Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Personal Messages > Introduction Forum

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 3 votes, 5.00 average. Display Modes
Zarraa sahab ke saath guftagu...
Old
  (#1)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
Thumbs up Zarraa sahab ke saath guftagu... - 1st September 2014, 10:46 AM

DostoN... Chaliye guftagu ka daur aagay badhate haiN....aap sab ko yeH jaan kar behad khushi hogi, ke is mahine hum interview karenge, Sdc parivar ki ek bahut hi khaas shaqsiyat se,jo is site ke ek bahut acche shayer haiN, ...

Zarraa sahab ..

Shayri.com ke ek bohat hi purane member haiN. Shayri.com se jude huye inhe 4 saal huye haiN, aur is arse meiN, yeh sab ke diloN per cha gaye, apni khoobsurat shayri, dosti, pyar, khuluus, apnapan aur bhi bahut si khubiyaN haiN inme jinki wajah se inhone sab ke diloN meiN apni jagah banali hai .

Inki khoobsurat shayri ki jitni bhi tareef karuN kam hai, inki likhi har ghazal ek se badhkar ek hai, jinki lafzon me tareef karna na mumkin hai,inki likhi har ghazal, aur ghazal ke tamaam ashaar seedhe dil me utar jaate haiN,

Bohat hi gehri soch aur khoobsurat khayaloN ke malik haiN ..jiski jhalak inki shayri me nazar aati hai...

Waise to hum inke baare me zyada nahi jaante, chaliye inke baare me inhi ki zubaani sunenge..

Interview ke katghare me aapka swagat hai zarraa sahab

SawaloN ka daur shuru karte haiN:

1..Sabse pehle to aap apne baare me kuch bataiye, apna naam,aapki family, friends, education,interests,etc

2.Shayri ka shauq aapko kabse hai...??

3..Shayri parivaar me aapke sabse pasandida shayer kaun haiN..???

4..Aap ke khayal se accha shayer banne ke liye kya zaruri hai..??

5..In char saloN me shayri.com per aapne kya kya tabdeeliyaN mehsoos ki.

Aap se guzarish hai ke apne likhe kuch khaas ghazaloN/NazmoN ki links yahaaN post kijiye, ..

chaliye filhaal itna hi....

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm

Last edited by zainy; 2nd September 2014 at 07:34 AM..
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#2)
Hassan
Some Mirrors Lie...
Hassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Hassan's Avatar
 
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 44
1st September 2014, 10:55 AM

Zarraa saheb,

Adaab-o-tasleemaat,

Be-had khushi ho rahi hai iss maaH aap ke saath guftagu ka silsila dekh kar,
kyuN ke aap ke saath aik khaas rishta aur understanding rahi hai!

Bohat accha lagay ga, jo aap ke mutaliQ jaan'ne ko milay ga..

Jald haazir hooN ga sawaalat ke saath,

Apna khiyaal rakhiye ga,

DuaooN ke saath,

*hSn* : parStaar

tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN...
("Asad")

Last edited by Hassan; 1st September 2014 at 11:03 AM..
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
1st September 2014, 11:25 AM

wowwww!!!
Zarraasaab,
aapka swaagat hai...

Regards,
Adil

ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता

http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
aru
Main shayar to nahin.....
aru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.com
 
aru's Avatar
 
Offline
Posts: 2,795
Join Date: Oct 2002
Location: kanpur
Rep Power: 50
1st September 2014, 12:14 PM

zarra sahab bahut bahut abhinandan hai aapka is katghare me, bahut intezaar tha aapka..aapko jaanne ka...ab ye armaan bhi pura ho jayega...,ab aap jaldi se jawab dena shuru kar dijiye..fir hum bh aate hain..sawaal lekar..

एक हाथ में दिल उनके एक हाथ में खंजर था
चेहरे पे दोस्त का मुखौटा अजीब सा मंजर था

Arvind Saxena
Ph. No. 7905856220
  Send a message via AIM to aru  
Reply With Quote
Warm welcome
Old
  (#5)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
Love Warm welcome - 1st September 2014, 12:29 PM

Zarra ji namaskaar

aap es guftagu meiN dil se suwagat hai...ham aapke bare meiN shayri ke elawa kuch nahi jaante, ab mokka milla hai to umeed hai ab aapke bare meiN bahut jaan.ne ko milega.

maiN kal raat ko Aadeil ji ka jab interview pad rhi thi to yehi soch rhi thi next Zarra ji ka interview ho jaye to behtar hai
warm welcome

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Last edited by sunita thakur; 1st September 2014 at 12:31 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
1st September 2014, 01:34 PM

Khushaamdeed janaab....... aapka tahe dil se istaqbaal karte hain Shayari ke gufatagoo section me.... ummeed karta hoon aapka ye safar yaadgaar ho, aur aap jee bhar ke enjoy kareN...

aapke baare me bahot kuch jaanne ko milega hame , SDC ki ek aham kadee judne jaa rahii hai aapke guftagoo se....... so best of luck..

Shaad....

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
2nd September 2014, 01:55 AM

doston .... aap sab ko mera pyaar bhara salaam !

AAP KA MUJRIM HAAZIR HAI !

shukriya Zainy ji ... is katghare mein aane ki daawat dene ka ... mujhe behad khushi mehsoos ho rahi hai yahaan par aa kar

ab ye hairat ka sabab ho sakta hai ki mulzim ko katghare mein aa kar khushi kyooN ho mehsoos rahi hai .... to shayad Ghalib ka sher is par roshni daal sake ...

dil-o-mizhgaaN ka jo muqaddama tha
aaj phir us ki rubakaaree hai
-ghalib

to jo bhi "mizhgaan" se dekha hai aur "dil" ne mehsoos kiya hai, un observations aur feelings ko aap ke saath share karne ke liye aap se "rubaru" hona waaqayee khushi ka sabab hai mere liye.

bazm-e-SDC mein takreeban 4 saal se shirkat karte hue ahl-e-bazm se jo dosti, jo mohabbat, jo izzat, jo hausla afzaayee aur jo beshkeemtee seekhein mileen hain, us ke liye main har ek member ka tah-e-dil se ehsaanmamd hoon. ye site mere liye sher-o-sukhan ki ibaadatgaah jaisi hai aur yahaan ke members meri second family jaise ban gaye hain

aur main bahaut bahaut shukrguzaar hoon un sab doston ka ... zainy ji, hassan bhai, aadeil sahab, aru ji, sunita ji, shaad bhai, nazneen ji .... jinhone is interview ke pehle hi din itni mohabbat, khuloos aur sargarmee se mera isteqbaal kiya hai.

ji, sawaal jawaab ke silsile ka aaghaaz main jaldi hi kar doonga. zainy ji ke sawaal main ne dekh liye hain aur bataur "mulzim" apne "bachaav ki daleelein" taiyaar karni shuru kar deen hain par ye bhi keh doon, ki is mohabbat ke muqaddame ko haar kar mujhe be-intehaayee khushi milegi. aap sab ki dosti ke zindaan ki qaid se badh kar aur sukoon hoga !! aap ki mohsbbaton ki zanjeeron mein jakde jaane se badh kar kaun si masarratein hongeen.

is beech jo aur bhi sawaal aayenge to unhein bhi factor-in kar ke, jald hi aap ki khidmat mein haazir hounga.

tab tak ke liye ijaazat ....

apna khayaal rakhiyega ....

dheron duaon ke saath

zarraa

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha

Last edited by zarraa; 2nd September 2014 at 02:12 AM..
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
2nd September 2014, 08:01 PM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post

SawaloN ka daur shuru karte haiN:

1..Sabse pehle to aap apne baare me kuch bataiye, apna naam,aapki family, friends, education,interests,etc

Zainy ji, pehle to yeh kahoonga ki mere dil mein aap ke liye behad izzat aur admiration hai. jab se main SDC mein aaya hoon, main lagaataar dekh raha hoon ki aap kis apnepan aur tehzeeb se sabhi members ko SDC parivaar se jodne mein lagi rehteen hain. SDC ko el parivaar ki tarah banaaye rakhne mein aap ki bhi ek aham bhoomika rahi hai. jab kuchh waqt ke liye mera SDC mein shirkat karne ka silsila ruk sa gaya tha, to aap ne mujhe FB par dhoondh nikaala aur aap ki aawaaz par main yahaan waapas aaya aur waapas aa kar mujhe behad lutf aur sukoon haasil hua. agar aap aisa naheen karteen to main us khushi se mehroom rehta jo mujhe yahaan waapas aane se milee. aap ke aur shad bhai ke inspiration, ideation aur support se main ne fusoon-e-alfaaz ka silsila shuru kiya jis se mera SDC se rishta aur bhi gehra hua.

ab aap ke sawaalon par ek ek kar ke aata hoon ... aur kishton mein jawaab deta hoon J hope you won’t mind the fragmented answers.

naam : sher-o-sukhan ki online duiya mein to Zarraa ke naam se badnaam hoon aur baahar ki offline duniya mein Sushrut Pant ke naam se J

family : meri immediate family jo mere saath Mumbai mein rehti hai, ek chhoti si 3 members ki family hai. is mein mere alaawa meri patni aur ek 6 saal ki beti hai aur ek 6 saal ki beti hai. mere parents, sister aur grandmother Allahabad mein rehte hain.

education & profession: meri zyaadadtar school education Delhi mein huwee, college Mumbai mein aur us ke baad MBA Ahmedabad se kiya. phir private service mein lag gaya, marketing ki field mein. pichchhle 16 saalon se alag alag private companies mein service kar raha hoon jis ki wajah se alag alag shahron mein raha hoon par zyaadaadtar waqt Mumbai mein hi rah hoon jahaan pichhle kayee saalon se hoon.

friends : dost kam hain par dosti gehree hai. kucchh gine chune dost hain college, B-school aur pichhlee companies ke jin se beech beech mein baat ho jaatee hai aur kabhi kabhaar mulaakaat. par jin doston se sab se zyaada aur sab se regularly guftagoo hoti hai, wo hain SDC ke dost, jo mujhe bahaut azeez hain JJ

interests : one word answer – SHAYARI J

shayari ke alaawa mujhe theatre ka bhi shauq raha tha aur achchhe critically acclaimed directors ki films ko study karne ka bhi, par in shauq ko main na waqt de paaya, na inhein cultivate kar paaya, na hi hunar nikhaarneke liye appropriate neywork bana paaya ... to ye interests beech mein hi kaheen chhoot gaye. to ab sirf aur sirf SHAYARI hi ek aisi cheez hai jo main apne liye karta hoon J

chaliye, ab jaldi hi haazir hoounga baaki sawaalon ke jawaab le kar J

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
Hamdam
Member
Hamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud of
 
Hamdam's Avatar
 
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 26
2nd September 2014, 09:47 PM

Zarra bhai ...Namaskar .

Idhar peeche mur ke dekho , ek adna sa fan aapka ek sher gunguna raha hai ,

Khaar daman ke na gin bus tu.itna yakeen rakh ,
Phool gulshan mein aur hai mehkane ke liye.

Is sher ne mujhe aap ki taraf kheecha tha aur tab se main
aapki difficult urdu words ki shayri enjoy karta hun ..

Aap se dher si baatein kareinge , bus ye jaan kar acha laga ki
aap shayri ke elawa kuch aur bhi karte hain

jald aata hun sawal le kar ..Tab tak take care

Sanjay Sehgal

khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.

Last edited by zainy; 3rd September 2014 at 08:30 AM..
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
3rd September 2014, 01:01 AM

Quote:
Originally Posted by zarraa View Post
Zainy ji, pehle to yeh kahoonga ki mere dil mein aap ke liye behad izzat aur admiration hai. jab se main SDC mein aaya hoon, main lagaataar dekh raha hoon ki aap kis apnepan aur tehzeeb se sabhi members ko SDC parivaar se jodne mein lagi rehteen hain. SDC ko el parivaar ki tarah banaaye rakhne mein aap ki bhi ek aham bhoomika rahi hai. jab kuchh waqt ke liye mera SDC mein shirkat karne ka silsila ruk sa gaya tha, to aap ne mujhe FB par dhoondh nikaala aur aap ki aawaaz par main yahaan waapas aaya aur waapas aa kar mujhe behad lutf aur sukoon haasil hua. agar aap aisa naheen karteen to main us khushi se mehroom rehta jo mujhe yahaan waapas aane se milee. aap ke aur shad bhai ke inspiration, ideation aur support se main ne fusoon-e-alfaaz ka silsila shuru kiya jis se mera SDC se rishta aur bhi gehra hua.

ab aap ke sawaalon par ek ek kar ke aata hoon ... aur kishton mein jawaab deta hoon J hope you won’t mind the fragmented answers.

naam : sher-o-sukhan ki online duiya mein to Zarraa ke naam se badnaam hoon aur baahar ki offline duniya mein Sushrut Pant ke naam se J

family : meri immediate family jo mere saath Mumbai mein rehti hai, ek chhoti si 3 members ki family hai. is mein mere alaawa meri patni aur ek 6 saal ki beti hai aur ek 6 saal ki beti hai. mere parents, sister aur grandmother Allahabad mein rehte hain.

education & profession: meri zyaadadtar school education Delhi mein huwee, college Mumbai mein aur us ke baad MBA Ahmedabad se kiya. phir private service mein lag gaya, marketing ki field mein. pichchhle 16 saalon se alag alag private companies mein service kar raha hoon jis ki wajah se alag alag shahron mein raha hoon par zyaadaadtar waqt Mumbai mein hi rah hoon jahaan pichhle kayee saalon se hoon.

friends : dost kam hain par dosti gehree hai. kucchh gine chune dost hain college, B-school aur pichhlee companies ke jin se beech beech mein baat ho jaatee hai aur kabhi kabhaar mulaakaat. par jin doston se sab se zyaada aur sab se regularly guftagoo hoti hai, wo hain SDC ke dost, jo mujhe bahaut azeez hain JJ

interests : one word answer – SHAYARI J

shayari ke alaawa mujhe theatre ka bhi shauq raha tha aur achchhe critically acclaimed directors ki films ko study karne ka bhi, par in shauq ko main na waqt de paaya, na inhein cultivate kar paaya, na hi hunar nikhaarneke liye appropriate neywork bana paaya ... to ye interests beech mein hi kaheen chhoot gaye. to ab sirf aur sirf SHAYARI hi ek aisi cheez hai jo main apne liye karta hoon J

chaliye, ab jaldi hi haazir hoounga baaki sawaalon ke jawaab le kar J

Sab se pehle tou itni dher sari taareefoN ke liye shukriyah....

Bohat accha laga aapke baare me jaanker zaaraa sahab...

Aur detailed reply ke liye alag se shukriyah...

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#11)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
3rd September 2014, 02:14 AM

Zainy sahiba sab se pehle to aapka shukurguzaar hona chahta hooN Jo aap is ba-kamaal shaa'iir or ek behadd suljhi hui shakhsiyat ke maaliq hamaare Zarra miyaaN ko yahaaN le kar aayiiN haiN

maiN inke sukhan ka ek arsey se mureed hooN aur yeh baat yeh saahab ba-khoobi jaante haiN

buzurgoN ne kahaa hai ke aapki zabaan aur alfaaz aapki rooh ka aaiinaa hote haiN is bazm meiN kuch aise members haiN jinke vichaar/bhaasha, character aur judgement aisa hai ke unki sohbat paa kar, unse mukhaatib hote hoye ek apnapan aur apni khush'qismatee ka ehsaas hota hai, Zarraa saahab unhiiN do-chaar logoN meiN se ek haiN

to Zarra miyaaN khush-am-ded

waqt ne mauqa diya to meri jaanib se bhi kuch sawaal aayeNgey

rab raakha
Maikash

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#12)
Ahmad Hyderabadi
Registered Member
Ahmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant future
 
Offline
Posts: 933
Join Date: Oct 2011
Location: Hyderabad (Deccan)
Rep Power: 31
Thumbs up 3rd September 2014, 03:26 AM

Aadaab o Tasleemaat Mohtaram Janaab Zarraa Sahab!!

KhushAaamDeed Janaab! Bayhad khushee aur khushnaseebee ka mawqa haye yay SDC family kay liyay, aapka is ghar mayn shaamil hona aur aapka guftgoo/interview kay liyay raazi hona. Aapka yogdaan is site ki behtaree mayn bayhad aham raha haye aur MashaAllah aapki mehnat aur hamaray ikhwaan ki lagan say aaj meyaar e shayree sdc ka kaafi oonchee parwaan layta nazar aa raha haye. Ayk baar phir say aapka tahay dil say shukriya adaa karna chahoonga. Aapki shumuliyat is parivaar kay liyay baais e masarrat haye.

InshaAllah anqareeb apnay sualaon ki fahrist lay khaaksaar bhi haazir hoga.

Duago
Ahmad

Duagoh

Ahmad
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
3rd September 2014, 01:18 PM

Janaab Sanjay sahab, Maikash sahab aur Ahmad sahab .... is izzat afzaayee aur mohabbat ka tah e dil se mashqoor hoon. Ji aap se guftagoo karna behad khushi aur izzat ka sabab hoga mere liye.

Duaon ke saath
Zarraa

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
3rd September 2014, 02:39 PM

[QUOTE=zainy;467036]

2.Shayri ka shauq aapko kabse hai...??
[/QUOTE

Mujhe chhoti umr se hi, takreeban 7-8 saal se, kavita ka shauq tha. to maaaoom bachpane mein kuchh bhi ajeeb-o-gareeb likhta aur khud ko duniya ka sab se bada sukhanwar samajhta Phir school ke daur mein mujhe kaafee protsaahan mila apni teachers se aur main English aur Hindi mein kavitaayein likhne laga. School ka koyee bhi function hota to main us mauke ke liye khaas taur se ek kavita likh deta aur school assembly mein suna deta. kayee inter school competitions mein part lekar prizes bhi mile jin se bhi hausla afzaayee huwee. School magazines mein contribute karta raha. meri 1-2 kavitaaon ko hamaari music ma'am ne tune di aur school ke choir ne use gaaya bhi par ye sab Hindi ya English mein, kyunki Hindi ghar ki bhaasha thi aur English school ki.

phir waqt aaya college ka. ab ek to wo daur hi aisa that ki dil shaayaraanaa sa hone lagta hai par urdu shaayari se meri kareeb se shanaasaayee huwee music ke zariye. college ke kuchh dost ghazal sunne ka shauq rakhte the, as a music form, aur un ke saath main ne ghulam ali sahab, jagjit singh sahab, mehdi hassan sahab nusrat sahab ke gaaye huwe qalaam sunne laga. mere dost mujh se aksar qalaam ke maayne poochhte the ... haalaanki mujhe urdu naheen aatee thi, pur un ko to bilkul bhi naheen aatee thi. mujhe un se zyaada aatee thi to mujhe zimmedaaree di gayee qalaam ka tarjuma karne ki aur un ko samjhaane ki. to doston ko samjhaane ke liye pehle khud samajhne parhe aashaar ke alfaaz, ehsaas aur maani bahaut struggle kiya. koyee rehnumaayee karne waala naheen tha. urdu script naheen aatee thi ki kisi kitaab se dekhoon (script abhi bhi naheen aatee). internet bhi tab tak aam naheen hua tha. par jaise jaise shaayari ki tootee phootee samajh qaayam karta gaya, jaise jaise us ke andar ghusta gaya, sher-o-sukhan ka jaadoo mere oopar chhaataa raha. main pooree tarah se fusoon-e-shayari ki giraft mein aa gaya. mashhoor shora ke qalaam pardhne laga aur shayari likhna shuru kar diya. doosre kisi bhi tarah ke poetry form se rishta toot gaya aur main bas shayari ka hi ho kar reh gaya. ab us baat ko bahaut saal beet chuke hain, par koshish abhi bhi jaaree hai jaise taise girte parhte galtiyaan karte shayari ki raah par ye aabla-pa zarraa langrhaate langrhaate chalta chala ja raha hai
[/COLOR]

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha

Last edited by zarraa; 3rd September 2014 at 02:45 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
3rd September 2014, 03:16 PM

2.Shayri ka shauq aapko kabse hai...??
[/QUOTE

Mujhe chhoti umr se hi, takreeban 7-8 saal se, kavita ka shauq tha. to maaaoom bachpane mein kuchh bhi ajeeb-o-gareeb likhta aur khud ko duniya ka sab se bada sukhanwar samajhta Phir school ke daur mein mujhe kaafee protsaahan mila apni teachers se aur main English aur Hindi mein kavitaayein likhne laga. School ka koyee bhi function hota to main us mauke ke liye khaas taur se ek kavita likh deta aur school assembly mein suna deta. kayee inter school competitions mein part lekar prizes bhi mile jin se bhi hausla afzaayee huwee. School magazines mein contribute karta raha. meri 1-2 kavitaaon ko hamaari music ma'am ne tune di aur school ke choir ne use gaaya bhi par ye sab Hindi ya English mein, kyunki Hindi ghar ki bhaasha thi aur English school ki.

phir waqt aaya college ka. ab ek to wo daur hi aisa that ki dil shaayaraanaa sa hone lagta hai par urdu shaayari se meri kareeb se shanaasaayee huwee music ke zariye. college ke kuchh dost ghazal sunne ka shauq rakhte the, as a music form, aur un ke saath main ne ghulam ali sahab, jagjit singh sahab, mehdi hassan sahab nusrat sahab ke gaaye huwe qalaam sunne laga. mere dost mujh se aksar qalaam ke maayne poochhte the ... haalaanki mujhe urdu naheen aatee thi, pur un ko to bilkul bhi naheen aatee thi. mujhe un se zyaada aatee thi to mujhe zimmedaaree di gayee qalaam ka tarjuma karne ki aur un ko samjhaane ki. to doston ko samjhaane ke liye pehle khud samajhne parhe aashaar ke alfaaz, ehsaas aur maani bahaut struggle kiya. koyee rehnumaayee karne waala naheen tha. urdu script naheen aatee thi ki kisi kitaab se dekhoon (script abhi bhi naheen aatee). internet bhi tab tak aam naheen hua tha. par jaise jaise shaayari ki tootee phootee samajh qaayam karta gaya, jaise jaise us ke andar ghusta gaya, sher-o-sukhan ka jaadoo mere oopar chhaataa raha. main pooree tarah se fusoon-e-shayari ki giraft mein aa gaya. mashhoor shora ke qalaam pardhne laga aur shayari likhna shuru kar diya. doosre kisi bhi tarah ke poetry form se rishta toot gaya aur main bas shayari ka hi ho kar reh gaya. ab us baat ko bahaut saal beet chuke hain, par koshish abhi bhi jaaree hai jaise taise girte parhte galtiyaan karte shayari ki raah par ye aabla-pa zarraa langrhaate langrhaate chalta chala ja raha hai [/B][/COLOR][/QUOTE]

Zarra ji aapke bare meiN jaan kar bahut accha lga aur yeh highlighted line padkar, bahut hasi aaye

Zarra ji, aap us shayrana daur ki koi poetry share kareN, hame accha lgega padkar

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#16)
Ahmad Hyderabadi
Registered Member
Ahmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant future
 
Offline
Posts: 933
Join Date: Oct 2011
Location: Hyderabad (Deccan)
Rep Power: 31
4th September 2014, 09:40 PM

Aadaab Janaab Zarraa Bhaee!!

Ommeed haye aap khayr wa aafiyat say hongay.... bas aapko is baat ki khabar dayna chhatay hayn ki ham aapkay jawaabaat kay muntazir hayn qabl iskay ki hum apnay suaalon ki fehrist aapki nazr karayn. Aap is mahinay apnay kandhaon say paathshaala ka boajh kuch halka rakhayn taaki ham aapkay hunar kay saath saath aapsay bhi ru-ba-ru ho sakayn! Buhat buhat shukriyaa aapkay dilchasp aur detailed replies ka.. bayhad khushee ho rahee haye aapkay baaray mayn jaan-ker!

Duago
Ahmad

Duagoh

Ahmad
   
Reply With Quote
Old
  (#17)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
4th September 2014, 09:45 PM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post

3..Shayri parivaar me aapke sabse pasandida shayer kaun haiN..???

hamaari SDC ki bagiya mein itne alag alag tarah ke phool khilte hain, ki har ka rang alag, har ki khushboo juda, to pasandeeda shoraa ki fehrist banana na sirf mushkil hi hai, par behad subjective aur assumptive bhi. it boils down to personal opinion and perception, and to some extent, memory.

phir bhi, meri limited samajh mein, kisi bhi shayar ka aap ka pasandeeda ban jaane ke liye, mere hisaab se, ye circumstances / parameters hote hain (this is not a technical opinion, only what I have been able to think of ) :

· zaahir hai, us shayar ki shayari aap ko behad pasand aaye, aap ke dil ko chhuwe, aap use admire karein, aap us se kuchh seekhein

· us shaayar ke shaayari ka tareeka ya genre aap ko personally sab se zyaada appeal karta ho. for example agar aap ko urdu shaayari mein dilchaspi hai to jo shaayar urdu mein sher kehta ho wo aap ko personally zyaada pasand aayega banispat ek equally behtareen poet ke jo hindi ya angrezi mein likhta ho. ya agar aap ko ghazal se zyaada lagaav hai nazm ke muqaable, to aap achchhee ghazal kehne waale shaayar ko zyaada pasand karoge bajaaye achchhee nazm kehne waale shaayar ko.

· aap ne us shaayar ka kaafee qalaam pardha ho jis se aap ke man mein us shaayar ka ek pattern sa ban gaya ho, kyunki yahaan baat pasandeeda qalaam ki naheen balki pasandeeda shaayar ki ho rahi hai, aur wo tabhi ho sakta hai jab aap us shaayar ka ek substantial body of work dekh chuke hon

· aap ne us shaayar ka qalaam over a period of time dekha ho, aap un ki shaayari se ek waqt se jurhe hon, taaki un ki shaayari ko aap ke dil-o-dimaag mein aahista aahista samaane ka mauka mila ho, their shayari would have had a chance to gradually grow in your mind.

to in circumstances / parameters par SDC ke jo mere pasandeeda shaayar hain :

· sdc ke bahaut hi respected shaayar, janaab Masood Hassas sahab, jin ke qalaam mujhe na sirf beintehaayee lutf dete the, par un se bahaut kuchh seekhne ko bhi mila tha. muhe wo ek complete shaayar lage. pichhle el lambe arsey se se un ke qalaam ke deedaar naheen huwe hain, par wo mere ek behad pasandeeda shayar rahe hain. Yahi dua hai ki un ke qalaam ka lutf aur un se seekhne ka mauka SDC parivaar ko jald se jald mil sake.

· the one and only, janaab Zidd sahab. wo aur un ke qalaam are one of a kind, behad hi dilchasp aur bilkul alag. ummeed hai jaldi hi un ke aur un ke qalaam ke darshan paayenge

· mere azeez dost Shaad bhai jin ka shuru se le kar ab taak lagaataar saath bana raha hai aur jin ke qalaam ka lutf main baraabar beshumaar uthaata raha hoon. un ke qalaam dil mein ek jaadoo sa kar jaate hain. bas dil jhoom uthta hai un par.

· apne pyaare Taish bhai. wo bina bataaye aate hain aur bina bataaye jaate hain, par apne niraale qalaam se dil ko jeet le jaate hain

· janaab Ahmad Shakil sahab. in ke qalaam se na sirf zauq-e-shaayari hi haasil hua mujhe, par seekhne ko bhi kaafee mila. un ke qalaam mujhe behad hi pukhtah, nape-tule, suljhe huwe aur technically bahaut hi strong lagte hain.

haan, magar khushi ki ek baat ye bhi hai, ki is fehrist mein future mein kayee aur naam bardhne ke poore aasaar par nazar aa rahe hain SDC par. kuchh puraane shoraa hain jin ka qalaam meri nazron mein pehle naheen aaya tha par ab aane laga hai ya kuchh ubharte huwe shaayar jin ka safar-e-sukhan abhi shuru hi huwa hai par wo dilchasp qalaam dilchasp le kar aa rahe hain. aise kayee shaayar aur hain jo ki aage chal kar mere pasandeeda shaayar banenge, aisa mujhe aabhaas ho raha hai . kabhi agar Zainy ji ne future mein mujhe interview par phir se bulaane ki bhool ki, to ek aur bhi lambee fehrist zaroor nazar aayegee J

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#18)
Hamdam
Member
Hamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud of
 
Hamdam's Avatar
 
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 26
4th September 2014, 09:50 PM

Zarra Sahib , Namaskar

Kehte hain ek kamyaab insaan ke peeche ek aurat ka haath hota hai..Kya ek Kamyab
Shayar pe bhi ye baat laagu hoti hai ...Haan ya naa , zara detail me illustrate karke
batayein ..

Ek acha shayar ghazal ya nazm khud ke liye likhta hai ya zamane ke liye.

Ek acha shayar khudmukhtyar hoa hai , ya khuddar hota hai ya phir itna honhaar hota
hai ki uske her sher ko per ke bus waah hi nikalti hai ..

Sanjay Sehgal

khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.
   
Reply With Quote
Old
  (#19)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
4th September 2014, 10:03 PM

Quote:
Originally Posted by Ahmad Hyderabadi View Post
Aadaab Janaab Zarraa Bhaee!!

Ommeed haye aap khayr wa aafiyat say hongay.... bas aapko is baat ki khabar dayna chhatay hayn ki ham aapkay jawaabaat kay muntazir hayn qabl iskay ki hum apnay suaalon ki fehrist aapki nazr karayn. Aap is mahinay apnay kandhaon say paathshaala ka boajh kuch halka rakhayn taaki ham aapkay hunar kay saath saath aapsay bhi ru-ba-ru ho sakayn! Buhat buhat shukriyaa aapkay dilchasp aur detailed replies ka.. bayhad khushee ho rahee haye aapkay baaray mayn jaan-ker!

Duago
Ahmad
ji ji behtar hai Ahmad sahab. in fact, paathshaalaa ke mere azeez "classmates" ne khud hi, mere bina poochhe aur mere bina maange, mere kaandhon se saara bojh utha kar apne kaandhon par le liye. wo main hi aawaaragardi karte huwe wahaan pahunch gaya (withdrawal symptoms ) par aap itmenaan rakhiye, main is maheene interview ko hi first priority doonga over any other activity, not just on SDC, but in all the internet based shayari space.

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#20)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
4th September 2014, 11:54 PM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post

4..Aap ke khayal se accha shayer banne ke liye kya zaruri hai..??

Zainy ji, sawaal to bahaut achchha bhi hai, dilchasp bhi aur aham bhi ... magar saath saath mushkil bhi, pecheeda bhi, aur I suspect is ka ek multidimensional answer hoga. Koyee "readymade" thoughts bhi naheen hain mere paas is sawaal ke mutalliq. But I definitely want to take a crack at this question.

Agar aap ki ijaazat ho to, main is par kuchh din soch vichaar kar, is par waapas aaoonga. Is beech ho sakta hai kuchh aur sawaal-jawaab ya guftagoo ho jis se mujhe is ke liye kuchh additional thoughts mil jaayein.

Par main aap ke uthaaye sawaal par interview khatm hone se pehle zaroor kuchh na kuchh arz karoonga.

Hope you don't mind and I have your approval. Please do let me know otherwise.

Many thanks
Zarraa

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#21)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
5th September 2014, 12:01 AM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post

5..In char saloN me shayri.com per aapne kya kya tabdeeliyaN mehsoos ki.

pehle to ye kahoonga ki SDC ka meri sheri zindagi mein itna barha aur aham yogdaan raha hai jis ko, na hi naapa ja sakta hai aur na hi tola ... jis ka na andaazaa lagaaya ja sakta hai aur na hi alfaaz mein bayaan kiya ja sakta hai.

SDC ne sahi maaynon mein meri aankhein khol deen theen. shaayari mein "behr" naam ki bhi koyee shai hoti hai, ye mujhe SDC mein hi jaanne ko mila.
shaayari ke aur bhi kayee saleeke SDC mein aane ke baad hi mehsoos huwe. saath mein jo hausla afzaayee, pyaar aur inspiration members se mila wo to hai hi. SDC mein aane ke baad hi mujhe ye ehsaas hua ki "asal mein main ab tak main sahi tarah sw shaayari hi naheen kar raha tha itne saal". SDC mein mera as a shaayar ek naya janm hua. SDC completely re-invented me as a Shaayar and a Shaayari lover. is ke liye mere dil mein SDC aur us ke members ke liye ek bahaut hi khaas jagah hai.

SDC ka safar, jo aur jitna main de dekha hai, use agar ek jumle mein describe karoon, to wo hoga, NASHEB-O-FARAAZ

SDC ke safar ko jaisa main ne dekha hai, waisa bayaan kar raha hoon. SDC ke aise kayee pehloo hain aur aisee kayee baatein hain jin ki jaankaaree mujhe naheen hai, so please see the below narrative as my individual experiences only and not as an exhaustive or authentic chronicle of SDC.

mota-moti, main 3 phases mein baantoonga SDC ka jo safar dekha hai wo ...

1.
sab se pehle jab main SDC par aaya to yahaan ek sher-o-sukhan ka mela sa laga paaya. yahaan har tarah ka fan rakhne waale, har style, har genre aur har stage ke shora saath saath shirkat karte the .... kayee senior shaayar, kayee mid-stage shaayar, kayee naye seekhne waale .... kayee classical styled aur kayee modern styles, kayee urdudaan aur kayee hindi-urdu mixed waale. par sab saath mil lar ek doosre ke qadrdaan the, sab ek doosre se seekhte-sikhaate, sawaal-jawaab karte,hausla afzaayee karte, lutf uthaate, guft-o-shaneed karte .. idhar kisi ka bhi ek qalaam post hua naheen ki comments ka ambaar sa lag jaata tha. saath hi bahaut alag alag tarah ki shaayari aatee rehti ... shayari-e-dard / ishq / sharaab ... sab sections roz nayee posts se khachaakhach bhare rehte.

agar is daur ko Majaaz ke sher ke zariye describe karoon to ..

noor hi noor hai kis simt uthaaooN aaNkheiN
husn hi husn hai ta-hadd-e-nazar aaj ki raat
- Majaaz

ek aur pehloo ye bhi tha ki senior shaayar naye seekhne waalon ki ya wo jo abhi mid-learning stage mein hain (mere jaise) un ki bahaut hi skillful, knowledgeable aur matured tareeke se rehnumaayee karte the, posts par bhi aur PM par bhi. jaise main ne kaha, mujhe khud us rehnumaayee ka bahaut faayda mila tha. us daur mein debates aur takraar bhi hote the, but most of them were based on shayari principle issues, and they were either resolved or members just moved along after some debate. kabhi kabhi kuchh mudde personal bhi ho jaate the, aisa naheen ki har cheez ideal thi us waqt. but nets net,*I will call this phase the Golden phase of SDC that I have seen.

2.
doosree phase jo main ne dekhee wo ye thi ki SDC ki volume of activity amd variety of activity bahaut hi kam ho gayee. qalaam ka bhi akaal aur comments ka bhi sookha agar Ghalib ke ek sher ke zariye describe karein to ...

hai ab is maamoore meiN qaht-e-gham-e-ulfat "asad"
hum ne ye maana ke dilli meiN raheiN khaaveNge kya
- Ghalib (Asad)

is daur mein kayee shoraa SDC se chale gaye. sab ki alag alag wajah rahi hogi, mujhe un wajahon ya circumstances ke baare mein naheen pata. jaane waalon mein se ek main bhi tha. mere jaane ki wajah had nothing to do with anything that was happening at SDC. meri wajah kuchh aur thi. jaisa main ke pehle zikr kiya tha, mujhe behr ke baare mein us waqt naya naya pata laga tha SDC par hi, aur main ne behr ko research aur seekhne ki practice shuru kar di. takreeban 6 months lage. I had to almost "re-learn" how to compose a sher. main ne khud ko phir se sikhaayaa sher kehna. aur phir jab dobaara SDC par aaya to yahan "qeht-e-gham-e-ulfat" paaya to meri waapasi bhi zyaada din ki naheen rahi, shirkat ka silsila kam hota gay, aur kam hote hote, ye silsila pooree tarah toot gaya.

3.
par nasheb ke baad faraaz aana hi tha. par ye yoon hi naheen aaya. pichhle kuchh waqt se kuchh committed members / moderators is koshish mein lage huwe the ki SDC ka golden phase phir se waapas laaya jaaye. bichhrhe doston ko milaaya jaaye. unhone puraane members ko contact karna shuru kiya aur nayee nayee activities start kareen, FB par promotions kiye wagairah wagairah.*

I think is beech mein naye members bhi aaye jinhone bhi ek nayee sans phonkee SDC par.

SDC mein dobaara aa kar main khushi se jhoom utha. kuchh kuchh pehle ki si ronak dikhaayee dene lagi thi. takreeban waisa hi maahaul banne laga tha. ek personal rapport sa banne laga kayee members ke saath. kayee members, jo mere liye naye the, un se interact karne laga aur ek gaarha rishta banne laga.. jo mere pehle ke saathee the, un se to pehle se hi rafaaqat thi, and I picked up the thread instantly. of course, some ups and downs may happen once in a while, koyee barhee baat naheen hai, aha baat ye hai ko wo resolve ho jaate hain. ek doosre ki hausla afzaayee karne ka aur seekhne sikhaane ka silsila bhi raftaar pakarhta huwa dikhaayee de raha hai.*

is daur ko dekhne par mere jazbaat Faiz ke alfaaz ke zariye bayaan ho sakte hain

aaj yooN mauj dar mauj gham tham gaya
is tarah gham-zadoN ko qaraar aa gaya
jaise khushbu-e-zulf-e-bahaar aa gayee
jaise paighaam-e-deedaar-e-yaar aa gaya
- Faiz

to ye tha, mere hisaab se, daastaan-e-SDC jo meri nazron ne dekhi aur jo mere dil ne mehsoos ki.*

mujhe pooree ummeed hai ki is present daur mein hum sab mil kar SDC ki shaan-o-shauqat ko pehle se kaheen aur aage barha denge aur hamari SDC arsh ko choomegi, ke phir "majboor" ho ke humein Ghalib ka ye sher kehna parhega

manzar ki bulandi par aur hum bana sakte
arsh se idhar hota kaash ke makaaN apna
- Ghalib

aap sab ko dheron duaon ke saath
Zarraa

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha

Last edited by zarraa; 5th September 2014 at 12:59 AM..
   
Reply With Quote
Old
  (#22)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
5th September 2014, 12:53 AM

[QUOTE=sunita virender;467378]2.Shayri ka shauq aapko kabse hai...??
[/QUOTE

[COLOR="DarkRed"]phir waqt aaya college ka. ab ek to wo daur hi aisa that ki dil shaayaraanaa sa hone lagta hai

Zarra ji aapke bare meiN jaan kar bahut accha lga aur yeh highlighted line padkar, bahut hasi aaye

Zarra ji, aap us shayrana daur ki koi poetry share kareN, hame accha lgega padkar
[/QUOTE

Sunita ji .. maanna parhega aap ki paarkhee nazar ko. is lambe se safar mein bas ek hi gaam par paanv phisla tha, so aap ne use baraabar pakarh liya

Par main bahaut hi shukrguzaar hoon aap ka. Ek wo daur jise main takreeban bhool hi gaya tha, aap ne use yaad dila diya.

Bas, phir kya tha ... aaj dhool se sani ek puraanee diary nikaalee gayi, use saaf kar ke us ke shikstah pannon par dhundhlee si tehreer ko pardhne ki koshish kar raha hoon

Mere college (graduation) ka daur, jis ke baare mein aap ne sawaal poochha hai, wo 1993-96 ke dauraan tha.

Chaliye, us waqt ki kuchh ghazlein, nazmein, kavitaayein, geet main aap ke saamne rakhta jaaoonga, agle kuchh dinon mein.

In ko itne saalon ke baad phir se dekh kar ehsaas hota hai chaahein wo qalaam behr, qaafiya, radeef, bayaan, alfaaz mein behad kamzor the, par un ke ehsaas waise ke waise qalaam mein utar aaye the jis tarah dil ne mehsoos kiye the ... maasoom, jazbaatee, naazuk aur kachche Aaj ke maujooda waqt mein waisee maasoomiyat, waisee sachchaayee, waisee saadgee, koshish kar ke bhi qalaam mein laana shaayad mere bas mein naheen hai.

Ek baar phir se aap ka bahaut bahaut shukriya mujh ko time machine mein 20 saal peechhe bhejne ke liye

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha

Last edited by zarraa; 5th September 2014 at 12:55 AM..
   
Reply With Quote
Old
  (#23)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
5th September 2014, 01:22 AM

[QUOTE=zarraa;467634]
Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post
2.Shayri ka shauq aapko kabse hai...??
[/QUOTE

[COLOR="DarkRed"]phir waqt aaya college ka. ab ek to wo daur hi aisa that ki dil shaayaraanaa sa hone lagta hai

Zarra ji aapke bare meiN jaan kar bahut accha lga aur yeh highlighted line padkar, bahut hasi aaye

Zarra ji, aap us shayrana daur ki koi poetry share kareN, hame accha lgega padkar
[/QUOTE

Mere college (graduation) ka daur, jis ke baare mein aap ne sawaal poochha hai, wo 1993-96 ke dauraan tha.

Chaliye, us waqt ki kuchh ghazlein, nazmein, kavitaayein, geet main aap ke saamne rakhta jaaoonga, agle kuchh dinon mein.

In ko itne saalon ke baad phir se dekh kar ehsaas hota hai chaahein wo qalaam behr, qaafiya, radeef, bayaan, alfaaz mein behad kamzor the, par un ke ehsaas waise ke waise qalaam mein utar aaye the jis tarah dil ne mehsoos kiye the ... maasoom, jazbaatee, naazuk aur kachche Aaj ke maujooda waqt mein waisee maasoomiyat, waisee sachchaayee, waisee saadgee, koshish kar ke bhi qalaam mein laana shaayad mere bas mein naheen hai.

Ek baar phir se aap ka bahaut bahaut shukriya mujh ko time machine mein 20 saal peechhe bhejne ke liye

GHAZAL (SEPT 1995)

hum-zabaaN hum-sukhan n ho paaye hum-safar hum-qadam n ho paaye
naam sab ka likha azeezoN meiN ajnabee log kam n ho paaye

tha humeiN shauq sitam sehne ka tha tumheiN shauq sitam karne ka
hum to sar ko jhuka ke baithe the wo tum hi be-raham n ho paaye

tera mera hai dard ka rishta teri meri hai aah ki bandish
par tere saamne bayaaN mujh se jaane kyooN raaz-e-gham n ho paaye

koocha-e-zindagi se maiN rukhsat aaj bas is gila ke saath karooN
maut be-waqt aa ke tok gayee hum pe jee bhar sitam n ho paaye

zakhm ki meri daastaaN hai ye mere maanind hi deewaana hai
ye n chubhane se dard karta hai aur marham se kam n ho paaye

shor khud apne hi janaaze ka maiN sar-e-aam yooN machaata hooN
meri zinda-dilee se jeene ka phir kisi ko waham n ho paaye

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#24)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
5th September 2014, 01:50 AM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post

Aap se guzarish hai ke apne likhe kuch khaas ghazaloN/NazmoN ki links yahaaN post kijiye, ..

SDC par pesh ki meri pehlee ghazal
http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=71943

ek aazaad nazm ... mere kathin waqt ki hum-raaz
http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=74552

my tribute to all women of the world
http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=74676

ek ghazal jo mere doston ko bahaut pasand aayee thee
http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=74764

ek nazm jo mere dil ke bahaut kareeb hai
http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=76308

a tribute to my master .. Ghalib ..
http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=77470

ise ta'arruf bhi keh sakte hain
http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=76004

is ghazal ko aap sab ka bahaut pyaar mila
http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=77548

ye ghazal waise to kuchh khaas naheen hai, par is ko ek bhi comment naheen mila hai abhi tak, to phir se chance maar ke dekh leta hoon
http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=76092

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#25)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
5th September 2014, 09:48 AM

Zarraasaab,

aapke baare meN jaan kar aur aapke javaab paRhke hameN behad achchhaa lagaa. aapke javaaboN meN ek tajurbedaar shakhsiyat kii pehchaan miltii hai.

aapkii jo tehriir aapne yahaaN post kii hai, usmeN se 'A tribute to all women of the world' maiN paDh rahaa tha.. usme se ek sher pe aapse savaal karnaa chaahunga...

usko maaloom tha hoNge na mukammal lekin
khwaab aNkhoN meiN kayee phir bhii sajaaye hoNge

aapne kabhii aapke kareeb kisii ko bhii aise haalaat kaa saamnaa karte mehsoos kiya hai? aur agar aap uske himaayati bane hoN ya banne kii koshish kii ho?

ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता

http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote
Old
  (#26)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
5th September 2014, 09:52 AM

[QUOTE=zarraa;467636]
Quote:
Originally Posted by zarraa View Post

GHAZAL (SEPT 1995)

hum-zabaaN hum-sukhan n ho paaye hum-safar hum-qadam n ho paaye
naam sab ka likha azeezoN meiN ajnabee log kam n ho paaye

tha humeiN shauq sitam sehne ka tha tumheiN shauq sitam karne ka
hum to sar ko jhuka ke baithe the wo tum hi be-raham n ho paaye

tera mera hai dard ka rishta teri meri hai aah ki bandish
par tere saamne bayaaN mujh se jaane kyooN raaz-e-gham n ho paaye

koocha-e-zindagi se maiN rukhsat aaj bas is gila ke saath karooN
maut be-waqt aa ke tok gayee hum pe jee bhar sitam n ho paaye

zakhm ki meri daastaaN hai ye mere maanind hi deewaana hai
ye n chubhane se dard karta hai aur marham se kam n ho paaye

shor khud apne hi janaaze ka maiN sar-e-aam yooN machaata hooN
meri zinda-dilee se jeene ka phir kisi ko waham n ho paaye

Zarra ji...maine socha tha ki aap us waqt ki koi romantic gazal pesh kareNge, par yeh kya daur meiN dard ????

Clg ka daur to bada rumani daur hota hai...ishq-mohabat ke charche hote hai...kya ham es dard ki vajha jaan sakte hai, ki yeh dard kaise aaya aapki poetry meiN ??? kya es dard ki vajha ISHQ rhi ???

aapke diye link aik aik karke paduNgi, fursat se.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#27)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
5th September 2014, 10:41 AM

[QUOTE=sunita virender;467654]
Quote:
Originally Posted by zarraa View Post

Zarra ji...maine socha tha ki aap us waqt ki koi romantic gazal pesh kareNge, par yeh kya daur meiN dard ????

Clg ka daur to bada rumani daur hota hai...ishq-mohabat ke charche hote hai...kya ham es dard ki vajha jaan sakte hai, ki yeh dard kaise aaya aapki poetry meiN ??? kya es dard ki vajha ISHQ rhi ???

aapke diye link aik aik karke paduNgi, fursat se.
ji ji, roomaanee qalaam bhi hain us daur ke Sunita ji. main socha ki is ghamgeen ghazal (jo mera primary style hai) us se warm up karte hain, aur phir roomaanee qalaam par jaate hain.

ji aaj shaam ghar pahunchne ke baad usee puraanee shikastah diary se ek koyee roomaanee qalaam pesh karoonga.

tab tak ke liye us daur ke ek sher se hi kaam chala lijiye ... shaayad 1994 mein ye sher kaha tha ...

maiN ne tujhe sajda kiya to maiN bana kaafir naheeN
tere khayaal-e-zulf meiN khoya mila maiN fir naheeN

ji dukh dard maayoosiyaan to sabhi ki zindagi mein aatee hain. mere daaman mein bhi ye sab aayeen, har kism ki aayeen, har shakl mein aayeen, har daur mein aayeen. magar saath mein niyaamatein bhi bahaut mileen, kayee saare faiz bhi mujhe ataa huwe.

magar mere ehsaasaat, mere jazbaat aur meri kaifiyat, hamesha hi kuchh fasurda aur udaas rahi hai. gham mujh par zyaada asar daalta hai banispat khushi.

ek baat aur, main khushi to sab se baant leta hoon par gham aksar kisi se bhi naheen baantta. kareeb se kareeb-tar logon se bhi naheen. gham ka zeher ugalne ka sirf ek hi zariya hai, sher-o-sukhan.

shaayad yahi wajah bhi rahi ho ki shayari ne mujhe apni taraf is tarah kheench liya, kyunki shayari ehsaas-e-gham ke bayaan ka mere hisaab se sab se behtareen medium hota hai, among all creative forms

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha

Last edited by zarraa; 5th September 2014 at 10:54 AM..
   
Reply With Quote
Old
  (#28)
Hassan
Some Mirrors Lie...
Hassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Hassan's Avatar
 
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 44
Thumbs up 5th September 2014, 11:30 AM

Quote:
Originally Posted by zarraa View Post

GHAZAL (SEPT 1995)

hum-zabaaN hum-sukhan n ho paaye hum-safar hum-qadam n ho paaye
naam sab ka likha azeezoN meiN ajnabee log kam n ho paaye

tha humeiN shauq sitam sehne ka tha tumheiN shauq sitam karne ka
hum to sar ko jhuka ke baithe the wo tum hi be-raham n ho paaye

tera mera hai dard ka rishta teri meri hai aah ki bandish
par tere saamne bayaaN mujh se jaane kyooN raaz-e-gham n ho paaye

koocha-e-zindagi se maiN rukhsat aaj bas is gila ke saath karooN
maut be-waqt aa ke tok gayee hum pe jee bhar sitam n ho paaye

zakhm ki meri daastaaN hai ye mere maanind hi deewaana hai
ye n chubhane se dard karta hai aur marham se kam n ho paaye

shor khud apne hi janaaze ka maiN sar-e-aam yooN machaata hooN
meri zinda-dilee se jeene ka phir kisi ko waham n ho paaye
Waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaahhhh!!

Zarraa saheb..

Aap ke kirdaar aur likhne ka andaaz dono ke hum qaayal ho gaye haiN...
Jiss taraH khoobsorati se aap ne ghazal ko paya-e-anjaam tak pohnchaaya hai,
waqai qaabil-e-tehseen hai.....

DherooN daad ka nazraana iss aala-darjay ke kalaam ke liye pesh-e-nazar hai sir ..
qabool farmaiye ga!

DuaooN ke saath,

*hSn* : parStaar

tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN...
("Asad")
   
Reply With Quote
Old
  (#29)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
5th September 2014, 03:12 PM

Quote:
Originally Posted by zarraa View Post
hamaari SDC ki bagiya mein itne alag alag tarah ke phool khilte hain, ki har ka rang alag, har ki khushboo juda, to pasandeeda shoraa ki fehrist banana na sirf mushkil hi hai, par behad subjective aur assumptive bhi. it boils down to personal opinion and perception, and to some extent, memory.

phir bhi, meri limited samajh mein, kisi bhi shayar ka aap ka pasandeeda ban jaane ke liye, mere hisaab se, ye circumstances / parameters hote hain (this is not a technical opinion, only what I have been able to think of ) :

· zaahir hai, us shayar ki shayari aap ko behad pasand aaye, aap ke dil ko chhuwe, aap use admire karein, aap us se kuchh seekhein

· us shaayar ke shaayari ka tareeka ya genre aap ko personally sab se zyaada appeal karta ho. for example agar aap ko urdu shaayari mein dilchaspi hai to jo shaayar urdu mein sher kehta ho wo aap ko personally zyaada pasand aayega banispat ek equally behtareen poet ke jo hindi ya angrezi mein likhta ho. ya agar aap ko ghazal se zyaada lagaav hai nazm ke muqaable, to aap achchhee ghazal kehne waale shaayar ko zyaada pasand karoge bajaaye achchhee nazm kehne waale shaayar ko.

· aap ne us shaayar ka kaafee qalaam pardha ho jis se aap ke man mein us shaayar ka ek pattern sa ban gaya ho, kyunki yahaan baat pasandeeda qalaam ki naheen balki pasandeeda shaayar ki ho rahi hai, aur wo tabhi ho sakta hai jab aap us shaayar ka ek substantial body of work dekh chuke hon

· aap ne us shaayar ka qalaam over a period of time dekha ho, aap un ki shaayari se ek waqt se jurhe hon, taaki un ki shaayari ko aap ke dil-o-dimaag mein aahista aahista samaane ka mauka mila ho, their shayari would have had a chance to gradually grow in your mind.

to in circumstances / parameters par SDC ke jo mere pasandeeda shaayar hain :

· sdc ke bahaut hi respected shaayar, janaab Masood Hassas sahab, jin ke qalaam mujhe na sirf beintehaayee lutf dete the, par un se bahaut kuchh seekhne ko bhi mila tha. muhe wo ek complete shaayar lage. pichhle el lambe arsey se se un ke qalaam ke deedaar naheen huwe hain, par wo mere ek behad pasandeeda shayar rahe hain. Yahi dua hai ki un ke qalaam ka lutf aur un se seekhne ka mauka SDC parivaar ko jald se jald mil sake.

· the one and only, janaab Zidd sahab. wo aur un ke qalaam are one of a kind, behad hi dilchasp aur bilkul alag. ummeed hai jaldi hi un ke aur un ke qalaam ke darshan paayenge

· mere azeez dost Shaad bhai jin ka shuru se le kar ab taak lagaataar saath bana raha hai aur jin ke qalaam ka lutf main baraabar beshumaar uthaata raha hoon. un ke qalaam dil mein ek jaadoo sa kar jaate hain. bas dil jhoom uthta hai un par.

· apne pyaare Taish bhai. wo bina bataaye aate hain aur bina bataaye jaate hain, par apne niraale qalaam se dil ko jeet le jaate hain

· janaab Ahmad Shakil sahab. in ke qalaam se na sirf zauq-e-shaayari hi haasil hua mujhe, par seekhne ko bhi kaafee mila. un ke qalaam mujhe behad hi pukhtah, nape-tule, suljhe huwe aur technically bahaut hi strong lagte hain.

haan, magar khushi ki ek baat ye bhi hai, ki is fehrist mein future mein kayee aur naam bardhne ke poore aasaar par nazar aa rahe hain SDC par. kuchh puraane shoraa hain jin ka qalaam meri nazron mein pehle naheen aaya tha par ab aane laga hai ya kuchh ubharte huwe shaayar jin ka safar-e-sukhan abhi shuru hi huwa hai par wo dilchasp qalaam dilchasp le kar aa rahe hain. aise kayee shaayar aur hain jo ki aage chal kar mere pasandeeda shaayar banenge, aisa mujhe aabhaas ho raha hai . kabhi agar Zainy ji ne future mein mujhe interview par phir se bulaane ki bhool ki, to ek aur bhi lambee fehrist zaroor nazar aayegee J

Masha Allah. .kya khoob andaz me jawaab diya aapne...bohat achcha laga aapka analysis. .

Jee InshaAllah zaroor hoga aapka interview dubaara sdc per..ya kahe baar baar hoga....sabhi members aapko bohat pasand karte hain sdc per...I am sure har baar kuch naya sunne sur seekhne ko milega aapse

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm

Last edited by zainy; 5th September 2014 at 03:16 PM..
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#30)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
5th September 2014, 03:14 PM

Quote:
Originally Posted by zarraa View Post

pehle to ye kahoonga ki SDC ka meri sheri zindagi mein itna barha aur aham yogdaan raha hai jis ko, na hi naapa ja sakta hai aur na hi tola ... jis ka na andaazaa lagaaya ja sakta hai aur na hi alfaaz mein bayaan kiya ja sakta hai.

SDC ne sahi maaynon mein meri aankhein khol deen theen. shaayari mein "behr" naam ki bhi koyee shai hoti hai, ye mujhe SDC mein hi jaanne ko mila.
shaayari ke aur bhi kayee saleeke SDC mein aane ke baad hi mehsoos huwe. saath mein jo hausla afzaayee, pyaar aur inspiration members se mila wo to hai hi. SDC mein aane ke baad hi mujhe ye ehsaas hua ki "asal mein main ab tak main sahi tarah sw shaayari hi naheen kar raha tha itne saal". SDC mein mera as a shaayar ek naya janm hua. SDC completely re-invented me as a Shaayar and a Shaayari lover. is ke liye mere dil mein SDC aur us ke members ke liye ek bahaut hi khaas jagah hai.

SDC ka safar, jo aur jitna main de dekha hai, use agar ek jumle mein describe karoon, to wo hoga, NASHEB-O-FARAAZ

SDC ke safar ko jaisa main ne dekha hai, waisa bayaan kar raha hoon. SDC ke aise kayee pehloo hain aur aisee kayee baatein hain jin ki jaankaaree mujhe naheen hai, so please see the below narrative as my individual experiences only and not as an exhaustive or authentic chronicle of SDC.

mota-moti, main 3 phases mein baantoonga SDC ka jo safar dekha hai wo ...

1.
sab se pehle jab main SDC par aaya to yahaan ek sher-o-sukhan ka mela sa laga paaya. yahaan har tarah ka fan rakhne waale, har style, har genre aur har stage ke shora saath saath shirkat karte the .... kayee senior shaayar, kayee mid-stage shaayar, kayee naye seekhne waale .... kayee classical styled aur kayee modern styles, kayee urdudaan aur kayee hindi-urdu mixed waale. par sab saath mil lar ek doosre ke qadrdaan the, sab ek doosre se seekhte-sikhaate, sawaal-jawaab karte,hausla afzaayee karte, lutf uthaate, guft-o-shaneed karte .. idhar kisi ka bhi ek qalaam post hua naheen ki comments ka ambaar sa lag jaata tha. saath hi bahaut alag alag tarah ki shaayari aatee rehti ... shayari-e-dard / ishq / sharaab ... sab sections roz nayee posts se khachaakhach bhare rehte.

agar is daur ko Majaaz ke sher ke zariye describe karoon to ..

noor hi noor hai kis simt uthaaooN aaNkheiN
husn hi husn hai ta-hadd-e-nazar aaj ki raat
- Majaaz

ek aur pehloo ye bhi tha ki senior shaayar naye seekhne waalon ki ya wo jo abhi mid-learning stage mein hain (mere jaise) un ki bahaut hi skillful, knowledgeable aur matured tareeke se rehnumaayee karte the, posts par bhi aur PM par bhi. jaise main ne kaha, mujhe khud us rehnumaayee ka bahaut faayda mila tha. us daur mein debates aur takraar bhi hote the, but most of them were based on shayari principle issues, and they were either resolved or members just moved along after some debate. kabhi kabhi kuchh mudde personal bhi ho jaate the, aisa naheen ki har cheez ideal thi us waqt. but nets net,*I will call this phase the Golden phase of SDC that I have seen.

2.
doosree phase jo main ne dekhee wo ye thi ki SDC ki volume of activity amd variety of activity bahaut hi kam ho gayee. qalaam ka bhi akaal aur comments ka bhi sookha agar Ghalib ke ek sher ke zariye describe karein to ...

hai ab is maamoore meiN qaht-e-gham-e-ulfat "asad"
hum ne ye maana ke dilli meiN raheiN khaaveNge kya
- Ghalib (Asad)

is daur mein kayee shoraa SDC se chale gaye. sab ki alag alag wajah rahi hogi, mujhe un wajahon ya circumstances ke baare mein naheen pata. jaane waalon mein se ek main bhi tha. mere jaane ki wajah had nothing to do with anything that was happening at SDC. meri wajah kuchh aur thi. jaisa main ke pehle zikr kiya tha, mujhe behr ke baare mein us waqt naya naya pata laga tha SDC par hi, aur main ne behr ko research aur seekhne ki practice shuru kar di. takreeban 6 months lage. I had to almost "re-learn" how to compose a sher. main ne khud ko phir se sikhaayaa sher kehna. aur phir jab dobaara SDC par aaya to yahan "qeht-e-gham-e-ulfat" paaya to meri waapasi bhi zyaada din ki naheen rahi, shirkat ka silsila kam hota gay, aur kam hote hote, ye silsila pooree tarah toot gaya.

3.
par nasheb ke baad faraaz aana hi tha. par ye yoon hi naheen aaya. pichhle kuchh waqt se kuchh committed members / moderators is koshish mein lage huwe the ki SDC ka golden phase phir se waapas laaya jaaye. bichhrhe doston ko milaaya jaaye. unhone puraane members ko contact karna shuru kiya aur nayee nayee activities start kareen, FB par promotions kiye wagairah wagairah.*

I think is beech mein naye members bhi aaye jinhone bhi ek nayee sans phonkee SDC par.

SDC mein dobaara aa kar main khushi se jhoom utha. kuchh kuchh pehle ki si ronak dikhaayee dene lagi thi. takreeban waisa hi maahaul banne laga tha. ek personal rapport sa banne laga kayee members ke saath. kayee members, jo mere liye naye the, un se interact karne laga aur ek gaarha rishta banne laga.. jo mere pehle ke saathee the, un se to pehle se hi rafaaqat thi, and I picked up the thread instantly. of course, some ups and downs may happen once in a while, koyee barhee baat naheen hai, aha baat ye hai ko wo resolve ho jaate hain. ek doosre ki hausla afzaayee karne ka aur seekhne sikhaane ka silsila bhi raftaar pakarhta huwa dikhaayee de raha hai.*

is daur ko dekhne par mere jazbaat Faiz ke alfaaz ke zariye bayaan ho sakte hain

aaj yooN mauj dar mauj gham tham gaya
is tarah gham-zadoN ko qaraar aa gaya
jaise khushbu-e-zulf-e-bahaar aa gayee
jaise paighaam-e-deedaar-e-yaar aa gaya
- Faiz

to ye tha, mere hisaab se, daastaan-e-SDC jo meri nazron ne dekhi aur jo mere dil ne mehsoos ki.*

mujhe pooree ummeed hai ki is present daur mein hum sab mil kar SDC ki shaan-o-shauqat ko pehle se kaheen aur aage barha denge aur hamari SDC arsh ko choomegi, ke phir "majboor" ho ke humein Ghalib ka ye sher kehna parhega

manzar ki bulandi par aur hum bana sakte
arsh se idhar hota kaash ke makaaN apna
- Ghalib

aap sab ko dheron duaon ke saath
Zarraa

Is pehlu ko tou pehle kabhi kisi ne is tarah se nahi socha hoga. ..aapki parkhi nazar aur soch ki daad deni hogi...

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#31)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
5th September 2014, 03:17 PM

Quote:
Originally Posted by zarraa View Post
SDC par pesh ki meri pehlee ghazal
http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=71943

ek aazaad nazm ... mere kathin waqt ki hum-raaz
http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=74552

my tribute to all women of the world
http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=74676

ek ghazal jo mere doston ko bahaut pasand aayee thee
http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=74764

ek nazm jo mere dil ke bahaut kareeb hai
http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=76308

a tribute to my master .. Ghalib ..
http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=77470

ise ta'arruf bhi keh sakte hain
http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=76004

is ghazal ko aap sab ka bahaut pyaar mila
http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=77548

ye ghazal waise to kuchh khaas naheen hai, par is ko ek bhi comment naheen mila hai abhi tak, to phir se chance maar ke dekh leta hoon
http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=76092
yeh achcha kiya aapne. ..weekend ka intezaam kar diya...

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#32)

5th September 2014, 03:19 PM

Ek Guzarish hai...waise tou fb per kaafi dostoN ne dekha hai aapko...per agar eteraaz na ho tou sdc per bhi apni profile per picture laga dijiye. ..

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#33)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
5th September 2014, 03:41 PM

Quote:
Originally Posted by Hamdam View Post
Zarra Sahib , Namaskar

Kehte hain ek kamyaab insaan ke peeche ek aurat ka haath hota hai..Kya ek Kamyab
Shayar pe bhi ye baat laagu hoti hai ...Haan ya naa , zara detail me illustrate karke
batayein ..

Ek acha shayar ghazal ya nazm khud ke liye likhta hai ya zamane ke liye.

Ek acha shayar khudmukhtyar hoa hai , ya khuddar hota hai ya phir itna honhaar hota
hai ki uske her sher ko per ke bus waah hi nikalti hai ..

Sanjay Sehgal
Janaab Sanjay ji

Pehle to aap ka tah e dil se shukriya ada karna chaahoonga jo aap ki lagaataar mohabbat bhari qadradaanee mujhe haasil hoti rahi hai us ke liye. Aap ne pichchlee post mein meri nazm ke misron ko quote kiya aur kaha ki wo aap ke dil ke kareeb rahe hain, us ke liye bhi behad mashqoor hoon.

Aur aap jis hansi-khushi bhari baatein, zinda dil ehsaas, dil lete hain aur mujhe bahaut hi achchhe lagta hai.

Aap ke sawaalon ka ek ek kar ke jawaab de raha hoon neeche ..

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#34)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
5th September 2014, 03:45 PM

Quote:
Originally Posted by Hamdam View Post
Zarra Sahib , Namaskar

Kehte hain ek kamyaab insaan ke peeche ek aurat ka haath hota hai..Kya ek Kamyab Shayar pe bhi ye baat laagu hoti hai ...Haan ya naa , zara detail me illustrate karke
batayein ..

Sanjay Sehgal

ji agar YES or NO answer mein doon to answer to both your questions is YES

aurat mein wo aseem apaar shakti hai ki wo kisi ko bhi, including kisi aadmi ko, kaamyaab ya na-kaamyaab bana sakti hai.

jise wo kaamyaab bana de wo aadmi zaahir hai kaamyaab kehlaata hai

aur jise wo naakaamyaab bana de wo ek kaamyaab shayar ban jaata hai ........... just joking !!!

to donon hi sooraton mein koyee na koyee kaamyaabi mil jaatee hai

but on a serious note, mera maanna hai ki aurat-zaat is kaaynaat ki rooh hai, aur kisi bhi kaamyaab mard ya aurat, donon ke peechhe ek ya zyaada auraton ka haath zaroor hota hai.

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#35)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
5th September 2014, 03:49 PM

Quote:
Originally Posted by Hamdam View Post
Zarra Sahib , Namaskar

Ek acha shayar ghazal ya nazm khud ke liye likhta hai ya zamane ke liye.

Sanjay Sehgal
mere khayaal mein shaayar donon wajah se ... apne liye aur zamaane ke liye likhta hai. And this applies to any artist and not just a poet.

shayari ke ehsaas, jazbaat shayar ke khud ke hote hain ya agar auron ke bhi hon to wo hote hain jin se wo mutaasir huwa ho. magar shaayar ehsaas / jazbaat ko taghazzul (poetic language) aur takhayyul (imagination) ke paikar mein apne fan se is liye bhi taraashta hai ki wo ahl-e-duniya aur zamaane ke dil o dimaagh mein jagah bana sakein, aur un ka tawajjo haasil kar sakein. daad tehseen noticeability appreciation wo petrol hai jis se creativity ki chingaaree shola ban jaatee hai. par chingaaree jalaane waali maachis ki teelee shayar / artist ke andar ki hai.

to put it in a slightly black and white manner ..... the soul of art is for the artist and the body of the art is for the world .... but the artist is in love with both the soul and body of his / her art.

Sanjay ji, pata naheen ki aap ke sawaal ko address kar paaya, ya phir apne khayaal ko sahi se alfaaz de paaya ke naheen. agar aap jawaab se satisfied naheen hain to please khul ke keh dijiyega, I will then make another attempt to address the question

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha

Last edited by zarraa; 5th September 2014 at 04:16 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#36)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
5th September 2014, 03:51 PM

Quote:
Originally Posted by Hamdam View Post

Ek acha shayar khudmukhtyar hoa hai , ya khuddar hota hai ya phir itna honhaar hota
hai ki uske her sher ko per ke bus waah hi nikalti hai ..

Sanjay Sehgal
Ji bahaut maazrat ke saath arz kar raha hoon ki ye sawaal pooree tarah mujh par khul naheen paaya. Shayad 80% samajh gaya hoon, par aap ke kisi bhi sawaal ka jawaab jab tak main 100% sure naheen hoon tab tak naheen dena chaahoonga, because I value your time. So, for my benefit, can you kindly explain the question in little bit more details please. Sorry for the inconvenience caused to you, but I will highly appreciate your additional effort

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#37)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
5th September 2014, 03:52 PM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post
Masha Allah. .kya khoob andaz me jawaab diya aapne...bohat achcha laga aapka analysis. .

Jee InshaAllah zaroor hoga aapka interview dubaara sdc per..ya kahe baar baar hoga....sabhi members aapko bohat pasand karte hain sdc per...I am sure har baar kuch naya sunne sur seekhne ko milega aapse
Ji, inaayat Zainy ji .................

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#38)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
5th September 2014, 03:53 PM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post
Is pehlu ko tou pehle kabhi kisi ne is tarah se nahi socha hoga. ..aapki parkhi nazar aur soch ki daad deni hogi...

Shukriya Zainy ji ..........

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#39)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
5th September 2014, 03:54 PM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post
yeh achcha kiya aapne. ..weekend ka intezaam kar diya...
.................................................. .....

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#40)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
5th September 2014, 09:25 PM

Quote:
Originally Posted by zarraa View Post
SDC par pesh ki meri pehlee ghazal
http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=71943

ek aazaad nazm ... mere kathin waqt ki hum-raaz
http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=74552

my tribute to all women of the world
http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=74676

ek ghazal jo mere doston ko bahaut pasand aayee thee
http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=74764

ek nazm jo mere dil ke bahaut kareeb hai
http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=76308

a tribute to my master .. Ghalib ..
http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=77470

ise ta'arruf bhi keh sakte hain
http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=76004

is ghazal ko aap sab ka bahaut pyaar mila
http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=77548

ye ghazal waise to kuchh khaas naheen hai, par is ko ek bhi comment naheen mila hai abhi tak, to phir se chance maar ke dekh leta hoon
http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=76092

doston ... maazrat ke saath ye arz kar raha hoon ki ek ghazal ka link ghalat de diya hai.

jis ghazal ke liye main le likha tha "a tribute to my master ... Ghalib" us ke saath apni kisi doosree ghazal ka link de diya .... ye wo naheen jo bataur tribute kahi thi.

sahi link yahaan neeche hai. ye ghazal main ne kahi thi Ghalib sahab ki ek mashhoor aur brilliant ghazal ke radeef aur behr par.

sahi link neeche dekhiye.
a tribute to my master .. Ghalib ..http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=76658

aur aap sab dildaar rehemdil mehrbaanon ka kaise shukriya ada karoon ki jis ghazal ke liye main me kaha tha ki "ye ghazal waise to kuchh khaas naheen hai, par is ko ek bhi comment naheen mila hai abhi tak, to phir se chance maar ke dekh leta hoon " us par ek hi din mein kayee qadrdaan tashreef le aaye hain aur apni daad aur duaon se mujhe maalaamaal kar diya hai. bahaut bahaut shukriya aap sab ka

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com