Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Dard (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=4)
-   -   barrhte howe qadam yun rahon main tham gaye (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=57221)

koi to ho 11th August 2007 03:54 PM

barrhte howe qadam yun rahon main tham gaye
 
aik koshish aap doston ke samnay aur raaye ki muntazir..........

jese ke paas manzil ke saansain nahi rahi

dil ke udas mausam main hum yun kho gaye
ab khushi ko paaney ki chahat nahi rahi

aaj kal hum duniya ko hain samjhne lagay howe
per dil ko aetbaar ki ab ziada adat nahi rahi

dil main lagay kuch zakham kuch aur gehre howe
jab dil main unhain seene (stich) ki khuwahish dabi rahi

Mohammad Kashif 11th August 2007 05:22 PM

SALAAM ...............bahut hi umda kalaam apne pesh kiya hai ehsaas acchey rahey aaj kafi dinb baad apko padne ka mouka mila accha likha hai apne unhg-i likhti rahiye............khush rahiye.....

Dhaval 11th August 2007 05:29 PM

maanii didi adaab-o-taSleemaat:

Bahot hi dard bharii kavviSh.. aapne dard ko Khuub bayaaN kiYaa haii.. YuuNhi bazm ko sajaate rahiYe...

KhuSh raheN.. apnaa Khayaal raKheN

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~ Dhaval

acharya_mj 11th August 2007 07:11 PM

hello
 
Quote:

Originally Posted by koi to ho (Post 243884)
aik koshish aap doston ke samnay aur raaye ki muntazir..........

barrhte howe qadam yun rahon main tham gaye
jese ke paas manzil ke saansain nahi rahi

dil ke udas mausam main hum yun kho gaye
ab khushi ko paaney ki chahat nahi rahi

aaj kal hum duniya ko hain samjhne lagay howe
per dil ko aetbaar ki ab ziada adat nahi rahi

dil main lagay kuch zakham kuch aur gehre howe
jab dil main unhain seene (stich) ki khuwahish dabi rahi

Behad khoobsurat kalaam hai aap ka dil se daad kabool kareN

khaas kar ye 2 sher achhe hai

dil se mubarak baad kabool kare ,yunhi likhte rahe janaab
regards
manu

musafir ek pal 12th August 2007 01:16 AM

salaam manni didi,

kaise hain aap?

dard ko bahut hi khoobsurti se bayaan kiya hai aapne. aise ehsaason ko lafzon mein prona bahut muskil hai, jo apne baddi hi assani se kar diya. bebassi jhalak rahi hai aapki is koshish se. vaise to her sher tareef-e-kabil hai. par humein yeh 2 sher bahut ache lage:

aaj kal hum duniya ko hain samjhne lagay howe
per dil ko aetbaar ki ab ziada adat nahi rahi

dil main lagay kuch zakham kuch aur gehre howe
jab dil main unhain seene (stich) ki khuwahish dabi rahi

wah, bahut khub, aap yuhin likte rahein aur humesha khush rahein.

manish

Abrarsworld 12th August 2007 12:26 PM

Salaam Maanii Ji...

kaise hain aap??? Kaafi waqt baad aapko pada hai... bohot der lagayi aapne apni tehreer mein... Is liye yeh behad khoobsurat tehreer padne ko mili... Bohot umda ehsaas pesh kiye hain aapne yahan.... Bohot khoob... Dard agar dil ka ho to maafi chahunga... Nhi to meri aur se is tehreer par daad kubool kare....

Apka Dost ...

Abrar...

koi to ho 13th August 2007 10:37 PM

Quote:

Originally Posted by Mohammad Kashif (Post 243929)
SALAAM ...............bahut hi umda kalaam apne pesh kiya hai ehsaas acchey rahey aaj kafi dinb baad apko padne ka mouka mila accha likha hai apne unhg-i likhti rahiye............khush rahiye.....

kashif ji aap yahan aye aur apni raye ka izhaar kia aapka bohat bohat shukriya umeed kerti hoon yunhi sath milta rahega aap bhi khush rahiye aur apna khayal rakhiyega....:)

koi to ho 13th August 2007 10:42 PM

Quote:

Originally Posted by dhavalrami4you (Post 243940)
maanii didi adaab-o-taSleemaat:

Bahot hi dard bharii kavviSh.. aapne dard ko Khuub bayaaN kiYaa haii.. YuuNhi bazm ko sajaate rahiYe...

KhuSh raheN.. apnaa Khayaal raKheN

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~ Dhaval

chottu bohat bohat shukriya parrhne ka aur apne kahaylat ke izhar kia bohat acha laga khush raho humesha aur yunhi sath dete rehna thanks a lot....:)

koi to ho 13th August 2007 11:03 PM

Quote:

Originally Posted by acharya_mj (Post 244013)
Behad khoobsurat kalaam hai aap ka dil se daad kabool kareN

khaas kar ye 2 sher achhe hai
dil ke udas mausam main hum yun kho gaye
ab khushi ko paaney ki chahat nahi rahi

aaj kal hum duniya ko hain samjhne lagay howe
per dil ko aetbaar ki ab ziada adat nahi rahi

dil se mubarak baad kabool kare ,yunhi likhte rahe janaab
regards
manu

manu ji aapko pehli baar apni post per dekh ker behad khushi hoi aap jesay log jab apni raye dete hain to aik khas khushi milti hai bohat bohat shukriya apne keemti waqt main se kuch waqt meri is choti si koshish ko dia humesha khush rahain apna khayal rakhiyega........:)

koi to ho 13th August 2007 11:11 PM

Quote:

Originally Posted by musafir ek pal (Post 244053)
salaam manni didi,

kaise hain aap?

dard ko bahut hi khoobsurti se bayaan kiya hai aapne. aise ehsaason ko lafzon mein prona bahut muskil hai, jo apne baddi hi assani se kar diya. bebassi jhalak rahi hai aapki is koshish se. vaise to her sher tareef-e-kabil hai. par humein yeh 2 sher bahut ache lage:

aaj kal hum duniya ko hain samjhne lagay howe
per dil ko aetbaar ki ab ziada adat nahi rahi

dil main lagay kuch zakham kuch aur gehre howe
jab dil main unhain seene (stich) ki khuwahish dabi rahi

wah, bahut khub, aap yuhin likte rahein aur humesha khush rahein.

manish

manish bohat bohat shukrya ke tum yahan aaye aur meri koshish ko saraha bohat khushi hoi dear tumbhi humesha khush raho aur apna khayal rakhna duaon main yaad rakhna...:)

koi to ho 13th August 2007 11:30 PM

Quote:

Originally Posted by Abrarsworld (Post 244105)
Salaam Maanii Ji...

kaise hain aap??? Kaafi waqt baad aapko pada hai... bohot der lagayi aapne apni tehreer mein... Is liye yeh behad khoobsurat tehreer padne ko mili... Bohot umda ehsaas pesh kiye hain aapne yahan.... Bohot khoob... Dard agar dil ka ho to maafi chahunga... Nhi to meri aur se is tehreer par daad kubool kare....

Apka Dost ...

Abrar...

abrar main bilkul theek hoon alhumdulilah aur umeed kerti hoon ke tum bhi kheriat se hoge .... hmm dair isliye lagai ke main likhti uswaqt hoon jab mera mood udas ho werna khushi ko to mujhay bayan nahi kerne aata haan per udasi ko bakhoobi likh pati hoon:p to is liye kam kam hi likh paati hoon bohat bohat shukriya yahan aanay ka aur meri koshish ko sarahne ka khush raho :)

jasdeephere 14th August 2007 08:27 AM

bahut hi dard bhari aur khoobsurat koshish hai yeh aapki

hamein isse padna bahut achha laga........

Khush Rahein

sunita thakur 14th August 2007 10:41 AM

dear mani....bahut dino baad tumhe pada, accha laga. ahsaas khoob hai, dard bhi bahut likha hai...dard par daad kaya dooN...:(

kush raho yu hi likhti raho
duaoN ke saath
tumhari diiii

mausam 14th August 2007 01:09 PM

:( ab dard pe wah wah to kehna theek nahin hota.....Ehsaas bahut hi acche lage...spl

barrhte howe qadam yun rahon main tham gaye
jese ke paas manzil ke saansain nahi rahi

aise hi likhti rehna.........

mausam:)

s_shuaib2007 14th August 2007 02:50 PM

Quote:

Originally Posted by koi to ho (Post 243884)
aik koshish aap doston ke samnay aur raaye ki muntazir..........

barrhte howe qadam yun rahon main tham gaye
jese ke paas manzil ke saansain nahi rahi

dil ke udas mausam main hum yun kho gaye
ab khushi ko paaney ki chahat nahi rahi

aaj kal hum duniya ko hain samjhne lagay howe
per dil ko aetbaar ki ab ziada adat nahi rahi

dil main lagay kuch zakham kuch aur gehre howe
jab dil main unhain seene (stich) ki khuwahish dabi rahi

Aap ne bahut accha likha hai keep writing

akelijaan 15th August 2007 04:48 PM

dil main lagay kuch zakham kuch aur gehre howe
jab dil main unhain seene (stich) ki khuwahish dabi rahi

waaaah..kya baat kahi..

bahut khoob koi to ho ji..bahut acha likha aapne..likhti rahen yunhin

koi to ho 18th August 2007 02:04 PM

Quote:

Originally Posted by jasdeephere (Post 244404)
bahut hi dard bhari aur khoobsurat koshish hai yeh aapki

hamein isse padna bahut achha laga........

Khush Rahein

jasdeep ji bohat bohat shukriya meri tehreer ko parrhne aur pasand kerne ke liye apna khayal rakhiyega khush rahain:)

koi to ho 18th August 2007 02:11 PM

Quote:

Originally Posted by sunita virender (Post 244418)
dear mani....bahut dino baad tumhe pada, accha laga. ahsaas khoob hai, dard bhi bahut likha hai...dard par daad kaya dooN...:(

kush raho yu hi likhti raho
duaoN ke saath
tumhari diiii

didi aapka saath jab bhi milta hai mujhay beintiha khushi milti hai bohat bohat shukriya didi ise pasand kerne ke liye humesha khush rahiye apna khayal rakhiyega duaaoon main yaad rakhiyega :)

koi to ho 18th August 2007 02:18 PM

Quote:

Originally Posted by mausam (Post 244444)
:( ab dard pe wah wah to kehna theek nahin hota.....Ehsaas bahut hi acche lage...spl

barrhte howe qadam yun rahon main tham gaye
jese ke paas manzil ke saansain nahi rahi

aise hi likhti rehna.........

mausam:)

mausam di bohat bohat shukriya aapne meri koshish ko pasand kiya aapka sath pa ker acha laga .......aur koibaat nahi wah wah bhi chalega ab itna zakhmi bhi nahi ke wah wah kehne per chot lagay:p;) khush rahiye di humesha yunhi saath deti rahiyega apna khayal rakhain:)

koi to ho 18th August 2007 02:24 PM

Quote:

Originally Posted by s_shuaib2007 (Post 244474)
Aap ne bahut accha likha hai keep writing

shuaib ji bohat bohat shukriya pasand kerne ke liye aur apni raye ka izhaar kerne ke liye:)

koi to ho 18th August 2007 02:29 PM

Quote:

Originally Posted by akelijaan (Post 244662)
dil main lagay kuch zakham kuch aur gehre howe
jab dil main unhain seene (stich) ki khuwahish dabi rahi

waaaah..kya baat kahi..

bahut khoob koi to ho ji..bahut acha likha aapne..likhti rahen yunhin

sara ji bohat bohat shukriya sher pasand kerne ke liye thanks alot :)

All times are GMT +5.5. The time now is 03:30 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.