Quote:
Originally Posted by ruchika
Dhoond ke laa do use… wo jo mera aks tha…
Aaj jaane kaha kho gaya …wo jo mere naam ka ek shaks tha…
Bahut dhunda use…. Ghar aangan yaha tak ki bazaro main….
Nahi mila, lagta hai.. kho gaya kahin.. waqt ke aandehiyaaron main…
Wo befikr si hansi… wo masumiyat.. wo bholapan…
Chup ke reh gaya kahi… chehron ke nakaabo main…
Maa ka aanchal… Babul ka aangan….
Kahin uljaah ke reh gaya… Zindagi ke sawaloon main….
Wo dosti ki kasme… sath nibhane ki rasmein…
Kurban hue sab… sapno ko sajane main…
Wo mausam ki bahar… wo apno ka pyar…
Ab dum todtta … ghar ki char diwaron main….
Aaj Mujh main… Main nahi… Koi aur hai ye jo reh raha….
Aur kisi ke kya kahe… khud aaina mujhse keh raha….
Wo jo mera wajood tha.. ab sirf humsaya-humsaya hi reh gaya…
Khud main khud ko dhundta… mrug-trishna sa ho gaya......
Aankho se beparwah behta hua… wo ek asq tha….
Samay ki ret per likha hua… wo mera naqsh tha….
Dhoond ke la do use… wo jo mera aks tha…
Aaj jaane kaha kho gaya … wo jo mere naam ka ek saks tha…
|
Aaj pahli baar aapko padne ka mauka mila ruchika ji...
Bahut achche lagi aapki nazm...bahut achchi tarah bayaan huye hain zazbaat.....dheron daad dil se..