Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
ashqon ki intehaa hoon na barbaad kijiey…
Old
  (#1)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
Arrow ashqon ki intehaa hoon na barbaad kijiey… - 9th November 2005, 12:30 PM

Adaab Dosto...

naGmo.n kii ibtidaa thii kabhii mere naam se
ashko.n kii i.ntahaa huu.N mujhe yaad kiijiye


Sagar Siddiqui sahib ka yeh sher kahin padha...tau isi zameen pe kuch tameer karne ki jurrat kar daali...mulahaiza farmaayiey...

Tesha utha kar humne kaha imdaad kijiey
Le kar ke Meri ‘Jaan’ mujhe azaad kijiey

Yeh shamme farozaan ki chamak, ye dhanak
Yeh raqs aur yeh jashn tau mere baad kijiey

Aapki duniya kabhi humse hi thee aabaad
Kaise kahein saanson mein hamein abaad kijiey

Dil pe humne aapke likhi thee jo ghazal
Nazzron ke harf-o-kalam pe kabhi irshaad kijiey

Dil ke haathon garq-e-tamanna huye thhe hum
Ujdhe huye tau thhe hi na aur barbaad kijiey

Sabr-o-sukoon haavi aur uspe ghaflat-e-yaar
Yoon muskura ke na koyi sitam naya ijaad kijiey

Phirte rahe taa umr sehra sehra bhatakte hum
Ab aap nahin hamare ke kahein imdaad kijiey

Hamari chahaton ne banaya apko mera khuda
Na yoon apne ‘parastaar’ pe sanam uftaad kijiey


Imdaad = help, aid
Farozaan = luminous
Raqs = dancing
Ghaflat = carelessness
Shaad = cheerful
Ijaad = invent
Uftaad = misery, distress
Parastaar = worshipper


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
kasak
Pieces of me!
kasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to all
 
kasak's Avatar
 
Offline
Posts: 823
Join Date: Jul 2005
Location: Bhopal(MP, india)
Rep Power: 25
9th November 2005, 03:39 PM

naGmo.n kii ibtidaa thii kabhii mere naam se
ashko.n kii i.ntahaa huu.N mujhe yaad kiijiye


beautifulllllll.......!!!

kya starting di hai......

Tesha utha kar humne kaha imdaad kijiey
Le kar ke Meri ‘Jaan’ mujhe azaad kijiey


waah.....fabulous thinking......

Yeh shamme farozaan ki chamak, ye dhanak
Yeh raqs aur yeh jashn tau mere baad kijiey

Aapki duniya kabhi humse hi thee aabaad
Kaise kahein saanson mein hamein abaad kijiey


amazing di......what aashaars!!!!

Dil pe humne aapke likhi thee jo ghazal
Nazzron ke harf-o-kalam pe kabhi irshaad kijiey


excellent......!!!!

Dil ke haathon garq-e-tamanna huye thhe hum
Ujdhe huye tau thhe hi na aur barbaad kijiey

Sabr-o-sukoon haavi aur uspe ghaflat-e-yaar
Yoon muskura ke na koyi sitam naya ijaad kijiey


phir se ek kataaksh........

Phirte rahe taa umr sehra sehra bhatakte hum
Ab aap nahin hamare ke kahein imdaad kijiey


kya baat haiiii.......!!!

Hamari chahaton ne banaya apko mera khuda
Na yoon apne ‘parastaar’ pe sanam uftaad kijiey


brilliant........!!!

hmmm.....di ab kya kahooN.....shayad apke kalaam aksar sabse pehle maiN hi padhti hooN.....lekin reply der se karti hooN.....shabdoN ke nikalne ka intezaar karti hooN.....ki kuch to dimaag me aayeiN....magar kaafi time lagta hai.....
lekin is baar kuch kahungi nahi....wahi taareef....wahi baateiN....aap bhi bore ho gaye hoge sunte sunte.....but di agaiN and agaiN i wud say ki ur style of using urdu in ur kalaams is the best....which makes u one in the millioNs.....and thats what u are......
take care........
wid lots of respect n love,
KasaK.....


~A tease in heart~

Judaa huye haiN bahut log, ek tum bhii sahii,
Ab itnii sii baat pe kyaa zindagii haraam kareiN ..
  Send a message via Yahoo to kasak  
Reply With Quote
Old
  (#3)
Pyarali Rajan
Registered User
Pyarali Rajan is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 403
Join Date: Oct 2001
Location: Copenhagen, Denmark
Rep Power: 23
9th November 2005, 06:42 PM

Paras Ji,

Khubsurat nazam, Daad kabool kijiyega!! Har stanza meaningful hai!

Dil pe humne aapke likhi thee jo ghazal
Nazzron ke harf-o-kalam pe kabhi irshaad kijiey

Wah!

Rajan!


cool
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Taish
"Taish meN hai Taish"
Taish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Taish's Avatar
 
Offline
Posts: 5,535
Join Date: Jan 2005
Location: Lost In The Cobwebs Of Mah Mind...!!
Rep Power: 48
9th November 2005, 07:06 PM

to dd itni ulfat aur itna dard,bas maza aa gaya aapki har pankti me mujhe.mann sagaron me tair raha hai aapke is kalaam ko padhne ke baad.bas hum aapke kayal to the hi bas aapke kalaa se phir se ghayal bhi ho gaye. .ab dd agar shabdon ke nikalne ka intazar karoon to kabhi is kalaam ko reply na kar sakoon.aur na hi iske saath main imaandari barat sakoon.isiliye abhi hi reply kar diya.bas humari tah-e-dil se daad kabool farmaiye.aur bas yunhi likhte rahiye aap.

aapka LUCKY



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
http://alfaaz-e-taish.blogspot.in/

Ishq hota tha, ishq karte haiN,
Vo zamana tha, ye zamana hai...

----Taish

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
  Send a message via Yahoo to Taish Send a message via Skype™ to Taish 
Reply With Quote
Old
  (#5)
sukanya
Registered User
sukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the rough
 
sukanya's Avatar
 
Offline
Posts: 1,239
Join Date: Jul 2004
Location: India
Rep Power: 0
9th November 2005, 08:12 PM

Aapki duniya kabhi humse hi thee aabaad
Kaise kahein saanson mein hamein abaad kijiey

Dil pe humne aapke likhi thee jo ghazal
Nazzron ke harf-o-kalam pe kabhi irshaad kijiey


Namaskar Paras Ji

Jab bhi aapki likhi ghazal padhi seedhi dil par dastak detey hay....Aapki yeh ghazal bhi dil chuu gayi.......Bahut khoobsurat likha hay aapney mere daad kabul kijeyega.

Aapki apni
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
9th November 2005, 09:06 PM

Dear Kasak...

Tum aati ho tau khizaa mein bahaar le aati ho...itni tareef mat karo...main tau bus jazzbaat likhti hoon...tumhein pasand aayein tau khushnaseebi hai meri kalam ki...aur jo pehla sher hai...wo Sagar Siddiqui sahib ka hai...uski daad unhin ke naam hai...


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
9th November 2005, 09:12 PM

Rajan sahib...

aapne tau mera pasandeeda misra chuna hai...bus likhte huye ek khubsurat sa manzar dikha aur usko ismein kehne ki koshish kee...

gar ghazal kalam siyaahi ke bajaaye nazzron se kahi jaaye tau kitna lutf hoga usmein...haal e dil...nigaahon se umadh padhe tau kya hoga...


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
candyboy
Registered User
candyboy will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 1,473
Join Date: Aug 2004
Location: Sharjah, U.A.E.
Rep Power: 21
9th November 2005, 09:28 PM

Meri Pyaari Si Guru Ji,

Kaise kahu ke parhke kaisa laga??? Ek ajeeb si khushi mehsoos hui ke itna umda kalaam parhne mila. Parhte hue kuch jazbaat kuch yaadein shayad jo chhupe they kahi bas phir saamne aa gaye. Bohot khoob Guru Ji. Likhte rahey aur hume uhi mast kalaamo se nawaazte rahey.

Aapka Nalayak shagird


Luvs,

Salim

If there are no tears in the eyes, there will be no rainbow in the soul

Happiness is a butterfly, which, when pursued, is always just beyond your grasp, but which, if you sit down quietly, may alight upon you.

We come to love not by finding a perfect person but by learning to see an imperfect person perfectly
  Send a message via Yahoo to candyboy  
Reply With Quote
Old
  (#9)
farhana
Registered User
farhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud of
 
farhana's Avatar
 
Offline
Posts: 3,383
Join Date: Dec 2002
Location: *~**Khwaabon ke sheher se*~**
Rep Power: 35
10th November 2005, 01:46 AM

kya baat hai paras ji...bahaut khoobsurat likkha hai ....
sagar sahab ke sher ke saath aapne apne khayalaton ke moti piroh ke ismein chaar chand laga diye.....
dil se daad kubool kijiye...apna khyaal rakhiyega aur yuhin mehfil ko sajate rahiyega....
keep smiling.


"Roz Kii Taraah Aaj Bhii Taare
Subha Kii Gard MeiN Naa Kho JaayeiN
Aa ! Tere Gham MeiN Jaagtii AankheiN
Kam Se Kam Aik Raat So JaayeiN."


**~*FaRhAnA*~**
  Send a message via Yahoo to farhana  
Reply With Quote
Old
  (#10)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
10th November 2005, 10:45 AM

paras meri behan

mera khayaal hai ke asaatidaa ki zameen ka kabhi kabhi istemaal theek hai. ziaadti kisi bhi cheez ki ziayaada achchi naheen hoti.
tum ne alfaaz ka tasulsul rakhne ki koshish to ki hai mager bhai mein kuch ziayaada mutmayeen naheen hoon.
mera mashwara hai ke bohat ziyaada yaksaaniyet ka shikaar na ho.
anyway likhti raho. parhti raho. jug jug jiyo, khush raho.

musharrafhusain
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
10th November 2005, 11:20 AM

Priye Lucky...

Di tau sirf ulfat aur dard pe likhti hai...tum vatan ke dard pe likhte ho...bahut achha likhte ho...kaash main bhi ubhar paaon dard ke alam se...meri duaayein tumhare saath hain...


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
10th November 2005, 11:22 AM

Sukanya ji...

hamesha ki tarah mujhe padhne ka sarahne ka shukriya...kabhi jo nagawaar guzre wo bhi keh diya karein...mujhe sukoon milega...


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
10th November 2005, 11:25 AM

Dear Salim...

tumhein yeh kalaam mast laga...sun kar hairat huyi...tumhari yaadein taaza ho gayin...agar achhi yaadein theen tau khushi hai...agar dard bhari yaadein hain dukh hoga jaankar... khush raho...


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
10th November 2005, 11:28 AM

Farhana kaisee ho?

Tahe dil se shukriya ki tumne iss kalaam ko apni tareef ke qabil samjha...aage bhi yahin milti rehna...aaj tumhari ghazal ek padhi bahut achi lagi...yoonhi likhti raho...

take care


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
10th November 2005, 11:33 AM

Quote:
Originally posted by musharrafhusain
paras meri behan

mera khayaal hai ke asaatidaa ki zameen ka kabhi kabhi istemaal theek hai. ziaadti kisi bhi cheez ki ziayaada achchi naheen hoti.
tum ne alfaaz ka tasulsul rakhne ki koshish to ki hai mager bhai mein kuch ziayaada mutmayeen naheen hoon.
mera mashwara hai ke bohat ziyaada yaksaaniyet ka shikaar na ho.
anyway likhti raho. parhti raho. jug jug jiyo, khush raho.

musharrafhusain
Mere pyaare bhayyia...

aap tau nahin lekin main mutmayeen hoon aapka yeh jawaab paa kar...bus waahi waahi milti rahe tau kalam ki dhaar kaise tez rahegi...hai na? aap fikr na kijiey...mujhe raah pe laate rahiye...taaki main mediocre se kalaam likh kar...bazm ko niraash na karoon...shukriya bhayyia


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#16)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
10th November 2005, 08:43 PM

Quote:
Phirte rahe taa umr sehra sehra bhatakte hum
Ab aap nahin hamare ke kahein imdaad kijiey

Hamari chahaton ne banaya apko mera khuda
Na yoon apne ‘parastaar’ pe sanam uftaad kijiey
Behad khoobsurat paras .... kya kahiye bas aage lafz bante nahi ban paa rahe .. bahut

bas aapke aage hi ek nacheez tamanna aur

itni adaa se dil ke gham irshaad kijiye

likhte rahiYeGaa

-aapka apnaa



Qasid


___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#17)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
14th November 2005, 04:16 AM

Shukriya Anu...

ek aam see rachna pe bhi itni sundar daad dene ke liye...padhte rehna...likhte rehna


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#18)
gam-e-lashkar
Registered User
gam-e-lashkar will become famous soon enoughgam-e-lashkar will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 221
Join Date: Nov 2005
Rep Power: 20
16th November 2005, 12:46 PM

Tesha utha kar humne kaha imdaad kijiey
Le kar ke Meri ‘Jaan’ mujhe azaad kijiey

BAHUT DAMDAAR BAAT KEH DALI.....ITNA DAM RAKHNA SUCH ME BAHUT MUSHKIL HAI...

Aapki duniya kabhi humse hi thee aabaad
Kaise kahein saanson mein hamein abaad kijiey

REALLY GOOD.....SAHI FARMAYA....

Dil pe humne aapke likhi thee jo ghazal
Nazzron ke harf-o-kalam pe kabhi irshaad kijiey

ITNA UNME DAM KAHA.N KI AISA KAR PAAYE..N

Dil ke haathon garq-e-tamanna huye thhe hum
Ujdhe huye tau thhe hi na aur barbaad kijiey

KITNA AASAAN HAI LIKH K KEH DENAA LEKIN UTNA HI MUSHKIL HAI YE SAB SEH LENA.....UFF KITNA DARD HAI...

Sabr-o-sukoon haavi aur uspe ghaflat-e-yaar
Yoon muskura ke na koyi sitam naya ijaad kijiey

---HUUUUUUU AUR VO KAR BHI KYA SAKTE HAI..

Phirte rahe taa umr sehra sehra bhatakte hum
Ab aap nahin hamare ke kahein imdaad kijiey

Hamari chahaton ne banaya apko mera khuda
Na yoon apne ‘parastaar’ pe sanam uftaad kijiey

KUL MILA KER BAHUT AAHE BHARI HUI HAI....UFFFFFFF.....AAAAAAH..... IRSHAD KEHNE KI GUSTAKHI NAHI KAR SAKTE HAM.....LEKIN SIDHI YE GAZEL DIL PE ASAR CHHOR RAHI HAI.....THANKS FOR SHARING.....

gam-e-lashkar
   
Reply With Quote
Re: ashqon ki intehaa hoon na barbaad kijiey…
Old
  (#19)
pallavi_here
to feel & to be felt...
pallavi_here has a spectacular aura aboutpallavi_here has a spectacular aura about
 
pallavi_here's Avatar
 
Offline
Posts: 1,311
Join Date: Feb 2005
Location: On minds
Rep Power: 22
Re: ashqon ki intehaa hoon na barbaad kijiey… - 16th November 2005, 07:51 PM

[QUOTE]Originally posted by Parastaar
[B]Adaab Dosto...

naGmo.n kii ibtidaa thii kabhii mere naam se
ashko.n kii i.ntahaa huu.N mujhe yaad kiijiye


Sagar Siddiqui sahib ka yeh sher kahin padha...tau isi zameen pe kuch tameer karne ki jurrat kar daali...mulahaiza farmaayiey...

Tesha utha kar humne kaha imdaad kijiey
Le kar ke Meri ‘Jaan’ mujhe azaad kijiey

Yeh shamme farozaan ki chamak, ye dhanak
Yeh raqs aur yeh jashn tau mere baad kijiey

Aapki duniya kabhi humse hi thee aabaad
Kaise kahein saanson mein hamein abaad kijiey

Dil pe humne aapke likhi thee jo ghazal
Nazzron ke harf-o-kalam pe kabhi irshaad kijiey

Dil ke haathon garq-e-tamanna huye thhe hum
Ujdhe huye tau thhe hi na aur barbaad kijiey

Sabr-o-sukoon haavi aur uspe ghaflat-e-yaar
Yoon muskura ke na koyi sitam naya ijaad kijiey

Phirte rahe taa umr sehra sehra bhatakte hum
Ab aap nahin hamare ke kahein imdaad kijiey

Hamari chahaton ne banaya apko mera khuda
Na yoon apne ‘parastaar’ pe sanam uftaad kijiey

dear paras ji

Tesha utha kar humne kaha imdaad kijiey
Le kar ke Meri ‘Jaan’ mujhe azaad kijiey

ise padh kar hi smile ke saath saath ufffffff nikla muh se.. hehehehee .. aur fir poori ki poori gazal... kya kehne... taareef kare to kis aashaar ki kare... lekin truely speaking the first one took my jaan for a while.. hehehe.. just feeling great.. aur aage bhi aapne bass ek ke baad ek aise likha ki saamne waale se kuchh kaha na jaaye.. yu hi likhte rahiye bass
wd luv to c more
take care


Pallavi...

******
Your attitude towards life decides Life's attitude towards you...
   
Reply With Quote
Old
  (#20)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
18th November 2005, 08:36 PM

Gam-e-lashkar...

aapki itni lambi chaudhi taareef sunkar laga ki aap har sher pe peeth thapthapa rahe hain...shukriya bahut bahut...yoonhi milte rahiye...


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#21)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
18th November 2005, 08:44 PM

dear pallavi...

lol...tumhari jaan lene ke liye tau aise nahin likha...sorry my dear...lekin tum uff kar ke bhi muskuraa uthi tau bus kya kehne...milti rehna...


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#22)
Amanush...
Tanhaa Raahi
Amanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Amanush...'s Avatar
 
Offline
Posts: 3,700
Join Date: Oct 2003
Rep Power: 54
19th November 2005, 03:49 AM

Iss kalaam par hamare bhi daad kaboul kijiyega...Paras Ji !

Apna khayaal rakhiyega



Jeene ke liye mujhe ek sapna dedo
Haqeekat meri jaaN liye jaa rahi hai

  Send a message via Yahoo to Amanush... Send a message via MSN to Amanush...  
Reply With Quote
Old
  (#23)
sandhaya
Registered User
sandhaya will become famous soon enoughsandhaya will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 233
Join Date: Nov 2005
Rep Power: 20
19th November 2005, 10:58 AM

Bahut Khoob Parastaar Ji...... halaki mujhe urdu jayada samaj nahi aati ........lekin aapki nazm ko padhke jo dard maione mehsus kiya hai its amazing ......bahut khoob........aur aapki mehfil main meri taraf se ...........

Teri Talash Main Firta Rehta Hai Ye DIl Mera
Na Aajmaa Mujhe AUr Mere DIl Main Hai Tera Pehra

Bhar Le Baahon Main Mujhko Ek Na Tutt Jaun Main
Samander Main Na Doob Jaun Kahin Paani Hai Gehra

Dekha Hai Jab Se Tujhe Kaoi Jachta Nahi Hai Mujhko
Nighaon Main Rehta Hai Har Wakt Tera Noorani Chehra

Sajaya Hai Dil-E-Nadaan Ne Teri Baaton Ko DIl Main
Tuhi Tuh Hai Jaanemann Khawab ABh Iss DIl Ka Sunehra [B]
   
Reply With Quote
Old
  (#24)
deep_in_ur_hear
Kisiki Talash Main...
deep_in_ur_hear will become famous soon enough
 
deep_in_ur_hear's Avatar
 
Offline
Posts: 239
Join Date: Oct 2005
Location: maut jab sar dhund rahi thi main na tha
Rep Power: 19
19th November 2005, 11:41 AM

paras ji,
aapki poori ghazal bahut hi dard bhari aur lajawaab hain.(waise toh aapki kalam se mitti bhi nikle toh sona ho jaaye..aapka naam hi hi paras hain)...truly great ....
bye...
deep



marane kii duaaye.n kyuu.N maa.Nguu.N jiine kii tamaannaa kaun kare
ye duniyaa ho yaa vo duniyaa ab Khvaahish-e-duniyaa kaun kare


jo aag lagaaii thii tum ne us ko to bujhaayaa ashko.n ne
jo ashko.n ke bha.Dakaaii hai us aag ko Tha.nDaa kaun kare


jab kashtii saabit-o-saalib thii, saahil kii tamannaa kisako thii
ab aisii shikastaa kashtii me.n saahil kii tamannaa kaun kare


duniyaa ne hame.n chho.Daa ai dil, ham chho.D na de kyo.n duniyaa ko
duniyaa ko samajh kar baiThe hai.n ab duniyaa duniyaa kaun kare



-Moen Ahsan Jazbi
  Send a message via Yahoo to deep_in_ur_hear  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Dard ki intehaa Tera Aashiq Shayri-e-Dard 0 19th October 2007 10:08 PM
main unse keh raha hoon mujhe yaad kijiey.....(GAZAL) rajveeer Shayri-e-Dard 29 18th September 2007 10:04 AM
~*~Be-intehaa mohabbat~*~ ISHIQA AGGARWAL Shayri-e-Dard 4 26th November 2006 10:20 PM
sabra ki intehaa............! suyogparakh Shayri-e-Ishq 2 6th April 2005 12:00 PM
Wafa ki Intehaa 4everfrnd Shayri-e-Ishq 0 23rd November 2004 08:57 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com