbaar-e-wafaa, aaj ke daur meiN!
ajee, tum kahaaN sar khapaate rahe?

voh samajhte haiN “maikash” faqat shayri
aap TukDey jigar ke sajaate rahe

Maikash ji...aik aik lafz dil par asar kar gya...maana ki bahut dard, tadap hai aapki shayri meiN par sacchi baat kahun, hame sakoon milta hai padkar.
aapki kalam to qtal karti chalti hai...dard par waaahhhh kehna mushkil hai.
apne ehsaas yu hi hamse hsare karte rhiye.

rabb raakha


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#6)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
14th December 2015, 02:14 AM

Quote:
Originally Posted by mast View Post
Janaab ek baar phir pur asar peshkash huyi aur is nayaab ghazal ko nacheez ka salaam qubool ho....yeh do sher ab tak khanjar ki tarah dil par vaar kar rahe hai...

kaT gayi kaT’te-kaT’te shab-e-hijr* yuN
she'r kehte rahe gun’gunaate rahe

jinke pairoN tale’y dil bichhaya,vohi
dhajjiyaaN aabruu ki uDaate rahe


Yunhi likhte rahiYe
huzoor-e-aala, namaste


daad, ba-meherbaani tasleem hai mere bhai

go maiN yeh samajhta hooN ke maiN naalaayiq agar miyaar se neeche bhi she'r kahooN to aapki mohabbat itni hai ke aap phir bhi hauNslaa baDhaayeNge

aapki murravatoN ka karz'daar hooN saheb


bohat shukriya

rab raakha
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#7)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
15th December 2015, 06:22 PM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
ek arsey baad koi Ghazal hui hai, yaaro suno :




ahl-e-dil yuN mohabbat nibhaate rahe
zakhm khaate rahe muskuraate rahe

yaad-e-maazi* sataati rahi raat bhar
khwaab TuuTe hue dil dukhaate rahe

yaad-e-maazi* = beetey dinoN ki yaad

ik taraf aas thi ik taraf aaNdhiyaaN
sham’aa bhujhti rahi hum jalaate rahe

zakhm riste’y rahe aaNkh behti rahi
iNtehaa dard ki aazmaate rahe

kaT gayi kaT’te-kaT’te shab-e-hijr* yuN
she'r kehte rahe gun’gunaate rahe

shab-e-hijr* = judaai ki raat

jinke pairoN tale’y dil bichhaya,vohi
dhajjiyaaN aabruu ki uDaate rahe

raah puuchhi massarrat* ki aur tere Gham
raastaa maikade ka bataate rahe

massarrat* = khushi

saaNs chalti rahi dil sulagtaa raha
dard ki aaNch se til’milaate rahe

is qadar the kaThin raaste hosh ke
paaoN rakkhe jidhar, laDkhDaate rahe

aitbaar-e-wafaa, aaj ke daur meiN!
ajee, tum kahaaN sar khapaate rahe?

voh samajhte haiN “maikash” faqat shayri
aap TukDey jigar ke sajaate rahe

kya baat hai kyaa andaaz hai bhai...... kamaal ki ghazal huii hai is baar aapki taraf se maikash bhai.... aur har sher me mera dil nikal nikal ke baahar aa gayaa..... jitnaa dard samet saktaa tha sametaa hai aapki ghazal se bade bhai.... Allah se duaa kartaa hoon ke is fan ko din doona raat chaugunaa badhaae aur aapke kalam ki khushboo se bazm mahaktii rahe.....


jinke pairoN tale’y dil bichhaya,vohi
dhajjiyaaN aabruu ki uDaate rahe



is sher ke liye itnaa kahunga..... qatl kar diyaa isne hamaara... behad aala...

mukhlis ki daad qubool farmaaen ,.... aate rahen,.... aur apnaa khayaal rakkhen....

Shaad..........


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
18th December 2015, 06:18 AM

Quote:
Originally Posted by Madhu 14 View Post
adaab janaab...har baar aapki ghazal me bayaan dard dil tak paunchta hai...aur is baar ek ek sher ko kitni hee padha aur bas waah waah waah karte hai....aapke andaaz aur apki kalam ko khuda aur tarakki de yahi dua hai..

Tah e dil se..daad pesh hai..

Salamat rahein..
aadaab Madhu jee

sitaayish aur daad ke liye aapka behadd mashkoo hooN mohtarma

duaaoN ke liye alag se shukriya baaNdh lijiye, khush rahiye


rab raakha
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#9)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
23rd December 2015, 03:52 AM

Quote:
Originally Posted by prasaxena View Post
Behtareen Ghazal Hui hai Maikash Bhai

YuN to har sher lajawaab hai par Maqta bohat khoob raha.

voh samajhte haiN “maikash” faqat shayri
aap TukDey jigar ke sajaate rahe

DheroN daad aur mubarakbaad qubuul farmayeN. Aur naye-naye kalamoN se bazm ko lutf-andoz karte raheN.

Khaksaar
Praveen
Praveen bhai, aadaab-o-namaste

maqta aapne khusoosan pasaNd farmaaya, shukriya


bhai naye qalaam aur is haalaat-e-masroofiyat meiN teDhi kheer ke baraabar haiN, ba-har-haal, kehte haiN ke chor chori se jaaye hera-pheri se na jaaye so gaahe-ba-gaahe do-ek misre idhar udhar se raqm ho jaate haiN to pesh kar deta hooN

hauNsla-afzaai ke liye alag se shukriya baaNdh lijiye bade bhai


rab raakha
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com