aap ke kallam ko padh kar aisa ehsaas hota hai ki aap ne wafa ki raah mein bewafai ki thokar khai hai.aap ki rachnaon se us thokar ka dard saaf saaf mehsoos hota hai.magar ek baat yaad rakhiye bujurgon ne kaha hai ki thokar khaa kar hi insaan sambhalta hai.
aap ke dard ko kam to nahin kar sakta magar samajh sakta hoon.chand line aap ke liye arz hai....
jinhen dil se chaahaa jinhen dil se puujaa
nazar aa rahe hain vahii ajanabii se
ravaayat hai shaayad ye sadiyo.n puraanii
shikaayat nahiin hai ko_ii zindagii se