Zamaana -
18th May 2019, 09:23 AM
woh zamana bhi kya zamana tha,
jab dil mera khudke liye begana tha,
uski ek nazar paane ko bekarar tha pura din,
sirf usska haan uska hi main deewana tha,
barbad maan betha tha khudko pyaar main,
bujhta "Deep" aur jalne ko tayyar ek parwana tha,
aaj bhi muskura leta hu usey yaad karke,
jo kabhi mera tha hi nahi,
kintne naadan the jo uss daur ko dushman samajh bethe..
wahi to mera waqt tha, haan wahi to mera zamana tha.
"Deep"
|